Monday, November 20, 2017

Bewafai Ki Shayari

Kya-Kya Na Saha Tere Pyar Ke Liye,
Tu Bhul Gayee Mujhe Begaane Yaar Ke Liye,
Bitaaye The Lamhe Saath Milkar Kabhi,
Tarsate Hain Aaj Tere Deedar Ke Liye.
Dil Karta Hai Aag Laga Doon Is Zamaane Ko,
Jisne Dard Hi Dard Diya Har Diwaane Ko,
Har Pal Zakham Khaya Hai Dil Ne Mere,
Ab Kya Rah Gaya Aur Aajmaane Ko.
Woh Pal Aakhri Hoga Meri Zindagi Ka,
Jis Din Tu Mujhse Juda Hoga,
Karar Tujhe Bhi Na Aane Dunga Main,
Agar Is Daur Mein Tu Bewafa Hoga.
Kabhi Teri Baahon Mein Har Gham Bhula Diya Karte The Hum,
Magar Aaj Yeh Baahein Gairon Ke Naam Ho Gayi,
Kya Dein Hum Yaar Tujhe Duayen,
Ab To Dua Ke Liya Bhi Tu Naakam Ho Gayi.
Tum Daga Karo Tab Bhi Gaddar Nahi,
Hum Wafa Karein To Bhi Gunahgar Hain,
Khata Teri Nahi O Sanam Mere,
Yeh To Waqt Waqt Ki Maar Hai.
Zinda Hun Jab Tak Tu Aabad Rahegi,
Pyar Ki Woh Chand Mulakaten Hamesha Yaad Rahengi,
Udhar Tum Rahna Sanam Khushaal Hamesha,
Aur Idhar Zindagi Meri Barbaad Rahegi.
Bhale Hi Raah Chalton Ka Daaman Tham Le,
Magar Mere Pyar Ko Bhi Tu Pahchan Le,
Kitna Intezaar Kiya Hai Tere Ishq Mein,
Jara Yeh Dill Ki Betaabi Tu Jaan Le.
Bahut Ho Chuka Intezaar Unka,
Ab Aur Zakham Sahe Jaate Nahi,
Kya Bayaan Karein Unke Sitam Ko,
Dard Unke Kahe Jate Nahi.
Humne Tere Pyar Ki Khatir, Duniya Ko Thukraya Tha,
Saare Jag Ko Chhod Ke Humne Tumko Meet Banaya Tha,
Fir Bhio Sangdil Chhod Ke Tanha, Tune Apne Khan Ko,
Gair Ki Sej Sajayi Tune, Gair Ka Saath Nibhaya Tha,
Tujh Se Hai Na Shikwa, Na Gila Hai Rakibon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se,
Tera Who Pyar Mujhe, Raaton Ko Jagayega,
Tone Mujhe Thukraya Toh, Chain Nahi Aayega,
Hoga Na Ilaaj Mera, Kabhi Bhi Tabijon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se.
Taqdir Banane Wale Tune Bhi Had Kar Di,
Taqdir Mein Kisi Aur Ka Naam Likha,
Aur Dil Mein Chahat Ek Farebi Ki Bhar Di.
Log Isq Karte Hain,
Bade Shor Ke Saath,
Hamne Bhi Kiya,
Bade Jor Ke Saath,
Magar Ab Karenge Thoda,
Gour Ke Saath,
Kyonki Kal Usko Dekha,
Kisi Aur Ke Saath.
Na Jaane Kyu Us Se Pyar Karta Hun Main,
Na Jaane Kyu Uspe Jaan Nishar Karta Hu Main,
Yeh Jaanta Hu Woh Dega Dhoka Ek Din,
Fir Bhi Jaane Kyu Us Pe Aitbaar Karta Hu Main.
Main Toh Yeh Bhi Nahi Kah Sakta,
Ki Is Mein Galti Mere Yaar Ki Hai,
Bewafa Bhi Usko Main Kahun Kaise,
Kyun Ki Toheen Yeh Mere Pyar Ki Hai.
Din Ho Bhale Hi Raat Ho,
Bas Yaad Teri Hi Aati Hai,
Kaise Kahu Ke Main Theek Hu,
Yeh Hardam Mujhko Rulati Hai,
Ab Toh Yaaro Khud Se Bhi,
Mujhko Wafa Ki Umeed Nahi,
Mohabbat Aisi Shaii Hai Yaaro,
Jise Sakte Kabhi Kharid Nahi.
Kya Karein Hamari Fitrat Hi Aisi Hai,
Jo Har Kisi Se Pyar Kar Lete Hain,
Tabhi Toh Dokha Khate Hain Hum Yahan Par,
Jo Har Kisi Par Aitbaar Kar Lete Hain.
Aapki Yahi Adayein Toh Hain Eh Mere Humdam,
Jo Humko Aap Par Marne Ko Majboor Karti Hain,
Magar Yeh Bhi Suna Hai Ke Hote Hain Sabhi Hasin Bewafa,
Aap Bhi Hasin Hain Yehi Baatein Aap Se Door Karti Hain.
Bewafa Jahan Ki Bewafayi Raat Aayi,
Mere Pyar Ki Wafayi Na Raas Aayi,
Eh Sanam Kyamat Tak Hamein Yaad Rakhoge,
Ke Tum Bhi Kabhi Pyar Ko Tadpoge.
Afsos Hai Hamein Us Ghadi Ka,
Jab Tumse Dil Laga Baithe,
Tere Pyar Ki Khatir Eh Sandil,
Hum Apni Har Khusi Ganva Baithe,
Agar Tujhe Bhulana Aasan Hota,
Toh Kab Ke Bhula Dete,
Agar Mere Dil Mein Tera Naam Na Hota,
Toh Kab Ka Is Dil Ko Jala Dete..
Jab Meri Yeh Dastaa Unke Haathon Mein Aayegi,
Unki Woh Bewafayi Fir Raas Kaise Aayegi,
Mera Toh Sirf Bas Naam Rah Jaayega,
Unka Shado Sukun Fir Sham Sahar Jaayega.
Dil Se Tera Pyar Hoga Kam Nahi,
Tum Bewafa Huye To Kya, Aur Ek Gham Sahi,
Aapka Faisla Aapke Karm Karenge,
Sab Kuchh Milega Tumhe Magar Honge Hum Nahi.
Tum Hi Tum Tadpo Na Hamein Tadpaao,
Do Roohein Milne Do Ek Jaan Ban Jaao,
Deti Ho Meri Bhool Ki Itni Badi Saja,
Thukra Ke Mera Pyar Na Ban Jaao Bewafa.
Nazrein Meri Kahin Thak Na Jaayein,
Bewafa Tera Intezaar Karte Karte,
Yeh Jaan Yun Hi Nikal Na Jaaye,
Tum Se Ishq Ka Izhaar Karte Karte.
Majburi mein jab koi juda hota hai,
Zaruri nahi ke wo bewafa hota hai,
De kar wo aapki aankho me aansu,
Akele me aapse bhi zyada rota hai.
Fir Khamoshi Ne Saaj Chheda Hai,
Fir Khayalat Ne Lee Angdayi,
Kisliye Mahfil Sajayee Jaaye,
Pursukun Ho Gayi Hai Tanhayi,
Ek Se Ek Ghatna Huyi Lekin,
Na Gayi Tere Gham Ki Yatnayi,
Koi Shikwa Na Gham Na Koi Yaad,
Baithe Baithe Bas Aankh Bhar Aayi.
Hamaare Toh Kuchh Hi Din Baaki Hain Zindagi Ke,
Aapki Yaadon Ke Sahaare Yeh Kat Hi Jaayenge,
Magar Itna Yaad Rakhna Eh Dagaa Karne Waalon,
Ki Aap Bhi Kisi Se Dhoka Jarur Khayenge.
Khafa Hokar Humse Fir Maan Jana,
Yahi Ada To Humko Bahut Bhati Hai,
Baaki To Sabkuchh Bhool Chuke Hain Hum,
Magar Humko Wo Bewafa Bahut Yaad Aati Hai.
Din Ho Bhale Hi Raat Ho,
Bas Yaad Teri Hi Aati Hai,
Kaise Kahu Ke Main Theek Hu,
Yeh Hardam Mujhko Rulati Hai,
Ab Toh Yaaro Khud Se Bhi,
Mujhko Wafa Ki Umeed Nahi,
Mohabbat Aisi Shaii Hai Yaaro,
Jise Sakte Kabhi Kharid Nahi.
Tere Sahar Tera Naam Kyu Teri Baatein Yaad Rakhun,
Jo Hamne Ki Thi Tumse Kyu Mulakatein Yaad Rakhu,
Dil Ko Mere Todkar Ghamon Ka Sagar Hai Diya,
Jo Saath Thi Gujari Kyun Barsaatein Yaad Rakhun.
Humne Puchha Yaar Se Itna,
Kaise Woh Bewafa Ho Gaye,
Bole Woh Ki Tumse Kya,
Teri Jeb Se Sikke Kho Gaye.
Tarsegi Tu Pyar Ke Liye Tamam Umar,
Ab Yaar Tujhe Main Aisi Saja Dunga,
Yaad Karegi Jab Tu Mere Pyar Ko,
Magar Us Din Main Tujhe Bhula Dunga.
Mera Iljam He Tere Par Ke Tu Bewafa Tha,
Dosh To Tera Tha Par Tu Hamse Hi Khafa Tha,
Ek Kitab Main Bayan He Teri Meri Kahani,
Yaddon Se Sarabor Uska Ek Ek Saffa Tha.
Tufaan se yu jada huya basti fir bas jaati hai,
Har patjhad ke baad bahaar aa jati hai,
Magar e dost tu kyaa jaane dosti ki kadar,
Tere zindagi subah hone se pehle hi sham ajaati hai.
Khulte Hain Mujh Pe ..
Raaz Kaai Is Jahan Ke,
Us Ki Haseen Aankhon ..
Main Jab Jhankta Hoon.
Ishq karna to lagta he jaise,
Mout se bhi badi ek saza he,
Kya kisi se shikayat kare hum,
Jab apni taqdir hi BEWAFAA he.
Dil ke dariya me dhadkan ki kasti hai,
Khawabo ki duniya me yado ki basti hai,
Mohabbat ke bazar me chahat ka sauda,
Wafa ki kimat se to bewafai sasti hai.
Ankhe ro padi unka na koi peigam aaya,
Chale gaye hame akela chod k ye kaisa mukam aaya,
Meri tanhai muskara ke mujhse boli,
Bata mere siva koun tere kaam aaya.
Unki chahat mein dil majbur ho gaya,
Bewafayi karna unka dastur ho gaya,
Kasur unka nahi tha mera tha,
Humne chaha hi itna ki shayad unko gurur ho gaya.
Taqdeer ke aaine me meri tasveer kho gyi,
Aaj hamesha ke liye meri rooh so gyi,
Mohabbat karke kya mila mujhe,
Woh kal meri thi..
Aaj kisi aur ki ho gyi.
Zindagi Na Milegi Dobara,
Sapne saare tod kar baithe hai,
Dil ka armaan chhod kar baithe hai,
Na kijiye humse wafa ki baatein,
Abhi-abhi dil ke tukde jod kar baithe hai,
Koshishen tmaam nakam ho gayi,
Ankhon se ansuon ki barish aam ho gayi,
Bewafai humse karke wo chale gaye,
aur wafa hamari badnaam ho gayi.
Kitne Ghuroor Me Hai Wo,
Mujhe Tanha Chod Kar..
*
*
Ae Dost
*
*
Kyun Ki Use Maloom Hai,
Mere Paas Koi Aur Nahi Hai Us K Siwa.
Is Daur Me Ki Thi ..
Jisse Wafao Ki Ummeedein ..
Aakar Usi K Haath Ka ..
Patthar lga mujhe ..
Pattharon Se Pyar Kiya Naadan The Hum,
Galti Hui Kyu Ke Insaan The Hum,
Aaj Jinhe Nazre Milane Me Taklif Hoti Hai,
Kabhi Usi Shaks Ki Jaan The Hum..
Haan Hum Bewfa Sahi,
Par Itna Mujhe Batao,
Bewafa Jo Nahi Hai,
Aisa koi Saksh Dikhao,
Haan Main Janta Hoon,
Aapne kisi se Bahut wafa ki Hai,
Par yun kya aapne Khud se koi Wafa ki Hai.
Din me yaad usko ek baar nahi baar karte the,
Ye jante hue ki uski yaad hi aayegi phir bhi intezar karte the,
Par jab us bekadar garoori se hi chot khai hamne tab hosh aya ki,
Hum to kisi pathar se pyar karte the.
Ek bewafa se wafa ki ummeed rakhi hai,
Is dil me saja kar unki ek tasveer rakhi hai,
Na de sake wo insaaf hamari wafa ko,
Fir bhi kadmo mein unke hamne hamari takdeer rakhi hai.
Nadani pyar mein hamne esi kar rakhi hai,
Ke ik bewafa se wafa ki ummeed rakhi hai.
Kisi saahil se poocho kinara kya hain,
Kisi parvane se poocho jalna kya hain,
Sab ko pata hain koi nahi apna,
Phir kyu hain yeh dil lagana,
Bewafai ki aag mein jalna,
Aise ki khud ko mita jaana,
Sach kehta hoon dosto,
Bewafai se maut he theek hain.
Tabdeeli jab bhi aati hai,
Mausam ki adaao me,
Kisi ka yu hi badal jana,
Bahut yaad aata hai.
Manzil nahi hai thikana nahi hai,
Kahi par bhi mera ashiyana nahi hai,
Maine teer chalana sikhaya ushe,
Ab mere siva uska koi nishana nahi hai.
Ik tum ho jise pyar bhi yaad nahi,
Ik mein hu jise or kuch yaad nahi,
Jindgi maut ke do hi to tarane hai,
Ik tume yad nahi ik mujhe yad nahi.
Tujh mein apnapan dekha tha maine,
Sar jhukake sharmai thi mein,
Dil hi dil mein ghabrai thi mein,
Tere mathe ko chum apna smjha tha maine,
Tere seene ko chu teri dhadkano ko suna tha maine,
Kya ho gya tujhe,
Kyu chod gya tu mujhe,
Jaan thi na mein teri.
Rone ki saza hai na rulane ki saza hai,
Ye ‘DARD’ muhabbat ko nibhane ki saza hai,
Hanste hai to aankho se nikalte hai Aansoo,
Ye ek shakhs ko itna chahne ki saza hai.
Uske naa hone se kuch bhi nahi badla mujh main,
e-Dost
Bas jahan pehle Dil rehta tha.
Wahan ab sirf ‘DARD’ rehta hai,
Bhul Ke Mujhko Agar Tum Ho Salamat..
To Bhul Ke Tujhko Sambhalna Muze Bhi Aata Hai..
Nahi Hai Meri Fitrat Main Yeh Aadat..
WARNA Teri Tarha Badalna Muze Bhi Aata Hai..
Jao azaad kiya humne ..
Tumhein apni Mohabbat se,
Kare jo humse behtar Qadar tere Dil ki ..
Usi ko apna Humsafar rakhna.
Aankhen khuli to nazara Ajeeb tha..
DARD tha magar koi Dil ke kareeb tha..
Jise dhundte rahe hum apne haatho ki lakeero main..
Pata chala WO kisi aur ka naseeb tha.
Ye Mat Soch Ki ..
Tum Chhod Doge To Tut Jaunga Me ..
Jee To Wo Log Bhi Rhe Hai ..
Jinko Hamne Teri Khatir Choda Tha.
Khayal me aata hai jab us ka chehra,
To labon pe aksar faryaad aati hai,
Hum bhool jate hai us k sare sitam,
Jab us ki thori si mohabbat yaad aati hai.
Kisi Ki Yaad Ko Dil Mein Basa Ke Roye,
Kisi Ki Tasveer Ko Seeney Se Laga Ke Roye,
Jo Wada Kiya Tha Hum Ne Kisi Se,
Hum Us Wade Ko Nibha Ke Roye,
Jis Shakhs Ko Hamari Zaroorat Nahi Thi,
Hum Us Shakhs Ko Apni Aarzu Bana Ke Roye,
Jis Ne Hamein Apne Qadmon Tale Bhi Jaga Na Di,
Hum Use Apni Palko Par Bitha Ke Roye.
Pyaar Karna Tumne Sikhaya,
Pyaar Pe Yakeen Karna Tumne Sikhaya,
Sapne Sajana Tumne Sikhaya,
Bas Tumhare Bina Jeena Nahi Sikhaya…
Phoolo ke aanchal main kuch kami si hai,
Teri aankho main kuch nami si hai,
Meri mohabbat ko thukra kar jane vale ye to bta de ..
Ki meri mohabbat main kya kami si hai.
Dil bhi ..
Gustaakh ho chala tha buhat,
Shukar hai ..
Yaar hi bewafa nikla.
Pyar ki in raho mein ..
Dhokha humne khaya hai ..
Par kya kare kambakht dil fir ..
Uski yado se bhar aaya hai ..
Farz tha jo mera nibha diya maine,
Usne jo manga vo sab diya maine,
Wo sunke gairon ki batein bewafa ho gaya,
Samajh k khwab usko akhir bhula diya maine.
Bewafa hai dunia kisi ka aitbaar na karo,
Har pal dete hai dhoka kisi se pyar na karo,
Mit jao beshaq tanha ji kar,
Par kisi ke sath ka intzaar na karo.
Aaj ke mausam ke badalte mijaaz pe ..
Mera kuch yu kehna hai k,
Tabdeeli jab bhi aati hai mausam ki adaao mein,
Kisi ka yu hi badal jana bahut yaad aata hai.
Mein ne Poocha rooh nikalti hai jisam se kis tarhan???
Hath usne hathon se chura kar dikha dia!!!
Mein ne Poocha mehshar se pehle qayamat hay kya???
Zindagi se usne meri ja kar dikha dia!!!
Mein ne Poocha k ye hasad hay kia cheez???
Usne kisi aur ko apna bana k dikha dia!
Uske Chale Jaane Ke Baad,
Hum Mohabbat Nahi Karte Kisi Se,
Ek Choti Si Zindagi Hai,
Kis-Kis Ko Aazmate Rahenge.
Mohabbat Ki Baat Mat Karo,
Mujhe Accha Nahi Lagta ..
Ab Kisi Ki Mohabbat Par Aitbaar Karna,
Mujhe Accha Nahi Lagta .
Mujhe Malum Hai,
Wo Ladki Bewafa Thi,
Magar Mujhe Kisi Ko Bewfaa,
Kehna Accha Nahi Lagta.
Sare Riste Toot Ke Chur Chur Ho Gaye,
Wo Dhire Dhire Humse Dur Ho Gaye,
Meri Khamosi Meri Gunah Ban Gayi,
Aur
Wo Gunah Karke B Bekasur Ho Gaye.
Maine Haq Diya Hai Tujhko
Mere Saath Dillagi Ka…
Mere Dil Se Khel Jab Tak
Tera Dil Behal Na Jaye.
Unki subah ki muskan ne jina sikha diya,
Main to ruka tha,
Unke pahlu me chhupne k liye,
E khuda dekha usne ek najar….
Aur begana bana diya.
Dil mein unke pyar k arman to hai,
Dil tut jaye magar usmein jaan to hai,
Dekh kar mujhko wo apna chehra ghuma leti hai,
Shukar hai aaj tak unhe mere chehre ki pehchan to hai.
Aaj bhi unke intzar me sham ho gayi,
Kalam uthate hi aur ek gajal fir unke naam ho gayi,
Hum chahte hai unhe aaj bhi,
Fir kyon ye tanhai meri mohbbat ka inaam ho gayi.
Vaadein to hazaron kiye the usne,
Kaash ek waada to usne nibhaya hota,
Maut ka kisko pata ki kab ayegi,
Par kaash yun zinda usne mujhe maara na hota.
Hume tumse mohabbat hai itni,
phir bhi wafa tum nibhate nahi,
tumhe mohabbat hai gairo se itni,
jitni nafrat hum chah k bhi tumse karpate nahi.
Bewafa hai ye duniya,
kabhi kisi ka aitbaar na karna..
Har pal milta hai yahan pe dhoka,
Kabhi kisi se pyar na karna..
Mar jaana chahiye,
Saari umar tanha ji kar,.
Par zindagi mein kabhi kisi ka,
intzaar na karna..
Tarapte hai jab uski yaad mein,
To dil se bus yahi Dua nikalti hai,
K jhotti Mohabbat kisi Dushman ko bi na ho.
Koi umeed nahi thi ..
Hume unse mohabbat ki,
Sirf ik shaunk tha ki ..
Dil toote to unke haath se toote.
Ehsaas Duriyo Ka Waqt Ke Sath Bhi Hoga,
Gujarte Lamho Main Yaado Ka Khwab Bhi Hoga,
Ham Honge Ya Na Honge Unke Zindagi Main,
Magar Hamare Na Hone Ka Asar Hamare Baad Bhi Hoga.
Har Dil ka raz hota hai
Har baat ka ek andaz hota hai
Jab tak na lage bewafai ki thokar
Har kisi ko apni pyar par naaz hota he.
Pyar ne ye kaisa tohfa de diya,
Mujhko gumo ne pathar bana diya,
Teri yaadon main hi kat gayi ye umar,
Kehta raha tujhe kab ka bhula diya.
प्यार ने ये कैसा तोहफा दे दिया,
मुझको गुमो ने पत्थर बना दिया.
तेरी यादों मैं ही कट गयी ये उमर,
कहता रहा तुझे कब का भुला दिया!
Zindgi ne Diya Subkuch,
Par Wafa Na Di,
Zakham Diye Sub Ne Pa,r
Kisi Ne Dawa Na Di,
Hum Ne To Subko Apna Mana,
Par kisi Ne muje Apno Me Jagah Na Di…
Bs Di To Thokar Di.
Meri Mohabbat ka is Tarah..
Mazak na Bna dena k,
Teri aankhain hi taras jaye..
Mujah dekhnay k liye.
Kabhi-kabhi ye dil jaroor rota hai,
Jab koi apna mil kar nazron se door hota hai,
Kyun roti hai kambkht ye ankhen..!!
Kya dil se zyada inka kasoor hota hai.
Inkar Ko Ikrarr Kehte Hai,
Khamosi Ko Izhar Kehte Hai,
Kya Dastur Hai Is Duniya Ka,
Ek Khubsurat Sa Dhoka Hai,
Jise Log PYAR Kehte Hai.
Kyu jha me esa bhi hota hai,
Jo sabko khushi de jane wahi kyu rota hai,
Jo sath na de zindgi bhar…
Jane pyar bhi unhi se kyu hota hai.
Dil ke dard ko dil todne wale kya jane,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni takleef kabar ke niche,
Yeh upar se phool chadhane wale kya jane.
Is behte dard ko mat roko,
Ye to saza hai kisi ke intejar ki,
Log inhe aansoon kahe ya deewangi,
Par ye to nishani hai kisi ke pyaar ki.
Dil todne ka bahana mil gaya usko,
Dil tod ke begana vo muskuraye bahut,
Toote dil me jo dekhi apni tasveer usne,
Ankhon se ro na saka pr Dil he Dil mein Pachtaya bahut.
Mat kar mere dost hasino se mohabbat,
Wo aankho se waar karti hain,
Maine inhi aankho se dekha hai,
Ki wo kitno se pyaar karti hain.
Us Ne Mehsoos Bhi Na Hone Diya,
Yu Kahani Ka Rukh Mod Diya,
Milne Julne Main Ki Kami Pehle,
Phir Rafta Rafta Humein Hi Chod Diya.
Usne Mujhe Kuch Is Tarah Se Dekha Ke,
Me Use Mohobbat Karne Pe Majboor Ho Gaya,
Uske Ek Ishare Pe Duniya Tabha Karne Pe Majboor Ho Gaya,
Uske Is Nazariye Ko Me Pyaar Samajh Betha,
Isiliye Aaj Use Bewafa Kehne Pe Majboor Ho Gaya.
Jaan Kah Kar Wo Jaan Le Gaye,
Apna Kah Kar Wo Jahan Le Gaye,
Hum To Chal Diye Unke Sath Yaaro,
Magar Jannat Ke Bahame Shamsaan Le Gaye.
Tum Gaye To Har Khushi Chali Gayi,
Tumhare Bina Chirago Me Roshni Chali Gayi,
Kiya Kaho Kiya Gurjra Hai Is Dil Par,
Ham Zinda Rah Gaye,
Par Hamari Zindagi Chali Gayi.
Iss Ghaflat Me Naa Rehna,
Ki Tere Waastey Main Jaag Raha Hun,
Neend Meri Aankhon Se Nahi,
Mere Muqaddar Se Udhi Hain.
Hakikat Ban kar mile aur khwab bankar reh gaye,
Kuch log mile sawalon ki tarha, or jawab ban kar reh gaye,
Kuch khawab diye kuch Gum dekar vo jane chale gaye kahan..!!
Mere tanha lamhe in baton ka bs hisab Karte reh gaye.
Bhale Hi Kisi Gair Ki Jaagir Tha Wo,
Par Mere Khwaabo Ki Tasveer Tha Wo.
Mujhe Milta To Kaise Milta,
Kisi Aur Ke Hisse Ki Taqdeer Tha Wo.
Yun To Sadmo Mein Bhi Hans Leta Tha Main,
Aaj Kyu Bewajah Rone Laga Hun Main,
Barson Se Hatheliyan Khali Hi Rahi Meri,
Phir Aaj Kyu Lagaa Sab Khone Laga Hun Main.
Tu bewafa hain jo main jan jata,
tujhse kabhi bhi dil na lagata,
mujh pe yakeen kar yu na iljam de,
de koi saja magar bewafa na naam de,
meri dilaruba, tune ki jafa
par tujhe bhulegi na meri wafa.
Door jakar bhi hum door jaa na sakenge,
Kitna royenge hum bata na sakenge,
Gham iska nahi ki aap mil na sakoge,
Dard is baat ka hoga ki hum aapko bhula na sakenge.
Jin Siddato Se Koshish Kar Raha Hoon…
Ab Mai Tumhe Bhulane Ki Kabakht,
Kabhi Bahut Dil Se Dua Maanga Karta Tha…
Tumhe Apna Banane Ki.
Bichar kar humse,
phir kisi ke bhi na ho sakoge,
tum miloge sab se,
magar humari hi TALAASH me.
Kitna khusnuma hoga,
wo meri maut ka manjar,
Jab mujhe thukrane wale khud mujhe pane ke liye,
aansu bahayange.
Tere Na Hone Se…
Zindagi Mein Bas Itni Si Kami Rehti Hai,
Main Chahe Laakh Muskurau…
In Aankho Mein Nami Rehti Hai.
Mere chehre se kafan hata kar…
jara didar to kar lo,
ae jaan band ho gai hai wo ankhe…
jinhe tum rulaya karte the.
Hum to samjhe the ki zakham hai bhar jayega,
kya khabar thi ki rog dil me utar jayega,
Theek likha tha mere hath ki lakero me,
Tu agar pyar karega to bikhar jayega.
Bewafao ki ye duniya hai,
zara sambhal kar chalna e dost,
yaha log barbad karne ke liye bhi…
mohabbat ka sahara liya karte hai…!!
Unki chahat me dil majboor ho gaya,
berukhi karna unka dastoor ho gaya,
kasoor unka nahi mera tha,
humne chaha hi itna ki unko garoor ho gaya.
Na thi jisko mere pyaar ki kadar,
Ittefaaq se usi ko chah raha tha main,
Usi diye ne jalaya mere hathon ko,
Jisko hawa se bacha raha tha main.
Apni aakhon ke samunder main utar jaane de,
Tera mujrim hoon, mujhe doob ke mar jaane de.
Zakham kitne teri chaahat se mile hain mujhko,
Sonchta hu kahu tujhse….
magar jaane de.
Waqt ka marham
har zakham ko bhar deta hai,
magar toote hue khawab
yaadon ke mausam me dard zarur dete hain
Log milte hain mujse aur kehte hain ki tujhmein ye kami hai,
ke tu ho jata hai sabka par kisiko apna manta nahi,
unhi logon se kuch arse main maine ye puchu ki kaise ho!
Wohi palat kar kehte hain main tumhe janta nahi.
Wakt To Hume Bhula Chuka Hai,
Mukaddar Bhi Na Bhula De,
Pyar Dil Se Hum Isiliye Nahi Karte,
Kyuki Darte Hain Koi Phir Se Na Rula De 
Jab kuch sapne adhoore reh jate hain,
Tab dil ke dard aansu banker beh jate hain,
Jo kehte hain ki hum sirf apke hain,
Pata nhi wo kaise alvida keh jate hain.
Dard Jo Tune Diya Wo Gehra Diya,
Karke Wada Tune Humko Bhula Diya,
Zakham Dene Wale Tera Bhi Shukriya,
Jo Zindagi Ka Tune Matlab Sikha Diya.
Wo kehte hain hum badal gaye hain
Koi jakar samjhaye unhe k rang
sookhe hue patton ka aksar badal jata hai.
Kabhi aisi bhi berukhi dekhi hai humne
Ke log aap se tum tak,
Aur tum se jaan tak,
Fir jaan se anjaan tak ho jate hain.
Zindagi ne kuch is tarah ka rukh liya,
Jisne jis taraf chaha mod diya,
Jisko jitni thi zaroorat saath chala,
Aur phir ek lamhe mein tanha chod diya.
Mohabbat chiz wo hai jo dukano par nahi milti,
Aisa hota to Taj Mahal jaisi imarat nahi milti,
Ab es duniya mein sachi mohabbat kaha hoti hai,
Hoti hai mohabbat par ab yahan wafa nahi milti.
Ishq tujh se to zehar acha hai,
Kambhkat peene ke baad maut to gale laga leti hai.
Mujhe maloom hai tum bahot khush ho is judai se,
Ab khayal rakhna apna,
Tumhe tum jaisa koi na mil jaaye.
Woh to apni tanhaai ki khatir,
fir se aa mile humse,
Hum nadaan ye samajh baithe ki,
hamari duaon ka asar hai.
Hum nadan the jo us ko apna humsafar samajh baithe,
Wo chalte to humare sath the,
magar kisi aur ki talash mein.
Waqt ki andhi mujhe tumse door kar degi,
tum to jee lo ge mere bin kisi aur k sahare,
aur zindgi mujhe jeete ji marne ko majboor kar degi.
Kaash tum mujhe ek khat likh dete,
mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete,
tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki,
nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete.
Thokar Khate Hai Aur Muskurate hai,
Is Dil Ko Sabar Karna Sikhate Hai,
Hum To Dard Lekar Bhi Yaad Karte Hai,
Aur Kuch Log Dard Dekar Bhi Bhool Jate Hai..

No comments:

Post a Comment