Monday, November 20, 2017

दर्द भरी शायरी हिन्दी मे

Juda Tumse Hokar
Kisi Tarah Jee Toh Raha Hun Main,
Yeh Judai Ka Jahar
Main Hardam Pee Toh Raha Hun,
Yeh Maalum Hai Mujhko Ki
Mere Jakham Bhar Na Sakenge,
Magar In Jakhamon Ko Main
Fir Bhi Si Toh Raha Hun.

Apne Aap Ko Toh Hum Samjha Lenge,
Magar Dil Mera Yeh Manta Hi Nahi,
Humne Toh Dekhi Hai Bewafayi Aapki,
Aap Bewafa Ho Dil Jaanta Hi Nahi.

Is Zamane Ki Baat Mat Karna Humse,
Is Zamane Ke Saath Toh Hum Chal Nahi Sakte,
Yeh Toh Badlata Hai Rang Girgit Ki Tarah,
Magar Hum Iski Tarah Rang Badal Nahi Sakte.

Kyon Mere Dil Ko Diye Hain Jakham Aapne,
Kyon Mere Pyar Ko Aapne Aise Bhula Diya,
Wada Toh Kiya Tha Saath Nibhane Ka Magar,
Kyun Sagar Ko Fir Aise Hai Daga Diya.

Juda Hone Ki Baat Humse Mat Kijiye,
Juda Hokar Toh Kabhi Jee Na Paayenge,
Are Aap Toh Shayad Ji Lenge Hamare Bin,
Magar Hum Toh Aapk Bina Mar Hi Jaayenge.

Hum To Hain Musafir,
Na Ghar Na Thikana,
Na Manzil Na Aashiyana,
Na Koi Apna Na Begana,
Thaam Ke Tanhaion Ka Haath,
Kar Ke Akelepan Se Baat,
Chalta Hun Gumnaam,
Main Shayar Badnaam.

Woh Hum Se Rooth Gaye,
Ya Aisa Dikhana Chahte Hain,
Woh Humein Bhul Gaye,
Ya Aise Bhulana Chahte Hain,
Lete Hain Khabar Na Meri Kabhi,
Or Na Kabhi Apni Khabar Batana Chahte Hain.

Kabhi Mom Ban Ke Pighal Gaya,
Kabhi Girte Girte Sambhal Gaya,
Use Rokta Bhi To Kis Tarah, Ke Woh Shakhs Kitna Ajeeb Tha,
Kabhi Tadap Gaya Meri Aah Se,
Kabhi Aansu Se Bhi Na Pighal Saka,
Jo Mila Woh Kbhi Sar E Raah, Woh To Najar Chura Ke Gujar Gaya,
Woh Utar Gaya Meri Aankh Se,
Meri Rooh Se Kyu Na Utar Saka,
Woh Sambhal Gaya Mujhe Chodkar,
Main Bikhar Ke Phir Na Sambhal Saka,
Use Rokta Bhi Toh Kis Tarah Ke Woh Shaks Kitna Ajeeb Tha.

Wo Hum Se Door Hokar Bhi,
Hamare Dil Ke Paas Rahta Hai,
Jise Woh Sabse Pyara Hai,
Use Begana Kahta Hai,
Jo Chaha Tha Woh Kar Dala,
Mujhe Khud Se Juda Karke,
Meri Yeh Jaan Bhi Le Lo,
Bas Yahi Karne Ko Rahta Hai.

Aaj Socha Toh Aansu Bhar Aaye,
Mudatein Ho Gayi Muskuraye,
Har Kadam Par Udhar Mud Ke Dekha
Unki Mahfil Se Hum Uthh Toh Aaye,
Dil Ki Naajuk Ragein Tootati Hain
Yaad Itna Bhi Koi Na Aaye,
Rah Gayi Zindagi Dard Ban Ke
Dard Dil Mein Chhupaye Chhupaye.

Aata Hai Yaad Mujhko Gujra Hua Jamana,
Woh Baag Ki Baharein Woh Hawa Ka Chah Chahana,
Aajadiyan Kahan Ab Woh Apne Ghonsale Ki,
Apni Khusi Se Aana Spni Khusi Se Jana,
Lagti Hai Chot Dil Par Aatha Hai Yaad Jis Dam,
Shabnam Ke Aansuon Par Kaliyon Ak Muskarana,
Woh Pyari Pyari Surat Woh Kamini Ki Murat,
Aabad Jiske Dam Se Tha Mera Aasiyana,
Kya Badnseeb Hu Main Ghar Ko Taaras Raha Hun,
Sathi Toh Hai Vatan Mein Main Kaid Mein Pada Hun,
Aayi Bahar Kaliyan Phulon Ki Hans Rahi Thi,
Main Is Andhere Ghar Mein Kismat Ko Ro Raha Hun.

Kabhi Dard Isne Diya
Kabhi Dard Usne Diya,
Jakhmon Ko Magar
Kisi Ne Bhi Seene Nahi Diya,
Aaj Farista Kahte Hain
Sabhi Mere Yaar Mujhko,
Magar Insano Ki Tarah
Kabhi Jeene Nahi Diya.

Kisko Farebi Hum Kahein Kisko Kahein Hum Bewafa,
Kismat Hi Shayad Aisi Likha Kar Laaye Hain Hum,
Aaj Wakif Hai Yaaro Hamse Sahar Ka Har Ek Aadmi,
Magar Apno Ke Liye Hi Dekhiye Paraye Hain Hum.

Aap Jaise Hi The Sabhi,
Aur Bhi Jo Mile Mujhko,
Fir Kaise Unmein Se
Kisi Ko Apna Bana Lete,
Ek Aap Hi Ka Pyar
Na Raas Aaya Hai Humko,
Fir Un Se Kaise
Eh Dost Aur Jakham Kha Lete.

Gham Hi Mile Itne Jeevan Mein,
Ki Khusiyon Ko Bulana Bhool Gaye,
Huya Teri Judai Mein Aisa Aalam,
Ki Hum Apna Hi Thikana Bhool Gaye.

Patjhad Mein Sukhe Patte Ki Tarah,
Meri Yeh Zindagi Bhi Dagmagati Hai,
Hain Raahe Hi Raahein Main Dekhun Jidhar,
Kahin Manzil Najar Na Humko Aati Hai.

Mere Sathi Sun Jara Baat Meri,
Tere Sang Chalu Nahi Aukat Meri,
Teri Manzil Falak Ke Sitare Hain,
Meri Manzil Bas Kali Raat Meri.

Chhod Do Tanhai Mein Mujhko Yaaro,
Saath Mere Rahkar Kya Paaoge,
Agar Ho Gayi Aapko Bhi Mohabbat Kabhi,
Meri Tarah Tum Bhi Pachhtaoge.

Phool Bantata Hai Jaise
Sabko Hi Khusboo,
Aise Hi Tu Sab Ko Khusiyan Deta Ja,
Yeh Na Soch Koun Tera Apna Koun Begana,
Bas Sab Ke Hi Diye Gham Chup Chap Leta Ja.

Aap Raho Khus Sada
Yeh Tamanna Hai Hamari,
Chalo Khud Par Humne
Yeh Iljaam Le Liya,
Jakham Gham Ruswaiyan
Yaar Ne Di Humko,
Aaj Wafa Ka Yaaro
Yeh Ilzaam Le Liya.

Aazad Kar Do Mujhe
Duniya Ke Bandhano Se,
Itna Toota Hun Main
Inko Nibha Nahi Sakta,
Eh Moula Bula Le Jaldi Se
Mujhko Tu,
Kamjor Hun Itna
Chalkar Aa Nahi Sakta.

Har Pal Kam Ho Rahi Hai Zindagi Apni,
Har Lamha Us Se Door Ja Raha Hu Main,
Samajh Paya Nahi Moula Yeh Duniya Teri,
Is Liye Jaldi Tere Paas Aa Raha Hun Main.

Chaand Sitare Bhar Deta
Main Teri Maang Mein,
Magar Kya Aapko Mujh Par
Yakeen Nahi Hota,
Agar Aap Kar Paate
Kabhi Waade Wafa Apne,
Toh Is Kadar Humara
Mukaddar Nahi Hota.

Sab Kuchh Milta Hai Duniya Mein,
Magar Ek Pyar Nahi Milta,
Dushman Toh Laakhon Milte Hain,
Magar Sachha Yaar Nahi Milta,
Humne Toh Bas Itna Hi Sikha Hai Dosto,
Raah E Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta,
Jo Mil Jaaye Is Raah Par Kabhi Yaar Se,
Woh Jakham Fir Kabhi Bhi Dubara Nahi Silta.

Mana Ki Poojati Hai Duniya
Chadte Sooraj Ko,
Kya Hua Hai Yaaro
Jo Aaj Hamari Sham Hai,
Magar Yeh Bhi Wada Raha
Aapse Hamara Dosto,
Dekhna Kal Ki Subah
Humare Hi Naam Hai.

Na Jaane Kaise
Dard E Dil Chhupa Lete Hain Log,
Na Jaane Kaise
Gham Mein Bhi Muskura Lete Hain Log,
Meri Zindagi Toh Ek Khuli Kitab Hai,
Na Jaane Kaise
Chehre Par Chehra Chadha Lete Hain Log.

Aap Kya Jaano
Kya Hota Hai Dard Judai Ka,
Humse Yeh Puchho
Kaisa Haal Hota Hai Tanhai Ka,
Mout Ko Laga Lete Hain
Majboor Hokar Gale Yaaro,
Aisa Hota Hai
Jab Bhi Hota Hai Hashar Rushwai Ka.

Ek Apni Hi Baat Kya Main Karu,
Tune Kitno Ke Jaane Dil Tode Hain,
Magar Humse Nahi Hoga Sahan Kabhi,
Humare Din Ab Toh Thode Hain.

Mujhe Apnana Na Kabhi Tum Yaaro,
Mani Bahut Hi Badnaseeb Hun Yaaro,
Mere Paas Kuchh Nahi Hai Ghamon Ke Shiwa,
Bas Mout Ke Hi Kareeb Hun Yaaro.

Koi Toh Bataye Itna Mujhko,
Kyu Bewafa Ho Jaate Hain Sab,
Saya Bhi Nahi Hai Saath Rahta,
Gham Ke Badal Chhate Hain Jab.

Na Chalta Hai Dil Par Jor Koi,
Yeh Khud Ki Hi Marji Chalata Hai,
Karta Hai Khatayein Kaisi Kaisi,
Aur Badle Mein Hamein Rulata Hai.

Jo Diya Hai Logon Ne Humko,
Woh Hi Toh Louta Rahe Hain Hum,
Raas Na Aayi Humko Zindagi,
Tabhi Toh Duniya Se Ja Rahe Hain.

Kahne Walon Ka Kya Hai Yaar,
Yeh Toh Kuchh Bhi Kahte Rahte Hain,
Hamein Inki Toh Parwah Nahi,
Teri Khatir Sitam Yeh Sahte Hain.

Teri Rahmat Ne Mere Daata,
Mujhko Jeena Sikha Diya,
Na Raha Kisi Se Bhi Sikwa,
Jakhmon Ko Seena Sikha Diya.

Eh Khuda Bata Too Mujhe Itna,
Kya Ki Hai Aaj Talak Khata Humne,
Yeh Jo Mile Hain Itne Gham Humko,
Kis Baat Ki Di Hai Saja Tumne.

Mujhe Tohfe Diye Har Kadam Khuda Ne,
Bhale Hi Dukhon Se Meri Jholi Bhari Hai,
Na Jaane Kaisi Likhi Hai Meri Takdeer,
Har Mod Par Ek Nayi Musibat Khadi Hai.

Baad Aapke Samjhata Hai Kon Mujhe,
Mera Dard Badhane Lage Hain Yeh Log,
Kiske Kandhe Rakhkar Sar Main Roun,
Har Pal Hi Rulane Lage Hain Yeh Log.

Sab Kuchh Apna Ganvakar Socha,
Kya Humne Yahan Paya Hai,
Meri Wajah Se Woh Toh Khush Hai,
Yeh Soch Kar Dil Bahlaya Hai.

Tu Bhi Hai Sangdil Bewafa Eh Dost,
Yeh Sochkar Dil Ghabrata Hai,
Ab Karun Bhi Kya Ke Bin Tere,
Mujh Se Jiya Nahi Jata Hai.

Unhe Nafrat Thi Humse
Toh Izhaar Kyu Kiya,
Dena Tha Zahar
Toh Pyar Kyu Kiya,
De Kar Zahar Bole Peena Hoga,
Jab Pee Gaye To Bole
Tumhe Meri Kasam Jeena Hoga.

No comments:

Post a Comment