Monday, November 20, 2017

दर्द भरी शायरी हिन्दी शेरो शायरी

Laut Jaati Hai Duniya Gam Hamare Dekhkar,
Jaise Laut Jaati Hai Lahre Kinare Dekhkar,
Tu Kandha Na Dena Mere Janaje Ko,
Kahi Phir Jinda Na Ho Jaun Tera Sahara Dekhkar.
Woo Ye Kahkar Chale Ki Mulakat Bahut Hai,
Hamne Kha Rukkar Jaoo Aabhi Raat Bahut Hai,
Jra In Aansuoo Ko Tham Jane Do,
Baher Barsat Bahut Hai
Shaam Utri Zindagi Gaane Lagi,
Maut Ko Fir Neend Aane Lagi,
Fir Kisi Ki Yaad Ka Dipak Jala,
Aur Andheri Raat Muskurane Lagi.
Zindagi Tere Bagair Adhuri Si Lagti Hai,
Zindagi Jine Ke Liye Teri Jarurat Si Lagti Hai,
Aa Ja Fir Se Laut Kar Meri Zindagi Mein Tu,
Meri Aannkhen Bhi Pyaar Ke Wo Din Dhunda Karti Hai.
Gujarte Hai Meri Saanso Me Tera Naam Aaj Bhi,
Dhalti Hai Tere Intezar Me Meri Shaam Aaj Bhi
Tujko Mujh Se Bichde Zamana Ho Gaya,
Magar Hoti Hao Tere Naam Se Meri Pahchan Aaj Bhi.
Mannato Mein Manga Jise Khuda Sey,
Kyon Aaj Wo Baddua Ho Gay,
Kal Tak Tha Jo Dard Mera,
Kaise Kisi Ki Dawa Ho Gaya,
Ab Do Sawalo Mein Atki Hai Meri Zindgi,
Ab Ye Khuda Bhi Mujh Sey Khafa Ho Gaya.
Mere Marne Ke Baad Meri Kahani Likhna,
Kaise Barbaad Huwi Meri Jawani Likhna,
Aur Likhna Ki Mere Honth Khushi Ko Tarse,
Kaise Barsa Meri Aankhoon Se Paani Likhna,
Aur Likhna Ki Uska Intezaar To Bahut Tha,
Aakhri Saansoon Mein Woh Hichkiyoun Ki Rawaani Likhna,
Likhna Ke Marte Waqt Bhi Deta Tha Dua Tujhko,
Haath Bahar Tha Qafan Se Yehi Nishaani Likhna.
Mujhe Kisi Ne Bewafa Ka Naam Diya,
Sathi Ne Jaise Jahar Ka Jaam Diya,
Jo Kabhi Kaha Karte The Bhula Mat Dena,
Unhone Hi Bhul Jane Ka Paigam Diya.
Nafrat Thi Hamsea To Pyar Kyo Kiya,
Dena Tha Jahar To Ikrar Kyo Kiya,
De Ke Jahar Ab Kahte Ho Ki Pina Hi Hoga,
Or Jab Pi Gye To Kahte Ho Jina Hi Hoga.
Chand Utra Tha Hamare Aangan Mein,
Ye Sitaro Ko Gwara Na Huaa,
Hum Bhi Sitaro Se Kaise Gila Kare,
Jab Chand Hi Hamara Na Huaa.
Waqt Nur Ko Benur Kar Deta Hai,
Thode Se Jakhm Ko Nasur Kar Deta Hai,
Kaun Chahta Hai Aapno Se Door Hona,
Per Waqt Sabko Majboor Kar Deta Hai.
Kehte Hai Gam Baatne Se Hota Hai Kam,
Aisa Hi Kabhi Pele Maante The Hum,
Tere Pyar Ki Nishani Tera Gam Hi To Hai Mere Paas,
Wo Bhi Baatdu To Rahega Kya Mere Paas,
Sochta Hoon In Sagar Ki Lehro Ko Dekh Kar,
Kyon Yeh Kinaro Se Takra Kar Palat Jati Hai,
Karti Hai Vo Kinare Se Bewafai Ya Fir Sagar Se Wafa Nibhati Hai.
Teri Yaadon Ke Sahare Duniya Mein Rah Lete Hai,
Teri Juddai Ka Gam Chupchap Sah Lete Hai,
Samjhaya Dilko Yeh Raaz Chupana Hai,
Par Aansu Banke Wo Sab Kah Dete Hai.
Dil Se Aapka Khayal Jata Nahi,
Aapke Siva Koi Yaad Aata Nahi,
Ji Chahta Ki Aapko Roj Dekhu Par,
Wo Waqt Kabhi Aata Nahi.
Apne Apne Andaz Hoten Hai,
Jagti Ankhone Mein Bhi Khwab Hoten Hai,
Zaroori Nahi Ki Gum Mein Nikle Aansu,
Muskurahat Ankhone Mein Bhi Sailab Hoten Hai.
Nigahon Par Nagahon Ke Pher Hoten Hai,
In Nigahone Ke Ghav Bhi Gehare Hoten Hai,
Jane Kyon Kosten Hain Hum Badsurato Ko,
Barbad Karne Wale To Haseen Chehare Hi Hote Hai.
Oh Hote Nahi Phir Bhi Unke Hone Ka Bharam Hota Hai,
Ye Dile Nadan Yah Kya Karam Hota Hai
Agar Mile Oh Ghari Bhar Ke Liye Humse,
To Yeh Unka Hum Pe Raham Hota Hai,
Unke Milne Ki Khushi To Hoti Hai,
Par Mil Ke Bichhar Jane Ka Gaam Hota Hai,
Oh Hote Nahi Phir Bhi Unke Hone Ka Bharam Hota Hai,
Ye Dile Nadan Yeh Kya Karam Hota Hai.
Koi Pakar To Koi Khokar Juda Hota Hai,
Koi Hanskar To Koi Rokar Juda Hota Hai,
Magar Juda Hone Ka Dard Tab Hota Hai,
Jab Koi Kisi Ka Hokar Juda Hota Hai.
Subah Juda Hai Raat Juda Hai,
Apni To Her Baat Juda Hai,
Tumse Bichar Ker Aisa Laga,
Jaise Dua Main Haath Juda Hai,
Sab To Aate Rahte Hai,
Tum Aao To Baat Juda Hai.
Kaash Yeh Zalim Judaai Na Hoti,
Ae Khuda Tune Yeh Cheez Banayi Na Hoti,
It Na Hum Unse Milte Na Pyar Hoti,
A Zindigi Jo Apni Thi Woh Parayi Na Hoti.
Agar Zindagi Mein Judai Na Hoti,
To Kabhi Kisi Ki Yad Aii Na Hoti,
Sath Hi Guzarta Har Lamha To,
Shayed Rishto Mein Ye Gehrai Na Hoti.
Zindagi Hasin Hai Zindagi Se Pyaar Karo,
Hai Rat To Subah Ka Intzar Karo,
Wo Pal Bhi Ayega Jiska Intzaar Hai Aap Ko,
Rab Pr Bhrosa Or Waqt Pe Aitbar Rakho.
Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai,
Par Zindagi Kisi Ki Mohabbat Nahi Banti,
Tamanna Le Kar Jeete Hai Sab Log,
Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti.
Dil Ki Awaz Koi Pehchanta Nahi,
Kisko Kya Dard Hai Koi Janta Nahi,
Hum Bhi Nahi Chahte Aapko Pareshan Karna,
Magar Kya Kare Dil Hai Ki Manta Nahi.
Zindagi Bahut Kuch Sikhati Hai,
Kabhi Hasati Hai Kabhi Rulati Hai,
Khud Se Bhi Jyada Kisi Par Vishwash Mat Karna,
Kyuki Andhere Mein To Parchai Bhi Saath Chod Jati Hai.
Khushion Se Naraz Hai Meri Zindagi,
Pyar Ki Mohtaz Hai Meri Zindagi,
Has Leta Hoon Logon Ko Dikhane Ke Liye,
Varna Dard Ki Kitaab Hai Meri Zindagi.
Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badhte,
Dur Hone Se Ehsas Nhi Marte,
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nahi Jab Hum Apko Yaad Nhi Karte.
Meri Zindagi Ghamon Se Ho Gayi Hai Taar,
Khushiyan Bhi Mere Kareeb Nahi Aaati,
Zamane Bhar Ka Zeher Pee Liya Humne,
Jaan Hai Ki Kambhaqt Nikal Nahi Jaati.
Suraj Ko Diya Dikhane Se Kya Fayeda,
Laash Ko Aag Lagane Se Kya Fayeda,
Aye Shahjahaan Mumtaz To Jaa Chuki,
Ab Laash Pe Taj Banane Se Kya Fayeda.
Bhahut Roya Tha Jab Mera Janam Hua Tha,
Aur Hans Rahi Thi Ye Duniya,
Magar Doston Ek Din Badala Lunga,
Hansta Hua Jaunga Aur Royegi Ye Duniya.
Har Sapna Khushi Pane Se Pura Nahi Hota,
Koi Kisi Ke Bina Adhora Nahi Hota,
Jo Chand Roshan Karta Hai Rat Bhar Sab Ko,
Har Raat Woh Bhi To Poora Nahi Hota.
Dil Ki Baat Dil Mein Rahii Ho Jaise,
Hans Ke Tuu Naa Hansi Ho Jaise,
Umar Se Lambi Sadak Pe Chalte,
Koi Sadaa Tuune Sunii Ho Jaise,
Armaan Jitne Sajaye The Kabhi,
Woh Aas Dil Mein Dabi Ho Jaise,
Dekhne Ko Tasveer Haath Mein,
Yaad Koi Puraani Li Ho Jaise,
Raat Ke Khaali Sannaate Mein,
Saans Ruk Ruk Ke Chali Ho Jaise,
Waqt Ke Band Darwaazon Mein,
Jaag Ke Der Tak Darri Ho Jaise,
Dipak Se Le Ke Koi Kiitaab,
Tuune Raat Bhar Padhi Ho Jaise.
Kitne Sapne Dil Mein Sajaye Tere Liye,
Raahon Mein Phool Bichhaye Tere Liye,
Aati Hai Koi Yaad Teri Chupke Se,
Har Dastak Pe Bahar Aaye Tere Liye,
Jhooti Lagti Hai Har Kahaani Duniya Ki,
Mohabbat Sacchi Nazar Aaye Tere Liye,
Likhe Rakhe Hai Jo Khat Haath Ke,
Harf-Dar-Harf Dard Badhaye Tere Liye…
Intezar Ki Ab To Intahaa Ho Gai Hai,
Kitna Aankhon Ko Ruulaye Tere Liye,
Mitti Ka Khilona Ban Gaya Hai,
Bas Tuut Ke Judhna Aa Jaye Tere Liye.
Kis Taraf Le Chaloge Mujhe,
Raaste Mein Jab Miloge,
Lafz Lafz Saaf Ho Jaaungaa,
Kitaab Saa Jab Padhoge Mujhe,
Nazdik Itnaa Hoon Tumhare,
Yaad Kar Ke Kyaa Karoge Mujhe,
Koi Be-Noor Tasviir Nahi Hoon,
Jo Apne Rang Se Bharoge Mujhe,
Aansoo Tab Tak Nahi Rukenge,
Jazbaat Se Khaali Nahi Karoge Mujhe,
Agar Ek Baar Rooth Gayaa,
Kaha-Kaha Dhoondte Phiroge Mujhe.
Nikalta chand sabko pasand aata hai,
Doobta suraj kaun dekhna chahta hai,
Tootta hua taara sabki dua isliye poori karta hai,
Kyuki use tootne ka dard maalum hota hai.
Gehri thi raat, lakin hum khoye nahi,
Dard bahoot tha dil mein, lakin hum roye nahi,
Koi nahi hamara jo puche humse,
Jag rahe ho kisi ke liye, ya kisi ke liye soye hi nahi.
Pyar Mein Milne Ki Zaroorat Hoti Hai,
Naa Milon To Phir Shikayat Hoti Hai,
Khamosh Rahe Lab Naa Bole Beshaq,
Lekin Aankhon Mein Mohabbat Hoti Hai,
Rakh Lo Chaahen Sau Pardon Mein Ishq,
Zamaane Mein Phir Bhi Fasihat Hoti Hai,
Jo Itna Paas Rehke Dil Se Door Ho Jaye,
Wo Kya Jaane Ashq Ki Bhi Kiimat Hoti Hai,
Khwaab Ki Tehni Pakad Soya Rehe Kitnaa,
Jab Hoye Naa Puraa To Musibat Hoti Hai,
Ulfat Mein Rothne Ki Riit Puraani Hai,
Dil Naa Maane Manaane Ki Tabiyat Hoti Hai.
Kitne Sapne Dil Mein Sajaye Tere Liye,
Raahon Me Phool Bichhaye Tere Liye,
Aati Hai Koi Yaad Teri Chupke Se,
Har Dastak Pe Bah’r Aaye Tere Liye,
Jhooti Lagti Hai Har Kahaani Duniya Ki,
Mohabbat Sacchi Nazar Aaye Tere Liye,
Likhe Rakhe Hai Jo Khat Haath Ke,
Harf-Dar-Harf Dard Badhaye Tere Liye,
Intezar Ki Ab Toh Intahaa Ho Gai Hai,
Kitna Aankhon Ko Ruulaye Tere Liye,
Mitti Ka Khilona Ban Gaya Hai,
Bas Tuut Ke Judhna Aa Jaye Tere Liye.
Tumse Mila Aur Milkar Laga Ki Milna Hi Bas Apna Tha,
Duriyan Badhi Fasle Badhe Aur Laga Ki Fasle Hi Manzile Thi,
Chhitiz Ko Dekh Aakash Ko Laga Ki Na Mil Pana Ki Uska Mukam Hai,
Subah Ki Krno Ke Dekh Nisha Ko Laga Ki Bhor Hi Uska Anjaam Hai,
Anjamen Gulishtan To Dekho Ki Phoolon Se Khushboo Chali Gaye,
Badnaam Shaam To Dekho Ki Saaz Se Awaz Chali Gaye,
Jana Hi Uski Fidrat Thi Par Aisa Laga Ki,
Jaate Jaate Meri Sansar Chali Gaye.
Jaate Jaate Vo Mujhe Achchhii Nishaani De Gaya,
Umr Bhar Doharaauunga Aisii Kahani De Gayaa,
Us Se Main Kuchh Paa Sakuun Aisii Kahaan Ummeed Thi,
Gam Bhi Vo Shaayad Bara-E-Meharabanii De Gaya,
Sab Havayen Le Gayaa Mere Samandar Kii Koi,
Aur Mujh Ko Ek Karatii Badabanii De Gaya,
Khair Main Pyaasa Rahaa Par Us Ne Itana To Kiya,
Meri Palakon Ki Kataron Ko Vo Paanii De Gaya.
Dard Ki Har Ek Hadd Se Ab Guzar Gaya Hon Main,
Phir Kabhi Na Simtunga Youn Bikhar Gaya Hon Main,
Mout Bas Naheen Aati Rooh Ke Nikalne Se,
Sans Mujh Main Baqi Hai Phir Bhi Mer Gaya Hon Main,
Zindagi Main Jitni Bhi Roshni Thi Uss Se Thi,
Mustaqil Andhero Main Ab Utar Gaya Hon Main,
Baam O Darr Bhi Us Ke Baad Ho Gaye Hain You Khamosh,
Aur Dil Ulajhta Hai Jabb Bhi Ghar Gaya Hon Main,
Us Ka Sath Jab Tak Tha Rung Rung Mausam The,
Bas Khizaan Ke Mausam Main Ab Thhehar Gaya Hon Main.
Sukhi Tehni Tanha Chidiya Feeka Chand
Aakhon Ka Sehra Mein Ek Nami Ka Chand
Us Maathe Ko Chume Kitne Din Beete
Jis Maathe Ki Khatir Tha Ik Teeka Chanda
Pehle Tu Lagti Thi Kitni Begana
Kitna Dhundhla Hota Hai Pehli Ka Chand
Kam Ho Kaise In Khushiyon Se Tera Gham
Lehron Mein Kab Behta Hai Nadi Ka Chand
Aao Ab Hum Iske Bhi Tukde Kar Lein
Dhaka, Rawalpindi Aur Dilli Ka Chand
Aankhein Roi Padhi Hani, Na Unka Paigam Aaya
Chale Gaye Humein Akela Chodkar, Yeh Kaisa Mukaam Aaya
Meri Tanhai Mujhpar Hansi Yeh Keh Kar, Aur Boli
Bataa Aakhir Mera Siva Tere Kaun Kaam Aaya.
Baadal Barasne Ka Mausam Hota Hai,
Aankhe Barasne Ka Mausam Koi Nahi,
Hum Tere Pyar Mein Gham E Zaher Peete Rahe,
Phir Bhi Ek Boond Aansu Tu Royi Nahi.
Mana Hum Aapke Kaabil Nahi,
Samne Hokar Bhi Nazar Aati Manzil Nahi,
Ghame Apne Pyar Mein Tadapne Se,
Hoga Sanam Kuchh Bhi Hashil Nahi.
Har Aag Bujh Jati Hai Barsat Mein,
Magar Dil Ki Aag Na Bujh Saki,
Aansu Ka Paani Girta Raha,
Phir Bhi Dekho Yahan Jalti Rahi.
Aapke Pyar Mein Payi Hain Aisi Sajayein,
Ke Khud Ke Saath Mein Ho Gaye Hum Paraye,
Aapne Toh Apne Halaat Bataa Diye Mujhe,
Magar Hum Kiske Saamne Yahan Aansu Bahayein.
Teri Saja Tab Tak Qabool Hai Mujhe,
Jab Tak Mere Sareer Mein Jaan Hai,
Kaise Dushmano Se Gila Karein Hum,
Jab Apne Hi Hum Par Meharban Hain.
Bedaag Or Begunah Meri Sarkar Hain,
Humse unki Bewafai Se Waqt Ki Maar Hain,
Woh Bhale Hain Kitne Sitam Karein Hum Par,
Phir Bhi Mere Liye Wo Jaane Bahar Hain.
Har Roz Mujhe Yeh Khayal Aata Hai,
Ghamon Se Mera Bahut Purana Nata Hai,
Har Roz Teenka-Teenka Marte Hain Hum,
Chah kar Bhi Tera Chehra Nahi Bhulaya Jata Hai.
Zindgi Ham Tujhe Thokar Maar Dete,
Agar Main Akela Hi Tera Hakdar Hota,
Ham Khushi Ko Gale Laga Lete,
Agar Nai Hume Ghamon Se Pyar Hota.
Dastan Soon Lo Jara Ghame Zindgi,
Bewafa Samajh Baithe Tumhe Dilagi,
Gairon Ki Baahon Main Machlati Ho Tum,
Behad Mehesoos Hoti Hai Hame Shermindagi.
Aaj Ji Bharkar Hum Par Hans Lo Beraham,
Fir Tujhe Milne Waale Hain Mere Gham Sabhi,
Teri Bewafayi Ka Charcha Charon Dishaon Main Hai,
Mujhe Diye Jakhmon Ka Hisaab Chukana Hai Kabhi Na Kabhi.
Woh Chahte Hain Hum Aabad Rahein,
Barbaadi Mein Bhi Kasar Nahi,
Har Dard Hans Ke Saha,
Phir Bhi Un Par Hua Asar Nahi.
Kis Tarah Byan Karun Seene Mein Unke Raaz Hain,
Muskurakar Jalaate Hain Woh Kitna Ghatiya Yeh Andaaz Hai,
Kyun Pasand Kiya Maine Us Bedardi Bewafa Ko,
Yeh Hi Soch Sochkar Zindagi Udaas Meri Aaj Hai.
Nibhaoge Tum Kasmein Yeh Wada Na Karo,
Mohabbat Humse Itni Jyada Na Karo,
Dekhe Hain Maine Bhi Daur Tabahi Ke,
Aur Hamein Sataane Ka Irada Na Karo.
Baar Baar Dil Par Jakham Kab Tak Sahun Main,
Sah Sahkar Yeh Sitam Kab Tak Chup Rahu Main,
Jaante Hain Zamane Waale Mere Halat Sabhi,
Chahiye Jakhmon Ki Dawa Yeh Kis Se Kahun Main.
Jaane Meri Aankhon Se Kitne Aansu Bah Gaye,
Insaano Ki Bheed Mein Bhi Dekho Tanha Rah Gaye,
Karte The Jo Kabhi Apni Wafa Ki Baatein,
Aaj Wohi Sanam Mujhe Bewafa Kah Gaye.
Kya-Kya Na Saha Tere Pyar Ke Liye,
Tu Bhul Gayee Mujhe Begaane Yaar Ke Liye,
Bitaaye The Lamhe Saath Milkar Kabhi,
Tarsate Hain Aaj Tere Deedar Ke Liye.
Dil Karta Hai Aag Laga Doon Is Zamaane Ko,
Jisne Dard Hi Dard Diya Har Diwaane Ko,
Har Pal Zakham Khaya Hai Dil Ne Mere,
Ab Kya Rah Gaya Aur Aajmaane Ko.
Kismat Ne Bar-Bar Bachaya Hun Main,
Maut Ke Muh Se Bhi Wapas Laut Aaya Hun Main,
Kyun Kari, Ham Par Itani Rahmat Khuda,
Pahle Hi Unke Rahmat Ka Sataya Hun Mein.
Aaj Usne Apni Alag Duniya Basai Hai,
Meri Zindagi Bhi Maut Se Jitati Aayi Hai,
Jitni Todna Chahata Hun Zindagi Ki Taar Main,
Utna Hi Khuda Ne Meri Umar Badhai Hai.
Woh Pal Aakhri Hoga Meri Zindagi Ka,
Jis Din Tu Mujhse Juda Hoga,
Karar Tujhe Bhi Na Aane Dunga Main,
Agar Is Daur Mein Tu Bewafa Hoga.
Kabhi Teri Baahon Mein Har Gham Bhula Diya Karte The Hum,
Magar Aaj Yeh Baahein Gairon Ke Naam Ho Gayi,
Kya Dein Hum Yaar Tujhe Duayen,
Ab To Dua Ke Liya Bhi Tu Naakam Ho Gayi.
Kismat Mein Hamari Likhi Hai Barbaadiyan,
Kab Tak Karayega Khuda Hasino Ki Shadiyan,
Raas Aa Gayi Hai Wirani Mahphil Mujhe,
Ab Dasne Lagi Hai Yeh Hasee Waadiyan.
Ab Tak Taaza Hai Zakham Seene Mein,
Bin Tere Kya Rakha Hai Jeene Mein,
Hamein Toh Sanam Tera Sahara Chahiye,
Warna Der Nahi Hai Zahar Peene Mein.
Hum Jaante Nahi Kya Hua Hai,
Aap Khush Rahein Bas Yeh Hi Dua Hai,
Chahat Pal Do Pal Ki Khushi Thi,
Aaj Yeh Saja Hai Saja Hai Saja Hai.
Na Toh Dua Hi Kaam Aayi Mere,
Na Hi Dawaon Ne Asar Kiya,
Har Zakham Naasur Hota Raha Mera,
Yeh Zeevan Ro-Rokar Basar Kiya.
Mere Zakhamo Ko Hawa De Rahe Ho,
Kis Baat Ki Yeh Saja De Rahe Ho,
Humne Toh Yaar Koi Gustaakhi Nahi Ki,
Phir Kyon Marne Ki Baddua De Rahi Ho.
Ab toh mohabbat mein ..
Lutne chale,
Jeene ki khwahish me ..
Marne chale.
Ek nafrat hi hain ..
Jise duniya lamho mein hi jaan leti hai,
Varna Chahat ka pata lagane me to ..
Jamane beet jate hai.
Apne karam se wo mera mukaddar bana gya,
Ek katre ko pal bhar me samundar bana gya,
Phulo se bhi jyada naram tha kabi dil ye mera,
Jise itna tadpaya ke ab patthar dil bana gaya.
Na “gila” hain koi halaat se,
Na “shikayate” hai kisi ki zaat se,
Khud hi saare “juda” huye,
Meri “zindagi” ki kitaab se.
Koi Toh Inteha Hogi Mere Pyar Ki Khuda,
Kab Tak Dega Tu Is Kadar Hamein Saja,
Nikal Le Tu Is Jism Se Jaan Meri,
Yah Mila De Mujhko Meri Dilruba.
Tere Hote Huye Bhi Tanhai Mili Hai,
Wafa Karke Bhi Dekho Buraai Mili Hai,
Jitni Dua Ki Tumhe Pane Ki,
Us se Jayada Teri Judai Mili Hai.
Kitna Chaahata Hun Tujhe Yeh Mujhko Pata Nahi,
Magar Tumhare Siwa Koi Aur Dil Mein Basa Nahi,
Zamana Dusman Ho Gaya Chaahat Ka Hamari,
Juda Ho Gaye Phir Se Hum Yeh Meri Khata Nahi.
Ek Tum Hi Se Umeed Ki Hai Mere Khuda,
Der Na Kar Jara Unse Zaldi Mila,
Yeh Rokar Karte Hain Gujaris Upar Wale,
Kahin Ho Na Jaaye Meri Yeh Zindagi Tabaah.
Tum Daga Karo Tab Bhi Gaddar Nahi,
Hum Wafa Karein To Bhi Gunahgar Hain,
Khata Teri Nahi O Sanam Mere,
Yeh To Waqt Waqt Ki Maar Hai.
Kitne Armaano Ko Dafnaye Baitha Hun,
Kitne Zakhmo Ko Dabaye Baitha Hun,
Milna Muskil Hai Unse Is Daur Mein,
Phir Bhi Deedar Ki Aas Lagaye Baitha Hun.
Har Lamha Apni Palkon Par Bithaya Tujhe,
Phir Bhi Yeh Ishq Mera Na Raas Aaya Tujhe,
Kismat Ki Bhi Hai Yeh Ajib Dastan,
Kabhi Hasaya To Kabhi Rulaya Mujhe.
Zinda Hun Jab Tak Tu Aabad Rahegi,
Pyar Ki Woh Chand Mulakaten Hamesha Yaad Rahengi,
Udhar Tum Rahna Sanam Khushaal Hamesha,
Aur Idhar Zindagi Meri Barbaad Rahegi.
Hamein Chhodkar Akela Kyun Ja Rahe Ho,
Kya Baat Hai Aakhir Jo Ghabra Rahe Ho,
Do Hi Baatein Ho Sakti Hain Sanam,
Yakin Nahi Humpar Ya Sharma Rahe Ho.
Phir Se Woh Sapna Sajane Chala Hun,
Umeedon Ke Sahare Dil Lagane Chala Hun,
Anzaam To Mera Bura Hi Hoga,
Phir Bhi Tumhe Apna Banane Chala Hun.
Dil Ki Zalan Mitane Ke Liye,
Tere Sitam Bhulane Ke Liye,
Peete Hain Sharab Teri Yaad Mein Hum,
Warna Lakhon Hain Ghar Basaane Ke Liye.
Bhale Hi Raah Chalton Ka Daaman Tham Le,
Magar Mere Pyar Ko Bhi Tu Pahchan Le,
Kitna Intezaar Kiya Hai Tere Ishq Mein,
Jara Yeh Dill Ki Betaabi Tu Jaan Le.
Gilas Par Gilas Tutate Rahe,
Ghamon Ne Khusi Ka Pyala Bharne Na Diya,
Masalon Ki Tarah Dil Jalte Rahe,
Badkismati Ne Ujala Karne Na Diya.
Apne Pyar Mein Woh Hamein Badnaam Samjhate Hain,
Unpar Hum Fida Huye Toh Apna Gulaam Samjhate Hain,
Mann Ke Pujaari Ki Unko Kuchh Bhi Kadar Nahi,
Tann Ke Pujaari Ko Woh Apna Bhagwan Samjhate.
Bahut Ho Chuka Intezaar Unka,
Ab Aur Zakham Sahe Jaate Nahi,
Kya Bayaan Karein Unke Sitam Ko,
Dard Unke Kahe Jate Nahi.
Haay Seene Se Lagaunga,
Bhool Ke Tujhe Main Mar Jaaunga,
Haai Main Mar Jaaunga,
Kiya Sadik Ka Tune Bura Haal,
Laga Ke Mehndi Mere Khoon Ki,
Haay Laga Ke Mehndi Mere Khoon Ki,
Gore Haath Tune Kar Liye Laal,
Laga Ke Mehndi Mere Khoon Ki,
Mere Ashkon Ka Na Mana Sawaal,
Laga Ke Mehndi Mere Khoon Ki.
Teri Yaadon Ne Bakhse The,
Jo Aansu Meri Aankhon Ko,
Mohabbat Se Unhein,
Hai Maine Palkon Pe Saja Rakha,
Jara Socho, Mera Kaatil,
Tumhe Har Sakhas Kahta Hai,
Hai Apna Jurm Peshani Pe,
Kyu Toone Laga Rakha,
Mere Liye Jeena Yeh Saja Ho Gaya,
Yaar Mera Mujhse Juda Ho Gaya.
Humne Tere Pyar Ki Khatir, Duniya Ko Thukraya Tha,
Saare Jag Ko Chhod Ke Humne Tumko Meet Banaya Tha,
Fir Bhio Sangdil Chhod Ke Tanha, Tune Apne Khan Ko,
Gair Ki Sej Sajayi Tune, Gair Ka Saath Nibhaya Tha,
Tujh Se Hai Na Shikwa, Na Gila Hai Rakibon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se,
Tera Who Pyar Mujhe, Raaton Ko Jagayega,
Tone Mujhe Thukraya Toh, Chain Nahi Aayega,
Hoga Na Ilaaj Mera, Kabhi Bhi Tabijon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se.
Kore Kagaj Ki Tarah,
Meri Zindagi Veeran Hai,
Gham Ki Duniya Mein Yaaro,
Gham Hi Meri Pahchan Hai,
Khud Gham Sada Hoke Bhi,
Karta Hai, Khush Logon Ko,
Sach Toh Yeh Hai Sanam,
Ki Dard Hi Jaan Ha.
Aise Na Muskaraao Aise Na Tadpaao,
Meri Halat Par Sanam, Kuchh Toh Raham Khaao,
Jale Hain Hum Ek Chirag Ki Tarah,
Apni Judai Se Hamein Ab Aur Na Tadpaao.
Bebas Hai Dil Beraham Hain Niganein,
Marne Se Pahle Thaam Lena Meri Baahein,
Fir Maalum Nahi Manzil Mile Na Mile,
Sambhal Kar Chalna Kanton Bhari Hain Raahein.
Har Khusi Ke Pahlu Haaton Se Chhut Gaye,
Ab Toh Khud Ke Saaye Bhi Rooth Gaye,
Haalat Hain Aise Zindagi Mein Hamari,
Pyar Ki Rahon Mein Hum Bilkul Toot Gaye.
Mera Sahara Toh Sharab Ka Pyala Hai,
Jakhmon Ne Mujhe Dard Dekar Pala Hai,
Thokar Marker Giraya Khusi Ne Mujhe,
Toh Haath Badhakar Ghamon Ne Sambhala Hai.
Mere Dil Mein Na Aao Varna Doob Jaaoge,
Gham E Ashkon Ke Shiwa Kuchh Bhi Nahi Andar,
Agar Ek Bar Risne Laga Jo Paani,
Toh Kam Pad Jaayega Bharne Ke Liye Samander.
Woh Begaano Mein Apne,
Hum Apno Mein Anjaan Lagte Hain,
Hamare Khoon Ki Keemat Nahi,
Unke Ashkon Ke Bhi Daam Lagte Hain,
Kya Bheekh Mange,
Upar Waale Se Ab Jeevan Ki,
Ab Toh Yeh Lamhe,
Chand Dino Ke Mehmaan Lagte Hain.
Umeedon Ke Daman Mein Zinda Hain Hum,
Warna Jeene Ki Chahat Kahan,
Tumse Milne Ki Aarzoo Liye Firte Hain Dar-B-Dar,
Warna Is Laash Ke Naseeb Mein Kabar Kahan.
Pasand Karta Hun Har Haseeno Ko,
Magar Dil Mein Basane Ke Liye Jagah Nahi,
Thukra Dete Hain Begane Samajhkar,
Uski Hoti Koi Thukraane Ki Vajah Nahi.

No comments:

Post a Comment