Friday, November 20, 2020

Hindi Shayari - दर्द शायरी हिन्दी

Ek baat to batao,
Mohabat ki har gali gumnaam kyu hai,
Judai or maut ishq ka anjaam kyu hai,
Log dete hai naam ise paakeezgi ka,
To ye mohabbat itni badnaam kyu hai.

Har mulakaat par waqt ka takaza hua,
Har yaad par dil ka ‘DARD’ Taaza hua,
Suni thi sirf logo se judai ki baate,
Ab khud par beeti to Hakeekat ka andaza hua.

Ab na janengey kabhi hum ki zindagi kya hoti,
Tum hote agar sang to tum zindagi hote,
Saath hote hum to kisi rang mein yeh rangi hoti,
Tum khushi hote to zindagi kitni khush hoti,
Dil ko nahi koi aur phir aaarzoo hoti,
Tum hote mere sab kuch to tum sabhi kuch hote.

Uske naa hone se kuch bhi nahi badla mujh main,
e-Dost
Bas jahan pehle Dil rehta tha.
Wahan ab sirf ‘DARD’ rehta hai,

Talash Hai Us Manzil Ki,
Jise Main Pana Nahi Chahti,
Dekh Raha Hai Wo Mujhe,
Par Mai Uski Nazron Mai Aana Nahi Chahati.

Bhul Ke Mujhko Agar Tum Ho Salamat..
To Bhul Ke Tujhko Sambhalna Muze Bhi Aata Hai..
Nahi Hai Meri Fitrat Main Yeh Aadat..
WARNA Teri Tarha Badalna Muze Bhi Aata Hai..

Mujeh ye zid nahi mere gally ka haar ho jao,
Akhela chor dena , tum jahaan be-zaar ho jao,
Bahut jaldi samajh mein aany lagty ho zamane ki,
Bahut aasaan ho, thory bhot dushwaar ho jao,
Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai,
Ke tum ik din judaaee ke liye tayaar ho jao.

Toote Jo dil to dukh hota hai,
Karke pyar use dil ab bhi rota hai,
‘DARD’ ka ehsas hota hai sirf usko,
Jo Muhabbat ko paane ke baad khota hai.

Muhabbat ka dosto sila kuch nahi,
Ek ‘DARD’ ke Siva mila kuch nahi,
Saare Armaan JAL kar khaak ho gaye,
Log phir bhi kehte hai Jala kuch nahi.

Duniya Ko Haqiqt Meri Pta Kuch Bhi Nahi,
Ilzam Hzaro Hai Or Khata Kuch Bhi Nahi,
DiL Me Kya Hai Ye Padh Na Skoge,
Sare Panne Bikhre Hue Hai,
Or Likha Kuch Bhi Nahi..!

Dil ne hume khoob dard diye,
Phir bhi humne hass hass ke sahe,
Deewangi mein teri kya kuch nahi kara,
Par jo hona tha woh ho hi gaya.

Aankhen khuli to nazara Ajeeb tha..
DARD tha magar koi Dil ke kareeb tha..
Jise dhundte rahe hum apne haatho ki lakeero main..
Pata chala WO kisi aur ka naseeb tha..

Na jaane us par itna yakeen kyun hai..
Uska khayal bhi itna haseen kyun hai..
Suna hai pyar ka DARD meetha hota hai..
To Aankh se nikla Aansu namkeen kyun hai..

Muhabbat ka jahan naam hota hai..
Rona tadapna DARD wahan aam hota hai..
Khush naseebo ko kabhi muhabbat nahi hoti..
Ye to bad Naseebo ka hi kaam hota hai..

Humare aansu wo jaan na sake,
Mohobbat ki kahani wo maan na sake,
Kaha tha unhone marne k baad b yaad karenge,
Jeete jee to wo yaad kar na sake.

Gamon Se Bhari Hai,
Zindagi Yaron MERI,
Kis ek Ghum Ko Yaad Ker Ke,
Ashq Bahoon Main.

Samandar Pir Ka Andar Hai Lekin Ro Nahin Sakta,
Yeh Ansoon Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahin Sakta,
Meri Chahat Ko Dulhan Tu Bana Lena, Magar Sun Le,
Jo Mera Ho Nahin Paya, Woh Tera Ho Nahin Sakta.

Tumhari Har Ada Har Baat Pe Fida Hu Mein,
Tumse Bahut Kareeb Hoke Bhi Judaa Hu Mein,
Tumhare Chale Jaane Pe Bhi Zindaa Hu Mein,
Bas Isi Baat Pe Aaj Sharmindaa Hu Mein.

Tera Pyar Pane Ke Liye,
Kya Kya Na Bana Main,
Kabhi Tujhse Hara,
Kabhi Her Bet Per Jita Main,
Main Har Kar Bhi Hara,
Jeet Ker Bhi Hara,
Tere Pyar Ka Hu Main Mara,
Mila Main Tujh Se Bar Bar,
Magar Mil Na Saka Khud Se Dobara.

Main Karta Raha Tujh Se Pyar Ka Izhar,
Tu Todti Rahi Mera Dil Bar Bar,
Tadapta Raha Main Teri Ek Haan Ke Liye,
Aur Ye Zamana Hansta Raha Mujh Par Har Baar,
Haato Ki Lakiron Ko Bhi Na Tha Gawara,
Meri Kismat Mein Kahan Thi Teri Mohabbat,
Mere Mukaddar Mein Kahan Tha Tera Pyar.

Pyar Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai,
Wafa Ke Naam Pe Marna Sikha Deta Hai,
Pyar Nahi Kiya To Karke Dekho,
Zalim Har Dard Sahena Sikha Deta Hai.

Hamne Bhi Pyar Dekar Sanam Se Pyar Manga Tha,
So Bar Nahi Bas Ek Bar Iqrar Manga Tha,
Jab Giri Bijli Inqar Ki Hum Par Uske To Fir Se,
Khud Ki Numaish K Liye Gham Ka Darbar Manga Tha.

Tere Pyar Ko Bhula Doon Phir Chale Jana,
Teri Yaad Ko Mita Doon Phir Chale Jana,
Jana Hi Tha To Pyar Kiya Kyun,
Khud Ko Jala Doon Phir Chale Jana.

Nikal Aate Hain Aansu Rone Se Pahle,
Toot Jate Hain Sare Sapne Sone Se Pehle,
Kahte Hain K Pyar Ik Saza Hai,
Kash Koi Rookleta Hone Se Pehle.

Ye Mat Soch Ki ..
Tum Chhod Doge To Tut Jaunga Me ..
Jee To Wo Log Bhi Rhe Hai ..
Jinko Hamne Teri Khatir Choda Tha.

Saza Na Do Muje Bekasur Hoon Main,
Tham Lo Mujh Ko Gamon Se Choor Hoon Main,
Teri Doori Ne Kar Diya Pagal Sa Mujhe,
Aur Logon Ka Kehna Hain Ke Magroor Hoon Main.

Jhuthe hai wo log ..
Jo kha karte hai pyar khuch ni dosti k samne ..
Pyar me to log ghar chod diya karte hai ..
Dosti kya chez hai.

Aap Ki Yadain Amanat Hain Hamari,
Aap Ki Khushi Chahat Hai Hamari,
Aap Se Wafa Mohabbat Hai Hamari,
Par Aap Se Doori Shayad Kismat Hai Hamari.

Kisi Aashiq Ne Kya Khub Kaha Hai,
Khamoshi Ko Ikhtiyaar Kar Lena,
Apne Dil Ko Bekarar Kar Lena,
Zindagi Ka Asli Dard Lena Ho To ..
Kisi Se Bepanah Pyar Kar Lena.

Royi Kuch Is Tarha Se Mere Jism Se Lagke Wo,
Aisa Laga Jaise Kabhi Be-wafa Na Thi Wo,
Humne Dard Uska Samjha,
Magar Wo Mera Dard Samjh Nahi Payi.

Jonoon_E_ishq Tha To ..
Kat Jate The Din Baaton Me,
Ab Saza E Ishq Hai ..
Toh Har Lamha Sadiyo Sa Lagne Laga Hai.

Humne Manga Tha Saath Unka,
Woh Judaai Ka Gum De Gayee,
Hum To In Yadoon Ke Sahare Jee Lete,
Par Woh Bhool Jane Ki Kasam De gaye.

Zuki Palko Se uska Didar Kiya,
Sab Kuch Bhulakar uska Intzar Kiya,
Vo Jan Hi Na Paya Jazbat Mere,
Jise Duniya Mein Mene Sabse Jyada Pyar Kiya..

Chahte the hum jinhe unke dil badal gaye,
Kabhi sahil to kabhi samander badal gaye,
Hua kuch is kadar kishto mein qatal humara,
Kabhi khanjar to kabhi qatil badal gaye.

Vaade bhi usne kya khoob nibhaye hai,
Zakham or dard tohfe mein bhijwaye hai,
Is se badhkar wafa ki misaal kya hogi,
Maut se pehle maut ka saman le aaye hai.

Kisi Ki Yaad Ko Dil Mein Basa Ke Roye,
Kisi Ki Tasveer Ko Seeney Se Laga Ke Roye,
Jo Wada Kiya Tha Hum Ne Kisi Se,
Hum Us Wade Ko Nibha Ke Roye,
Jis Shakhs Ko Hamari Zaroorat Nahi Thi,
Hum Us Shakhs Ko Apni Aarzu Bana Ke Roye,
Jis Ne Hamein Apne Qadmon Tale Bhi Jaga Na Di,
Hum Use Apni Palko Par Bitha Ke Roye.

Mohabbat bhi teri thi wo nafrat bhi teri thi,
Wo apnaane aur thukrane ki ada bhi teri thi,
Hum apni wafa ke insaaf ka insaaf kaise maange,
Wo shehr bhi tera tha wo adalat bhi teri thi.

Ek lafz Mohabbat hai, jissay kar k daikho tum ..
Barbaad na ho jao to mera naam badal daina ..
Ek lafz Muqaddar hai, jiss say larr k daikho tum ..
Haar na jao to mera naam badal daina ..
Ek lafz Wafaa ka hai, zamanay mein nahi milti ..
Kahi se dhoond kar lao to mera naam badal dena.

Uss Ke Siva Koi Mere Jazbaat Mein Nahi,
Aankhoon Mein Woh Nami Hai Joh Barsat Mein Nahi,
Paane Ki Usse Koshish Bohat Ki Magar,
Shayad Woh Ik Lakeer Mere Haath Mein Nahi.

Us Ne Kaha Tum Main Pehli Si Baat Nahi,
Main Ne Kaha Zindgi Mein Tera Saath Nahi,
Us Ne Kaha Ab Bhi Kisi Ki Aankhon Mein Doob Jatey Ho,
Main Ne Kaha Ab Kisi Aankh Mein Wo Baat Nahi,
Us Ne Kaha Kyu Itna Toot Ke Chaha Mujhe,
Main Ne Kaha Insaan Hoon Pathar Zaat Nahi.

Fir aaj zindagi se vishwas uth gaya hai,
Kanta sa koi seene me ghus gaya hai,
Meri badnasibi aaj fir mere samne aa gayi,
Meri zindagi ka har Roshan diya bujh gaya hai,
Ab to meri saanse bhi meri ruh ke saath nahi hai,
Mera to sara jaha ek saath lut gaya hai.

Tere liye khudko majboor kar liya,
Zakhmo ko apne nasoor kar liya,
Mere dil mein kya tha ye jaane bina,
Kune khudko humse kitna door liya.
तेरे लिए खुद को मजबूर कर लिया,
ज़ख्मो को अपने नासूर कर लिया,
मेरे दिल में क्या था ये जाने बिना,
तुने खुद को हमसे कितना दूर कर लिया!

Ankhe kyu hui meri num kabhi sochna,
Kyu hua hum pe itna sitam kabhi sochna,
Pyar to hum dono ne kiya tha,
Lekin sirf mujhe he kyu mila itna gum kabhi sochna.

Guzar jayege aapke pas se hawa bankar,
Beh jayege ankho se aansu bankar,
Aaj to aapke pass fursat nahi,
Yaad karoge jab reh jayege dil ki yaad bankar.

Jise Guzre Din Ke,
Gham Se Nahi Fursat,
Usko Naye Saal Ki,
Kya Mubarakbaad Dena.

Alfaazon me Mohabbat barsaane ka ab naam na lo ..
Dost ..
Ye mohabbat ki shohbat hai,
Jo kalam dard likhti hai.

Ik mulaqat thi ..
Jo dil ko sada yad rahi,
Main jise umer samajhta tha ..
Woh ik pal nikla.

Phoolo ke aanchal main kuch kami si hai,
Teri aankho main kuch nami si hai,
Meri mohabbat ko thukra kar jane vale ye to bta de ..
Ki meri mohabbat main kya kami si hai.

Wo sab hai mere paas,
jiski duniya ko hasrat hai,
Bs ek wo nahi hai,
jiski hasrat mujhe hai..

Tumhari yadon se koi nata nahi tha,
Pr tumhe bhool jana hame aata nahi tha,
Yu to umar gujri hai tumse pehle bhi tanha meri,
Magar tab akelapan hume yu satata nahi tha.

Umeed ka daman chod to diya hamne,
Apne hathon se apna Dil tod to liya hamne,
Jane kahan se le aati hai uski yaad in ankhon me pani,
Katra katra ansuon ka in ankhon se nichod to liya hamne.

Yadon ka ik kafila,
Is Dil ki duniya ujaad gaya,
Hum aansu bahate reh gaye,
Aur Dil Siskta reh gaya,

Farz tha jo mera nibha diya maine,
Usne jo manga vo sab diya maine,
Wo sunke gairon ki batein bewafa ho gaya,
Samajh k khwab usko akhir bhula diya maine.

Pyase ko 4 bund pani hi kafi hai,
Ishq me 4 din ki zindagani hi kafi hai.
Marna ho to samandar mein kyu jana,
Unki palko se tapakta hua ek ansu hi kafi hai.

Intzar ki aarzu ab kho gayi hai,
Khamoshiyo ki aadat ho gayi hai,
Na sikwa raha na shikayt kisi se,
Agar hai to ek mohabbat,
Jo in tanhayion se ho gayi hai..

Aitbaar wo kaise kare ..
Jinhe khud hi khud ki kismat pe etbar nahi,
Pyar vo kaise kare ..
Jinke hisse mein pyar hai hi nahi.

Bewafa hai dunia kisi ka aitbaar na karo,
Har pal dete hai dhoka kisi se pyar na karo,
Mit jao beshaq tanha ji kar,
Par kisi ke sath ka intzaar na karo.

Ansuo ki likhawat ko padh na sakoge,
Gile Kagaz pe kuch likh na sakoge,
Yaad aayegi tumko hamari baate,
Khokar jab tum hume pa na sakoge.

Mein ne Poocha rooh nikalti hai jisam se kis tarhan???
Hath usne hathon se chura kar dikha dia!!!
Mein ne Poocha mehshar se pehle qayamat hay kya???
Zindagi se usne meri ja kar dikha dia!!!
Mein ne Poocha k ye hasad hay kia cheez???
Usne kisi aur ko apna bana k dikha dia!

Guzar Gaye Jo Din,
Wo Waapas Laut Kar Nahi Aate,
Lekin Un Dino Ko Yaad Karna ab ..
Mujhe Accha Nahi Lagta.

Aaye khuda kiya cheez mohabbat tu ne banai hai,
Kisi ko yeh mil jati hai aur koi sehta umar bhar ki tanhai hai,
Saath chalne ke khawab dekhte hain Jo log mohabbat main,
Koi paa leta hai apni manzil ko aur koi sehta Umar bhar ki judaai hai.

Badi ajeeb si bandish hai uski..
Mohobbat mein ..
Na wo khud qaid kar sake..
Na hum azaad ho sake

Sare Riste Toot Ke Chur Chur Ho Gaye,
Wo Dhire Dhire Humse Dur Ho Gaye,
Meri Khamosi Meri Gunah Ban Gayi,
Aur
Wo Gunah Karke B Bekasur Ho Gaye.

Fir Nahi Baste Wo Dil,
Jo Ek Baar Toot Jate Hein,
Qabre Jitni Bhi Sanwaro,
Koi Zinda Nahi Hota.

Is Dil Ki Mohabbat Jan Nahi Paye,
Ek Din Chale Jayenge Is Duniya se,
Or Wo Kahenge ..
Lout Aao Hum Aapko Pahchan Nahi Paye.

Zindgi Hai Akeli Dil Ye Nadaan Hai,
Kya Safar Hai Aur Kya Samaan Hai,
Kisi Tanha Ke Gum Ko Samajh Kar To Dekho,
Tukura Dena Bahota Aasan Hai.

Ek Din Humari Aankhon Ne Bhi,
Thak Kar Humse Keh Diya,
Khawab Vo Dekha Karo Jo Pure Ho,
Roz Roz Humse Roya Nahi Jata.

Mohabbat Laakh Chupayi Zamaane Se Maine,
Magar Aankhon Me Tere Aks Ko Chupa Na Saka.

Mujhe fir tabah kar,
Mujhe fir rula jaa,
Sitam karne wale kahi se tu aaja,
Aankho me teri surat basi hai,
Teri hi tarah tera gam bhi haseen hai.

Shayad Issi Ko Kehte Hain ..
Majbori-e-Hayat ….!!
Ruk Si Gayi Hai ..
Umar-E-Gurezaan Tere Baghair.

Riwaaj To Yahi Hai Duniya Ka ..
Mil Jana, Bichhar Jana..
Tum Se Ye Kaisa Rishta Hai ..
Na Milte Ho Na Bicharte ho..!

Wo dard hi na raha ..
Warna ae mata-e-hayaat
Mujhe gumaan bhi na tha
Main tujhe bhula donga

Unhe Muskurana Nahi Aata,
Paas Aakar Dur Jana Nhi Aata,
Hume Pyar Jatana Nahi Aata,
Aur Unhe Pyar Nibhana Nahi Aata.

Kyu Insan Hasta He Rone K Baad,
Jeena Fir Bhi Padta He Sab Kuch Khone K Baad,
Socha Aaj Sabko Yaad Kar Lu,
Kya Pata Aankh Hi Na Khule Aaj Sone K Baad.

Jane kya khata he meri aye khuda,
Ke har mood per ajama leta hai tu,
Chahat rakhta hu jis chiz ki,
Use kisi aur ka bana deta hai tu.

Apni mohabbt par aitbaar na tha unhe,
Ke chodh gayi rah mein…
Ye keh kar ki hume kisi aur ki talash hai.

Sagar ke paas sab kuch tha,
Par lehro ki tadap kuch or hi thi,
Hume mohabbat to huyi unse yaaro,
Par unki chahat to kuch or hi thi.

Thokare Kha Kar Bhi
Agar Na Sambhle To Musafir Ka Naseeb..
Warna
Raahon Ke Patthar To..
Apna Farz Adaa Karte Hi Hain.

No comments:

Post a Comment