Monday, November 20, 2017

दुख भरी शायरी

Woh Ghamon Ko Mujhse Milane Ko Mila Tha,
Yaar Mere Dard Badhanae Ko Mila Tha,
Main Dosh Bhala Kya Usko Du, Toh Kaise Du,
Woh Zindagi Se Nijaat Dilane Ko Mila Tha.
Khusiyon Se Toh Kuchh Bhi Na Hua Haasil,
Balki In Ki Vajah Se Lakhon Jakham Khaye,
Jinhe Samjhate The Bure Wohi Gham Aaj Dekhiye,
Hamein Inki Shohrat Kis Mukam Par Le Aaye.
Gila Karke Is Duniya Se Kya Karenge Hum,
Apni Takdeer Ko Hi Apna Dushman Samjhate Hain,
Yeh Zindagi Toh Kar Gayi Hai Hamse Bewafayi Yahan,
Ab Hum Mot Ko Hi Apna Dilbar Samajhate Hain.
Insan Bane Hain Is Jeevan Mein,
Bas Humse Yahi Ek Khata Huyi,
Isi Karan Huye Kai Gunah Humse,
Isi Liye Toh Mout Bhi Bewafa Huyi.
Kasam Khai Thi Na Bichhudane Ki,
Na Jaane Tumne Kyu Fir Tod Di,
Dil, Rooh, Zindagi Sab Toh Le Liya,
Aakhiri Sans Fir Kyu Chhod Di.
Aapko Bhi Apnakar Dekh Liya,
Aap Se Bhi Dhokha Khakar Dekh Liya,
Barbaad Bhi Hum Huye Jo, Toh Kya,
Aapne Toh Dil Parcha Kar Dekh Liya.
Jo Likha Meri Takdeer Mein Hai,
Woh Yahan Mujhe Mil Hi Jaayega,
Varna Rone Se Ya Mangne Se,
Koi Kya Haasil Kar Paayega.
Is Pyar Bhare Dil Mein Kar Ke Paida Nafrat,
Kyu Mujhko Meri Hi Nazron Mein Gira Rahe Ho,
Kuchh Toh Aur Pal Kar Lo Intezaar Tum Yaaro,
Kyu Jeete Ji Humara Janaza Utha Rahe Ho.
Aap Bhi Ho Gaye Hum Se Bewafa,
Humko Yeh Aitbar Hi Nahi Hota,
Hum Toh Koste Hain Apne Aap Ko Hi,
Kaash Aapse Pyar Hi Nahi Hota.
Raat Ko Sapno Mein Dhundta Raha, Na Mile Tum,
Magar Jab Dil Mein Dekha Toh Laga Paas Ho Tum,
Meri Aankhon Se Yeh Aansu Kyu Chhalak Rahe Hain,
Lagta Hai Aaj Fir Se Udaas Ho Tum.
Rona Likha Hai Takdeer Mein Toh Ro Lenge Hum,
Ashkon Se Apne Jakhmon Ko Dho Lenge Hum,
Tujh Se Karenge Na Shikwa Kabhi Bewafayi Ka,
Tere Har Sitam Ko Dil Mein Samo Lenge Hum.
Jab Aayega Kabhi Mera Vakt Aakhiri,
Aap Ki Dua Bhi Kaam Nahi Aayegi,
Us Din Manaunga Main Eid Yaaro,
Meri Mahbooba Maut Jab Mujhe Le Jaayegi.
Bar Baadiyon Ka Silsila Abhi Aur Chalne Do,
Chand Lamhe Fursat Se Abhi Aur Jeena Chahta Hun Main,
Agar Milegi Khusiayn Toh Na Jee Paunga Main Kabhi,
Isi Liye Ghamon Ka Zahar Peeta Hun Main.
Hum Jee Lenge Aapke Diye Ghamon Ke Sahare,
Aap Khus Raho Sada Dil Se Dua Hamari Hai,
Ek Rah Gayi Hamare Paas Amanat Aapki,
Jab Chaaho Mang Lena Yeh Jaan Bhi Tumhari Hai.
Humko Na Mili Khusiyan Kisko Dosh Dein Yaaro,
Bad Naseebon Ki List Mein Naam Hamara Bhi Ahi,
Dekar Jakham Rulakar Hamein Khush Na Hona Tum,
Dagabaajon Ki Kitab Mein Naam Tumhara Bhi Hai.
Gulon Ki Khawais Na Karo Kabhi Yaaro,
Umar Bhar Yeh Toh Saath Nibhate Hi Nahi,
Kharon Se Jodo Rista, Behtar Hai Sabhi Se,
Jo Tham Lein Daman Toh Chhod Jaate Hi Nahi.
Woh Zamane Hi Aur The Yaaro,
Jab Khusiyan Hamare Paas Thi,
Hamare Bhi Jeevan Mein Aayega Koi,
Humko Ko Bhi Iski Aas Thi.
Aitbaar Tum Par Kya Karte,
Pyar Tumse Kya Karte,
Kadar Nahi Tumhe Pyar Ki,
Ikrar Tumse Kya Karte.
Hasrat Sirf Tumhe Paane Ki,
Aur Koi Khwaish Nahi Is Parwane Ki,
Gham Ki Aandhi Aisi Chali, Hum Tum Bichhud Gaye,
Aansu Bhi Apne Puchhne Lage, Aapke Saathi Kidhar Gaye.
Lakhon The Log Teri Is Duniya Mein,
Fir Meri Hi Jholi Mein Gham Kyu Dale Hain,
Humko Bhi Dekho, Hain Nadan Kitne,
Humne Bhi Sab Ke Hi Jakham Paale Hain.
Sanam Tujhse Ki Thi Mohabbat Humne,
Tum Samjhe Nahi Yeh Alag Baat Hai,
Magar Kaise Main Kahun Ke Hun Tanha,
Teri Yaadon Ka Kaafila Aaj Bhi Saath Hai.
Hamari Wafa Ki Kasmein Khata Tha Zamana,
Bewafayi Ki Bhi, Aap Hi Misaal Banoge,
Har Rag Se Aashikon Ki Ho Wakif,
Dil Todne Mein Aap Kamaal Banoge.
Bheed Hogi Sahar Ke Har Ek Mod Par,
Mujhe Toh Soona Sa Yeh Sahar Lagta Hai,
Main Jee Raha Hun Zinda Laash Ki Tarah,
Unke Bina Har Ek Pal Kahar Lagta Hai.
Meri Manzil Ka Koi Bhi Thikana Nahi,
Musafir Ki Tarah Jeena Hai Mujhko,
Koi Kuchh Nahi Kar Sakta Mere Liye,
Bas Judayi Ka Jahar Peena Hai Mujhko.
Yahan Karna Na Chahiye Pyar Kabhi Bhi,
Jo Karta Hai Pyar Pachhtata Hai,
Na Milta Hai Chain Kabhi Bhi Jeevan Mein,
Bas Yun Hi Ro Rokar Woh Mar Jata Hai.
Hum Apni Maut Khud Mar Jaayenge Sanam,
Aap Apne Sar Kyu Iljaam Lete Ho,
Jaalim Hai Duniya Na Jeene Degi Aap Ko,
Aap Kyu Apni Jubaa Se Mera Naam Lete Ho.
Aisa Hua Aalaam Ke Apne Aap Ko Bhi,
Aajkal Yaaro Main Pahchan Nahi Pata Hun,
Hansne Par Bhi Nikal Aate Hain Aansu Mere,
Is Liye Mola Muskura Bhi Nahi Pata Hun.
Sab Kuchh Mil Jata Hai Duniya Mein Magar,
Yaad Rakhna Ki Bas Maa Baap Nahi Milte,
Murjha Kar Gir Jaaye Ek Baar Dali Se,
Yeh Aise Phool Hain Jo Dobara Nahi Khilte.
Rona Bhi Hum Jo Chahte Hain Toh Ro Nahi Paate,
Dil Ke Jakhmon Ko Aansuon Se Dho Nahi Paate,
Is Zindagi Ke Khel Bhi Ajeeb Hain Yaaro,
Hona Hum Jinke Chahte Hain Ho Nahi Paate Hain.
Humtoh Pukarte Hi Rahenge Aapko Hamesha,
Marzi Aapki Aap Aayein Ya Na Aayein,
Hum Toh Maan Chuke Hain Apna Aapko,
Marzi Aapki Apnaaye Ya Na Apnaaye.
Tujhse Bhi Sikwa Main Kyakarun Bata,
Khud Par Hi Mujhko Jab Aitbaar Nahi Hai,
Teri Bhi Kya Khta Mahol Hi Aisa Hai,
Nibhata Is Daur Mein Koi Pyar Nahi Hai.
Tamannayein Hamari Bhi Bahut Thi Sanam,
Magar,
Tum Hi Socho Tumne Humse Hai Kiya Kya,
Humne Toh Kiye Shikwe Aapse Laakh Magar,
Sach Kaho Tumne Hamein Koun Sa Hai Sukh Diya.
Main Khatavaar Hun Tera Eh Mere Sanam,
Tujhse Wada Tha Kiya Magar Nibha Nahi Saka,
Bhool Jaane Ki Tujhko Khai Toh Thi Kasam,
Laakh Koshish Bhi Kari Lekin Bhula Na Saka.
Wada Koi Bhi Kabhi Poora Nahi Kiya,
Har Kadam Par Hamein Thukraya Aapne,
Baad Marne Ke Jalne Ka Dar Na Raha,
Jite Ji Itna Hai Itna Jalaya Aapne.
Zindagi Toh Yun Hi Kat Jaayegi Magar,
Teri Yaad Hamein Bahut Tadpaayegi Magar,
Sabkuchh Hoga Yun Toh Bas Ek Tere Shiwa,
Teri Kami Kami Hi Rah Jaayegi Magar.
Daulat Ko Lekar Main Kya Karun,
Mila Na Mujhko Pyar Kabhi,
Bas Itna Hi Jana Humne,
Bewafa Hain Yahan Toh Yaar Sabhi.
Main Ja Raha Hun Is Duniya Se,
Wada Karo Ke Tum Rounge Nahi,
Tum Jiyoge Zindagi Hansate Huye,
Mere Liye Kuchh Bhi Khounge Nahi.
Main Jisko Apna Kahta Hun,
Woh Mujhse Juda Kyu Hota Hai,
Hai Kaisi Likhi Takdeer Meri,
Dil Kyu Hardam Rota Hai.
Tanhai Se Dar Nahi Lagta Mujhe,
Mahfil Se Ghabra Jata Hun Main,
Koshish Karta Hun Yaadein Dafnane Ki,
Magar Tujhko Bhool Nahi Pata Hun Main.
Sabhi Karte Hain Pyar Jeevan Mein,
Jo Humne Bhi Kiya Toh Kya Hua,
Sabhi Karte Hain Haasil Khusiyan Magar,
Jo Humne Gham Liya Toh Kya Hua.
Koi Kisi Ka Nahi Hai Jag Mein,
Yeh Riste Naate Yaaro Sab Jhute Hain,
Jab Girte Hain Badal Ghamon Mein Tab,
Sab Bandhan Ek Pal Mein Toote Hain.
Mere Dil Ko Tamanna Hai Abhi Bhi,
Mera Yaar Jakham Mujhko De Jaaye,
Kuchh Khusiyan Rakhi Hain Sambhal Maine,
Woh Aakar Mujh Se Toh Le Jaaye.
Dard E Judai Sahne Ki Aadat Si Ho Gayi,
Gham Na Kisi Se Kahne Ki Aadat Si Ho Gayi,
Hokar Juda Bhi Yaar Ne Le Liya Jeene Ka Wada,
Rote Huye Bhi Jinda Rahne Ki Aadat Si Ho Gayi.
Chhodkar Chala Jaaun Ab Teri Yeh Duniya,
Mere Data Mujhko Itni Si Izazat De De,
Maine Payi Hai Nafrat Sada Teri Di Zindagi Se,
Maut Toh Laga Le Gale Itni Mohabbat De De.
Auron Ko Bhi Du Main Kya Dosh Bhala Yahan Sagar,
Shayad Gham Sahne Ki Mujhko Hi Aadat Ho Gayi,
Jab Thi Tamannayein Mere Dil Mein Woh Zamane Aur The,
Jisko Khusiyan Chahiye Thi Woh Aatma Toh So Gayi.
Apni Aadat Hai Ke Dil Khol Dikhata Hun Main,
Yehi Hai Vajah Ke Sabhi Se Dhokha Khata Hun Main,
Bas Ranjish Hai Itni Mujhe Tujhse Eh Khudara,
Tere Logon Ko Kabhi Samajh Hi Nahi Pata Hun Main.
Muddat Ho Gayi Hamein Mile Huye Unse,
Shayad Takdeer Mein Ab Mulakat Hi Nahi,
Aap Ho Pahlu Mein Aur Uthaun Main Parda,
Shayad Mere Mukaddar Mein Aisi Raat Hi Nahi.
Aaj Ke Daur Mein Pyar Ki Kimat Hi Nahi,
Jinda Rahne Ke Liye Kitni Baar Maut Sahta Hai,
Wahi Dete Hain Sada Aakhir Mein Dhokha Usko,
Jinki Khatir Umar Bhar Woh Tadpata Rahta Hai.
Sabhi Rahte Hain Tabhi Door Mujhse,
Mera Gham Kahin Unko Lag Na Jaaye,
Mere Apne Bhi Yahi Sochte Hain,
Yeh Duniya Se Kab Jaaye.
Jo Dekhe The Unke Saath Humne,
Saakaar Na Kabhi Woh Sapne Huye,
Jinka Tha Bahut Sahara Humko,
Woh Gham Bhi Haay Apne Na Huye.
Sochta Hun Milunga Jab Tujhse,
Tujhe Seene Se Apane Lagaunga,
Chhupa Lunga Dil Mein Main Tujhko,
Kahin Door Na Fir Kabhi Jaaunga.
Bojh Ban Gaya Hun Dharti Par,
Mere Maula Tu Utha Le Mujhko,
Bhale Daal Dena Wahan Narka Mein,
Bas Apne Paas Bula Le Mujhko.
Bhale Sadiyan Gujar Gayi Bichhude Huye Tumse,
Aaj Bhi Magar Bahut Yaad Aate Ho Tum,
Kya Kasam Khayi Hai Tumne Sada Gham Dene Ki,
Khwab Mein Bhi Aakar Rula Jaate Hi Tum.
Bhale Kitna Hi Door Ho Woh Humse,
Magar Dil Ke Kareeb Lagta Hai,
Woh Saath Tha Toh Har Shay Suhati Thi,
Bina Uske Sab Bhi Ajib Lagta Hai.
Pyar Par Hamare Kabhi Shaq Mat Karna,
Iske Ilawa Humne Kiya Kya Hai,
Mana Ke Gham Hi Gham Hain Paas Hamare,
Iske Ilava Tumne Diya Kya Hai.
Tujhko Kiya Humse Juda Jisne,
Humne Woh Sara Hi Zamana Chhod Diya,
Jeene Ki Tamanna Bhi Na Rahi Baaki,
Humne Dil Apna Khud Hi Tod Diya.
Lut Gaya Bhari Baharon Mein Jo,
Us Gulista Ka Haal Kya Hoga,
Mukar Gayi Koul Dekar Jo,
Us Jubaa Ka Haal Kya Hoga,
Muskurane Par Ilzaam Hansane Ki Saza,
Toh Khilkhilane Par Haal Kya Hoga.
Hansane Ke Ilzaam Ki Mili Yeh Saja Mujhe,
Ro Lene Do Ji Bharkar Mujhe,
Paas Nahi Aa Sakte The Woh,
Diya Chhod Magar Akela Pakar Mujhe.
Maine Banta Hai Marsarat Ke Khajane Dosto,
Fir Bhi Duniya Ne Diya Har Ek Nastar Mujhe,
Muskurane Par Lagaye Gaye Ilzaam,
Chukani Padi Hai Kimat Hansi Aane Par Mujhe.
Mana Ke Chot Phoolon Se Khayi Tumne,
Dard Kaanton Ka Magar Mera Hai,
Rah Ke Charon Mein, Sada Hansna Hansana Toofan,
Aajkal Kaam Yehi Subah Sham Mera Hai,
Har Saans Par Mout De Rahi Dastak Jahan,
Kahte Hain Jise Rajdhani Aisa Sahar Mera Hai,
Sukun E Zindagi Le Gaya Chhinkar Jo,
Koi Aur Nahi Woh Humsafar Mera Hai.
Bujhi Huyi Samma Ka Noor So Gaya Hai,
Aadmi Se Aadmi Door Ho Gaya Hai,
Nasha Daulat Ka Chada Aisa,
Tha Magroor, Majboor Ho Gaya Hai,
Chadha Salib Jo Hansate Hansate,
Koi Isha Koi Mansoor Ho Gaya Hai,
Chalayi Kasti Ret Par Jisne,
Jag Ki Aankhon Mein Noor Ho Gya Hai,
Dikhayenge Aaina Andho Ko,
Zamane Ka Yeh Dastoor Ho Gaya Hai.
Nakhuda Ne Chhoda Manjhdar Jinhe,
Bachayi Doobne Se Kastiyan Humne,
Sajayi Tasveer Marne Ke Baad,
Jeete Ji Kasi Fabtiyan Humne,
Khokhli Hansi Degi Sukun Kaise,
Suni Hai Sune Dil Ki Siskiyan Humne,
Raah Bhatkenge Toofan Woh Kaise,
Jinki Haathon Mein Di Ungliyan Humne.
Junun E Iahq,
Nahi Raas Aaya Hamein,
Jab Bhi Dekha Aaina,
Aks Unka Hi Najar Aaya Hamein,
Tadpate Dil Ke Byaan Karein Kaise ?
Jab Bhi Kureda Ghavo Ko,
Dard Unka Hi Ubhar Aaya.
Gahraai Ka Shok Kise Hai,
Hum To Kinaare Par Hi Rahte Hain,
Kisi Galti Ka Aham Nahi Mujhe,
Kisi Ke Sahaare Hi Rahte Hain,
Teri Qaaynaat Mein Thodi Jagah De Ah Khuda,
Intezaar, Tere Ishaare Par Hi Rahte Hai.
Saaye Ki Tarha Saath Rahne Wali,
Rista Kuchh Is Tarah Se Tod Gayi,
Hakikat Mein Milna Toh Mumkin Na Tha,
Khwabon Mein Aana Bhi Chhod Gayi.
Kalam Uthayi Hai Lafj Nahi Milta,
Jisko Dhoond Rahe Hain Lafj Nahi Milta,
Firte Ho Tum Zamane Ki Talash Mein,
Bas Hamare Liye Tumhe Waqt Nahi Milta
Ikatthaa Karke, Woh Mere Katl Ka Samaan,
Bewafa Adaaon Se Teer Chalaate Gaye,
Hamein Aadat Thi Use Muskurata Dekhne Ki,
Isiliye,
Hum Uski Har Adaa Par Muskuraate Gaye
Tu Jab Mujh Se Juda Ho Gayi,
Zindagi Meri Mujhko Saja Ho Gayi,
Teri Wafayi Par Mujhko Bada Naaj Tha,
Sandil Aaj Tu Bhi Bewafa Ho Gayi.
Jab Bhi Tujhe Meri Yaad Aayegi,
Pyar Ki Har Baat Tujhe Tadpayegi,
Main Na Aaya Agar Kabhi Tere Darwaje Par,
Mohabbat Ka Shola Tere Dil Mein Bhadkayegi.
Mere Paas Mein Padi Hai Gham Ki Bedi,
Tumhein Kaise Main Apni Dastaa Sunaun,
Ab Uthi Hai Meri Takdeer Mujh Se,
Jo Mile Hain Jis Ko Jakham, Unhe Kaise Mitaun.
Is Jakhami Dil Se Poochho,
Ki Jakham Kitne Khaye Hain,
Hamein Tadpaane Ke Liye Woh,
Dushmano Ki Mahfil Mein Aaye Hain.
Dil Todne Se Toh Achha Tha,
Pyar Ka Izhaar Hi Na Karte,
Khud Ko Bad Kismat Samajh Kar,
Hum Apni Kismat Par Hi Ro Lete.
Raaste Chalna Hamein Hain Sikhate,
Hum Hain Ke Raaste Hain Bhool Jaate,
Humko Manzil Tak Hain Pahunchate,
Aur Hum Unhe Pichhe Hai Chhod Aate.
Kya Mila Aapko Sanam,
Mera Dil Todkar,
Hum Yahin Rah Gaye,
Aap Chal Diye Hamein Chhod Kar.
Is Kadar Tujh Se Pyar Hua,
Ki Hum Ban Baithe Aashiq,
Tum Hi Bata Do Eh Bewafa,
Kya Kami Thi Mere Pyar Mein Aakhir.
Tanhai Ki Duaen Toh,
Tumhi Ne Mangi Thi,
Teri Khusi Ki Khatir,
Hum Par Bhi Kar Baithe,
Ba Ek Ehsaan Aur,
Mujh Par Kar Dena,
Mere Wakt E Janaje Par,
Do Aansu Baha Dena.
Anjaane Mein Hum Tum Se,
Dil Ko Laga Baithe,
Apni Khusiyon Ko Hum,
Khud Hi Ganva Baithe,
Tujh Se Shikayat Nahi Karenge,
Ki Khata Hamari Hi Hai,
Jo Bekadron Ko Pyar Ki,
Murat Hi Bana Baithe.
Tum Se Juda Hokar Dil Ko Ujaad Bana Diya,
Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Luta Diya,
Jakham Dil Ke Bharne Mein Abhi Vakt Kafi Hai,
Tere Aane Jaane Ki Raahon Mein Humne Khud Ko Bichha Diya.
Raaton Ko Aansu Bahate Hain,
Din Mein Aahein Bharte Hain,
Kya Kahun Eh Sanam Hum,
Tere Bina Kaise Tanha Rahte Hain.
Gham Dekar Tumne Khata Ki,
Eh Sanam Tum Yun Na Samjhna,
Tera Diya Hua Gham Bhi,
Hamein Dava Hi Lagti Hai.
Fikr Ki Jisne Mere,
Dushmani Ki Muhse Chhipkar,
Hum Se Fira Kar Aankhein,
Jisne Gairon Se Ki Baatein Hanskar,
Gila Na Humne Kabhi,
Sahte Rahe Bas Nadan Samajhkar.
Yeh Ashq Paani Ke Is Tarah Na Ganva,
Ki Yeh Anmol Moti Hain,
Yeh Hayat Nahak Hi Na Ganva,
Ki Yeh Zindagi Bahut Chhoti Hai.
Har Sakhas Ka Aaj Ajab Haal Hai,
Shaad Hote Huye Bhi Haal Behaal Hai,
Hoton Par Dekho Toh Jhooti Muskaan Hai,
Chehre Par Kisi Ke Gham Ke Nishaan Hain.
Woh Pyar Bhari Baatein Teri,
Yaad Kabhi Bhi Na Aaye,
Woh Mahki Mahki Yaadein Teri,
Yaad Kabhi Bhi Na Aaye,
Dil Se Bhula Dena Chahta Hun,
In Yaadon Ko Is Kadar,
Ki Markar Bhi Phir Kabhi,
Yaad Kabhi Bhi Na Aaye.
Seene Se Laga Kar Apni Wafa Mein,
Thikana Chhod Hum Chale Hain,
Na Manzil Ki Na Raahon Ki Khabar,
Fir Bhi Hum Musafir Bane Hain.
In Alfazon Se Hum,
Tujhe Ruswa Na Karenge,
Teri Bewafayi Ka Zikr,
Hum Markar Bhi Na Karenge,
Apni Raza Se Hum Gair Bankar,
Chhup Chhup Kar Aahein Bharenge.
Woh Chamkate Bhalvoos Dekho,
Pahan Kar Aaye Hain,
Aaj Fir Kisi Par Fareb Ki,
Bizliyan Girane Aaye Hain,
Woh Husn Gurur Woh Adayein,
Dikhane Ke Liye Aaye Hain,
Woh Nadano Ko Mohabbat Ka,
Khwab Dikhane Aaye Hain.
Mayush To Hun Vaade Se Tere
Khuch Aas Nahi Aur Aas Bhi Hai
Main Apne Khayalon Ke Sadke
Tu Paas Nahi Aur Paas Bhi Hai
Dil Ne To Khushi Mangi Thi
Magar Jo Tune Diya Achha Hi Diya
Jis Dil Ko Talluq Ho Tujhse
Wo Raas Nahi Aur Raas Bhi Hai
Palkon Se Girte Ashkon Me
Tasveer Jhlakti Hai Teri
Deedar Ki Pyassi Aakhon Me
Ab Pyass Nhi Aur Pyass Bhi Hai.
Ret Pe Naam Kabhi Likhte Nahin,
Kyonki Ret Pe Naam Kabhi Tikte Nahin,
Aap Kahte Ho Tum Patthar Dil Ho,
Par Patthar Pe Likhe Naam Kabhi Mit Te Nahin.
Mit Gaye Hain Sab Zakham,
Bas Nishaan Baaki Reh Gaya,
Saza Puri Ho Gayi,
Karna Gunaah Baaki Reh Gaya.
Pyar Aankho Se Jataya To Bura Maan Gaye,
Haal-E-Dil Humne Sunaya To Bura Maan Gaye,
Woh To Har Roz Rulaya Karte They,
Ek Roz Humne Rulaya To Bura Maan Gaye.
Hamare Sabr Ka Imtihaan Na Lijiye,
Hamari Khamoshi Ko Saza Na Dijiye,
Jo Aapke Bina Jee Na Sake,
Unhe Jeene Ki Duaa Na Dijiye.
Ehsaas Bohut Hoga Jab Chhod Ke Jayenge,
Royenge Bohut Magar Aansu Nahi Aayenge,
Jab Saath Na De Koi Toh Awaaz Humein Dena,
Aasmaan Per Bhi Honge Toh Laut Aayenge.
Khushi Mili Has Na Sake,
Gam Mili Ro Na Sake,
Zindagi Ka Yahi Dastur Hai,
Jise Chaha Use Pa Na Sake,
Or Jise Paya Use Chah Na Sake.
Zuban Khamosh Aankhon Me Nami Hogi,
Yahi Bas Ek Dastan-E-Zindagi Hogi,
Bharne Ko To Har Zakham Bhar Jayega,
Kaise Bhariegi Wo Jagah Jaha Teri Kami Hogi.
Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hai,
Meri Har Aah Har Dard Samajhti Hain,
Pata Hai Majbur Hai Tu Bhi Aur Main Bhi,
Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain.
Kyo Koi Chah Kar Dosti Nibha Nahi Pata,
Kyo Koi Chah Kar Rishta Bana Nahi Pata,
Kyo Leti Hai Zindagi Aisi Karwat,
Ki Koi Chahkar Bhi Pyar Jata Nahi Pata.
Na Jane Kaun Si Baat Aakhri Hogi,
Na Jane Kaun Raat Aakhri Hogi,
Karni Ho To Kar Lo Ji Bhar Ke Bat,
Na Jane Kaun Si Sans Aakhri Hogi.
Dill Kahi Lagtaa Nahi Hai Ab Tumhaare Binaa,
Khaamosh Se Rehne Lage Hum Tumhaare Binaa,
Zaldi Laaut Aao Yehi Chaah Hai Hamaari,
Ji Naa Saakenge Hum Tumhaare Binaa.
Her Raah Ek Nayi Manzill Hai,
Kaddmo Ko Shambhalna Zara Musqil Hai,
Dost Ager Saath Naa Dey Toh,
Dhoop Toh Kyaa Chhaanv Mein Bhee Challna Musqil Hai.

No comments:

Post a Comment