Monday, November 20, 2017

हिंदी दर्द भरी शायरी

Mana Ke Pyar Kisi Ka Mere Paas Nahi,
Magar Tunhein Meri Mohabbat Ka Ehsaas Nahi,
Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham E Aansu,
Ab Kuchh Aur Peene Ki Pyaas Nahi.
Saaye Ne Saath Chhod Diya Yaar Ne Dil Tod Diya,
Ab Toh Khuda Bhi Mere Khilaf Ho Gaya,
Jo Pyar Ka Chirag Jalaya Tha Maine,
Usi Chiraag Se Jalkar Main Khak Ho Gaya.
Taqdir Banane Wale Tune Bhi Had Kar Di,
Taqdir Mein Kisi Aur Ka Naam Likha,
Aur
Dil Mein Chahat Ek Farebi Ki Bhar Di.
Pyar Kiya Jise Hazar Khusiyon Ke Liye,
Wahan Behisab Gham Nikle,
Bewafa Tum Nahi,
Bad Naseeb Hum Nikle.
Na ji bhar ke dekha na koi baat ki
Badi aarju thi unse mulakat ki,
Ujalon ki patiya nahane lagi
Nadi gun gunayi khayalat ki,
Main chup tha toh chalti hawa ruk gayi
Jubaa sab samjhate hain jajbat ki.
Hoton par mohabbat ke fasane nahi aate
Sahil par samander ke khajane nahi aate,
Palkein bhi chamak udhati hain sote mein hamari
Aankhon ko abhi khwab chhupane nahin aate,
Dil ujadi huyi ek saray ki tarah hai
Ab log yahan raat bitane nahi aate.
Sannata chupke chupke kahta kya hai
Sari duniya kiska rain basera hai,
Aasman ke dono kono ke aakhir
Ek sitara tera hai ek sitara mera hai,
Anda machhli chhukar jisko paap lage
Unka poora hath lahoo mein duba hai,
Ahista ahista dil par dastak do
Dhire dhire dil ka darwaja khula hai,
Sari raat lihafon mein royi aankhein
Sab kahte the rista nata jhutha hai.
Meri zindagi bhi meri nahi yeh
Hajar khano mein banti gayi,
Mujhe ek muthi jamin de
Yeh jamin kitni simat gayi,
Teri yaad aaye toh chup rahu
Jara chup rahu toh gajal kahu,
Yeh ajib aag ki bel thi
Mere tan badan se lipat gayi,
Mukhe likhne wala likhe bhi kya
Mujhe padhne wala padhe bhi kya,
Jahan mera naam likha gaya
Wahin par roshnayi ulat gayi.
Phool barse kahin sabnam kahi moti barse
Aur is dil ki taraf barse toh pathar barse,
Barishein chhat par khuli jagah par hoti hai magar
Gham woh sawan hai jo in band kamron mein barse,
Koun kahta hai ke rango ke fariste utrein
Koi bhi barse magar is bar toh ghar ghar barse,
Hum jaise majbur ka gussa bhi ajib badal hai
Apne hi dil se uthe apne hi dil pae barse.
Jo na hoti mohabbat ye aansu na hote,
Dil bhi na khota aaj tanha na rota,
Diwano si apni ye halat na hoti,
Agar jahan mein kambakhat,
Kaash ye mohabbat na hoti
Koi hal na koi jawab hai
Yeh sawal kaisa sawal hai,
Jise bhool jaane ka hukam hai
Use bhool pana muhaal hai,
Huyi jard phoolon ki bastiya
Magar usmein teri khata kahan.
Har Bejuban Gull Mein Mahkane Lage Hain Hum,
Pise Gaye Toh Aur Mahkane Lage Hain Hum,
Garibi Bura Nasha Hai Isi Ka Asar Na Ho,
Ab Baat Baat Par Jo Bahkane Lage Hain Hum,
Mitti Ki Baas Apne Sarir Ki Badan Ki Bandi Thi,
Yeh Tera Paas Aana Hai Ki Mahkane Lage Hain Hum.
Hamne Dhunde Bhi Toh Dhubde Hain Sahare Kaise,
In Sharabo Par Koi Umar Gujare Kaise,
Hath Ko Hath Nahi Sujhe Woh Andhkar Thi,
Aa Gaye Haath Mein Na Jaane Sitare Kaise,
Har Taraf Shor Usi Naam Ka Hai Duniya Mein,
Koi Usko Jo Pukare Toh Pukare Kaise.
Rang, Duniya Ne Dikhaya Hai Nirala Dekhu,
Hai Andhere Mein Ujala Toh Ujala, Dekhu,
Aaina Rakh De Mere Saamne, Aakhir Main Bhi,
Kaisa Lagta Hai Tera Chahne Wala, Dekhu,
Kal Talak Woh Jo Mere Sar Ki Kasam Khata Tha,
Aaj Sar Mera Usne Kaise Uchhala, Dekhu,
Mujhse Majhi Mera, Kal Raat, Saham Kar Bola,
Kis Tarah Maine Yahan Khud Ko Sambhala, Dekhu,
Jiske Aangan Se Khule The Mere Saare Raste,
Us Hawali Par Bata Main Kaise Tala Dekhu.
Na Jaane Yeh Kaisa Hai Mola, Dastoor E Mohabaat,
Woh Door Rahkar Bhi Dil Ke Karib Rahta Hai,
Har Koi Jaanta Hai Milenge Ismein Jakham, Fir Bhi,
Har Koi, Yaar Ka Diya Dard, Hans Kar Sahta Hai.
Aapko Apne Jakham Dikhana Chahta Hu Main,
Magar Kya Karun Bahut Hi Door Hain Aap,
Aapko Chahta Hu Banana Sathi Apna,
Magar Maanta Hu, Rashmo Ke Haatho Majbur Hain Aap.
Hum Kaise Bhulaye Unko Bhala,
Jo Dil Mein Hamare Rahte Hain,
Jab Unko Apna Samjhte Hain,
Fir Woh Kyu Begana Kahte Hain.
Hamari Mohabbaat Ki Baat Kuchh Is Tarah Se Faili,
Ki Har Ek Ki Labon Par Yeh Jubaani Ho Gayi,
Hum Ne Toh Kiya Tha Aapse Sacha Pyar Magar,
Is Ki Mohabbat Ki Aaj Dekho Kahani Ho Gayi.
Haan Yeh Sach Hai Ke Hum Mohabbat Karne Se Darte Hain,
Kyunki Yeh Pyar Baad Mein Dil Ko Bahut Tadpata Hai,
Apne Chehre Ke Aansu Toh Hum Chhupa Sakte Hain Dosto,
Magar Haal E Dil Duniya Ko Maalun Ho Jata Hai.
Hamein Toh Rog Laga Diya Ishq Ka,
Magar Door Khade Woh Muskurate Hain,
Paas Aane Ke Liye Bhi Kah Diya,
Aur Khud Hi Ab Door Huye Jaate Hain.
Najron Se Najar Mili Aur Unse Pyar Ho Gaya,
Bahut Roka Apne Dil Ko Magar Yeh Bekarar Ho Gaya,
Jab Se Kiya Pyar Tujhse Dil Ka Chain Hai Kho Gaya,
Ho Ke Juda Main Ji Na Saka Jeena Bhi Bhool Gaya.
Oh Mere Pahle Pyar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar..
Oh Shakti Bhare, Anurakti Bhare,
Nas Nas Ke Pahle Javaar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar,
Pavas Ki Pahli Fuharon Se,
Jisne Mujhko Kuchh Bol Diye,
Mere Aansu Muskano Ki,
Kimat Par Jisne Tol Diye,
Jisne Ahsas Diya Mujhko,
Main Ambar Tak Uthh Sakta Hu,
Jisne Khud Ko Bandha, Lekin,
Mere Sab Bandhan Khol Diye,
Mere Geeton Ke Saar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar,
Oh Mere Pahle Pyar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar.
Pyar Ko Jataane Wale Bahut Dekhe Hain Humne,
Magar Pyar Ko Nibhate Dekha Nahi Hai Koi,
Jaan De Denge Aapke Bina Hum Sabhi Kahte Hain,
Magar Jaan Ko Lutata Dekha Nahi Hai Koi.
Aap Ab Aaye Ho Zindagi Mein Hamari,
Jab Hum Sabko Aajma Chuke Hain,
Aap Ab Kahte Hain Ki Pyar Karein,
Jab Hasino Se Dokha Kha Chuke Hain.
Woh Humsafar Ishq Ke,
Uss Dariya Mein Chhod Gaya,
Jis Ka Koi Kinaara Nahi,
Ab Kya Bataun,
Kaise Bataayen Apna Hal E Dil,
Ab Toh Us Ishq Mein Fana Ho Gaya Hu,
Jis Mein Rooh Toh Rahi Par Dil Na Raha.
TTum Savyam Ko Sajaati Raho Raat Din,
Raat Din Main Savyam Ko Jalata Rahu,
Tum Mujhe Dekhkar Mud Ke Chalti Raho,
Main Virah Mein Madhur Geet Gata Rahun,
Main Jamaane Ki Thokar Hi Khata Rahun,
Tum Jamaane Ko Thokar Lagaati Hi Raho,
Zindagi Ke Kamal Par Girun Oss Sa,
Rosh Ki Dhoop Ban Tum Sukhaati Raho,
Kaanto Ki Sajaati Raho Raah Tum,
Main Usi Raah Par Roj Jaata Rahun,
Tum Savyam Ko Sajaati Raho Raat Din,
Raat Din Main Savyam Ko Jalata Rahu.
Jab Se Is Dil Ko Lagaya Hai,
So Bhi Toh Hum Nahi Paate Hain,
Hansana Toh Kab Ka Bhool Chuke Hain,
Aansu Bhi Toh Ab Nahi Aate Hain.
Pyar Hamein Yun Hona Tha So Ho Gaya,
Dil Ko Hamare Khona Tha So Kho Gaya,
Na Tujhse Koi Ranjish Na Koi Shikwa Hai,
Gham Ko Hamara Hona Tha So Ho Gaya.
Yeh Rog Ishq Ka Bahut Bura Hai Dosto,
Aap Is Rog Se Khud Ko Bacha Lena,
Agar Hansi Koi Najrein Milana Bhi Chahe,
Toh Aap Najron Ko Apni Hata Lena.
Kismat Kisi Ki Kisi Se Ruthe Na,
Yeh Saath Kisi Ka Bhi Kisi Se Chhute Na,
Jara Pyar Karna Soch Samajhkar,
Dekhna Dil Kahin Kisi Ka Tute Na.
Fir Se Aa Jaao Zindgani Mein,
Jaise Hota Hai Ek Kahani Mein,
Meri Najron Mein Hakk Hain Dono,
Ashq Mein Dubna Ya Paani Mein,
Fark Kya Hai Ke Dono Royenge,
Tum Budhape Mein Hum Jawani Mein,
Jo The Zinda Teri Wafa Mein Bhi,
Mar Gaye Teri Mahar Baani Mein.
Ajab Apna Haal Hota, Jo Vishaale Yaar Hota,
Kabhi Jaan Sadke Hoti, Kabhi Dil Nishaar Hota,
Na Maja Hai Dushmani Mein Na Lutf Hai Dosti Mein,
Koi Gair Gair Hota, Koi Yaar Yaar Hota,
Yeh Maja Tha Dillagi Ka, Ke Barabar Aag Lagti,
Na Tumhe Karar Hota, Na Hamein Karar Hota,
Tere Waade Par Sitamgar, Abhi Aur Sabr Karte,
Agar Apni Zindagi Ka Hamein, Eitbaar Hota.
Main Toh Yeh Bhi Nahi Kah Sakta,
Ki Is Mein Galti Mere Yaar Ki Hai,
Bewafa Bhi Usko Main Kahun Kaise,
Kyun Ki Toheen Yeh Mere Pyar Ki Hai.
Unko Malum Nahi Hai Mohabbat Ka Matlab Shayad,
Is Mein Toh Begano Ko Bhi Apna Liya Karte Hain,
Khud Bhale Kitne Bhi Gham Pade Sahne Magar,
Doosron Ko Bas Khusi Hi Diya Karte Hain.
Khuda Ka Sukr Karta Main,
Ki Usne Aapko Hum Se Mila Diya,
Yeh Alag Baat Hai Eh Mere Dost,
Aapne Darde Dil Hamara Badha Diya.
Bas Itna Hi Bahut Hai Hamare Liye Eh Ajij Mere,
Ki Aapki Jubaa Par Naam Hamara Aaya Toh Tha,
Aapne Bhi Ki Thi Hamse Mohabbat Eh Yaar Mere,
Mere Dil Ko Kabhi Mohabbat Mein Dhadkaya Toh Tha.
Yeh Sach Nahi Hai Eh Mere Ajij Dost,
Ki Humne Kabhi Bhi Yahan Pyar Nahi Kiya,
Pyar Toh Humne Bhi Kiya Tha Kisi Se Magar,
Yeh Sach Ahi Ki Kabhi Ijhaar Nahi Kiya.
Apni Is Zindagi Ke Baare Mein Sochkar,
Na Jaane Kyu Mera Dil Bekarar Hone Laga,
Log Toh Darte Hain Mout Ke Paas Aane Se,
Magar Humko Ko Mout Se Pyar Hone Laga.
Main Jeeta Raha Hun Ghut Ghut Ke Yaaro,
Mujhe Ab Jeene Ki Tamanna Nahi Hai,
Yeh Jo Humne Kiya Hai Pyar Tumse,
Yeh Dil Ki Lagi Hai Dilaagi Nahi Hai.
Koi Bhi Insan Jahan Mein Hamein Sachha Nahi Lagta,
Dar Dar Bhatkna Pyar Mein Hamein Achha Nahi Lagta,
Mali Ne Kaha Tha Ki Aur Bhi Hain Phool Chaman Mein,
Magar Kya Karein Har Phool Hamein Achha Nahi Lagta.
Aisi Kardi Hai Tumne Meri Halat Yarab,
Haal E Dil Kisi Ko Suna Na Paaunga,
Tujhse Kiya Hai Wada Tabhi Majboor Hun,
Isi Liye Khud Ko Main Mita Na Paaunga.
Kyun Khyalon Mein Mere Chali Aati Ho,
Soye Armano Ko Mere Phir Jagati Ho,
Tum Ko Bhoola Hoon Badi Mushkil Se,
Kyun Zinda Laash Ko Yun Tadpati Ho,
Beshumar Mohabbat Liye Baitha Hun,
Bar-Bar Kyun Imtehaan Liye Jaati Ho,
Ek Wada Tha Kiya, Na Ruswa Karne Ka,
Jan Le Meri, Kyun Ruswa Huyi Jaati Ho,
Na Aayega Sagar Kabhi Teri Rahon Mein,
Kyun Garib Pe Be-Eitbaar Kiye Jaati Ho.
Din Ho Bhale Hi Raat Ho,
Bas Yaad Teri Hi Aati Hai,
Kaise Kahu Ke Main Theek Hu,
Yeh Hardam Mujhko Rulati Hai,
Ab Toh Yaaro Khud Se Bhi,
Mujhko Wafa Ki Umeed Nahi,
Mohabbat Aisi Shaii Hai Yaaro,
Jise Sakte Kabhi Kharid Nahi.
Kya Karein Hamari Fitrat Hi Aisi Hai,
Jo Har Kisi Se Pyar Kar Lete Hain,
Tabhi Toh Dokha Khate Hain Hum Yahan Par,
Jo Har Kisi Par Aitbaar Kar Lete Hain.
Zindagi Ko So Baar Aajmaya Hai Humne,
Har Baar Mout Ko Hi Kareeb Paya Hai Humne,
Chot Khane Se Kab Baaj Aate Hain Hum Bhi,
Toote Dil Ko Aaj Fir Lagaya Hai Hamne.
Aapki Yahi Adayein Toh Hain Eh Mere Humdam,
Jo Humko Aap Par Marne Ko Majboor Karti Hain,
Magar Yeh Bhi Suna Hai Ke Hote Hain Sabhi Hasin Bewafa,
Aap Bhi Hasin Hain Yehi Baatein Aap Se Door Karti Hain.
Zindagi Ban Gayi Ek Tuta Hua Seesa Meri,
Har Tukde Mein Teri Tasveer Najar Aati Hai,
Main Toh Chal Bhi Nahi Sakta Bin Tere Kabhi,
Fir Kyun Mujhe Manjhdar Mein Chhod Chali Jaati Hai.
Tere Ishq Mein Sab Kuchh Luta Baitha,
Main Toh Zindagi Bhi Apni Ganva Baitha,
Ab Jeene Ki Tamanna Na Rahi Baki,
Saare Armaan Main Apne Dafna Baitha.
Dekho Yaaro Hamein Aawaj Na Dena,
Hum Na Wapas Kabhi Aa Paayenge,
Us Din Manana Yaaro Id Tum,
Jab Hum Duniya Se Chale Jaayenge.
Kis Baat Ka Marham Denge Yaar,
Jab Haal Hamara Na Jaane Koi,
Sab Dekhte Hain Upri Dikhave Ko Hi,
Mere Dil Ka Dard Na Pahchane Koi.
Raat Ki Tanhai Dasti Hai,
Yaar Ki Bewafayi Hasti Hai,
Pyar Mein Mila Jo Tohfa,
Humko Ko Woh Ruswayi Dasti Hai.
Na Dil Hota Na Lagate Yaaro,
Yeh Jeevan Hans Kar Bitate Yaaro,
Hansane Par Aa Jaate Hain Aansu,
Hamein Aise Toh Na Tadpaate Yaaro.
Woh Khwabo Mein Aakar Rulate Hain,
Hakikat Mein Na Aakar Tadpaate Hain,
Jinko Hum Samjhaya Karte The Kabhi,
Woh Log Aaj Humko Samjhate Hain.
Hum Pyar Aapse Karte Hain Dil O Jaan Se Sanam,
Is Baat Ka Aapko Aitbaar Kyu Nahi Aata,
Na Jaane Kaisa Pather Hai Yeh Dil Bhi Aapka,
Aap Ko Hum Par Kabhi Bhi Pyar Kyu Nahi Hota.
Bas Ek Tere Khwab Se Inkar Nahi Hai,
Dil Varna Kisi Shay Ka Talabgar Nahi Hai,
Aankhon Mein Hansi Khwab Toh Hain Aaj Bhi Lekin,
Tabir Se Ab Koi Sarokar Nahi,
Dariya Se Abhi Tak Hai Wohi Rabt Hamara,
Kasti Mein Hamari Koi Patwar Nahi Hai,
Hairat Se Naye Sahar Ko Main Dekh Raha Hun,
Deewar Toh Hai Saya Eh Deewar Nahi Ahi,
Is Bajm Ki Ronak Toh Jara Gour Se Dekho,
Lagta Hai Yahan Koi Dil Aajar Nahi Hai,
Aaye Ho Numaish Mein Toh Zara Dhyan Bhi Rakhna,
Har Shay Jo Chamkati Hai Chamkdar Nahi Hai,
Kyu Itna Hamein Apni Mohabbat Par Yakin Hai,
Duniya Toh Mohabbat Ki Talabgar Nahi Hai.
Tere Jaane Ke Baad Sanam Mere,
Sochta Hun Ke Kaise Jiyunga Main,
Tujhse Kiya Hai Isi Liye Wada,
Yeh Judai Ka Zahar Bhi Piyunga Main.
Ishq Chhupta Hai Chhupane Se Kahan,
Yeh Khud Be Khud Samne Aata Hai,
Nahi Bachta Is Se Koi Bhi Kabhi,
Yeh Sab Ko Hi Bada Tadpata Hai.
Woh Sangdil Hain,
Harjaai Hain,
Yeh Hum Bhi Jaante Hain,
Woh Duniya Mein Sab Se Bura Hai
Yeh Hum Bhi Jaante Hain,
In Buraiyon Ke Baavjood Bhi ,
Poojate Hain Unko,
Kya Karein Majbur Hain,
Dil Se Use Khuda Mante Hain.
Dekhte Hi Dekhte Yeh Zindagi Gujar Jaayegi,
Jo Ghadiya Beet Chuki Hain Dubara Nahi Aayengi,
Kah Toh Diya Ke Bhool Jaayenge Tum Ko,
Jaanta Hun Magar Unki Yaad Bahut Tadpayengi.
Ab Toh Hansna Bhi Raaas Nahi Aata,
Hanste Hanste Bhi Aansu Chhalak Aate Hain,
Main Khud Nahi Jaanta , Kyun Mere Mola,
Mujhe Gham Hi Kyun Sada Itne Bhate Hain.
Aapne Diye The Jo Pyar Ke Lamhe,
Un Lamhon Ka Karz Chuka Na Paayenge,
Aapne Bhale Bhula Diya Hi Hamein,
Magar Hum Kabhi Bhi Bhula Na Paayenge.
Kya Lena Mujhko Duniya Se,
Mujhe Tujhse Hi Bas Kaam Hai,
Tere Dil Ki Mujhko Khabar Nahi,
Mere Dil Mein Bas Tera Naam Hai,
Woh Mujhko Rulakar Hans Diya,
Mera Dil Thukrakar Hans Diya,
Meri Jholi Bhar Kar Kaanto Se,
Mujhe Paas Bithakar Hans Diya.
Dekhna Wafa Ka Jab Bhi Sawal Aayega,
Tab Usko Mera Hi Khyal Aayega,
Magar Zindagi Ki Kabhi Woh Sham Hogi,
Tab Mujhko Us Khuda Par Malal Aayega.
Sab Kuchh Bhulaya Uski Yaad Mein,
Khud Ko Bhi Mitaya Uski Yaad Mein,
Agar Hai Kuchh Baki Toh Sirf Yaad Uski,
Khud Ko Kabar Mein Sulaya Uski Yaad Mein.
Mujhe Bhool Jana Koi Gham Na Karna,
Mere Baad Aankhon Ko Tum Nam Na Karna,
Kisi Aur Ka Thaam Lena Tu Daman,
Mere Baad Jholi Ko Phoolon Se Bharna.
Har Basti Hai Meri, Yeh Nagar Mera Hai,
Yeh Baat Alag Rahne Ko Na Ghar Mera Hai,
Hai Toh Sisha Ise Pathar Se Bhi Takrata Hun,
Chot Khakar Bhi Na Tuta Aisa Jigar Mera Hai,
Mujhe Har Sakal Mein Woh Sakal Najar Aati Hai,
Manzile Khuda Kahte Jise bih Dagar Mera Hai,
Mubarak Ho Tujhe Aab E Hayat Ke Jharne,
Pi Gaya Sukraat Jise Aisa Zahar Mera Hai.
Band Aankhon Mein Woh,
Khuli Aankhon Mein Woh,
Har Taraf Dekhi Jhalkiyan Humne,
Raahen Hayat Par Kaante,
Manjaar Par Phool,
Sadiyon Se Ki Yeh Galtiyan Humne,
Paane Ko Fakiri Aalam,
Mita Li Hastiyan Humne,
Chiaragon Ko Jalane Mein,
Jala Li Bastiyan Humne.
Jeete Hain Na Chain Se Na Mar Sakte Hain,
Kyoki Wada Jo Kiya Hai Maine Tujse,
Na Yaha Voh Pyari Si Bahare Hain,
Na Yaha Voh Pyari Si Chahat Hain,
Na Yaha Voh Bahti Nadiyan Hain,
Na Yaha Voh Nila Aasmaan Hain,
Ye Sab Kuch Bhi Nahi Hai Tumhare Bina,
Tujse Hi To Judi Sari Muskan Meri Hai,
Ab Aakhri Gujarish Hai Meri Tujhse,
Bhul Ja Tu Mujko Ki Mera Bhulna Aasan Ho Jaye.
Chhod Aayi Thi Main Tera Voh Shaher,
Soch Ke Yeh Ki Bhul Jaungi Tujhe Main,
Par Itni Door Aakar Bhi Na Bhul Payi Main Tujhe,
Soch Ke Yeh Ki Tadpaungi Tujhe Main…
Par Tadapati Rahi Main Khud Itni,
Jaise Shama Jalti Hai Parvane Ke Liye,
Kash Samja Hota Tune Pyar Ko Mere,
Na Aaj Hum Tum Dono Is Halat Me Hote.
Bewafa Jahan Ki Bewafayi Raat Aayi,
Mere Pyar Ki Wafayi Na Raas Aayi,
Eh Sanam Kyamat Tak Hamein Yaad Rakhoge,
Ke Tum Bhi Kabhi Pyar Ko Tadpoge.
Abke Baras Woh Nahi Aaye Bahar Mein,
Gujrega Ab Ek Baras Intezar Mein,
Tute Dil Mein Teri Mohabbat Tera Khyal,
Khush Rang Ho Bahar Ke Gujri Bahar Mein,
Chand Lamhe Hamein Pyar Ke Udhar De De,
Ki Marne Se Pahle Hamein Jhuta Karar De De,
Kuchh Der Hi Teri Yaad Mere Dil Se Mit Jaaye,
Yahi Soch Kar Tu Thoda Sa Sharab De De.
Afsos Hai Hamein Us Ghadi Ka,
Jab Tumse Dil Laga Baithe,
Tere Pyar Ki Khatir Eh Sandil,
Hum Apni Har Khusi Ganva Baithe,
Agar Tujhe Bhulana Aasan Hota,
Toh Kab Ke Bhula Dete,
Agar Mere Dil Mein Tera Naam Na Hota,
Toh Kab Ka Is Dil Ko Jala Dete.
Chand Ki Tarah Chamkate Husn Humne Dekhe Hain,
Ishq Mein Kayi Dil Tadpate Dekhe Hain,
Jo Noor Apni Aankhon Ka,Mahboob Ko Bata Dete Hain,
Woh Aasiq Humne Benoor Tadpate Dekhe Hain.
Dil Ke Jakhmon Ki Dava Mahboob Hi Hota Hai,
Aashiq Ke Labo Ki Dua Mahboob Hi Hota Hai,
Dil Ki Khusiyon Ki Barat Mahboob Hi Hota Hai,
Aashiq Ke Sar Ka Kafan Mahboob Hi Hota Hai.
Jab Meri Yeh Dastaa Unke Haathon Mein Aayegi,
Unki Woh Bewafayi Fir Raas Kaise Aayegi,
Mera Toh Sirf Bas Naam Rah Jaayega,
Unka Shado Sukun Fir Sham Sahar Jaayega.
Ae Khuda Salaamat Rakhna Unko,
Jo Humse Nafrat Karte Hain,
Pyar Na Sahi Nafrat Hi Sahi,
Kuchh To Hai Jo Wo Sirf Humse Karte Hain.
Kya ho agar aapka pyar aapse door chala jaye,
Phir naa kabhi wo zindagi me paas laut kar aaye,
Chhupke sabse chori se fir dil ye bahut rota hai,
Sach hai dosto kisi ko bhulana aasan nahi hota hai.
Dost Bankar Is Kadar Dushmani Ki Hai,
Jaise Naajuk Aaine Se Dillagi Ki Hai,
Jo Ik Najar Dekhne Se Hi Bikhar Gaya,
Yun Rokar, Basar Humne Zindagi Ki Hai.
Meri Mahbooba Hum Tumko Salaam Karte Hain,
Fir Bhi Aap Hamein Yun Badnaam Karte Hain,
Pyar Jatakar Dil Tod Dena Pyar Mein,
Janvaron Se Ghatiya Kaam Yeh Insaan Karte Hain.
Dil Se Tera Pyar Hoga Kam Nahi,
Tum Bewafa Huye To Kya, Aur Ek Gham Sahi,
Aapka Faisla Aapke Karm Karenge,
Sab Kuchh Milega Tumhe Magar Honge Hum Nahi.
Nibha Sakata Hun Main Tamaam Umar Sath Tera,
Magar Apni Zindagi Par Visvaas Nahi,
Mere Marne Par Bhi Rahogi Tum Paas Mere,
Magar Honge Us Waqt Hum Tumhare Sath Nahi.
Laakh Bandisen Laga Le Duniya Hum Par,
Magar Dil Par Kaabu Nahi Kar Payenge,
Woh Lamha Aakhiri Hoga Zeevan Ka Hamara,
Jis Din Hum Yaar Tujhe Bhul Jayenge.
Kitna Chahta Hun Tujhe Yeh Mujhko Pata Nahi,
Magar Tumhare Siva Koi Aur Dil Mein Basa Nahi,
Zamana Dushman Ho Gaya Chahat Ka Hamari,
Juda Ho Gaye Phir Se Hum Yeh Meri Khata Nahi.
Tum Hi Tum Tadpo Na Hamein Tadpaao,
Do Roohein Milne Do Ek Jaan Ban Jaao,
Deti Ho Meri Bhool Ki Itni Badi Saja,
Thukra Ke Mera Pyar Na Ban Jaao Bewafa.
Nazrein Meri Kahin Thak Na Jaayein,
Bewafa Tera Intezaar Karte Karte,
Yeh Jaan Yun Hi Nikal Na Jaaye,
Tum Se Ishq Ka Izhaar Karte Karte.
Ishq kiya tujse mere aitbar ki had thi,
Ishq me de di jan mere pyar ki had thi,
Marne ke bad bhi khuli thi aankhein,
Yeh mere intezaar ki had thi.
Tut jaye khwab to judne ki aas kya rkhna,
Palko ke bhigne ka hisab kya rakhna,
Bas isliye muskura dete hain hum,
Ki apni udasi se kisi ko udas kya rakhna.
Dard-E-Dil mein unka ehsaas nahin hota,
Rota hai Dil mera jab koi pass nahi hota,
Barbaad ho gye hum unki mohabbat mein,
Aur wo kehte hai es tarah pyar nahi hota.
Log mohabbat ko khuda ka naam dete hai,
Koi karta hain toh eljaam dete hain,
Kehte hain patthar dil roya nahi karte,
Or patthar k rone ko jharne ka naam dete hai.
Jb mujhse mohabat hi nahi to rokte kyu ho..?
Tanhayi me mere baare me sochte kyu ho.?
Jab manzile hi juda hai toh jane do mujhe,
Lot ke kab aaoge yeh puchhte kyun ho….?
Zakhm laga kar mere dil pe badi sadgi se,
Mere zakhmi dil ka haal puchhte kyun ho..?
Thukra kar meri mohabbat ko es tarah,
Palat palat kar pyaar se dekhte kyun ho…?
Kuchh alag tha kehne ka andaz unka,
Ke suna bhi kuch nahi or kaha bhi kuch nahi,
Kuch is tarah bikhre unki pyar me hum,
Ki tuta bhi kuch nahi or bacha bhi kuch nahi.
Jane duniya me aisa kyun hota hain,
Jo sab ko khushi de wahi rota hai,
Umar bhar jo sath na de sake wahi,
Zindagi ka pahla pyar kyu hota hai.
Tujhe jana tere qareeb aane ke baad,
Tujhe samjha tujhse dil lagane ke baad,
Gum apna nahi gum to tera hai mujhe,
Koun chahega tuje itna mere jane k baad.
Majburi mein jab koi juda hota hai,
Zaruri nahi ke wo bewafa hota hai,
De kar wo aapki aankho me aansu,
Akele me aapse bhi zyada rota hai.
Meri zindagi mujhe yeh bata,
Mujhe bhul kar tujhe kya mila.?
Meri hasrato ka hisaab de,
Dil tor kar tujhe kya mila….?
Tere chaar din ke pyaar se,
Mujhe umar bhar ka gum mila
Main toot kar bikhar gayi,
Mujhe tor kar tujhe kya mila..
Bazaron ki chahal pahal se roshan hai
In aankhon mein mandir jaisi sham kahan,
Main usko pahchan nahi paya toh kya
Yaad use bhi aaya mera naam kahan,
Din bhar suraj kiska pichha karta hai
Roj pahadi par jati hai sham kahan,
Logo ko suraj ka dhoka hota hai
Aansu bankar chamka mera naam kahan,
Dalano ki dhoop chhaton ki sham kahan
Ghar ke bahar ghar jaisa aaram kahan.
Aaya hi nahi humko aahista guzrana
Sishe ka mukkadar hai takra ke gujar jana,
Taron ki tarah shab ke seene mein utar jana
Aahat na ho kadmon ki is tarah gujar jana,
Nashe mein sambhlane ki ada yun hi nahi aaya
In julfo se sikha hai lahra ke sanvar jana,
Bhar jayenge aankho mein aanchal se bhare badal
Yaad aayega jab gul par shabnam ka bikhar jana,
Har mod par do aankhe humse yahi kahti hain
Jisa taraf bhi mumkin ho tum lout kar ghar jana.
Mujhe bhulaye kabhi yaad karke roye bhi,
Woh apne aap ko bikhraye aur piroye bhi,
Shumar hum na huye un chamkne walon mein
Badan bhi malte rahe roj kapde dhoye bhi,
Bahut gubar bhara tha dilon mein dono ke
Magar woh ek hi bistar par raat siye bhi.
Sukr Hai Khariyat Se Hun Sahab,
Aapse Aur Kya Kahu Sahab,
Ab Samjhne Laga Hu Labh Hani,
Ab Kahan Woh Mujh Mein Junun Sahab,
Hum Tumhe Yaad Karte Ro Lete,
Do Khadi Milta Jo Sukun Sahab,
Sham Bhi Dhal Rahi Hai Ghar Bhi Door Hai,
Kitni Der Aur Main Ruku Sahab,
Ab Jhukunga Toh Toot Jaaunga,
Kaise Ab Aur Main Jhuku Sahab.
Yeh Mujhse Puchhate Hain Doctor Kyu,
Ki Tu Zinda To Hai Ab Tak, Magar Kyu,
Jo Rasta Chhod Ke Main Ja Raha Hun,
Usi Raste Par Jati Hai Najar Kyu,
Sunayenge Kabhi Fursat Mein Tumko,
Ki Hum Barson Rahe Hai Darbadar Kyu,
Yahan bhi sab hai begana hi mujhse
Kahun Main Kya Ki Yaad Aaya Hai Ghar Kyu,
Main Khus Rahta Gar Samjha Na Hota,
Ye Duniya Hai To Main Deedavar Kyu.

1 comment:

  1. Dr. Ashish Badika, the best arthritis & rheumatologist in Indore specialize Myositis, Scleroderma, Gout, Ankylosing spondylitis, Peadiatric Rheumatology, Rheumatoid Arthritis, Psoriatic Arthritis, etc.

    ReplyDelete