Wednesday, November 15, 2017

Hindi Love Shayri

Jinhe Hum Pyar Karte Hain,
Unko Bata Bhi Nahi Sakte,
Dekhiye Majboori Humari Ki,
Unhe Hum Paa Bhi Nahi Sakte.

Aapke Saath Bitaaye Woh Pal,
Hamare Dil Ko Bahlayenge Hamesha,
Aap Bhale Hi Paas Na Ho Hamare,
Magar Yaadon Mein Hamari Aayenge Hamesha.

Ek Aapko Paane Ki Khatir Sanam,
Aap Dekhna Hum Kya Kya Kar Jaayenge,
Bas Aap Yaad Rakhna Apna Wada,
Hum Toh Saare Jahan Se Lad Jaayenge.

Woh Bholi Bhali Si Surat Unki,
Hum Bhool Bhi To Nahi Paaate Hain,
Jab Bhi Yaad Aa Jaaye Unki Kabhi,
Hame Jaante Hain Dil Ko Kaise Samjhate Hain.

Din Ho Bhale Hi Raat Ho,
Bas Yaad Teri Hi Aati Hai,
Kaise Kahu Ke Main Theek Hu,
Yeh Hardam Mujhko Rulati Hai,

Ab Toh Yaaro Khud Se Bhi,
Mujhko Wafa Ki Umeed Nahi,
Mohabbat Aisi Shaii Hai Yaaro,
Jise Sakte Kabhi Kharid Nahi.

Pyar Karta Hun Main Jinko Khuda,
Khush Rakhna Unhe Yeh Fariyad Karta Hun,
Bhale Hi Bhool Gaye Hon Woh Mujhko,
Magar Main Har Pal Unko Yaad Karta Hun.

Laakh Karta Hun Koshish Ki Yeh Na Aaye,
Aa Hi Jaati Hai Kambhakt Yaad Aapki,
Sari Sari Raat Fir Na Deti Hai Sone,
Mere Sanam Pyari Si Baat Aapki.

Laakh Kahta Hun Bhula Diya Maine Tujhko,
Magar Dil Se Mita Na Saka Tasveer Teri,
Magar Aisi Kahan Thi Mere Yaar Takdeer Meri.

Kabhi Na Kabhi To Aayegi Unko Yaad Hamari,
Kya Hua Aaj Jo Humko Woh Bhulaye Baithe Hain,
Jis Din Jis Pal Bhi Aaoge Dekhoge Sanam,
Hum To Aapki Raahon Mein Palkein Bichhaye Baithe Hain.

Mohabbat Aur Kisi Se Bhi Hoti Hai Jamane Mein Dosto,
Jaruri Nahi Ki Hasino Se Hi Pyar Kiya Jata Hai,
Aankhon Aankhon Mein Bhi Ho Jaati Hai Baatein Kai Aksar,
Jaruri Nahi Hamesha Aankhon Se Hi Ajhar Hota Hai.

Tum Puchhte Ho Dil Kyu Bharta Hai Aahein Mera,
Hum Kahte Hain Ke Koi Isko Bhi Samjha De,
Aakar Tum Hi Puchh Lo Jo Tum Janana Chahte Ho,
Ki Kya Hua Hai Yeh Shayad Tum Ko Hi Bata De.

Chup Rahte Hain Ke Koi Khata Na Ho Jaaye,
Humse Koi Ruswa Na Ho Jaaye,
Badi Muskil Se Koi Apna Bana Hai,
Milne Se Pahle Hi Juda Na Ho Jaaye.

Jab Mohabbat Ki Daastan Dil Sunayega,
Humko Koi Bichhuda Sathi Yaad Aayega,
Hum Bhool Jaayenge Zindagi Ke Ghamon Ko,
Jab Saath Gujra Vakt Yaad Aayega.

Kismat Se Apni Sabko Sikayat Kyu Hoti Hai,
Jo Nahi Milta Usi Se Mohabbat Kyu Hoti Hai,
Kitne Khade Rahte Hain Raahon Mein Dil Ki Fir Bhi,
Dil Ko Usi Ki Mohabbat Kyu Hoti Hai.

Sitaron Ki Mahfil Dekhkar,
Pyar Ki Mahfil Yaad Aati Hai,
Chand Ko Falak Mein Dekhkar,
Mahboob Ki Yaad Aati Hai.

Kaash Is Dil Ki Aawaz Mein Itna Asar Ho Jaye,
Hum Aapko Yaad Karein,
Aur Aap ko Khabar Ho Jaye,
Khuda Se Maangte Hain Ki Aap Jise Bhi Chaho,
Wo Zindagi Ki Raah Mein Apka Humsafar Ho Jaye.

Unki Yaad Mein Sab Kuchh Bhula Baithe Hai,
Chirag Khusiyo Ke Jalye Baithe Hai,
Hum To Marenge Unki Bahon Mein,
Ye Maut Se Sart Lagaye Baithe Hai.

Hasi Ke Raste Pe Chala Karo,
Khushiyo Ki Mahak Liya Karo,
Pyar Se Dilon Ko Chuha Karo,
Jahan Tumhe Gum Nazar Aaye,
Is Nacheez Ko Yaad Kiya Karo,

Har Kali Tujhse Khushboo Udhar Mange,
Aftab Tujhse Noor Udhar Mange,
Rab Kare Tu Dosti Aisi Nibhaye
Ki Log Teri Dosti Udhar Mange.

उम्र की राह में रास्ते बदल जाते हैं,
वक़्त की आंधी में इंसान बदल जाते हैं,
सोचते हैं तुम्हें इतना याद ना करें लेकिन,
आँख बंद करते ही इरादे बदल जाते हैं।

Umar Ki Raah Mein Raste Badal Jate Hai,
Waqt Ki Aandhi Me Insan Badal Jate Hai,
Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare Lekin,
Ankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hai.

Dil Se Aapka Khayal Jata Nahi,
Aapke Siva Koi Yaad Aata Nahi,
Ji Chahta Ki Aapko Roj Dekhu Par,
Wo Waqt Kabhi Aata Nahi.

Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badhte,
Dur Hone Se Ehsas Nahi Marte,
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nzhi Jab Hum Apko Yaad Nahi Krte..

Sagar Main Gehraayi Hoti Hai,
Yaadon Main Tanhayi Hoti Hai,
Is Busy Life Main Kaun Kisko Yaad Karta Hai,
Aur Agar Karta Hai To Uski Yaado Main Sachhayi Hoti Hai.

Bheegi Palkon Ke Sang Muskurate Hain Hum,
Pal Pal Dil Ko Kuch Aur Behlate Hain Hum,
Tu Door Hai Humse To Kya Hua Mere Dilbar,
Har Saans Mein Teri Aahat Paate Hain Hum.

Yaad Aane Wale Yaad Aaye Ja Rahe Hain,
Mere Khyalon Kee Duniya Par Chaye Ja Rahe Hain,
Hum Kuch Keh Rahe Hain Par Wo Chup Hain,
Bas Mera Khat Padh Kar Muskuraye Ja Rahe Hain.

ज़िन्दगी के हर लम्हो में उन्ही को पाते हैं,
भूल जाएं खुद को पर उन्हें नहीं भुलाते हैं,
जाने क्या बात है उनमे ऐ खुदा,
जितना भूलते हैं वो उतना याद आते हैं.

Zindagi Ke Har Lamhon Mein Unhi Ko Paate Hain,
Bhool Jayein Khud Ko Par Unhe Nahi Bhulate Hain,
Jane Kya Baat Hai Unme Ae Khuda,
Jitna Bhulate Hain Wo Utna Yaad Aate Hain.

Tanhai Mein Hum Teri Taakte Hain Raahein,
Tumhe Dekhne Ko Taras Jati Hain Nigahein,
Bekhudi Ka Ab Yeh Aalam Hai Kaisa,
Tumhe Yaad Karke Nikal Jati Hain Aahein!

Unki Yaadon Ko Abhi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun,
Haye Main Kis Zalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun,
Inhi Raahon Se Aayenge Bhale He Baad Mere Marne Ke,
Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun!

Yaad Aa Rahe Hai Din Or Raat,
Karte The Jab Hum Aapki Baat,
Khush Ho Lete The Gam Bantkar,
Acha Lagta Tha Tab Tera Sath.

Kuch Yadon Ke Silsile Le Kar Chal Pade Hai,
Manjil Pa Jayenge Hum Bhi Waqt Aane Par.
Duriya Mita Na Sakengi Dil Par Jo Hai Nishan,
Ishq Mera Hi Jitega Uske Aajmane Par.

Sirf Yaad Ban Kar Na Rah Jaye Pyar Mera,
Kabhi Kabhi Kuch Waqt Ke Liye Aya Karo,
Meri Dolat He Jo Sambhal Ke Dil Main Rakhta Hu,
Mere Agar Aap Nahi Aap Sakte To Kuch Yaden Hi De Jaya Karo.

Yaadein Do Dilon Ke Faasle Ko Kaam Karti Hai,
Zindagi Aap Jaise Doston Par Naaz Karti Hain,
Mat Ho Udas Ke Aap Dur Hain Humse Kyun Ke..
Duriyan Hi Rishton Ko Aur Khas Karti Hain.

Agar milti mujhe do din ki Baadsahat,
Ae Dost
.
.
.
To Hamari Riyast Me Tere Naam Ke Sikke Chala Karte..

Zindgi tum ho ..
Tum he mohabbat aur tanhai ho ..
Baad jamane k pass mere kyy aye ho ..
Hum to safar pe hai chal k yuhe ruk jate hai ..
Kah nahi sakta tum ho ya parchhai ho.

Arzu nahi k gam ka tufan tal jaye,
Fikar to ye hai tumhara dil na badal jaye,
Kabhi mujhko agar bhulana chaho to ek ehsan karna ,
Dard itna dena ki jaan nikal kaye.

Dosti karna hame bhi sikhao,
Dil ke kisi kone me hame bhi bithao,
Ham tumhare dil me hain ki nahi,
Zuban se na sahi SMS se to batao.

Kambakht ye pyar kyu hota hai,
Kis vajah se dil ye rota hai,
Na jane kya chahta he uper wala humse,
Jiski chahat hoti he mujhe dil us hi ko khota hai.

Kyo yaad aati ho dil dukhane ke baad,
Kyo dur jati ho pass aane ke baad,
Humne to bahut chaha hai dil se tumko,
Fir kyu aansu de jati ho yaad aane ke baad.

Ye dil bda kamjor hai ise koi samjhata nahi,
Ye tumse pyar bahut karta hai par keh pata nahi,
Darta hai kahi tumne ise thukra na do,
Kyuki ek tum hi ho jiske bina ye rah pata nahi.

Kisi Ko Zyada Aazmaya Nahi Karte…
Apno Ko Kabhi Sataya Nahi Karte…
Chahne Wale Bhi Waqt Ke Lamho Ki Tarah Hote Hain…
Beet Jaaye To Laut Ke Aaya Nahi Karte..

Yaad ap ko kuchh is trah karte hain,
Ki ap ki yaado mein hi khoye rahte hain,
Kab gujar jati hain din aur rate,
Fir bhi ap ki khyalo me jagte hue hi soye rahte hain.

Duniya me sabhi hain ajnabi,
Hum hain aap ke liye ajnabi,
Aap hain mere liye ajnabi,
Ye ajnabi hi ban jate hain zindgi,
Kyuki ajnabi se hi hoti hai mohabbat aur dosti.

Rahenge tere dil me hardam,
Humara pyar kabhi na hoga kam,
Chahe kitni bhi aaye zindgi me khusiyan aur gum,
Rahenge hum dono sath sath hardam.

Album to meri hai magar tasveer teri hai,
Aadhi khali hai aur aadhi bhari hai,
Teri tasveer khojta hun magar nahi milti,
Shayad aadhi ko jis ki talas hai,
Dost wo tasveer teri hai.

Tera hi ishq hai meri bandag…
Mujhe aur kuch to khabar nahi..
Tujhe dekh kar dekhun aur kahin..
Ab mere paas wo nazar nahi..!!!

Bahut ajeeb hai yeh bandhishe Mohabbat ki ..
Na us ne Qaid mein rakha ..
Na hum Farar huye.
Chand bhi tanha,
Raat bhi tanha,
Aur tanha meri Zaat hai,
Phir Toot ke ye yaad aaya,
Ajeeb December ki ye Raat hai.

Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangti Hoon..
Tumhari Salamti Ki Hamesha Dua Mangti Hoon..
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori..
Bass Ye Chaahti Hoon Aur Tumhari Khushi Maangti Hoon.

Aadhi raat ko sapna aa jaata hai,
Phir sona mushkil ho jaata hai,
Khuda ki kasam yaaro maine pyar nahi kiya,
Ye pyaar to apne aap hi ho jaata hai…

Teri aankhe samundar ki tarah gahri hain sathi..
Yun to tairna aata hai mujhko par..
Unme dub jaane ka maza kuchh aur hai.

Tum mujhe kabhi dil to ..
Kabhi aankho se pukaro,
Ye hontho ke tabassum to ..
Jamane ke liye hain.

Kitne Ghuroor Me Hai Wo,
Mujhe Tanha Chod Kar..
*
*
Ae Dost
*
*
Kyun Ki Use Maloom Hai,
Mere Paas Koi Aur Nahi Hai Us K Siwa..

दिल की धड़कन रुक सी गई,
सांसें मेरी थम सी गई,
पूछा हमने दिल के डॉक्टर से तो पता चला,
कि सर्दी के कारण आपकी यादें दिल में जम सी गई।

Dil ki dharkanen ruk c gayi hain,
Saanse meri tham c gai hain,
Pucha humne dil k doctor se to pata chala
Es dil me aapki yaaden.. Sardi ki wajah se jam c gai.

Mere kuch lafz aise hain,
Jo apni band aankhon se,
Tere dil ki her ek tehreer parhte hai,
Woh hain to lafz he lekin,
Woh ek taqdeer rakhtr hai,
Kabhi jo rooth jao tum,
Na mujhse maan pao tum,
To tumko woh manane ki,
Her ek tadbeer rakhte hain,
Mere kuch lafz aise hain.

Kyo yaad aati hai teri,
Kyu plake bheeg jaati hain meri,
Jaha-jaha bhi gire mere aanshu,
Kyun tasveer ban jatti hai teri..

Apna Humsafar Bana Le Mujhe,
Tera Hi Saya Hu Apna Le Mujhe,
Ye Raat Ka Safar Or Bhi Hasin Ho Jayega,
Tu Aa Ja Mere Sapno Me Ya Bula Le Mujhe.

Apane Apane Hausale ..
Apani Talab Ki Baat Hai ..
Chun Liyaa Hamne Unhen ..
Saaraa Jahaan Rahane Diyaa ..

Chupke Se Jo Mangi Hai,
Un Duao Me Tum Ko Pana Hai,
Tum Rooth Ke Mujse Na Jao,
Mujhe Sath Tumhara Pana Hai,
Tum Laut Ke Wapis Aa jao,
Mujhe “Hamsafar” Tumhe Bnana Hai.

Wo kehte hai dil pe bharosa itna nahi karte,
Hum kehte hai mohabbat me socha nahi karte,
Wo kehte hai nazro se door par dil ke paas hoon,
Humne kaha sapno se dil ko behlaya nahi karte.

Kya nasha hai ishq aaj tak samajh na paye hum,
Un nashili ankho me kahi ho na jayenge gum,
Yun to ishq samajh nahi aata najane kya bala thi ye,
Ke juda hone pe unke yeh ankhe ho gayi hai num.

Tu To Mere Hassi Ki,
Muskan Ban Gayi Hai,
Mere Dil Ke Dhadkan Ki,
Awaj Ban Gaye Hai.

Hum Apne Pyar Ka Ijhar Kar Nahi Sakte,
Aap Ki Na Hui To Yeh Dard Sah Nahi Sakte,
Dil Ko Roj Hum Yehi Samzate Rahate,
Ijhar Nahi Hua To Kya!!
Pyar Unse Kam Nahi Karte.

Hamara Pyar Bhara Dil Aap Ke Paas Hai,
Use Kabhi Nakalne Ki Koshish Na Karna,
Kambakth Yeh Soch Bhi Man Me Kyo Aai Hai,
Hamara Yeh Gunaha, Ae Khuda, Maf Na Karna.

Yeh Dhuan Dhuan Sa Mausam,
Le Aaya Hai Aapki Khushboo,
Dil Mera Bekaraar Hai,
Paas Aakar Pohocha Do Ise Thoda Sukoon.

Tammana Dil Me Aaj Jag Gaye Hai,
Apko Hamare Dil Ki Saree Bate Batau,
Aap Ki Ankhe Bhi Wahi Bayan Karti Hai,
Aai Khuda, Miri Khushi Ka Ijhar Kaise Jatau.

Dil Ko Kabhi Bardash Na Hoga,
Aap Se Door Jana,
Kitne Aasoo Bahenge Akh Se,
Unki Ginte Na Hona,
Dil To Manta Hi Nahi Hai Aap Se Bichadna,
Is Janam Me Nahi Ho Sakata,
Aapko Ko Bhulana.

Jab Kabhi Bhi Tanha Dil Hua To,
Aap Ki Yadon Se Use Bhar Denge,
Aap Se Milna Mushkil Hua To,
Kwabon Me Ane Ka Intejar Karenge

Aaj pyari si subha boli,
Uth dekh kya najara hai,
Maine kaha Ruk pahle use message bhej du,
Jo ise subha se bhi pyara hai.

Phool Do Bar Nahi Khilta,
Janam Do Bar Nahi Milta,
Milne Ko Mil Jate Hai Hazaro,
Magar
Dilse ChahneWala Bar-Bar nahi Milta.

Subha Ka Uzala Sada Apke Sath Ho,
Har Din Hr Pal Apke Liye Khas Ho,
Dilse Dua Nikalti Hai Apke Liye,
Sari Khusiya Apke Pass Ho.

Har Subha Teri Duniya Me Roshni Kar De,
Rab Tere Gam ko Teri Khushi Kar De
Jab Bhi Tootne Lage Teri Sanse,
Khuda Tujhme Shamil Meri Zindagi Kar De.

Raat Guzri Fir Mahekti Subha Aayi,
Dil Dhadka Fir Aapki Yaad Aayi,
Aankho Ne Mahesus Kiya Uss Hawa Ko,
Jo Aapko Chhukar Hamare Paas Aayi.

Kudarat ke karishme mein agar raat na hoti
To khawabo mein yun mulakaat na hoti
Har rishte ki wajah ye dil hi hai
Agar ye dil na hota to koi baat hi na hoti.

Hamne To Kaha Tha Mat Dekho Khwab Hamare,
Tumne Fir Bhi Khwabo Mai Basaya Hamko,
Kar Khud Ki Mohabbat Ko Buland Jara,
Aur Kismat Ke Panno se Chura Lo Hamko.

Tum se Bohat Kuch Kehna Hai Magar !!
Kabhi Tum Nahi Milte Kabhi Alfaz Nahi Milte !!
Ye Doriyan Tu Mita Doon Mein Ek Pal Mein Magar !!
Kabhi Kadam Nahi Chalte Tu Kabhi Raste Nahi Milte !!
Tumhen Pana Chahti Hoon Umar Bhar Ke Liye Magar !!
Kabhi Halat Nahi Milte Tu Kabhi Jazbat Nahi Milte !!

Mohabbat Ada hai uski ..
Aur mera emaan hai,
Usi ke Dil me nahi Hum..
Jo hamari jaan hai.

Zindgi Raaz Hai To Raaz Rehne Do,
Agar H Koi Aitraaz To Aitraaz Rehne Do,
Par Agar Apka Dil Kahe Hume Yaad Karne Ko,
To Dil Ko Ye Mat Kehna Ki Aaj Rehne Do.

Raat Hoti Hai Har Shaam K Baad,
Teri Yaad Aati Hai Har Baat K Baad,
Hamne Khamoos Reh Kar Bhi Dekha Hai,
Teri Awaaz Aati Hai Meri Har Saans K Baad.

Kaise Guzarti Hai,
Meri Har Ik Sham Tere Baghair,
Agar Tu Dekh Le To,
Kabi Tanha Na Chor Mujhe.

Gulab ki mehak bhi fiki lagti hai,
Kaun si khushbu mujhme basa gayi ho tum,
Zindgi hai kya teri chahat ke siva,
Yeh kaisa khwab aankho ko dikha gayi ho tum.

Wo Ankhon ke Samne rehne lga hai aajkal,
Kyun yaad aane lga hai pal pal,
Kyun khoyi khoyi si ye Nazar hai,
Pyaara Lagne lga yeh lamba safar,
Waqt ka Na hosh hai Na darr kisi cheez ka,
Rub-a-ru huyi intezaar tha Jis tasveer ka.

Ae neend zara dhire aa,
Lagta hai unke khwabo me ane ka waqt ho gaya hai,
Is pal ke intezar me, suraj dhal gaya hai,
Yahi waqt hai mulakat ka,
Kya btaye yaaro kitna haseen khwab aaya hai,
Shayad ruthe the wo humse,
Pehli bar kisiko manane me maza aya hai.

Us Ke Bina Ab Chup Chup Rehna Acha Lagta Hai,
Khamoshi Se Dard Ko Sehna Acha Lagta Hai,
Jis Hasti Ki Yaad Mein Din Bhar Aansoo Behte Hain,
Saamne Us Ke Kuch Na Kehna Acha Lagta Hai,
Mil Ker Us Se Bichar Na Jaon Darti Rehti Hoon,
Is Liye Bas Door Hi Rehna Acha Lagta Hai.

Mohabbat se reha hona zarori hogya hai,
Mera tujh se juda hona zarori hogya hai,
Wafa k tajrube karte hua to umer guzri gai,
Zara sa bewafa hona zarori hogya hai,
Meri aawaz tanhai main marti ja rahi hai,
Kisi ka hamnawa hona zarori hogya hai,
Bhanwar main hai kai barson se apni kashti-e-jaan.

“Jise Maine Mohabbat Ki”
“Wo Mohabbat Thi Kisi Aur Ki”,,
“Dhadkan Mere Dil Ki”
“Aur Sansein Kisi Aur Ki”
“Badal Gayi Ye Dunia”
“Wo Dunia Hi Kuch Aur Thi”,,
“Wo Bas Ek Sapna Tha Mera”
“Haqiqat Thi Kisi Aur Ki”

Kaash tu samaj pata k pyar kitna hai,
Use jatane me dard kitna hai,
Log ikrar karke bhi aasu bahaya karte hai,
Hum izhaar kiye bina khoon se nahaaya karte hai.

Mujh Se Yeh Loog Kehte Hain,
Kahan Dil Chor Aaye Ho,

Bhut Chup Chaap Rehti Ho,
Na Banti Ho Na Sanwarti Ho,

Na Koi Baat Karti Ho,
Bhari Mehfil Mian Aksar,

Hamesha Khoye Khoye Rehti Ho,
Uddasi Aankhon Main Le Kar,

Har k Chehre Ko Takti Ho,
Koi Jab Yaad Aata Hai,
To Thandi Aah Bharti Ho.

Teri har baat se mohabbat ki hai,
Tere ehsaas se mohabbat ki hai,

Tu mere paas nahi hai phir bhi,
Teri yaad se mohabbat ki hai,

Main tum ko kis tarha bhool sakta hoon,
Maine teri har ada se mohabbat ki hai,

Kabhi to usne bhi mujhe yaad kiya hoga,
Maine un lamhe se mohabbat ki hai.

Mere mehboob me kyun na tujhe pagal kar doon..
Ban kar pyaas main khud tujhe badal kar doon..
Tu baras jaye shiddat se muhabbat ki ghata ban kar..
Me ban ka nasheb tera khud ko jal thal kar doon..!!

Aarzu thi unki bahon main mera dum nikle..
Kasur unka nahi badnaseeb hum nikle..
Jahan bhi jaye khush rahe wo sada..
Dil se mere dua sada yahi nikle..
Mere hoto ki hasi unke hoto se nikle..
Unke gham ka dariya meri ankho se nikle..
Ye zindagi sada unhe hasati hue nikle..

Mera aitbar kam tha kisi k aitbar k samne,
Mera intzar kam tha kisi k intzar k samne,
De di usne apni chahat kisi aur ko,
Shayad mera pyar kam tha kisi k pyar k samne.

Har mulakaat par waqt ka takaza hua,
Har yaad par dil ka ‘DARD’ Taaza hua,
Suni thi sirf logo se judai ki baate,
Ab khud par beeti to Hakeekat ka andaza hua.

Ab na janengey kabhi hum ki zindagi kya hoti,
Tum hote agar sang to tum zindagi hote,
Saath hote hum to kisi rang mein yeh rangi hoti,
Tum khushi hote to zindagi kitni khush hoti,
Dil ko nahi koi aur phir aaarzoo hoti,
Tum hote mere sab kuch to tum sabhi kuch hote.

Kash Me Aisi Ghazal Likhu Teri Pyar Me,
Tera Aks jhalakta Ho Mere Har Alfaz Me,
Tere Liye Aise Moti Sajau Alfazo Ki Surat Me,
Jis Ka Na Zikr Ho duniya ki Kisi Kitab Me..

Tujhe bhoolna bhi chahoon to bhulaoon kaise..
Teri yaad se apna daaman chhudaoon kaise..
Meri har khushi, har muskaan mohtaaz hai teri..
Tujhko iska ehsaas dilaoon kaise..
Badal ke meri Zindagaani, tu mujhse juda jaye..
Tujhe kho dene ki kasak dil se mitaoon kaise..!!

Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne.

Nikalte hain jab tumhare aansu,
Dil karta hai saari duniya jalla du,
Phir sochti hu ,
Honge tumhare bhi apne kahi,
Tumhe phir se rula na du.

Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai,
Bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,
Yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin,
Mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai.

Hamare rishtey ko dil se juda na karna,
Zindagi main na kbhi ye gunaah karna,
Kuch pal beet jaye tumse baat kiye bina,
Zindagi na beet jaye ye dua karna.

Haste dilo me gham bhi hai,
Muskurati aankhe kabhi nam bhi hai,
Dua karte hai aapki hansi kabhi na ruke,
Kyunki apki muskurahat ke deewane hum bhi hai.

Toote Jo dil to dukh hota hai,
Karke pyar use dil ab bhi rota hai,
‘DARD’ ka ehsas hota hai sirf usko,
Jo Muhabbat ko paane ke baad khota hai.

Muhabbat ka dosto sila kuch nahi,
Ek ‘DARD’ ke Siva mila kuch nahi,
Saare Armaan JAL kar khaak ho gaye,
Log phir bhi kehte hai Jala kuch nahi.

Paheli bar tumne hume itne pyar se dekha ki ..
Hum aap ke baremein sochne lege,
Aur ek bar dekhengein to ..
Pyar ka itbar karne ko sochane lage.

Tujhe jana tere karib aane k baad,
Tujhe samjha tujhse dil lagane k baad,
Tujhe apna gum nahi dukh tera hai,
Kaun chahega tujhe itna mere jane k baad.

Aankhen khuli to nazara Ajeeb tha..
DARD tha magar koi Dil ke kareeb tha..
Jise dhundte rahe hum apne haatho ki lakeero main..
Pata chala WO kisi aur ka naseeb tha..

Na jaane us par itna yakeen kyun hai..
Uska khayal bhi itna haseen kyun hai..
Suna hai pyar ka DARD meetha hota hai..
To Aankh se nikla Aansu namkeen kyun hai..

Kahte hai riste nasa ban jate hai,
Koi kahte hai riste saja ban jate hai,
Per riste nibhao sache dil se to,
Wo riste hi jine ki wajah ban jate hai.

Muhabbat ka jahan naam hota hai..
Rona tadapna DARD wahan aam hota hai..
Khush naseebo ko kabhi muhabbat nahi hoti..
Ye to bad Naseebo ka hi kaam hota hai..

Kash Tum Samjh ,
Kitna Chah Hai Tumko,

Kitna Dhonda Hai Tum Ko,
Kis Qadar Muhabbat Hai,

Kis Qadar Zarorat Hai,
Kash Tum Samjh Pate,

Jaan Ye Tumhari Hai,
Her Khushi Tumhari Hai,

Dil Lagi Tumhi Se Hai,
Zindagi Tumhi Se Hai,

Rooh Ki Zarorat Ho,
Meri Tum Muhabbat Ho,
KASH TUM SAMJH Pate.

Ek mitha sa ehsas huya abhi-abhi,
Esha laga apne yaad kiya abhi-abhi,
Etna to yakin hai dil ko her waqt na sahi,
Per hum yaad to aate honge apko kabhi-kabhi.

Tum hasso to kushi mujhe hoti hai,
Tum rutho to ankhe meri roti hai,
Tum door jao to bechaini mujhe hoti hai,
Mehsoos karke dekhlo pyar aisa hota hai.

Jaha dekhu samne nazaar ati ho tum,
Pyaar ki parichayiyo se hamesha yaad ati ho tum,
Mere Khwaboo ki duniya me rehti ho tum,
Mere pass ake muskurati ho tum,
Mohabat ki in raho me aake tadapati ho tum,
Pyaar hume de kar door cheli jati ho tum.

Inkaar bhi tum ho, Ikraar bhi Tum ho,
Meri zindagi ka, pehla pehla pyaar Tum ho,

Aaati ho khwaabo mein muskurate huye,
Shayad !! Mere khwaab ki taaabir Tum ho,

Kabhi Surkh,kabhi Zard,kabhi Sabz rang mein
Gulshan ke har Gul ke rango mein Tum ho,

Girti huweee Zulf teri, Jaise ho Aabshaar,
Fanoos se girte huye Jharno mein Tum ho,

Gazaali Aankhein udhjaye teri, to ho jaye Sawera,
Taab-e-Aftab mein , to kabhi Mahtaab mein Tum ho,

Teri ek nazar humpar bhi Inayaat ho jaye ! Sabaa !!!
Meri dhadkan, meri Rooh, mere Khoon ke katro mein Tum ho !!!

Dhadakte huye dil ka qaraar ho tum,
Inn saji mehfilon ki bahaar ho tum,
Tarasti huyi nigaahon ka intezaar ho tum,
Naz(naam) ki zindagi ka pehla pyar ho tum.

Dekha Hai Tuje Meri Ankhoon Ne,
Chooa Hai Tuje Meri Hontoon Ne,
Hum Ne To Kuch Nahi Kiya Sanam,
Pyaar Kiya Hai Tuje Mere Hathoon Ne.

Sawaal Paani Ka Nahin,
Pyaas Ka Hai,
Sawaal Maut Ka Nahin,
Saans Ka Hai,
Dost To Duniya Mein Bahut Hai Magar,
Sawaal Dosti Ka Nahin Pyaar Ka Hai.

Tum Mera Pyaar Bhi Meri Chahat Bhi,
Is Dil Ki Dhar Kan Or Karar Bhi Tu Hai,
Mere Pyaar Ki Tum Hi Manzil Ho,
Is Jahaa Me Sab Se Kaareeb Tu Hai,
Meri Raton Ki Chandni Bhi Ho Tum,
Meri Zindgi Ka Ujala Tum Ho Sanam,
Dil Ki Baaggia Sirf Tum Se Khili,
Mere Gulfam Bhi Tu Gulshan Tu Hai.

Door Hoke Bhi ..
Hamesha Pass Hi Rahunga,
Jo Bass Gaya Hai Dil Pe ..
Usse Kaise Bhula Paungi,
Badalna To Naam Hai Zindagi Ka ..
Karna Hai Yeh Sweeker,
Mere Khyal Se Na Badlega ..
Insaniyat Aur Pyar.

Aaghaaz Hum Ne Kiya Ikhtetaam Tum Kar Do,
Jab Chaaho Mere Jazbon Ko Be Naam Tum Kar Do,
Baat Agar Zarf Ki Hai To Yuon Karo,
Tum Jeet Jaao Har HAAR Mere Naam Kar Do.!

Kise Bataye Tumhe Kitna Pyar Karte Hai,
Sochte Hai Kah De Par Kahne Se Darte Hai,
Kahi Dosti Ka Rista Tut Na Jaye Hamara,
Bas Isliye Ham Chup Raha Karte Hai.

Tumhari Har Ada Har Baat Pe Fida Hu Mein,
Tumse Bahut Kareeb Hoke Bhi Judaa Hu Mein,
Tumhare Chale Jaane Pe Bhi Zindaa Hu Mein,
Bas Isi Baat Pe Aaj Sharmindaa Hu Mein.

Apke Pyar Ki Inayat Chahiye,
Dil Hai Beghar Usse Ek Ghar Chahiye,
Bas Yuhi Sath Chalte Raho E-Dost,
Ye Sath Hume Umar Bhar Chahiye.

Har Jaga Baithna Intizar Nahi Hota,
Har Khamoshi Ka Matlab Inkar Nahin Hota,
Nazrain To Har ek Se Milti Hain,
Har Nazar Ka Milna Pyaar Nahin Hota.

Thora Likhti Ho Kya Khoob Likhti Ho,
Choti Si Soch Kamal Zahn Rakhti Ho,
Khushi Deni Ya Gham Kya Stock Rakhti Ho,
Manti Nahin Modern Hoon Q Naqab Main Rahti Ho.

Main Karta Raha Tujh Se Pyar Ka Izhar,
Tu Todti Rahi Mera Dil Bar Bar,
Tadapta Raha Main Teri Ek Haan Ke Liye,
Aur Ye Zamana Hansta Raha Mujh Par Har Baar,
Haato Ki Lakiron Ko Bhi Na Tha Gawara,
Meri Kismat Mein Kahan Thi Teri Mohabbat,
Mere Mukaddar Mein Kahan Tha Tera Pyar.

Apko Dekhkar Ye Nigah Jhuk Jayegi,
Khamoshi Har Bat Keh Jayegi,
Pad Lena In Ankhon Mein Apne Pyar Ko,
Apki Kasam Sari Kaynaat Wahi Ruk Jaegi.

Har Waqt Tum Ko Yaad Karta Hu,
Ha Main Tumsein Pyaar Karta Hu,
Kyun Tum Mujhse Khafa Ho,
Main Tumhi Per To Marta Hu.

Usne Kaha Mujh Se Kitna Pyaar Hai ..!
Maine Kaha Sitaron Ka Koi Shumaar Hai ..

Usne Kaha Kaun Tumhe Hai Bahut Azeez ..!
Maine Kaha Dil Pe Jise Ikhtiyar Hai ..

Usne Kaha Kaun Sa Tohfa Hai Pasand ..!
Maine Kaha Woh Sama Jo Ab Tak Udhaar Hai ..

Usne Kaha Saath Kahan Tak Nibhaoge ..!
Maine Kaha Jitni Ye Saanson Ki Taar Hai ..

Usne Kaha Mujhko Yaqeen Aaye Kis Tarah ..!
Maine Kaha Mera Naam Hi Aitbaar Hai..

Nazaro Se Nazar Tum Churao Ge Kab Tak,
Pyaar Apna Aakhir Chupao Ge Kab Tak,
Mere Paigam Aapko Milte Rahaenge Yuhi Sada,
Paigam Mere Mitao Ge Kab Tak.

Maat Roko Iss Behte Dard Ko,
Saza Hai Ye Kisi Ke Intzar Ki,
Keh Lo Inhe Ashk Ya Diwangi,
Ye To Nishani Hai Kisi Ke Pyaar Ki.

Jab Pyar Kisi Se Hota Hai,
To Dil Tanhaiyo Ko Rota Hai,
Ajab Halat Hoti Hai Pyar Main,
Dil Jagta Hai Na Sota Hai,
Jis K Dil Main Ho Jazbe Sache,
Pyar Usi Ko Hota Hai,
Ye To Pyar Ka Dastoor Hai K,
Koi Milta Hai Koi Becharta Hai.

Khamosh Hoon Main Lekin Inkaar To Nahi Hai,
Meri Nakaamyabi Hai Koi Haar To Nahi Hai,
Hum Tumhe Paa Na Sake To Kya Hoya,
Lekin Sirf Tumhe Paa Lena Pyaar To Nahi Hai.

Payar Karne Ka Bhi Kuch Adaab Huya Karte Hai,
Jaagti Ankhoo Main Bhi Kuch Khwaab Huya Karte Hai,
Ro Kar Dekhe Har Koi Yha Zaroori To Nahi,
Khoshk Ankhoo Main Bhi Saylaab Huya Karte Hai.

Hum Karte Hain Tum Se Pyar Tum Se Hi Pyar Karenge,
Aaj Ye Sari Duniya K Samne Iqraar Karenge,
Kabhi To Jhalak Do Hamari In Tarasti Nighaon Ko,
Phir Shaam O Saher Tumhara Hi Deedar Karenge.

Pyar Kar K Kisi Ko Dhoka Nahi Dena,
Doston Ko Aansuon Ka Tofa Nahi Dena,
Koi Roye Aap Ko Yaad Kar K ..
Zindagi Main Kabhi Esa Mouka Nahi Dena.

Meri Ankh Ka Har Katra,
Tere Pyar Ki Nishani,
Jo Tu Samjhe To Moti,
Na Samjhe To Pani.

Saamne Baithe Raho,
Dil Ko Qaraar Aayega,
Jitnaa Dekhenge Tumhe,
Utnaa Hi Pyar Aayega.

Teri Yaad Dilko Bekarar Karti Hai,
Nazar Tujhe Talash Har Bar Karti Hai,
Gila Nahi Jo Hum Hai Dur Tumse,
Teri To Judaai Bhi Humse Pyar Karti Hai.

Is Duniya Se Tumse Pahle Main Chala Jaaonga,
Aasmaan Par Jakar Ek Aashiyana Banaunga,
Jahan Chand Aur Taare Tumara Kahna Manega,
Wahan Main Tumahare Pyaar Ka Jahan Sajaunga.

Unhe Bhoolne Ki Koshish Ki Maine,
Dil Ne Kaha Yaad Karte Rehna,
Wo Hamare Dard Ki Fariyad Sune Na Sune
Apna To Farz Hai Unhe Pyar Karte Rehna.

Agar Aapki Duniya Aasman Hai,
To Dost Aapke Sitare Honge,
Un Sitaro Me Hame Na Dudhna Kyon Ki,
Aapki Tamanna Puri Karne Wale Hum Tutte Tare Honge.

Socha Tha Pyaar Khushi Ka Paigaam Hai ..
Dil Lagaya Tho Dekha Dard Hi Aam Hai ..
Tune Dard Dekar Pyaar Ki Mithaas Di Hai ..
Ab Bachi Zindagi Hai Woh Bi Tere Naam Hai..!!

Ek Chadar ko Raah-e-mehboob mein bicha dena,
Main mar jau toh use mera kafan bna dena,

Thodi see khaak lana unke kadmo ki meri kabar ke liye,
Ek anshu unka meri kabar par gira dena,

Bohat Royega mujhe dekh kar woh Shaksh,
Isliye der na karna mujhe jaldi se dafna dena,

Lagana ek paudha meri kabar ke sirahne,
Mere yaar ke Anshu us paudhe ko pila dena,

Agar Boht Roye fir bhi woh mere kabar par,
Toh nikalna mujhe waha se aur jala dena.

Tune Mere Mehboob Ko Dekha Hi Kahan,
Agar Tu Dekh Le Soorat Uski Teri Neend Udh Jayegi,
Har Waqt Subah-O-Sham Khayal Uski Hi Aayegi,
Khud Ko Sambhalna Mushkil Ho Jayega Us Waqt,
Jab Wo Aankhein Tere Dil Mein Utar Aayegi,
Tune Mere Mehboob Ko Dekha Hi Kahaan.

Hum apni deewangi se jaane jaate hain,
Wo apni be-rukhi se pehchaane jaate hain.
Roz miltey hai lekin kuch kehte sunte nahi,
Mere saamne wo meri dharkan barhaane aate hain,
Shab-bhar Intzaar me hum taare dekha karte hai,
Sawera hone se pehle wo chand bujhane aate hain.

Aansu apne ap aajate hai ankho me ..
Par hansi lani padti hai ..
Aur mohabbat bhi kya cheez hai yaro ..
Jisse karte hai ussi se chupani pdti hai ..

Mat Poocho Kaise ..
Guzarta Hai Her Pal Tumahre Bina,
Kabhi Milne Ki Hasrat ..
Kabhi Dekhne Ki Tamana.

Tere Naam Se Apna Naam Jod Lu Ae Sanam,
Teri Sanson Me Apni Sanse Jod Lu Ae Sanam,
Thaam Lu Hatho Me Haath Yun Hi Umar Bhar,
Zindgi Ki Sham Ho Jaye Teri Bahon Me Ae Sanam.

Aaj aasman mein tare kam dikhe,
Barish me patte nam dikhe,
Jinki najaro me jagah nahi ti hamare liye,
Khuda ki kasam aaj unki aankho me hum dikhe.

No comments:

Post a Comment