Tuesday, November 14, 2017

Love Shayri In Hindi

Pyaar Karte Hain Tumse Kitna Kabhi Dikha Na Sake,
Tum Kya Ho Hamare Liye Yeh Kabhi Bata Na Sake,
Kya Hu Jo Aaj Tum Sath Nahi Ho Fir Bhi,
Tumhari Kisi Bhi Yaad Ko Hum Bhula Na Sake.

इस कदर हम उनकी मुहब्बत में खो गए!
कि एक नज़र देखा और बस उन्हीं के हम हो गए!
आँख खुली तो अँधेरा था देखा एक सपना था!
आँख बंद की और उन्हीं सपनो में फिर सो गए!

is kadar ham unakee muhabbat mein kho gae!
ki ek nazar dekha aur bas unheen ke ham ho gae!
aankh khulee to andhera tha dekha ek sapana tha!
aankh band kee aur unheen sapano mein phir so gae!

आप से मिलकर हम कुछ बदल से गये,
शेर पडने लगे गुनगुनाने लगे,
पहले मशूहर थी अपनी संजिदगी,
अब तो लोगो से मिलने मिलाने लगे

Aap se mil k hum kuchh badal se gaye,
Sher padhne lage gungunane lage,
Pehle mashhur thi apni sanjidgi,
Ab to logo se milne aur milane lage.

Jis Tarah Ragon Mein Khoon Rehta Hai,
Ussi Tarah Mujhe Teri Chahat Ka Junoon Rehta Hai,
Zindagi Ki Har Khushi Mansoob Hai Tumse,
Baat Ho Tum Se To Dil Ko Sukoon Rehta Hai.

वो मोहब्बतें जो तुम्हारे दिल में हैं,
उससे जुबां पर लाओ और बयां कर दो,
आज बस तुम कहो और कहते ही जाओ,
हम बस सुनें ऐसे बे-ज़ुबान कर दो.

Wo Mohabbtein Jo Tumhare Dil Mein Hain,
Usse Zubaan Par Lao Aur Bayan Kar Do,
Aaj Bas Tum Kaho Aur Kehte Hi Jao,
Hum Bas Sunein Aise Be-Zuban Kar Do.

Nahi Jo Dil Mein Jagah To Nazar Mein Rehne Do,
Meri Hayaat Ko To Apne Asar Me Rehne Do,
Main Apni Soch Ko Teri Gali Me Chhod Aaya Hun,
Mere Wazood Ko Khwabon Ke Ghar Mein Rehne Do.

Khafa Bhi Rehte Hain Aur Wafa Bhi Karte Hain,
Is Tarha Apne Pyaar Ko Bayan Bhi Karte Hain,
Jane Kaisi Narazgi Hai Meri Unse,
Khona Bhi Chahte Hain Aur Pane Ki Dua Bhi Karte Hain.

Raat Ki Tanhai Mein Akele The Hum,
Dard Ki Mehfilon Mein Ro Rahe The Hum,
Aap Hamare Bhale Hi Kuch Nahi Lagte,
Par Fir Bhi Aapke Bina Bilkul Adhoore Hain Hum.

Ishq main sab shayari karne lagte hain yeh sach hai,
Har lafz ki gahrayee ko pehchane ki koshish woh karta hai,
Kehta ki pyar ke samander mein tairne lage hain,
Par kya sach mein aap kisi se pyar karne lage hain.

Aap Ko Paa Kar Ab Khona Nahi Chahte,
Itna Khush Ho Kar Ab Rona Nahi Chahte,
Yeah Aalam Hai Humara Aap Ki Judai Main,
Aankhoon Main Hai Neend Per Sona Nahi Chahte.

रग रग में है जो बिखरी वो खुशबु तुम्हारी है,
मैदान इ इश्क़ की बाज़ी इस दिल ने भी हारी है,
मुझे यु छोड़ जा बेशक भले पर भूल ना पाओगी,
तेरे हर शिकवे पर भारी ये मोहब्ब्त हमारी है।

rag rag mein hai jo bikharee vo khushabu tumhaaree hai,
maidaan i ishq kee baazee is dil ne bhee haaree hai,
mujhe yu chhod ja beshak bhale par bhool na paogee,
tere har shikave par bhaaree ye mohabbt hamaaree hai.

तेरी खुशियो को सजाना चाहता हूँ,
तुझे देख कर मुस्कुराना चाहता हूँ,
मेरी जिन्दगी में क्या अहमियत हैं तेरी,
ये लब्ज़ो में नहीं पास आ कर बताना चाहता हूँ

Teri Khushiyo Ko Sajana Chahta Hu,
Tujhe Dekh K Muskurana Chahta Hu,
Meri Zindagi Mein Kya Ahmiyat Hai Teri,
Ye Lafzo Mein Nahi Pass Aa Kar Batana Chahta Hu.

“दिन तेरे ख़याल में गुजर जाता हैं,
रातों को भी ख़याल तेरा ही आता हैं,
कभी ये ख़याल इस तरह बढ़ जाता है की,
आयने में भी तेरा ही चेहरा नज़र आता हैं

din tere khayaal mein gujar jaata hain,
raaton ko bhee khayaal tera hee aata hain,
kabhee ye khayaal is tarah badh jaata hai kee,
aayane mein bhee tera hee chehara nazar aata hain…

Kaha Ye Kisi Ne Ki Phoolon Se Dil Lagau Main,
Agar Tera Khayal Na Sochun To Mar Jaun Main,
Maang Na Mujhse Tu Hisaab Meri Mohabbat Ka,
Aa Jaun Imtihan Pe To Hadd Se Guzar Jaun Main.

Kuch Log Toot Kar Chahte Hain,
Kuch Log Chah Kar Toot Jaate Hain,
Humein Tumse Hai Kitni mohabbat,
Kabhi Aao Hamare Paas Tumhein Batate Hain.

न कर मुझे प्यार इतना तू,
कि दिल मे समा न सके,
बस कर इतनी वफ़ा कि, तू
छोड़ मुझे कहि जा ना सके।

na kar mujhe pyaar itana too,
ki dil me sama na sake,
bas kar itanee vafa ki, too
chhod mujhe kahi ja na sake.

Dil Toot Jata Hai Par Khanak Nahi Hoti,
Har Dhadkan Roti Hai Par Palak Nahi Roti,
Mohabbat Naam Hai Khuda Kee Bandagi Ka,
Jo Sharton Pe Mile Woh Mohabbat Nahi Hoti.

Dil ki nazuk dhadkano ko..
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya,
Jab se mila hai tera pyaar dil ko,
Gham ne bhi muskurana sikha diya.

मोहब्बत एक अहसासों की पावन सी कहानी है !
कभी कबिरा दीवाना था कभी मीरा दीवानी है !!
यहाँ सब लोग कहते हैं, मेरी आंखों में आँसू हैं !
जो तू समझे तो मोती है, जो ना समझे तो पानी है !

Mohabbat Ek Ehsaaso Ki Pawan Si Kahani Hai,
Kabhi Kabira Diwana Tha, Kabhi Mira Diwani Hai,
Yahan Sab Log Kahte Hain Meri Aankhon Mein Ansoon Hain,
Jo Tu Samjhe To Moti Hai, Jo Na Samjhe To Pani Hai.

Koi pal aisa nahi jisme apki yaad na aaye,
Koi din aisa nahi jisme hum apko na bulayen,
Wo humara sabse accha din hoga,
Jisme ap humse milne ko aaye.

Palko Se Raaste Ke Kaante Hatha Denge..
Phool To Kya Hum Apna Dil Bicha Denge..
Tutne Na Denge Hum Is Pyar Ko Kabhi..
Badle Me Hum Khud Ko Mita Denge !!

Ehsaas-E-Mohabbat K Liye..
Bus Itna Hi Kafi Hai..
Tere Baghair Bhi Hum..
Tere Hi Rehty Hain !

Apni pyari ankhon me chupalo mujh ko,
Mohabbat tum se hain, churalo mujh ko,
Dhup ho ya sehra tera sath chalenge hum,
Yaqeen naa ho toh aazma lo mujh ko,
Tere her dukh ko seh lenge hans k hum,
Apne wajood ki chadar bana lo mujh ko,
Zindagi bhi tere naam kar di hai humne,
Bas chand lamhe seene se laga lo mujh ko.

मैं फ़रमाईश हूँ उसकी,
वो इबादत है मेरी,
इतनी आसानी से कैसे
निकाल दू उसे अपने दिल से,
मैं ख्वाब हूँ उसका,
वो हकीकत है मेरी|

Main Farmaish Hun Uski,
Woh Ibadat Hai Meri,
Itni Aasani Se Kaise Nikal Dun
Use Apne Dil Se,
Main Khwab Hun Uska,
Woh Haqeeqat Hai Meri.

प्यार मोहब्बत आशिकी..
ये बस अल्फाज थे..
मगर.. जब तुम मिले..
तब इन अल्फाजो को मायने मिले !

pyaar mohabbat aashikee..
ye bas alphaaj the..
magar.. jab tum mile..
tab in alphaajo ko maayane mile.

Kamaal Ki Funkaari Hain..
Tum Mein Aey-Jaana..!!
Waar Bhi Dil Par Karte Ho,
Aur Rehte Bhi Dil Mein Ho.

Jaan Ker Anjan Banna Acha Lagta Hai,
Mujhe Unko Apne Liye Pareshan Karna Acha Lagta Hai,
Mujhe Woh Karte Rahe Pyar Ka Iqrar Bar Bar,
Nadan Ban Kar Har Bar Sunna Acha Lagta Hai !

Aap Mere Pyar Par Ek Ehsan Karo,
Apne Sare Gam Mere Naam Karo,
Jo Lamhe Rulate Hain Aap Ko Yad Banakar,
Aap Wo Aansu Meri Palkon Ke Naam Karo !

Teri Judai Mein Yu Aansu Bahate Rehte Hai,
Umeed Ke Diye Aandhiyon Se Bachaye Rehte Hai,
Chahat Hai Kewal Tujhse Pyar Paane Ki,
Iss Chahat Ko Hi Ek Aas Banaye Rehte Hai !

Karib Itna Raho Ki Rishton Mein Pyar Rahein,
Dur Bhi Itna Raho ki Aane Ka Intejaar Rahein,
Rakho Ummeed Rishton Ke Darmiyan Itni,
Ki Tut Jayein Ummeed Magar Rishte Barkarar Rahein..

Raton Me Suni Hai Magar Dekhi To Nahi,
Ek Aah Si Aati Hai, Unki To Nahi,
Apna Hunar Tarasha Hai Jinke Husn Se,
Meri In Gazlon Me Wahi Aks To Nahi,
Dil Ko Ye Dilasa Hai, Wo Hai Jamin Pe,
Ye Chand Usi Dildar Ka Saya To Nahi,
Jis Ajnabi Ne Mujhko Talabgar Kiya Hai,
Unse Mere Rooh Ka Koi Rishta To Nahi.
Khayalon Me Aane Ka Wada Kijiye,
Hame Yaad Karne Ka Wada Kijiye,
Sham Ki Udasi Ko Dekhiye Jara,
Ise Hasin Banane Ka Wada Kijiye,
Khoobsurat Hain Aap Aur Nazar Aapki,
Bas Hame Dekhne Ka Wada Kijiye,
Is Dil Me Aapki Chahat Hai Basi,
Mujhse Na Bichhadne Ka Wada Kijiye.

मैं तोड़ लेता अगर तू गुलाब होती,
मैं जवाब बनता अगर तू सबाल होती,
सब जानते है मैं नशा नही करता,
मगर में भी पी लेता अगर तू शराब होती।

Mein Tod Leta Agar Tum Gulab Hoti,
Main Jawab Banta Agar Tum Sawal Hoti,
Sabhi Jante Hai Ki Mein Nasha Nahi Karta,
Fir Bhi Pee Lete Agar Tum Sharaab Hoti.

Badi fursat se tumhein dekhta hun,
Badi muddat se tumhein chahta hun,
Meri izzat, mera imaan tujh se hai,
Usi neeyat se tumhein dekhta hun,
Tujhme chhupi meri tamaam khushiya,
Apni puri duniya tumhein maanta hun,
Shayad mil jaaye tujhme khuda mujhe,
Badi hasrat se tumhein poojta hun..!!

Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein,
Kyun dil dene ki waje hoti hein,
Kyun jazbaaton ko dabana padta hai,
Kyun iss dil ko samjana padta hai,
Kyun har dil ko ye mehsoos nahin hota,
Kyun sabko ye manzoor nahin hota,
Kyun dil se dil nahin milta,
Kyun pyaar ka phool nahin khilta,
Kyun dil ke naghme dil nahin gaata,
Dil mein kya hai ye keh nahin pata,
Kya dil dene ki yahi saza hai,
Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai.

Kabhi hasa deta hai,
Kabhi rula deta hai
Asia hota hai pyar,
Kabhi milwa deta hai,
Kabhi bichadwa deta hai,
Asia hota hai pyar,
Sagar par hai Lehro Jaisa,
Dhoop jalta sona jaisa,
Aisa hota hia pyar,
Ek jhalak ke intjaar ke baad,
Hazzron aansu bahana,
Asia hota hai pyar.

Aap gairon ki baat karte ho,
Humne apnoko azmaya hai,
Log katon se bachke chalte hain,
Humne phoolon se zakham khaye hain,
Aanken band kar bhi hum tera deedar karte hain,
Aee sanam hum to sirf tum se pyar karte hain.

Yun durr reh kar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.

Humein aap ki jaan nahi sirf saath chahiye,
Sacche ishq ka sirf ek ehsaas chahiye,
Jaan toh ek pal mein di jaa sakti hain,
Par hume apki mohabbat aakhri sans tak chahiye.

Muskura do zara khuda ke waaste,
Shama-e-mahefil mein roshni kam hai,
Tum hamare nahi toh kya gum hai,
Hum tumhare to hain ye kya kam hai.

Tere ishq ka kitna haseen ehsaas hain,
Lagta hai jaise tu har pal mere paas hai,
Mohabbat teri deewangi ban chuki hai meri,
Ab zindagi ki aarzoo sirf tumhare sath hai.

Kaise Kahu Ki Apna Bana Lo Mujhe,
Bahon Me Apni Sama Lo Mujhe,
Aaj Himmat Kar Ke Kahta Hu Ki Mai Tumhara Hu,
Ab Tum Hi Samhalo Mujhe.

कैसे कहू की अपना बना लो मुझे,
निगाहों मे अपनी समा लो मिझे,
आज हिम्मत कर के कहता हुँ,
मै तुम्हारा हुँ अब तुम ही संभालो मुझे!

Udas na hona hum aap ke sath hai,
Nazar se door per dil ke pass hai,
Palkon ko band ker ke dil se yaad karna,
Hum hamesha ap ke liye ek ehsaas hai.

Wo chand hai magar aap se pyara to nahi,
Parvane ka shama ke bin guzara to nahi,
Mere dil ne suni hai ek mithi se awaz,
Kya aapne mujhe pukara toh nahi.

Dil ki hasrat juban pe aane lagi,
Tumko dekha aur zindagi muskurane lagi,
Ye meri dosti hai ya diwangee,
Har surat pe teri surat najar aane lagi.

Tum mile har khushi mil gayi hai hume,
Lagta hai ki dusri zindgi mil gayi hai hume,
Zindgi me Jiska tha saalo se intezar hume,
Jeevan ka saathi bina maange mil gaya hume.

Pyar wo hain jisme sachai sath ho,
Saathi ki har baat ka ehsaas ho,
Uski har ada par naaz ho,
Dur rehkar bhi pass hone ka ehsaas ho.

Kash koyi mile es tarah ke phir judaa naa ho,
Wo smjhe mere mizaj ko or kbhi khafa na ho,
Apne ehsaas se baant le saari tanhayi meri,
Itna pyar de jo pahle kabhi kisi ne na diya ho.

सुना है आज
उस की आँखों मे आसु आ गये.!!
वो बच्चो को सिखा रही थी की
मोहब्बत ऐसे लिखते है..!!

Suna Hai Aaj
Uski Aankho Me Aansu Aa Gaye !!
Wo Bachcho Ko Sikha Rahi Thi Ki
Mohabbat ese Likhte Hain !!

Mohabbat hoon Mohabbat karke dekh
Main Mohabbat na doon To kehna
Main muskurahat hoon Mujhe Hansa kar dakh
Na sajoon tare honton per to kehna
Main khushboo hoon mujhe Mehsoos karke dekh
Na mehkoon tari zindagi main to kehna
Main Dil hoon mujhe Sun ker dekh
Na dhakoon Tere Dil main to kehna
Main phool hoon mujhey Laga ker dekh
Na mehkoon din raat To kehna
Main mohabbat hoon mujhe Apna karke dekh
Na banoo main teraa to kehna

Is dubi huyi nao ka kinara ho tum,
Meri zindegi ka woh anjaam ho tum,
Youn to har muskil ko paar karne ki himmat hai,
Mujh me.. Bas tumko khonese darte hai hum.

Tujhe Inkar Hai Mujse, Mujhe Ikrar Hai Tujhse,
Tu Khafa Hai Mujse, Mujhe Chahat Hai Tujhse,
Tu Mayoos Hai Mujhse, Mujhe Khushi Hai Tujhse,
Tujhe Nafrat Hai Mujhse Aur Mujhe Pyar Hai Tujhse.

Mujhe kisi ki zarurat nahi..
Siway tere
Mere nazar ko talash jis ki barson se
Kisi ke paas wo surat nahi..
Siway tere
Jo mere dil or meri zindagi se khel sake
Kisi ko itni ijaazat nahi..
Siway tere..!!

Mohabbat Hai K Nafrat Hai,
Koi Itna Tou Samjhaye,
Kabhi Main Dil Se Larti Hu,
Kabhi Dil Mujh Se Larta Hai!!

Ishq ne hame benaam kar diya,
Har khushi se hame anjaan kar diya,
Hamne to kabhi nahi chaha ke hame bhi mohabbat ho,
Lekin aap ki ek nazar ne hame nilaam kar diya.

साथ अगर दोगे मुस्करायेंगे ज़रूर,
प्यार अगर दिल से करोगे तो निभाएंगे ज़रूर,
राह में कितने कांटे क्यू न हो,
आवाज़ अगर दिल से दोगे तो आएंगे ज़रूर.

Saath agar doge muskrayenge zarur,
Pyar agar dil se karoge to nibhayenge zarur,
Raah me kitne kante q na ho,
Awaz agar dil se doge to aayenge zarur.

Kaise Kahun Ke Apna Bana Lo Mujhe,
Baahon Mein Apni Sama Lo Mujhe,
Bin Tumhare Ek Pal Bhi Kat-ta Nahi,
Tum Aa Kar Mujhi Se Chura Lo Mujhe,
Zindagi To Wo Hai Sang Tumhare Jo Guzri,
Duniya Ke Gamon Se Ab Chura Lo Mujhe,
Meri Sabse Gehri Khwahish Ho Puri,
Tum Agar Paas Apne Bula Lo Mujhe,
Ye Kaisa Nasha Hai Jo Behka Raha Hai,
Tumhara Hoon Main To Sambhalo Mujhe,
Na Jaane Phir Kaise Guzregi Zindagani,
Agar Apne Dilse Kabhi Tum Nikalo Mujhe.

Tere Chehre Mein Mera Noor Hoga,
Fir Tu Na Kabhi Mujhse Dur Hoga,
Soch Kya Khusi MiLegi Jaan Us Pal,
Jis Pal Teri Maang Mein ..
Mere naam ka Sindoor Hoga.

Pyar aur maut se darta kaun hai,
Pyar to ho jata he ise krta kaun hai,
Hum to kar de pyar me jaan bhi qurban,
Par pata to chale hmse pyar karta kaun hai!!

Aap khud nahi janti aap kitni pyari ho,
Jaan ho hamari par jaan se pyaari ho,
Duriyon k hone se koi fark nahi padta,
Aap kal bhi hamari thi aaj bhi hamari ho!

Banane Wale Ne Bhi Tujhe,
Kisi Karan Se Banaya Hoga,
Choda Hoga Jab Zameen Par Tujhe,
Uske Seene Mein Bhi Dard To Aaya Hoga.

Apna toh chaahaton mein..
Yahi usool hain,
Jab tu qubool hai,
Toh tera sub kuch qubool hai.

Wafaa ke badle bewafayi naa diya karo,
Meri umeed thukra ke inkaar naa kiya karo,
Teri mohabbat me hum sab kuch kho bethe,
Jaan chali jayegi yu imtihaan naa liya karo.

Teri saadgi ko nihaarne ka dil karta hain,
Tamaam umr tere naam karne ka dil karta hai
Ek mukammal shayari hain tu kudrat ki,
Tujhe ghazal banake juba pe lane ka dil karta hai.

Meri saanson mein bikhar jao toh acha hai,
Ban k rooh mere jism me utar jao to acha hai,
Kisi raat teri godh mein sar rakh kar so jau,
Us raat ki kabhi subah na ho toh achha hai.

Tere shehar mein aake benam se ho gaye,
Teri chahat me apni muskan hi kho gaye,
Jo dube teri mohabbat me to aise dube,
Ke jaise teri aashiqui ke gulam hi ho gaye.

Ye wada hain humara,
Na chodenge kabhi sath tumhara.
Jo gaye tum hume bhool kar kahi,
Le ayenge pakad kar hath tumhara.

Koi chupata hai, koi batata hai..
Koi rulata he to koi hasata hai..
Pyar to har kisiko he kisi na kisi se..
Fark itna hai..
Koi azmaata he or koi nibhaata hai.

Aap haso to khushi mujhe hoti hai,
Aap ruthoto ankhe meri roti hai,
Aap dur jaoto becheni hoti hai,
Mehsus karke dekho pyar me zindgi kaisi hoti hai.

Aansu hai ankho mein par beh nahi sakte,
Duniawalo se darte hain islie kuch keh nahi sakte,
Par ye to aap bhi samajhte honge ki,
Hum aapke bina reh nahi sakte.

रात आती है तेरी याद चली आती है
किस शहर से तेरी आवाज चली आती है
चाँद ने खूब सहा है सूरज की अगन
तेरी ये आग मुझसे न सही जाता है
दिल में उतरी है तेरी दर्द भरी आँखें
मेरी आँखों में वही प्यास जगी जाती है
हमने देखा था खुद को तेरी सूरत में
आईना देखकर अब रात कटी जाती है

raat aatee hai teree yaad chalee aatee hai
kis shahar se teree aavaaj chalee aatee hai
chaand ne khoob saha hai sooraj kee agan
teree ye aag mujhase na sahee jaata hai
dil mein utaree hai teree dard bharee aankhen
meree aankhon mein vahee pyaas jagee jaatee hai
hamane dekha tha khud ko teree soorat mein
aaeena dekhakar ab raat katee jaatee hai

Mat pucha karo mujhse,
Ki tum mere kya lagte ho,
Dil k liye dhadkan zaruri hai,
Aur mere liye tum.

Jee karta hai,
Muft me hi use apni jaan de du,
Itne masoom kharid dar se,
Kya len-den karna.

हर बार हम पर,
इल्ज़ाम लगा देते हो मोहब्बत का,
कभी खुद से भी पूछा है,
इतने हसीन क्यों हो।

Har baar hum par,
Ilzaam laga dete ho mohhabat ka,
Kabhi khud se pucha hai,
Ki itne haseen kyu ho.

Jaha sar jhuk jaye wahi khuda ka ghar hai,
Jaha nadi mil jaye wahi samundar hai,
Es zindagi mein dard toh sabhi dete hai,
Jo dard ko samajh sake wahi hamdard hai.

वो प्यार जो हकीकत में प्यार होता है,
जिन्दगी में सिर्फ एक बार होता है ,
निगाहों के मिलते मिलते दिल मिल जाये,
ऐसा इतेफाक सिर्फ एक बार होता है.

Wo pyar jo haqiqat mein pyar hota hai,
Zindagi mein sirf ek bar hota hai,
Nigaho k milte milte dil mil jaye,
Aisa ittefaq sirf ek baar hota hai.

Unhe chahana hamari kamzori hai,
Unse keh nahi pana hamari majburi hai,
Wo kyun nahi samajhte hamari khamoshi ko,
Kya pyaar ka izhaar karna zaruri hai.

Wo Maut Bhi Bari Suhani Hogi,
Jo Aap Ki Piyar Main Aani Hogi,
Ye Dua Hai Khuda Se K Pehle Hum Jaaye,
Kyon Ke Welcome Ki Rasam Bhi To Nibhani Hogi.

Dard Hota Nahin Duniya Ko Dikhane K Liye,
Har Koi Rota Nahin Ansu Bahane Kliye,
Rutne Ka Maza To Tab Aata Hai,
Jab Koi Apna Ho Manane K Liye.

Koi hain jiska ess dil ko intjaar hain,
Khyalo mein bas usi ka khayal hain,
Khushyaan main saari us par luta du,
Chahat me uski mai khud ko mita du,
Kab ayega vo jiska es dil ko intjaar hain.

Meri zindagi ke raaz mein ek raaz tum bhi ho,
Meri bandagi ki aas mein ek aas tum bhi ho,
Tum kya ho mere, kuchh ho ya kuchh bhi nahi magar,
Meri zindagi ke kash mein ek kash tum bhi ho.

Woh karte hai baat ishq ki,
Par ishq ke dard ka unhe ehsas nahi,
Ishq woh chand hai jo dikhta hai sab ko,
Par usse pana sab ke bas ka kaam nahi.

Raat chup hai magar chand khamosh nahi,
Kaise kahoon aaj phir hosh nahi,
Is tarah dooba hoon teri mohabbat ki gahrai mein,
Hath mein jaam hai aur peena ka hosh nahi.

Tere dil mein meri saanson ko jagah mil jaaye,
Tere ishq mein meri jaan FANAA ho jaaye.
Adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhoore hum,
Magar ab chaand poora hai falak pe aur ab poore hain hum.

Rone de tu aaj hamako tu aankhe sujane de,
Bahon me lele aur khud ko bheeg jane de.
Hai jo seene me qaid dariya woh chhut jayega,
Hai itana dard ki tera daman bheeg jayega.

Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte,
Yun kisika ka jaam hum piya nahi karte,
Un se keh do mohabbat ka izhaar aakar khud karein,
Yun kisika peecha hum nahin karte.

Dur humse jaa paoge kaise,
Humko bhool paoge kaise,
Hum who khushbu hain jo saanson mein utar jaye,
Khud apni saanson ko rok paoge kaise.

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
Sachchi chahat to sada bezuban hoti hai.
Pyar mein dard bhi mile to kya ghabrana,
Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai.

Tere dil mein
Meri saanson ko panah mil jaaye,
Tere ishq mein
Meri jaan FANAA ho jaaye.

Aye khuda aaj ye faisla karde,
Use mera ya mujhe uska karde.
Bahut dukh sahe hain maine,
Koi khusi ab toh muqadar karde.
Bahut mushkil lagta hai us se door rehna,
Judai ke safar ko kam karde.
Jitna door chale gaye woh mujhse,
Use utna kareeb karde.
Nahi likha agar nasib me uska naam,
To khatam kar ye zindagi aur mujhe FANAA karde.

Tum milo na milo,na milne ka gham nahi,
Tum paas se hi gujar jaao, milne se kum nahi.
Maana ki tumhe hamaari kadar nahi,
Magar unse puchho jinhe hum haasil nahi.

Kaate nahin kat-te lamhe intezaar ke,
Nazaren bichaye baithe hain raste pe yaar ke,
Dil ne kaha dekhe jo jalwe husne yaar ke,
Laya hai unhe kaun falak se utaar ke.

Phool khilte hain baharon ka samaa hota hai,
Aise mausam mein hi to pyaar javaan hota hai.
Dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,
Ye fasaana to nigaahon se bayaan hota hai.

Rooth jao to mana lenge hum,
Door jao kitna bhi paas bula lenge hum,
Dil aakhir dil hai koi samunder ki ret nahi,
Ki likh kar naam aapka mita denge hum.

Hogi kisi ki tammna sitaron ko pane ki,
Hamari to chahat hai sitara ban jane ki,
Koi to chahta hoga kisi ko dil me basana,
Hamari to adat hai dil me bas jane ki.

Hichkiyan dilakar ye kaisi uljhan badha rahe ho,
Ankhen band hain phir bhi nazar aa rahe ho,
Bas itna bata do hamein yaad kar rahe ho,
Ya sirf apni yaad dila rahe ho.

Yeh Khusbhu,
Yeh Hawaa Apki Huyi,
Mausam Ki,,
Har Ek Ada Apki Huyi,
Dil Ne Chaha,
Kuch Khaas Tohfa Doo Aapko,
Chalo Aaj Se
Meri Har Dua Apki Huyi.

Tu hi dil hai aur tu hi jaan hai meri,
Tujhse hi jahaan me pehchan hai meri,
Tujhe apna banalu tujhe tujhse churalu,
Bas jiyun sang tere tammana hai meri,
Tere liye tode maine sare rishte,
Gham bhi hai jhela maine haste haste,
Duniya bhulayi maine tere waaste,
Sang tu chale jo bhi ho raaste,
Tere bina duniya viraan hai meri.

Lipat Jaao Ek Baar Fir Gale Hamare,
Koi Deevar Na Rahe Beech Hamaare Tumhare,
Lipat Jaati Jaroor Agar Jamane Ka Dar Na Hota,
Bassa Leti Main Tumko Agar Seene Mein Ghar Hota.

Tum haseen ho, gulab jaisi ho,
Bahut nazuk ho khawab jaisi ho,
Hothon se lagakar pee jaun tumhe
Sir se paanv tak sharab jaisi ho…!!

Ek aas, ek ehsaas,
Meri soch aur bus tum,
Ek sawal, ek majaal,
Tumhara khayal or bs tum.

Duriya bahot hain par itna samajh lo,
Pass rehkar hi koi rishta Khas nahi hota,
Tum dil k pass itne ho k dur rehkar bhi ..
Dooriyoon ka kabhi ehsaas nahi hota.

Koi hain jiska ess dil ko intjaar hain,
Khyalo mein bas usi ka khayal hain,
Khushyaan main saari us par luta du..
Chahat me uski mai khud ko mita du..
Kab ayega vo jiska es dil ko intjaar hain.

Aapke Husn Ko Dekhkar O Sanam,
Sabhi Jaane Kyun Ghas Khakar Gir Jaate Hain,
Aap Apne Husn Ko Kahin Chhupa Lijiye,
Varna Yeh Log To Bemout Mare Jaate Hain.

Fir Wahi Fasaana Afsaana Sunaati Ho,
Dil Ke Paas Hoon Kah Kar Dil Jalati Ho,
Beqaraar Hai Aatish E Nazar Se Milne Ko,
To Fir Kyon Nahi Pyaar Jataati Ho.

Aankhe To Pyar Mein Dill Ki Juban Hoti Hai,
Chahat To Sada Bejuban Hoti Hai,
Pyar Mein Dard Bhi Mile To Kya Ghabrana,
Suna Hai Dard Se Chahat Or Jawan Hoti Hai.

1 comment: