Monday, November 20, 2017

शायरी दर्द भरी



Apni yaadein apni baate lekar jana bhul gaye,
Jane wale jaldi mai milkar jana bhul gaye,
Mur-mur kar dekha tha jaate raste mai usne,
Jese use kuch kehna tha jo wo kehna bhul gaye,
Waqt-e-rukhsat poch raha tha mere aansu apne aanchal se,
Usko gham tha itna k wo khud rona bhul gaye!

Jiss dil pe na aayi chot kabhi woh dard kisi ka kya jane,
Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane,
Matt poochoo kya guzarti hai juda jab yaar hote hain,
Aansoo teer ban ke jigar ke paar hote hain.

Kash ye duniya haseen hoti,
Khud k chahne se her dua kabool hoti,
Kahne k liye to sabhi apne hai,
Par kash koi aisa hota..
Jisko mere dard se bhi takleef hoti.

Kuch aise haadse bhi zindagi me hote he dost,
Insaan bachh to jata he ,magar Zinda nahi rahta.

Kitni fikra he Kudrat ko meri tanhai ki,
Jagte rahte he raatbhar sitare mere liye.

Uski jeet se hoti he khushi mujhko,
Yahi jawab mere paas apni haar kaa tha.

Uske haatho ka khilona hi sahi khush hu me,
Kuch der ke liye hi sahi mujhe chahta to hai.

Me fanaa ho gaya afsos woh badla bhi nahi,
Meri chahto se bhi sacchi rahi nafrat uski.

Mahabbat ka mera safar aakhri hai,
Ye kagaj kaalam ye gajal aakhri hai,
Main fir na milungi kahi dhundh lena,
Tera dard ka ye asar akhri hai.

Sari-Sari Raat Naa Soye Hum,
Raato Ko uth-uth Ke Khub Roye Hum,
Bas ik Baar Mera Kasoor Bata De,
Itna Pyar Kar k B Kyu Na Tere Huye hum.

Zindagi se hume koi shikayat nahi,
Jee toh rahe hai par khusi se nahi,
Har shakhs ne dukh bhi bahut diye,
Par hum kisi se naraj bhi nahi.

Dard seh kar bhi dil unhe pyar karta hai,
Juda hokar bhi unhe hi yaad karta hai,
Diye hai ishq me itne dard-e-gum,
Fir b Unhi ki khusiyo ki fariyad karta hai.

Aah aur dard bas tera talabgaar hua,
Aankh patther huyi, ashk aabshaar hua,
Ye judayi bhi amavas ka ek sitara hain,
Chand k bin ye falak bhi daagdaar hua,
Meri palko ka jhapakna bada muskil hai,
Aisa tab se h, jab se tera didaar hua,
So rahe h en makano ke bashinde sabhi,
Main jaga reh k basti ka gunehgaar hua.

Salo gujar gaye rokar nahi dekha,
Ankho mein nind thi sokar nai dekha,
Woh kya jane dard mohabbat ka,
Jisne kisi ko kabhi khokar nahi dekha.

Hume mohabbat mein judayi manjoor thi,
Par bewafayi nahi,
Par jab judayi huyi to jana,
Judayi bewafai se jyada dard deti hai.

Dard aankho me jhalak jata hai par hotho tak nahi aata,
Ye majburi hai mere ishq ki jo milta hai kho jata hain,
Use bhulne ka jajba to har roz dil me aata hain,
Par kaise bhula de dil, har jarre me jisko pata hain.

Apni bebasi par aaj fir mujhe rona sa aaya,
Dusro ko nahi mene toh apno ko ajmaya,
Maine har ek dost ki tanhayi door ki,
Fir b khud ko har mode par tanha hi paya.

Wafa karne se mukar gaya hai dil,
Ab pyaar karne se darr gaya h dil,
Ab kisi sahare ki baat mat karna,
Jhute dilaso se bhar gaya h dil,
Jab bulate the jinda dil the hum,
Ab na aana ke marr gaya hai dil
Ab wo pagalpan na wehshat hai,
Kha k dhoke itne sambhal gya hai dil.

Dil se naa pucho ki ander dard kitna hain
Dhadkan se na pucho ki baki khel kitna hain,
Puchna hi hai toh jalti huyi laash se pucho,
Zindagi me gum or kafan me chain kitna hain.

Bahut faltu se lagte hai mujhe ab yaar k kisse,
Gul-o-guljar ki baate lab-o-rukhsar k kisse.
Yaha sab k muqaddar me fakat zakhm-e-judayi hai,
Sab hi jhoote fasane hain wisal e yaar ke kisse,
Bhala ishq-o-mohabbat se kisi ka pet bhara h kabi,
Suno tum ko sunata hu main kaar-o-baar k kisse,
Mere ehbaab kehte h yehi ek aib hai mujhme,
Sar-e-dewaar likhta hu pas-e-dewaar se kisse,
Main aksar esliye logo se ja k khud nahi milta,
Wahi roz ki bekaar ki baate, wahi beekar ke kisse.

Hum par jo gujri hain kya tum sunn bhi paoge,
Najuk sa dil rakhte ho tum rone lag jaoge,
Bahut dukh diye hai Takdeer aur Duniya ne,
Betho mere pas Mohabbat karna bhul jaoge.

Cigarette pina shok hai mera adat nahi,
Ye jazbat jagati hain tabhi peeta hoon,
Aadhi raat k waqt main pagal toh nahi,
Teri yaad satati hain tabhi peeta hoon,
Es cigarette mein fazeelat toh koi nahi,
Ye fikar mitati hain tabhi peeta hoon,
Main janta hu muje kuch nahi milna esse,
Ye meri umar ghatati h tabhi peeta hoon.

Yu na barbad kar mujhe,
Baaz aaja mera dil dukhane se,
Main toh insan hu,
Patthar bhi tut jata hai itna azmane se.

Jab bikhare tut kar toh ehsaas hua,
Har kisi se itna dil lagaya nahi karte,
Yaha masum chehre bhi loot lete hai,
Har ek pe yuhi etbaar kiya nahi karte,
Koyi aur bhi muntezir hai tera kahi,
Ik shakhs ki talab hi kiya nahi karte,
Pal bhar me badal jaate hai log yaha,
Aise logo se mohabbat kiya nahi karte.

Naa kar tu itne koshisise,
Mere dard ko samajne ki,
Tu pahle ishq kar fir chot kha,
Phir likh dawa mere dard ki.

Mohabbat se wo dekhte hain sabhi ko,
Bas hum par kabhi ye inayat nahi hoti,
Main to sheesha hu tutna meri fitrat hai,
Esliye muje pattharo se koi sikayat nahi hoti.

Paas aakar sabhi door chaley jate hain,
Akeley they hum, akeley hi reh jate hai,
Hum apney Dil ka dard kisey dikhaye,
Marhum lagane wale hi zakhm de jate hai.

Jo aansu dil me girte hai wo ankho me nahi rehte,
Bahut se harf aise hain jo lafzo mein nahi rehte,
Kitabo mein likhe jate hai duniya bhar ke afsane,
Magar jin mein hakikat ho kitabo me nahi rehte.

Mere dil k dard ko kisne dekhaa hain,
Mujhe bus khuda ne tadapte dekha hai,
Hum tanhayi mein baithe rote hain,
Logo ne hume mahfil me haste dikha hai.

Zindagi ke safar ki manzil hai maut,
Milti hai zindagi toh aati hain maut,
Hasna hai zindagi toh rona hain maut,
Chalna h zindagi to rukna hain maut,
Har aashiq ki zindagi ki manzil hain maut.

Mom ki tarah pighalti ja rahi hai zindagi,
Kyu es tarah hath se fisal rahi hai zindagi
Hum tumhe pana chahte hain,
Apne dil mein chupana chahte hain,
Per kyu unchahe sadmo se gujar rahi hai zindagi,
Har pal dekhna chahti hai ye nigahe tumhe,
Taras rahi hai ujalo me machalne ko zindagi,
Na jane kyu beet rahi hai andhero me ye zindagi.

Woh raat dard aur sitam ki raat hogi,
Jis raat rukhsat unki baraat hogi,
Uth jata hu main ye sochkar neend se aksar,
K ek ghair ki baaho me meri sari kayanat hogi

Mene kab dard k zakhmo se shikayat ki hai,
Haan mera jurm hai k maine mohabat ki hai,
Aaj fir dekha hai use mehfil me pathar bankar,
Mene aankho se nahi dil se baghawat ki hai,
Usko bhool jane ki galti bhi nahi kar sakta,
Toot kar ki hai toh sirf usi se mohabbat ki hai.

Mohabbat ki baat na karo, mujhe acha nai lagta,
Kisi ki pyar par etbaar karna, ab mujhe acha nai lagta,
Gujar gaye jo din wo wapas laut kar nahi aate,
Lekin un dino ko yaad karna ab mujhe acha nai lagta,
Mujhe maloom hain ki wo shaqs bewafa tha,
Magar mujhe kisi ko bewafa kahna acha nahi lagta,
Zakhm bahut diye hain usne es dil-e-nadan ko,
Zakhm hum bhi dete per hume badla lena acha nahi lagta.

Kyon tujhi ko dekhna chahati hain meri aankhein,
Kyon khamoshiyaan karti bas hain teri baatein,
Kyon itna chahane laga hoon tujhko main,
Ki taare ginte huye kat-ti hain meri raatein,
Tu hi kuchh bata de kya main karoon inka,
Har pal jo mujhe tadpaati hain teri yaadein.

Dil mein tamannaon ko dabana seekh liya,
Gham ko ankhon mein chhipana seekh liya,
Mere chahre se kahin koi baat zaahir na ho,
Daba ke hothon ko hamne muskrana seekh liya

Taqdeer ne jese chaha vaise dhal gye hum,
Bahut sambhal k chale fir bhi fisal gye hum,
Kisi ne viswas toda toh kabhi kisi ne dil,
Aur logon ko lagta hain ki badal gaye hum.

Yaad aaoon to bas itni si inayat karna,
Apne badle hue lehje ki wazahat karna,
Tum jo chahat ka shahkar hua karte the,
Kis se seekha hai yeh ulfat mein milawat karna,
Hum sazaaon ke haqdaar bane hain kab se,
Tum hi keh do kya jurm hai mohabbat karna,
Teri furqat mein yeh aankhein abhi tak num hain,
Kabhi aana mere ashkon ki ziyarat karna,
Dil mein ab bhi mohabbat ke diye hain roshan,
Dekh, bhoole nahi teri hasti ki sajawat karna.

Na zindagi mili na wafa mili,
Kyun har khushi hum se khafa mili,
Jhoothi muskaan liye dard chupaate rahe,
Sachche pyaar ki kya saza mili.

Pyaar kya hota hai hum nahi jaante,
Zindagi ko hum apna nhi maante,
Gham itne mile ki ehsaas nahi hota,
Koi hamein pyaar kare ab vishwas nahi hota.

Woh hamari ek khata par..
Humse kuchh is kadar rooth kar chal diye,
Jaise sadiyon se unhe ..
Kisi bahaane ki talash thi.

Na jeene ki khushi na marne ka gham,
Unse milne ki dua bhi nahin karte hum,
Jeete hain isliye ke shayad woh ek din aayenge,
Marte isliye nahin ki wo akele reh jaayenge.

Tera khayal teri baat sath chalti hai,
Yeh kaaynat mere sath sath chalti hai,
Tamaam umar ka milna koi bhula bhi de,
Magar woh pehli mulaqaat sath chalti hai,
Bichadne lagta hai jab akhri musafir bhi,
To ek mauj-e-khayalat sath chalti hai,
Yeh kaisi raah pe dala hai waqt ne mujhko,
Na koi din na koi raat sath chalti hai,
Bohat aziz hai ankhon ko aansuon ki jhadi,
Koi bhi rut ho yeh barsaat saath chalti hai.

Bohat udaas hai koi shakhs tere jaane se,
Ho sake to laut aa kisi bahaane se,
Tu laakh khafa sahi magr ik baar to dekh,
Koi toot gaya hai tere door jaane se!

Dil dhadakne ka sabab yaad aaya,
Woh teri yaad the ab yaad aaya,
Badi mushkil se din guzara tha,
Phir tere wada-e-shab yaad aaya,
Baith kar saya-e-gul main Nasir,
Hum bohat roye woh jab yaad aaya.

Zindagi hamaari yun hi sitam ho gayi,
Khushi na jaane kahan dafan ho gayi,
Likha Khuda ne mohabbat sabki taqdeer mein,
Hamaari baari aayi to syaahi hi khatm ho gayi.

Zindagi yun hui basar tanha
Kaafila saath tha aur safar tanha!!
Apne saaye se chaunk jaate hain
Umra gujri hai is kadar tanha!!
Raat bhar bolte hain sannaate
Raat kaate koi kidhar tanha!!
Din guzarta nahi hai logon mein
Raat hoti nahi basar tanha!!
Hamne darwaaze tak to dekha tha
Phir na jaane gaye kidhar tanha!

Khyalon mein wahi, sapno mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi, jo humare sath roti rahi.

Ishq-a-bewafai ne daal di hai aadat buri,
Main bhi sharif hua karta tha is zamane mein,
Pehle din shuru karta tha masjid mein namaaz se,
Ab dhalti hai shaam sharab ke sath mehkhane mein.

Pee hai sharab har gali har dukan se,
Ek dosti si ho gai hai sharab ke jaam se,
Guzre hain hum ishq mein kuchh aise mukam se,
Ke nafrat si ho gai hai mohabbat ke naam se.

Aankhe To Pyar Mein Dill Ki Juban Hoti Hai,
Chahat To Sada Bejuban Hoti Hai,
Pyar Mein Dard Bhi Mile To Kya Ghabrana,
Suna Hai Dard Se Chahat Or Jawan Hoti Hai.

Insaan ke kandhe pe insaan jaa raha hai,
Kafan me lipta kuch armaan jaa raha hai,
Jise naa mili ho mohabbat es jahan mein,
Shayad use pane wo kabristaan ja raha hai.

Aksar sukhe huye honthon se hi hoti hai
Meethi baatein,
Pyas bujh jaye to alfaz or insan dono
Badal jaya karte hai.

Mohabbat woh haseen
Gunaah hain,
Jise har insaan khushi
Khushi karta hain . .
Par
Mohabbat mein
Intezaar wo saza hai.
Jo sirf wohi karta hai . .
Jo such mein
Mohabbat karta hai.

Kya bhala dhundhate ho seene me,
Jaan se bhi guzar gaya hain dil,
Ab wo pagalpan hai na wo wehshat hai
Chot kha kar sudhar gaya hain dil.

Ab wafa se mukar gaya hai dil,
Ab mohabbat se dar gaya hai dil,
Ab saharon ki baat mat karna,
Ab dilason se bhar gaya hai dil,
Jab bulate the zinda dil the hum,
Ab na aao ke marr gaya hai dil.

Yahi Halat Aarambh Se Rahe,
Log Hamse Khafa Khafa Se Raha,
In Chiragon Mein Tel Hi Kam Tha,
Kyu Gila Humko Fir Fir Hawa Se Raha,
Bahas Satranj Sher Sangeet,
Tum Nahi The Toh Yeh Dilase Rahe.

Jab Aaina Koi Dekho Ik Ajnabi Dekho,
Kahan Par Layi Hai Tumko Yeh Zindagi Dekho,
Muhabbaton Mein Kahan Apne Waste Fursat,
Jise Bhi Chaho Woh Chahe Meri Khusi Dekho,
Jo Ho Sake Toh Jyada Hi Chahna Mujhko,
Kabhi Jo Meri Mohabbat Mein Kuchh Kami Dekho,
Jo Door Jaaye Toh Gham Hai Jo Paas Aaye Toh gham Hai,
Na Jaane Kya Hai Woh Kambakht Aadmi Dekho,
Ujala Toh Nahi Kah Sakte Isko Hum Lekin,
Jara Si Kam Toh Huyi Hai Andhkar Dekho.

Nigal Gaye Sab Ki Sab Samandar Jami Bachi Ab Kahi Nahi Hai,
Bachaate Hum Apni Jaan Jismein Woh Kasti Bhi Ab Kahi Nahi Hai,
Bahut Dino Baad Paayi Fursat Toh Maine Khud Ko Palatkar Dekha,
Magar Main Pahchanta Tha Jisko Woh Aadmi Ab Kahi Nahi Hai,
Gujar Gaya Vakt Dil Pe Likhkar Na Jaane Kaisi Ajib Baatein,
Panna Paltata Hu Main Jo Dil Ke Toh Saadgi Ab Kahin Nahi Hai,
Woh Aag Barsi Dopahar Mein Ki Saare Manjar Jhulas Gaye Hain,
Yahan Savere Jo Taajgi Thi Woh Taajgi Ab Kahi Nahi Hai,
Tum Apne Kasbon Mein Jaake Dekho Wahan Ab Shahar Base Hain,
Ki Dhundhte Ho Jo Zindagi Tum Woh Woh Zindagi Ab Kahi Nahi Hai.

Dard Apnate Hain Paraye Kon,
Kon Sunta Hai Aur Sunaye Kon,
Kon Dohraye Fir Wohi Baatein,
Dard Abhi Soya Hai Jagaye Kon,
Ab Sukun Hai Toh Bhulne Mein,
Lekin Us Shakhs Ko Bhulaye Kon.

Khula Hai Dar Magar Tera Intezaar Jata Raha,
Pyar Toh Hai Magar Aitbaar Jata Raha,
Kisi Ki Aankh Mein Masti Toh Aaaj Bhi Wohi Hai,
Magar Kabhi Jo Hamein Tha Khumar Jata Raha,
Kabhi Jo Seene Mein Ek Aag Thi Woh Sard Huyi,
Kabhi Nigah Mein Jo Thi Chingari Jati Rahi.

Barson Ki Jaan Pahchan Thi Ek Roj Usne Tod Di,
Hoshiyar Hum Bhi Kam Nahi Umeed Hamne Chhod Di,
Ganth Padi Hain Kis Tarah Yeh Baat Hai Kuchh Is Tarah,
Woh Dor Tuti Bar Bar Har Bar Hamne Jod Di,
Usne Kaha Kaise Ho Tum Bas Maine Lab Khole Hi The,
Aur Baat Duniya Ki Taraf Jaldi Se Usne Mod Di.

Jakham Dil Mein Jahan Mahkata Hai,
Isi Kyari Mein Tha Gulab Koi,
Rat Bajti Thi Door Sahnayi,
Roya Pikar Bahut Sharab Koi,
Dil Ko Ghere Hain Rojgar Ke Gham,
Raddi Mein Kho Gayi Kitab Koi,
Kon Sa Jakham Kis Ne Diya Hai,
Iska Rakhe Kahan Hisaab Koi,
Fir Main Sunane Laga Hu Is Dil Ki,
Aane Wali Hai Fir Musibat Koi.

Chodhavi Raat Hai Toh Khidki Ke Gira Do Parde,
Koun Jane Ki Woh Naraj Hi Raat Se Ho Jaaye,
Ek Khusboo Ki Tarah Fialate Hain Mahfil Mein,
Aise Alfaj Ada Jo Tere Lab Se Ho Jaayein,
Na Koi Ishq Hai Baaki Na Koi Parcham Hai,
Log Deewane Bhala Kis Ke Sabab Se Ho Jaayen,
Baat Toh Chhed Mere Dil Koi Kissa Toh Suna,
Kya Ajab Unke Bhi Jajbat Ajab Se Ho Jaayen.

Main Kab Se Kitna Hu Tanha Mujhe Pata Bhi Nahi,
Tera Toh Koi Khuda Hai Mera Khuda Bhi Nahi,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Khatm Ho Gaya Hai Sab Kuchh,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Tak Toh Kuchh Hua Bhi Nahi,
Kabhi Toh Baat Ki Usne Kabhi Raha Khamosh,
Kabhi Toh Hanske Mila Aur Kabhi Mila Bhi Nahi,
Kabhi Jo Kadwi Baat Thi Woh Bhi Khatm Huyi,
Kabhi Gila Tha Hamein Unse Ab Gila Bhi Nahi,
Woh Cheekh Ubhri, Badi Der Gunji, Doob Gayi,
Har Ek Sunta Tha Lekin Koi Hila Bhi Nahi.

Dil Ka Har Dard Kho Gaya Jaise,
Main Toh Pathar Ka Ho Gaya Jaise,
Daag Baki Nahi Ke Nishan Kahun,
Koi Deevar Dho Gaya Jaise,
Jagta Jahan Gham Ki Dhoop Mein Tha,
Chhav Paate Hi So Gaya Jaise.

Abhi Jameer Mein Thodi Si Jaan Baki Hai,
Abhi Hamara Ko Imtehaan Baki Hai,
Hamare Ghar Ko Toh Ujde Huye Jamana Hua,
Magar Suna Hai Abhi Woh Makan Baaki Hai,
Hamari Unse Jo Thi Baat Woh Khatam Huyi,
Magar Khamosh Sa Kuchh Darmiyan Baaki Hai,
Hamare Jahan Ki Basti Mein Aag Aisi Lagi,
Ki Jo Tha Khak Hua Ik Dukan Baaki Hai,
Woh Jakham Bhar Gaya Arsa Hua Magar Ab Tak,
Jara Sa Dard Jara Sa Nishaan Baaki Hai,
Jara Si Baat Jo Faili Toh Dastan Ban Gayi,
Woh Baat Khatm Huyi Daastan Baaki Hai.

Zindagi Ki Aandhi Mein Jahan Ka Ped Tanha,
Tumse Kuchh Sahar Tha Aaj Hu Magar Tanha,
Tum Fijul Baaton Ka Dil Par Bojh Mat Lena,
Hum Toh Khair Kar Lenge Zindagi Basar Tanha,
Ek Khilona Jogi Se Kho Gaya Tha Bachpan Mein,
Dhundhata Fir Ausko Woh Nagar Nagar Tanha,
Jhutpute Ka Aalam Hai Jaane Koun Aadam Hai,
Ik Kabr Par Rota Hai Muh Ko Dhanpkar Tanha,
Jakham Ghayal Lamhon Ko Niti Sambhale Hai,
Anginat Marijon Mein Ek Doctor Tanha.

Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka,
Tha Jo Deevana Mar Gaya Kab Ka,
Dhundhta Tha Jo Ek Nayi Duniya,
Lotke Apne Ghar Gaya Kab Ka,
Woh Jo Laya Tha Humko Dariya Tak,
Par Akele Utar Gaya Kab Ka,
Uska Jo Haal Hai Wohi Jaane,
Apna Toh Jakham Bhar Gaya Kab Ka,
Khwab Dar Khwab Tha Jo Tana Bana,
Ab Kahan Hai Bikhar Gaya Kab Ka.

Yeh Duniya Tum Ko Raash Aaye Toh Kahna,
Na Sar Pathar Se Takraye Toh Kahna,
Yeh Gull Kagaj Hain Yeh Jewar Hain Peetal,
Samajh Mein Jab Yeh Aa Jaye Toh Kahna,
Bahut Khus Ho Ke Usne Kuchh Kaha Hai,
Na Kahkar Woh Mukar Jaaye Toh Kahna,
Bahal Jaaoge Tum Gham Sun Kar Mere,
Kabhi Dil Gham Se Ghabraye Toh Kahna,
Dhuan Jo Kuchh Gharo Se Uthh Raha Hai,
Na Poore Sahar Par Chhaye Toh Kahna.

Aaj Maine Apne Fir Souda Kiya,
Aur Fir Main Door Se Dekha Kiya,
Zindagi Bhar Mere Kaam Aaye Usul,
Ek Ek Karke Unhe Becha Kiya,
Bandh Gayi Thi Dil Mein Kuchh Umeed Si,
Khair Tumne Jo Kiya Achha Kiya,
Kuchh Kami Apni Wafaon Mein Bhi Thi,
Tumse Kya Kahte Ki Tumne Kya Kiya,
Kya Batau Kon Tha Jisne Mujhe,
Is Bhri Duniya Mein Hai Tanha Kiya.

Hamare Dil Mein Ab Kadwahat Nahi Hai,
Magar Woh Baat Pahle Si Nahi Hai,
Mujhe Maayush Bhi Bhi Karti Nahi Hai,
Yahi Aadat Teri Achhi Nahi Hai,
Bahut Se Faayde Hain Maslehat Mein,
Magar Dil Ki Toh Yeh Marji Nahi Hai,
Har Ek Ki Dastaa Sunate Hain Jaise,
Kabhi Hamne Mohabbat Ki Nahi Hai,
Hai Ek Darwaja Bin Deewar Duniya,
Chhutkara Gham Se Yahan Koi Nahi Hai.

Dard Kuchh Din Toh Mehmaan Thahre,
Hum Hathi Hain Ke Mejbaan Thahre,
Sirf Tanhai Sirf Virani,
Yeh Najar Jab Uthe Jahan Thahre,
Koun Se Jakham Par Padav Kiya,
Dard ke Kaafile Kahan Thahre,
Kaise Dil Mein Khusi Basa Loo Main,
Kaise Muthi Mein Yeh Dhuan Thahre,
Thi Kahin Niyat Kahi Sahas,
Hum Kahin Inke Darmiyan Thahre.

Main Toh Jhonka Hun Hawaon Ka Uda Le Jaaunga,
Jagti Rahna Tujhe Tujhse Chura Le Jaaunga,
Ho Ke Kadmon Pe Nichhavar Phool Ne But Se Kaha,
Khak Mein Milkar Bhi Main Khusboo Bacha Le Jaaunga,
Koun Si Shayy Mujhko Pahuchayegi Tere Sahar Tak,
Yeh Pata Toh Tab Chalega Jab Pat Ale Jaaunga,
Koshishe Mujhko Mitane Ki Bhale Ho Kamyab,
Mitate Mitate Bhi Main Mitne K Amaja Le Jaaunga,
Shohratein Jinki Vajah Se Dost Dushman Ho Gaye,
Sabh Yahin Rah Jaayengi Main Sath Kya Le Jaaunga.

Jab Bhi Likhta Hu, Achha Tere Baare Mein,
Na Jaane Kyu Mere Haath Ruk Se Jaate Hain,
Bahut Bure Ho Tum, Na Socha Tumne Itna,
Ki, Tute Huye Dil, Kabhi Na Jud Paate Hain.

Har Ek Rista, Dil Se,
Nibhata Hu Main,
Kisi Ka Kiya Ehsaan,
Nahi Bhool Pata Hu Main,
Shayad, Yahi Rahi Hai Vajah
Jo Gham Mile Mujhko,
Har Kadam Par, Tabhi Toh,
Thokar Kha Raha Hu Main.

Main Kaise Yeh Maanu Ke Khusiyan Milengi,
Gham Jab Nahi, Door Mujhse Hain Jaate,
Jab Inko Nahi Hona Mera Yarab,
Hum Bhi Bhala Kaise Inko Bhulate.

Yahi Talak Tha Saath
Hamara Aur Tumhara Sanam,
Aaj Fir Ek Baar
Akele Pad Gayein Hain Hum,
Khud Hi Aakar Let Gaye Hain
Hum Apni Kabar Mein,
Kyuki Apni Zindagi Se
Aaj Dar Gaye Hain Hum.

Char Dino Ki Thi Zindagi
Jaane Kaise Beet Gayi,
Thukara Ke Yahan Sab Humko
Bewafa Hi Kahte Rahe,
Magar Na Kisi Se Hamne
Aaj Talak Kiya Shikwa,
Hum Bhi Na Jaane Kaise The
Chup Chap Sitam Sahte Rahe.

Aap Sanam Ko Ek Baar Mil Jaaiye,
Is Ki Mout Ke Aane Se Pahle,
Yeh Bhi Ek Baar Dekh Le Zindagi Apni,
Is Zindagi Ko Ganvane Se Pahle.

Gham Ke Dariyaon Se Milkar
Bana Hai Yeh Sagar,
Aap Kyu Is Mein Samaane Ki
Koshish Karte Ho,
Kuchh Nahi Hai
Aur Is Jeevan Mein Gham Ke Shiwa,
Aap Kyu Is Zindagi Mein
Aane Ki Koshish Karte Ho.

Phoolon Ko Toh Baharon Mein Aana Tha,
Kharon Ko Kyu Sang Mein Lana Tha,
Jise Chaha Hamne Dil Se Apnana,
Kya Usi Ko Hamse Door Jana Tha.

Aakar Hamari Kabar Par Phool Chdhaye Sabhi Ne,
Na Laya Saath Kante Koi Jinka Hamein Sahara Tha,
Yeh Mante Hain Hum Ki Yeh Dil Tha Hamara Magar,
Is Mein Sanbhala Tha Jo Woh Dard Tumhara Tha.

Na Jaane Kya Dikhaya Jamane Ko Toone,
Ki, Hamesha Hi Isne Hai, Mujhko Sataya,
Jo Aisa Hi Karna Tha Hashar Mera, Moula,
Toh Kya Thi Jarurat, Kyu Mujhko Banaya.

Duniya Ko Humse Shikayat Yahi Hai,
Ki Uske Usulon Ko Hum Nahi Jaante,
Are Inhi Par Toh Chal Rahe Hain, Dosto,
Tabhi Kisi Ko Apna Hum Nahi Maante.

Apno Ne Hamein Yeh Shikhaya Hai,
Ki Bewafayi Kya Hoti Hai,
Door Unse Huye Toh Jana,
Ki Judai Kya Hoti Hai.

Waade Wafa Karke Kyu Mukar Jaate Hain Yeh Log,
Kisi Ke Dil Ko Kyu Tadpaate Hain Yeh Log,
Agar Dil Lagakar Nibha Nahi Sakte,
Toh Fir Kyu Dil Ko Dil Se Lagaate Hain Yeh Log.

Darte The Is Jaalim Jamane Se,
Is Liye Pyar Karte Nahi The Hum,
Aap Se Bichhdane Ka Gham Hoga Hamein,
Is Liye Ikrar Karte Nahi The Hum.

Hum Samajhate The Bhool Chuke Hain Unko,
Fir Yeh Kis Baat Par Aaj Rona Aaya,
Unhone Hamare Saath Ki Kyu Bewafayi,
Lagta Hai Hamein Is Baat Par Rona Aaya.

Husn Waale Toh Hote Hain Sangdil Hamesha,
Inki Adalat Mein Na Sunwayi Hoti Hai,
Aap Apna Na Banana Kabhi Inko Dosto,
Kyunki Dil Tuta Toh Jag Hansayi Hoti Hai.

Mujhe Shikwa Nahi Hai Zindagi Se Koi,
Magar Lagta Hai Ise Mujh Se Shikayat Hai,
Main Toh Gujaar Leta Ghamon Ke Saath Zinadagi,
Magar Lagta Hai Ise Khusiyon Ko Farmaish Hai.

Pa Liya Tha Duniya Ki Sabse Hansi Ko,
Is Baat Ka Toh Hamein Kabhi Garur Nahi Tha,
Woh Paas Rah Paate Humare Kuchh Aur Din,
Shayad Yeh Hamare Naseeb Ko Manjoor Nahi Tha.

Bas Aur Do Kadam Mere Saath Chalna Yaaro,
Us Se Aage Main Khud Tumse Bichhud Jaaunga,
Aage Intezaar Kar Rahi Hai Mahbooba Mout Meri,
Uske Saath Main Khud Tumse Aage Nikal Jaaunga.

Aap Hamare Dil Ko Bahlane Ki Koshish Mat Kijiye,
Hum Na Jaane Isko Kis Kadar Samjhaye Baithe Hain,
Aap Hamare Dil Ke Paas Mat Aana Jal Jaaoge,
Kyunki Hum Ismein Na Jaane Kitni Aag Chhupaye Baithe Hain.

Aisa Nahi Ke Mujh Ko Aarju Nahi Hai Khusiyo Ki,
Magar Ise In Dard Mein Bhi Ek Ajib Sa Maja Aata Hai,
Yeh Isliye Bhi Badhana Chahta Hai Apne Dard Ko Dosto,
Kyunki Kahte Hain Badh Jaane Par Dard Dava Ban Jata Hai.

Jab Maalum Hai Tujhko Ki Yeh Duniya Matlabi Hain,
Toh Fir Bata Kyu Tu Inse Dil Apna Lagata Hai,
Jab Auron Ke Dil Mein Nahi Hota Tere Liye Dard Kabhi,
Fir Tu Kyu Auron Ke Liye Apna Dil Tadpata Hai.

Meelon Door Jaakar Bhi Hum Tumse Door Na Jaa Sake,
Dil Mein Kitni Bechaini Hai Yeh Bata Na Sake,
Dard Is Baat Ka Nahi Ke Hum Ab Mil Na Sake,
Dard Is Baat Ka Hai Ke Yaadon Mein Hum Tadpate Rahe,
Kyon Yaad Humein Karte Ho Itna,
Kyon Pyar Humein Karte Ho Itna,
Door Rahkar Ab Tumse Or Jee Na Sakenge,
Gham Se In Aankhon Ke Ashq Ko Ab Bahne Denge,
Kya Pata Kal Tumhe Hum Par Taras Aa Jaaye,
Umarbhar Is Aash Mein Hum Jee Hi Lenge.

Aaina Dekh Ke Kya Se Kya Ho Gaya,
Joh Wafa Tha Kabhi Bewafa Ho Gaya,
Tere Dil Ke Shahar Mein, Naa Apna Koi,
Pyaas Joh Dikh Gayi, Dariya Ho Gaya,
Dushmano Se Mile, Kuch Baat Ban Gayi,
Dost Kam Khush Huye, Aur Khafa Ho Gaya,
Ah Meri Zindagi, Ab Mere Saath Chal,
Mout Kya Dikh Gayi, Kya Nasha Ho Gaya.

Jiski Kismat Us Se Rooth Jaaye,
Usko Koi Bhi Kinara Nahi Milta,
Gairon Ki Toh Baat Hi Chhodo Dosto,
Apno Ka Bhi Sahara Nahi Milta.

Mohabbat Mangi Thi Mohabbat Ke Badle,
Tum Woh Bhi Humko De Na Sake,
Dil Ko Chaha Jab Kahin Aur Bahlana,
Is Baat Ko Bhi Tum Sah Na Sake,
Hum Kisi Ko Apna Banayein Yahan,
Shyad Yeh Kismat Ko Manjoor Nahi Tha,
Aapka Is Kadar Ruthna Humse,
Shayad Yeh Mohabbat Ka Dastoor Nahi Thaa.

Main Khusiyan Bantata Firta Hu,
Fir Gham Kyu Sabhi Mujhe Dete Hain,
Main Sabko Samjhata Hun Apna,
Fir Mujhko Begana Kyu Kahte Ho.

Kuchh Majburiyon Ne Humko Rok Rakha Hai,
Varna Hum Toh Kya Se Kya Kar Jaate,
Ek Naseeb Bhi Abhi Nahi Hai Saath Hamaare,
Varna Kya Hum Is Jamaane Se Dar Jaate.

No comments:

Post a Comment