Monday, November 20, 2017

शायरी दर्द दिल

Fir Khamoshi Ne Saaj Chheda Hai,
Fir Khayalat Ne Lee Angdayi,
Kisliye Mahfil Sajayee Jaaye,
Pursukun Ho Gayi Hai Tanhayi,
Ek Se Ek Ghatna Huyi Lekin,
Na Gayi Tere Gham Ki Yatnayi,
Koi Shikwa Na Gham Na Koi Yaad,
Baithe Baithe Bas Aankh Bhar Aayi.
Main Jise Mudat Mein Kahta Tha Woh Pal Ki Baat Thi,
Aapko Bhi Yaad Hoga Aaj Kal Ki Baat Thi,
Roj Mela Jodte The Woh Samasya Ke Liye,
Aur Unki Jeb Mein Hi Band Hal Ki Baat Thi,
Us Sabha Mein Sabhyta Ke Naam Par Jo Mon Tha,
Bas Usi Ke Kathya Mein Moujad Tal Ki Baat Thi,
Nitiyan Jhuti Padi Ghabra Gaye Sab Saster Bhi,
Jhopadi Ke Saamne Jab Bhi Mahal Ki Baat Thi.
Raat Ko Jab Chand Sitare Chamkate Hain,
Hum Hardam Fir Teri Yaad Mein Tadpate Hain,
Aap To Chale Gaye Ho Chhodkar Sanam Ko,
Magar Hum Aapse Milne Ko Tarste Hain.
रात को जब चाँद सितारे चमकते हैं,
हम हरदम फिर तेरी याद में तड़पते हैं,
आप तो चले गए हो छोड़कर हम को,
मगर हम मिलने को तरसते है।
Har Pal,
Mujhe Tumhari Yaad Aati Hai,
Baarish Ki Har Boond,
Tumhari Yaad Dilaati Hai,
Meri Parchayi Mein,
Tu Nazar Aati Hai,
Jab Bhi Dakhna Chahun Tumhe,
Tum To Nahi,
Meri Tanhai Nazar Aati Hai.
Din Toh Yeh Kat Jata Hai Magar,
Raaton Ko Musibat Hoti Hai,
Jab Yaad Tumhaari Aa Jaaye,
Bas Fir Toh Kyamat Hoti Hai,
Badi Bedard Duniya Hai,
Yeh Dil Ko Tod Deti Hai,
Kadar Isko Nahi Hai Koi,
Yeh Muh Ko Mod Leti Hai.
Hum Kaise Bataaye Ab Aapko Apni Bebasi,
Kyu Aapko Apne Dil Mein Basa Nahi Sakte,
Kyonki Jiski Yaadon Ke Sahaare Hum Zinda Hain,
Unki Yaadon Ko Hum Kabhi Bhula Nahi Sakte.
Hamaare Toh Kuchh Hi Din Baaki Hain Zindagi Ke,
Aapki Yaadon Ke Sahaare Yeh Kat Hi Jaayenge,
Magar Itna Yaad Rakhna Eh Dagaa Karne Waalon,
Ki Aap Bhi Kisi Se Dhoka Jarur Khayenge.
Khafa Hokar Humse Fir Maan Jana,
Yahi Ada To Humko Bahut Bhati Hai,
Baaki To Sabkuchh Bhool Chuke Hain Hum,
Magar Humko Wo Bewafa Bahut Yaad Aati Hai.
Kya Karoge Jaankar Hamaare Baare Mein,
Hum Toh Bas Yun Hi Jiye Jaate Hain,
Log Dete Ja Rahe Hain Gham Humko,
Hum Toh Bas Unko Siye Jaate Hain.
Kaif Mein Duba Hua Hoon Aalam E Tanhayi Hai,
Phir Teri Yaad Dabe Paanv Chali Aayi Hai,
Shab E Taarik Pe Chhayi Huyi Ranayi Hai,
Yeh Teri Zulf Ke Saaye Hain Ke Parchhayi Hai,
Tere Deevane Ko Itna Bhi Ab Hosh Nahi,
Yeh Tera Aaghosh Hai Ya Ghausha E Tanhayi Hai.
Woh Shayad Isiliye Rahte Hain Door Humse,
Kyunki Unko Apne Husn Par Gurur Hoga,
Magar Yaad Rakhna Eh Dil Todne Waale,
Ki Tumko Iska Ehsaas Jaroor Hoga.
Jo Pal Gujare Saath Unke,
Woh Pal Bahut Yaad Aate Hain,
Jab Bhi Hum Tanha Hote Hain,
Yeh Humko Bahut Rulate Hain.
Jinhe Hum Pyar Karte Hain,
Unko Bata Bhi Nahi Sakte,
Dekhiye Majboori Humari Ki,
Unhe Hum Paa Bhi Nahi Sakte.
Karoge Yaad Tum Yaro, Ki Main Kahta Tha Kabhi,
Doulat Aur Mohabbat Ka, Na Kabhi Bhi Mel Hota Hai,
Hoti Hai Jinke Liye Doulat Hi Sab Se Badhkar,
Unke Liye Toh Yeh Mohabbat, Fakt Ek Khel Hota Hai.
Woh Bholi Bhali Si Surat Unki,
Hum Bhool Bhi To Nahi Paaate Hain,
Jab Bhi Yaad Aa Jaaye Unki Kabhi,
Hame Jaante Hain Dil Ko Kaise Samjhate Hain.
Ek Din Aayega Aisa Bhi Yaaro,
Mujhe Yaad Karega Sara Jahan,
Bas Bol Rahenge Mere Geeton Ke,
Mit Jayega Baaki Naamo Nishaa.
Tere Sagar Par Moula Yeh Jahan Julm Dha Raha Hai,
Tu Bhi Door Baitha Kaise Muskura Raha Hai,
Ab Puchhta Bhi Nahi Hai Koi Baad Uske Mujhe,
Aaj Bichhuda Yaar Mujhe Yaad Aa Raha Hai.
Tere Sahar Tera Naam Kyu Teri Baatein Yaad Rakhun,
Jo Hamne Ki Thi Tumse Kyu Mulakatein Yaad Rakhu,
Dil Ko Mere Todkar Ghamon Ka Sagar Hai Diya,
Jo Saath Thi Gujari Kyun Barsaatein Yaad Rakhun.
Main Is Liye Chhod Aaya Tha Woh Tera Sahar,
Ki Shayad Teri Yaad Na Fir Aayengi Mujh Ko,
Magar Kya Maalum Tha Ki Aisa Bhi Hoga Kabhi,
Pahle Se Bhi Jyada Yeh Tadpayengi Mujhko.
Aisi Koi Raat Nahi Aayi Jeevan Mein,
Teri Yaad Jab Seene Se Lagaata Nahi,
Bas Itni Khud Se Hai Sikayat Mujhko,
Kyu Duniya Ko Chhod Main Jata Nahi.
Iltaja Karta Hun Aapse,
Ab Na Yaad Kabhi Aana,
Aakar Meri Kabr Par,
Na Tun Kabhi Askon Ko Bahana,
Badi Muskil Se Dhunda Hai,
Door Jaane Ka Aapse Rasta,
Kasam Hai Aapko Aapki Meri Rooh Ko Na Tadpaana.
Pyar Karta Hun Main Jinko Khuda,
Khush Rakhna Unhe Yeh Fariyad Karta Hun,
Bhale Hi Bhool Gaye Hon Woh Mujhko,
Magar Main Har Pal Unko Yaad Karta Hun.
Teri Yaadon Ke Deep Jal Uthate Hain,
Main Jab Bhi Kabhi Tanha Hota Hun,
Maine Rakhe Hain Aaj Bhi Sahej Kar,
Ashkon Se Tere Diye Jakham Dhota Hun.
Laakh Kahta Hun Bhula Diya Maine Tujhko,
Magar Dil Se Mita Na Saka Tasveer Teri,
Magar Aisi Kahan Thi Mere Yaar Takdeer Meri.
Bin Aapke Samjhta Hai Kon Yahan Mujhko,
Baad Aapke Sara Jahan Begana Sa Lagta Hai,
Kya Samjhega Tu Eh Dost Saatir Jahan Ko,
Yeh Sagar Khud Se Hi Anjana Sa Lagta Hai.
Har Baat Samjhayi Nahi Jaati,
Har Yaad Bhulayi Nahi Jaati,
Muskurana Bhi Hoti Hai Majburi Kabhi,
Har Wakt Toh Aankh Rulayi Nahi Jaati.
Humne Puchha Yaar Se Itna,
Kaise Woh Bewafa Ho Gaye,
Bole Woh Ki Tumse Kya,
Teri Jeb Se Sikke Kho Gaye.
Yaad Aa Gayi Fir Humko,
Kuchh Bhuli Huyi Baatein Yaaro,
Royenge Jinmein Kuredkar Jakham,
Aa Gayi Fir Woh Baatein Yaaro.
Na Jeene Ki Khusi Na Marne Ka Gham,
Pal Pal Unhe Yaad Karke Tadapte Hain Hum,
Aap Rokar Bhi Apna Dard Kam Na Kar Sake,
Aur Humne Muskura kar Apna Har Gham Chhupa Liya.
Yaad Mein Teri Kaise Din Gujaare Hain,
Puchho Na Hamse Aalam Woh Judai Ka,
Kaanto Ki Tarah Chubhta Raha Woh Lamha,
Ro-Rokar Gujara Hai Raasta Har Tanhai Ka.
Paimane Se Nikli Hai Aawaz Teri,
Stati Hai Mujhko Sanam Yaad Teri,
Kisi Gair Ka Daman Tham Na Lena,
Warna Ho Jayegi zindagi Barbad Meri.
Ishq Paane Ki Tamanna Mein Sanam,
Zindagi Barbad Banker Reh Gayi,
Jis Surat Ko Dil Mein Basaya Tha Kabhi,
Aaj Woh Surat Ek Yaad Bankar Rah Gayi.
Tarsegi Tu Pyar Ke Liye Tamam Umar,
Ab Yaar Tujhe Main Aisi Saja Dunga,
Yaad Karegi Jab Tu Mere Pyar Ko,
Magar Us Din Main Tujhe Bhula Dunga.
Zindagi Ke Har Lamhon Mein Unhi Ko Paate Hain,
Bhool Jayein Khud Ko Par Unhe Nahi Bhulate Hain,
Jane Kya Baat Hai Unme Ae Khuda,
Jitna Bhulate Hain Wo Utna Yaad Aate Hain.
ज़िन्दगी के हर लम्हो में उन्ही को पाते हैं,
भूल जाएं खुद को पर उन्हें नहीं भुलाते हैं,
जाने क्या बात है उनमे ऐ खुदा,
जितना भूलते हैं वो उतना याद आते हैं
Unki Yaadon Ko Abhi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun,
Haye Main Kis Zalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun,
Inhi Raahon Se Aayenge Bhale He Baad Mere Marne Ke,
Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun!
Mera Iljam He Tere Par Ke Tu Bewafa Tha,
Dosh To Tera Tha Par Tu Hamse Hi Khafa Tha,
Ek Kitab Main Bayan He Teri Meri Kahani,
Yaddon Se Sarabor Uska Ek Ek Saffa Tha.
Jane Kitni Umeede Thi Tujhko Meri Yadon Se,
Ke Jab Bhi Ayengi Haal Suna Jaya Karengi.
Hum Bhi Tere Liye Ek Khilona Bhar The,
Ke Yaden Ayeni Or Dil Bahla Jaya Karengi.
Tufaan se yu jada huya basti fir bas jaati hai,
Har patjhad ke baad bahaar aa jati hai,
Magar e dost tu kyaa jaane dosti ki kadar,
Tere zindagi subah hone se pehle hi sham ajaati hai.
Yu to hame lakhon mile the apne,
Jo milkar chale gaye,
Kuch tere jaise bhi mile,
Jo vada kar k mukar gaye,
Magar Hamari majburi hai,
Nibhyenge ye dosti umar bhar,
Kyoki Galati se tujh se dosti ke,
Chand vaade jo kar gaye!
Khulte Hain Mujh Pe ..
Raaz Kaai Is Jahan Ke,
Us Ki Haseen Aankhon ..
Main Jab Jhankta Hoon.
Arzu nahi k gam ka tufan tal jaye,
Fikar to ye hai tumhara dil na badal jaye,
Kabhi mujhko agar bhulana chaho to ek ehsan karna ,
Dard itna dena ki jaan nikal kaye.
Kambakht ye pyar kyu hota hai,
Kis vajah se dil ye rota hai,
Na jane kya chahta he uper wala humse,
Jiski chahat hoti he mujhe dil us hi ko khota hai.
Kyo yaad aati ho dil dukhane ke baad,
Kyo dur jati ho pass aane ke baad,
Humne to bahut chaha hai dil se tumko,
Fir kyu aansu de jati ho yaad aane ke baad.
Ishq karna to lagta he jaise,
Mout se bhi badi ek saza he,
Kya kisi se shikayat kare hum,
Jab apni taqdir hi BEWAFAA he.
Dil ke dariya me dhadkan ki kasti hai,
Khawabo ki duniya me yado ki basti hai,
Mohabbat ke bazar me chahat ka sauda,
Wafa ki kimat se to bewafai sasti hai..
Ankhe ro padi unka na koi peigam aaya,
Chale gaye hame akela chod k ye kaisa mukam aaya,
Meri tanhai muskara ke mujhse boli,
Bata mere siva koun tere kaam aaya.
Tujhe yaad kar k rota hu,
Raat bhar jag kar bas khuch hi pal sota hu,
Jab tum najar aati ho sapno me to,
Khushi ka thikana nahi rehta,
Aur
Dard tab hota he jab sapno me bhi tumhe khota hu.
Unki chahat mein dil majbur ho gaya,
Bewafayi karna unka dastur ho gaya,
Kasur unka nahi tha mera tha,
Humne chaha hi itna ki shayad unko gurur ho gaya.
Doli unki uthi par hum kuch kar na sake,
Hum wahi par khade unhe dekhte rah gye,
Na unki doli aage badhi na hum kuch kah sake,
Kyu ki doli uthane walo me ek hum bhi the jo khade rah gye.
Taqdeer ke aaine me meri tasveer kho gyi,
Aaj hamesha ke liye meri rooh so gyi,
Mohabbat karke kya mila mujhe,
Woh kal meri thi..
Aaj kisi aur ki ho gyi.
Ishq ki taqat ko kam na samajh naasamajh,
ishq ko gaali dekar kamjor na kar,
Ishq to vo toofaan hai,
Jo kisi anpadh ko bhi bana de shayar.
Zindagi Na Milegi Dobara,
Sapne saare tod kar baithe hai,
Dil ka armaan chhod kar baithe hai,
Na kijiye humse wafa ki baatein,
Abhi-abhi dil ke tukde jod kar baithe hai,
Koshishen tmaam nakam ho gayi,
Ankhon se ansuon ki barish aam ho gayi,
Bewafai humse karke wo chale gaye,
aur wafa hamari badnaam ho gayi…
Sabhi taareef karte hai,
Mere tahreer ki lekin,
Kabhi koi nahi sunta,
Mere alfaaz ki siskiyan..
Sab log rah guzar nahi hote,
Sath chalne wale hamsafar nahi hote,
Kitna dard hota haio un logo ke dilo main,
Pucho un logo se jinke apne bhi apne nahi hote.
Socha Tha ..
Uss Se Bichrenge Toh Mar Jayenge,
Jaan Lewa Khauf Tha Bas,
Hua Kuch Bhi Nahi.
Chor di hum ne duniya bas teri khushi ke liye..
Jee sakenge na ab hum kisi ke liye..
Tera milna bicherna ek khwab sa tha..
Teri kasam traste rahe bas ek hansi ke liye..
Teri judai se badh kar kya gham hoga..
Zakham kafi hain yeh hi meri zindgi ke liye.
Alfaaz To bahut Hai Mere dard Bayaan Karne K Liye..
Mere Dost
Par jo Meri Khaamoshi Ko nahi Samajh saka..
Wo Mere Alfaaz Ko Kya Samjhega..
Kitne Ghuroor Me Hai Wo,
Mujhe Tanha Chod Kar..
*
*
Ae Dost
*
*
Kyun Ki Use Maloom Hai,
Mere Paas Koi Aur Nahi Hai Us K Siwa..
Is Daur Me Ki Thi ..
Jisse Wafao Ki Ummeedein ..
Aakar Usi K Haath Ka ..
Patthar lga mujhe .
Bade Ajeeb hai ye zindgi ke raste,
Anjane mod par kuch log apne ban jate hai,
Milne ki khushi de ya na de,
Bichadne ka gam zaroor de jate hai.
Pattharon Se Pyar Kiya Naadan The Hum,
Galti Hui Kyu Ke Insaan The Hum,
Aaj Jinhe Nazre Milane Me Taklif Hoti Hai,
Kabhi Usi Shaks Ki Jaan The Hum..
Kitna alag hai unki fitrat mein ..
Andaaz-E-Mohobbat”
Roz ek jakham de ker kahte hai ..
Apna khayal rakhna.
Poochha Na Zindagi Mein,
Kisi Ne Bhi Dil Ka Haal,
Ab Shahar Bhar Mein Zikrr,
Meri Khudkushi Ka Hai.
Aata He Nahi..
Us Nadan K Bagair Jeena,
Kash Us Shakhs Ne..
Marna Bhi Sikha Deya Hota.
Humein izhaar karna nahi aaya,
Unhe pyaar karna nahi aaya,
Hum bas dekhte hi reh gaye,
Aur waqt ko thamna nahi aaya,
Woh chalte chalte itne door chale gaye,
Humein rokna bhi nahi aaya.
Kaise hai ye duniya hum samjh nahi paaye,
Bhikare huye sapne hum jod nahi paaye,
Sayad honge hum hi itne Bure,
Jo kisi ke dil main hum utar nahi paaye.
Gum ka ehsaas unko hone na diya,
Hum roye unko rone na diya,
Ab use khush rakhna Ae khuda,
Jisne chain se hamko sone na diya.
Dil ki duniya khali hai tab se jab se tum gaye ho,
Sab aane se darte hain yahan jab se tum gaye ho,
Sheeshe mein dekhta hoon chehra apna to ro deta hoon,
Kissi ne na poonche aansoo jab se tum gaye ho.
Haan Hum Bewfa Sahi,
Par Itna Mujhe Batao,
Bewafa Jo Nahi Hai,
Aisa koi Saksh Dikhao,
Haan Main Janta Hoon,
Aapne kisi se Bahut wafa ki Hai,
Par yun kya aapne Khud se koi Wafa ki Hai.
Tujhe kya pata kya guzaratee hai mujh per,
Tu to mujhe dariya mein chod ke kinare se dekhtee hain,
Sahil bhi tera gulam hai aur lehrein bhi,
Dono bhi mujhe bachane se pehle tujh-se poochtee hain.
Zindagi maie ek sapna dekha,
Jise ham haqiqat samajh baithe,
Maine jise pyar kiya,
Wo majak samajh baithe.
Din me yaad usko ek baar nahi baar karte the,
Ye jante hue ki uski yaad hi aayegi phir bhi intezar karte the,
Par jab us bekadar garoori se hi chot khai hamne tab hosh aya ki,
Hum to kisi pathar se pyar karte the.
Ek bewafa se wafa ki ummeed rakhi hai,
Is dil me saja kar unki ek tasveer rakhi hai,
Na de sake wo insaaf hamari wafa ko,
Fir bhi kadmo mein unke hamne hamari takdeer rakhi hai.
Nadani pyar mein hamne esi kar rakhi hai,
Ke ik bewafa se wafa ki ummeed rakhi hai.
Tabdeeli jab bhi aati hai,
Mausam ki adaao me,
Kisi ka yu hi badal jana,
Bahut yaad aata hai.
Manzil nahi hai thikana nahi hai,
Kahi par bhi mera ashiyana nahi hai,
Maine teer chalana sikhaya ushe,
Ab mere siva uska koi nishana nahi hai.
Kuch Umar Ki Pehli Manzil Thi,
Kuch Raaste The Anjaan Bahut..!
Kuch Hum Bhi Pagal The Lekin,
Kuch Woh Bhi The Nadan Bahut..!
Kuch usne Bhi Na Samjaya,
Yeh Pyar Nahi Asaan Bahut..!
Akhir Humne Bhi Khel Liya,
Jis Khel Mein Tha Nuqsaan Bahut.
Ye chahaten ..
Ye ronaken ..
Paband hai mere jeenay tak ..
Binaa Rooh k nahi rakhte ghar waale bhi jism ko.
Ik tum ho jise pyar bhi yaad nahi,
Ik mein hu jise or kuch yaad nahi,
Jindgi maut ke do hi to tarane hai,
Ik tume yad nahi ik mujhe yad nahi.
Mohabbat Ada hai uski ..
Aur mera emaan hai,
Usi ke Dil me nahi Hum..
Jo hamari jaan hai.
Woh Bhool Gaye Unhe Hasaya Kisne Tha,
Jab Woh Ruthte The To Unhe Manaya Kisne Tha,
Woh Kehte Hain Ke Woh Bahut Achhe Hain,
Lekin Woh Bhool Gaye Ke,
Unhe Yeh Bataya Kisne Tha.
Tumhein pe marta hai ye dil,
Adavat kyun nahin karta,
Kayi janmo se bandi hai,
Bagawat kyun nahin karta,
Kabhi tumse thi jo,
Wo hi shikayat hai jamane se,
Meri tareef karta hai,
Mohabbat kyun nahin karta.
Khwaab itne to dagabaaz na the mere kabhi,
Khwaab itni to meri neend nahi chhalte the,
Raat ki baat kya ik daur me ye khanabdosh,
Din nikalte hi mere saath saath chalte the.
Saza hume ye kaisi mili dil lagane ki,
Ro rahe magar tamnna thi muskurane ki,
Apna dard kise dikhau aye dost,
Dard bhi usine diya jo wajah thi muskurane ki.
Tujh mein apnapan dekha tha maine,
Sar jhukake sharmai thi mein,
Dil hi dil mein ghabrai thi mein,
Tere mathe ko chum apna smjha tha maine,
Tere seene ko chu teri dhadkano ko suna tha maine,
Kya ho gya tujhe,
Kyu chod gya tu mujhe,
Jaan thi na mein teri.
Ab Agar Aaoo To Janey k Liye Mat Aana,
Sirf Ehsaan Jataney k Liye Mat aana,
Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain,
Dil Par Umeed Ki Soo Rasmen Jala Rakhi Hain,
Ye Haseen Shamen Bujhaane k Liye Mat Aana,
Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hain,
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hain.
Saarey waadon ko bhula sakta hun,
Lekin rehne do,
Main tumhein chor k ja sakta hun,
Lekin rehne do,
Tum jo har mord pe keh daiti ho khuda hafiz,
Faisla mein bhi suna sakta hun,
Lekin rehne do,
Tum ne jo baat ki dil ko dukhane wali,
Us per main muskura bhi sakta hun,
Lekin rehne do,
“Jise Maine Mohabbat Ki”
“Wo Mohabbat Thi Kisi Aur Ki”,,
“Dhadkan Mere Dil Ki”
“Aur Sansein Kisi Aur Ki”
“Badal Gayi Ye Dunia”
“Wo Dunia Hi Kuch Aur Thi”,,
“Wo Bas Ek Sapna Tha Mera”
“Haqiqat Thi Kisi Aur Ki”
Dukh Kam Nahi Hota Muskurane Se,
Aansu DiL Pe Hi Girte Hai Chupane Se,
Wo Aur Honge Jinhe Manjil Mil Gayi Hogi,
Hamein To Sirf Badnami MiLi Hai Is Zamane Se,
Mai kyo Teri Be’wafai ka Charcha karu,
Gham To kam Nahi Hota Dikhane Se,
Hum Bhi Bhula Denge Biti Hui Baato’n ko.
Kaash tu samaj pata k pyar kitna hai,
Use jatane me dard kitna hai,
Log ikrar karke bhi aasu bahaya karte hai,
Hum izhaar kiye bina khoon se nahaaya karte hai.
Mujh Se Yeh Loog Kehte Hain,
Kahan Dil Chor Aaye Ho,
Bhut Chup Chaap Rehti Ho,
Na Banti Ho Na Sanwarti Ho,
Na Koi Baat Karti Ho,
Bhari Mehfil Mian Aksar,
Hamesha Khoye Khoye Rehti Ho,
Uddasi Aankhon Main Le Kar,
Har k Chehre Ko Takti Ho,
Koi Jab Yaad Aata Hai,
To Thandi Aah Bharti Ho.
Jo kho diya is Dil ne phir rona kaisa,
Yaad-e-maazi se Aashon ko pirona kaisa,
Logon ka kehna hum tum juda ho gaye laikin,
Jab Dil mein Mohabbat hai tu juda hona kaisa,
Teri Ulfat ko Faramosh kiya hi nahi jab,
Tu kisi aur ki mohabbat mein khona kaisa,
Woh tu teri Zindgi ka maqsad hai.
Aarzu thi unki bahon main mera dum nikle..
Kasur unka nahi badnaseeb hum nikle..
Jahan bhi jaye khush rahe wo sada..
Dil se mere dua sada yahi nikle..
Mere hoto ki hasi unke hoto se nikle..
Unke gham ka dariya meri ankho se nikle..
Ye zindagi sada unhe hasati hue nikle..
Mera aitbar kam tha kisi k aitbar k samne,
Mera intzar kam tha kisi k intzar k samne,
De di usne apni chahat kisi aur ko,
Shayad mera pyar kam tha kisi k pyar k samne.
Khud se unhe dur karke dekha,
Na reh sake khud ko majbur karke dekha,
Meri har khata ko vo undekha akrta raha,
Gunhegar hone ko maine har kasoor karke dekha.
Katal kar k aye khuda kissa he tamam kar de,
Yun roz roz marne se main pareshan ho gaya hu,
Dekh kr mujhko sb zinda lash kehne lage hain,
Tu soch main kaisa insaan ho gaya hu !
Sukoon apne Dil ka Maine kho diya,
Khud ko ‘DARD’ ke samandar main dubo diya,
Jo thi kabhi mere muskurane ki wajah,
Aaj uski kami ne meri palko ko bhigo diya.
Uski Aankhon main koi ‘DARD’ basa hai shayad,
Ya mujhe khud hi Veham sa hua hai shayad,
maine punchha ke bhool gaye ho tum bhi,
ponchh kar Aansu mujhe Usne kaha.. ‘SHAYAD’.
Mit mit ke Musafir ne basaya hai tujhe,
Sabse munh pher kar munh dikhaya hai tujhe,
Tujhse kyun na main Lipat kar soun e-kabar
Maine bhi to Aakhir jaan de kar paaya hai tujhe.
Rone ki saza hai na rulane ki saza hai,
Ye ‘DARD’ muhabbat ko nibhane ki saza hai,
Hanste hai to aankho se nikalte hai Aansoo,
Ye ek shakhs ko itna chahne ki saza hai.

No comments:

Post a Comment