Wednesday, November 15, 2017

Shayri For Love

Aisi Kardi Hai Tumne Meri Halat Yarab,
Haal E Dil Kisi Ko Suna Na Paaunga,
Tujhse Kiya Hai Wada Tabhi Majboor Hun,
Isi Liye Khud Ko Main Mita Na Paaunga.

Bhale Kitne Hi Khafa Hote Ho Tum Hamse,
Magar Paas Hote Ho Toh Sab Achha Lagta Hai,
Baaki Saari Kaynat Lagti Hai Jhooti Si,
Bas Ek Aapka Pyar Sachha Lagta Hai.

Agar Thak Jaao Kabhi Toh Humse Kahna,
Hum Utha Lenge Tumko Apni Baahon Mein,
Aap Ek Baar Pyar Karke Toh Dekho Humse,
Hum Khusiyan Bichha Denge Aapki Raahon Mein.

Agar Zindagi Mein Kabhi Pyar Hum Karenge,
Har Haal Mein Us Pe Aitbar Hum Karenge,
Karenge Hum Sada Poori Har Aarju Uski,
Wada Raha Na Kabhi Takrar Hum Karenge.

Main Aur Kuchh Bhi Soch Pata Hi Nahi,
Din Raat Rehta Hai Bas Khyal Aapka,
Kya Hum Nibha Payenge Apni Kasmon Ko,
Dil Mein Ubharta Hai Bas Sawal Aapka.

Karta Hun Aaj Tuhse Yeh Wada,
Har Ek Kadam Tere Saath Rahunga,
Bharunga Teri Jholi Main Khusiyon Se,
Tere Liye Toh Har Gham Main Sahunga.

Tujhsa Hansi Na Dekha Humne,
Sara Zamana Dekh Liya,
Tere Aaghosh Mein Aake Humdam,
Savrag Suhana Dekh Liya.

Aap Humse Pyar Karke Toh Dekhiye,
Hum Aapke Sare Gham Apne Bana Lenge,
Chhinkar Is Saare Jahan Ki Khusiyan,
Dekhna Aapke Kadmon Tale Bichha Denge.

Jeevan Mein Bas Aap Se Hi Pyaar Kiya Tha,
Aapse Hi Toh Mohabbt Ka Izhaar Kiya Tha,
Agar Chhodna Tha Yun Hi Toh Inkar Kar Dete,
Tab Toh Aapne Bhi Dil Se Ikrar Kiya Tha.

Main Kya Dekhun Is Duniya Ke Najare,
Mujhe Tere Chehre Se Fursat Nahi Hai,
Sagar Pana Chahta Hai Bas Tujhko,
Mujhe Aur Kisi Ki Jarurat Nahi.

Kya Karein Hamari Fitrat Hi Aisi Hai,
Jo Har Kisi Se Pyar Kar Lete Hain,
Tabhi Toh Dokha Khate Hain Hum Yahan Par,
Jo Har Kisi Par Aitbaar Kar Lete Hain.

Zindagi Ko So Baar Aajmaya Hai Humne,
Har Baar Mout Ko Hi Kareeb Paya Hai Humne,
Chot Khane Se Kab Baaj Aate Hain Hum Bhi,
Toote Dil Ko Aaj Fir Lagaya Hai Hamne.

Aapki Yahi Adayein Toh Hain Eh Mere Humdam,
Jo Humko Aap Par Marne Ko Majboor Karti Hain,
Magar Yeh Bhi Suna Hai Ke Hote Hain Sabhi Hasin Bewafa,
Aap Bhi Hasin Hain Yehi Baatein Aap Se Door Karti Hain.

Tere Hi Dam Se Zinda Hun Yaar,
Sirf Tumhi Se Karta Hun Main Pyar,
Jaan Ho Meri Tum Ho Mera Karar,
Sirf Tumhi Se Karta Hun Main Pyar.

Abhi Abhi Toh Aaye Ho Eh Mere Hamdam,
Aur Abhi Jaane Ki Baat Karte Ho,
Yeh Kaisi Hai Sanam Mohabbat Aapki,
Aap Dil Dukhane Ki Baat Karte Ho.

Najar Na Lag Jaaye Kahin Aapko Kisi Ki,
Sari Duniya Se Chhupakar Aa Rakh Lu Tujhko,
Bas Itni Si Aarju Hai Hamari Toh Jeevan Mein,
Har Janam Mein Pyar Milta Rahe Aapka Mujhko.

Na Chahte Huye Bhi Tumse Pyar Kiya,
Humne Toh Sada Tumhara Aitbaar Kiya,
Is Se Badkar Pyar Ka Du Kya Saboot,
Aakhiri Sans Tak Tumhara Aitbaar Kiya.

Juda Tumse Hokar Na Ji Paaunga Main,
Usi Pal Tadap Tadap Kar Mar Jaaunga Main,
Tere Sang Hi Jeevan Bitana Hai Mujhko,
Tere Bina Na Kuchh Bhi Ban Paaunga Main.

Tere Ishq Mein Sab Kuchh Luta Baitha,
Main Toh Zindagi Bhi Apni Ganva Baitha,
Ab Jeene Ki Tamanna Na Rahi Baki,
Saare Armaan Main Apne Dafna Baitha.

Tere Bol Lagte Hain Pyare Mujhko,
Tu Sabse Pyara Hai Hi Yaara,
Kin Achhe Karmon Se Mila Hai Tu,
Tera Sath Jeene Ka Sahara Hai.

Kis Baat Ka Marham Denge Yaar,
Jab Haal Hamara Na Jaane Koi,
Sab Dekhte Hain Upri Dikhave Ko Hi,
Mere Dil Ka Dard Na Pahchane Koi.

Teri Har Ada Mein Koi Baat Hai,
Main Deewana Sa Hua Jaata Hun,
Har Kisi Mein Dekhta Hun Tumko,
Khud Se Begana Hua Jata Hun.

Mere Dil Mein Rahna Tum Oh Sanam,
Kya Karna Is Char Deewari Ka,
Bas Hum Jee Lenge Ek Dooje Ke Liye,
Chhod Denge Is Duniya Sari Ko.

Jabse Dekha Hai Najron Ne Aapko,
Inko Aur Kuchh Bhi Najar Nahi Aata,
Na Jaane Kaisa Kiya Hai Jaadu Aapne,
Koi Aur Chehra Isko Nahi Bhata.

Bhale Bhool Jana Aap Hamein,
Hum Aapko Bhool Na Paayenge,
Aapka Hi Saath Mangenge Sada,
Hum Jab Bhi Jahan Mein Aayenge.

Na Dil Hota Na Lagate Yaaro,
Yeh Jeevan Hans Kar Bitate Yaaro,
Hansane Par Aa Jaate Hain Aansu,
Hamein Aise Toh Na Tadpaate Yaaro.

Hamin Jaante Hain Ke Kaise Khuda Se,
Tujhe Manga Hai Humne Eh Yaar Mere,
Teri Judai Ab Main Sahunga Nahi,
Sada Kareeb Rahna Dilbar Mere.

Hum Pyar Aapse Karte Hain Dil O Jaan Se Sanam,
Is Baat Ka Aapko Aitbaar Kyu Nahi Aata,
Na Jaane Kaisa Pather Hai Yeh Dil Bhi Aapka,
Aap Ko Hum Par Kabhi Bhi Pyar Kyu Nahi Hota.

Bas Ek Tere Khwab Se Inkar Nahi Hai,
Dil Varna Kisi Shay Ka Talabgar Nahi Hai,

Aankhon Mein Hansi Khwab Toh Hain Aaj Bhi Lekin,
Tabir Se Ab Koi Sarokar Nahi,

Dariya Se Abhi Tak Hai Wohi Rabt Hamara,
Kasti Mein Hamari Koi Patwar Nahi Hai,

Hairat Se Naye Sahar Ko Main Dekh Raha Hun,
Deewar Toh Hai Saya Eh Deewar Nahi Ahi,

Is Bajm Ki Ronak Toh Jara Gour Se Dekho,
Lagta Hai Yahan Koi Dil Aajar Nahi Hai,

Aaye Ho Numaish Mein Toh Zara Dhyan Bhi Rakhna,
Har Shay Jo Chamkati Hai Chamkdar Nahi Hai,

Kyu Itna Hamein Apni Mohabbat Par Yakin Hai,
Duniya Toh Mohabbat Ki Talabgar Nahi Hai.

Tere Jaane Ke Baad Sanam Mere,
Sochta Hun Ke Kaise Jiyunga Main,
Tujhse Kiya Hai Isi Liye Wada,
Yeh Judai Ka Zahar Bhi Piyunga Main.

Ishq Chhupta Hai Chhupane Se Kahan,
Yeh Khud Be Khud Samne Aata Hai,
Nahi Bachta Is Se Koi Bhi Kabhi,
Yeh Sab Ko Hi Bada Tadpata Hai.

Chup Rahkar Bhi Kya Karte,
Aaj Bol Diya Ki Pyar Hai,
Ab Hoga Jo Woh Dekh Jaayega,
Ab Kah Diya Ki Ikrar Hai.

Tere Bina Main Kuchh Bhi Nahi,
Tere Saath Hi Sab Baharein Hain,
Jo Teri Baahein Hain Hamdam,
Sagar Ke Yahi Toh Kinare Hain.

Woh Sangdil Hain,
Harjaai Hain,
Yeh Hum Bhi Jaante Hain,
Woh Duniya Mein Sab Se Bura Hai
Yeh Hum Bhi Jaante Hain,
In Buraiyon Ke Baavjood Bhi ,
Poojate Hain Unko,
Kya Karein Majbur Hain,
Dil Se Use Khuda Mante Hain.

Chand Taaron Ki Hamein Jarurat Nahi,
Humko Toh Bas Aapka Pyar Chahiye,
Aur Kuchh Nahi Mangunga Aapse Kabhi,
Pyar Ki Dolat Bas Besumar Chahiye.

Aapne Diye The Jo Pyar Ke Lamhe,
Un Lamhon Ka Karz Chuka Na Paayenge,
Aapne Bhale Bhula Diya Hi Hamein,
Magar Hum Kabhi Bhi Bhula Na Paayenge.

Main Khush Hun Teri Di Zindagi Se Khuda,
Mujh Jaisa Sabko Ghar Sansar Mile,
Jaisa Mujhko Diya Hai Aaj Mere Mola,
Aisa Jeevan Mein Sabko Pyar Mile…

Kya Lena Mujhko Duniya Se,
Mujhe Tujhse Hi Bas Kaam Hai,

Tere Dil Ki Mujhko Khabar Nahi,
Mere Dil Mein Bas Tera Naam Hai,

Woh Mujhko Rulakar Hans Diya,
Mera Dil Thukrakar Hans Diya,

Meri Jholi Bhar Kar Kaanto Se,
Mujhe Paas Bithakar Hans Diya.

Aap Aayenge Kab Talak Itna Toh Bata Dijiye,
Aap Ke Intezaar Mein Kkhud Ko Bhulaye Baithe Hain,
Wapas Ja Na Paoge Bas Ek Baar Chale Aao,
Aapki Raahon Mein Hum Palkein Bichhye Baithe Hain.

Kuchh Der Aur Agar Aap Thahar Jaate,
Toh Dil Ke Armaan Main Pure Kar Leta,
Aankhon Mein Basakar Kar Leta Band Inko,
Fir Hanskar Sabke Sitam Jar Leta.

Meri Rooh Bhi Shayad Bhatkegi Duniya Mein,
Suna Hai Pyar Karne Waale Marte Nahi Kabhi,
Kya Karenge Ji Kar Hum Bin Yaar Ke Khuda,
Dekh Marne Se Bhi Dilwale Darte Nahi Kabhi.

Yun Kahne Ko Sab Hai Duniya Mein,
Par Yeh Tanhai Kyu Saath Rahti Hai,
Main Kuchh Nahi Kahta Kisi Se Kabhi,
Mujhe Duniya Deewana Kyu Kahti Hai.

Kisi Aur Ko Dosh Kyu Dete Ho,
Apni Mohabbat Mein Dam Hona Chahiye,
Bhale Kaisa Bhi Aaye Vakt Jeevan Mein,
Yaar Par Bharosa Na Kam Hona Chahiye.

Mujhe Bhool Jana Koi Gham Na Karna,
Mere Baad Aankhon Ko Tum Nam Na Karna,
Kisi Aur Ka Thaam Lena Tu Daman,
Mere Baad Jholi Ko Phoolon Se Bharna.

Pyar Mein Tere Hum Is Kadar Kho Gaye Hain,
Zamane Se Bekhabar Hum Tere Dil Mein So Gaye Hain,
Mat Uthana Ab Hamein Apne Dil Ki God Se,
Hum Sada Ke Liye Ab Tumhaare Ho Gaye Hain.

Kasam Li Thi Tere Dar Aane Ki,
Hashar Yeh Hua Dar Apna Hi Chhod Baithe,
Mere Saaye Se Dara Karte The Jo,
Hashar Hua Yeh Dil Mujhi Se Jod Baithe,
Lat Thi Peene Ki Mujhe Aankho Se Kya Pilayi,
Chod Maykada Paimana Tod Baithe.

Badan Ke Jarre Jarre Mein Bas Gayi Hai Tu,
Mere Lahu Ki Dhar Mein Bhi Bas Rahi Hai Tu,
Tujh Par Har Kadam Par Main Aitbaar Karta Hun,
Tujhe Pata Nahi Kitna Main Pyar Karta Hun.

Mera Chain Chheen Liya Hai Tere Nain Ne,
Tadpu Bepanah Rahu Bechain Main,
Har Pal Main Tujh Par Jaan Nishar Karta Hun,
Tujhe Pata Nahi Kitna Main Pyar Karta Hun.

Ek Ek Sanse Aati Jati Tere Naam Se,
Dhalke Nain Aansu, Mere Armaan Ke,
Ashkon Se Tera Main Shringaar Karta Hun,
Tujhe Pata Nahi Kitna Main Pyar Karta Hun.

Jeete Hain Na Chain Se Na Mar Sakte Hain,
Kyoki Wada Jo Kiya Hai Maine Tujse,

Na Yaha Voh Pyari Si Bahare Hain,
Na Yaha Voh Pyari Si Chahat Hain,

Na Yaha Voh Bahti Nadiyan Hain,
Na Yaha Voh Nila Aasmaan Hain,

Ye Sab Kuch Bhi Nahi Hai Tumhare Bina,
Tujse Hi To Judi Sari Muskan Meri Hai,

Ab Aakhri Gujarish Hai Meri Tujhse,
Bhul Ja Tu Mujko Ki Mera Bhulna Aasan Ho Jaye.

Chhod Aayi Thi Main Tera Voh Shaher,
Soch Ke Yeh Ki Bhul Jaungi Tujhe Main,

Par Itni Door Aakar Bhi Na Bhul Payi Main Tujhe,
Soch Ke Yeh Ki Tadpaungi Tujhe Main…

Par Tadapati Rahi Main Khud Itni,
Jaise Shama Jalti Hai Parvane Ke Liye,

Kash Samja Hota Tune Pyar Ko Mere,
Na Aaj Hum Tum Dono Is Halat Me Hote.

Dil Ke Kisi Kone Mein Ab,
Koi Jagah Nahi,
“E-Sanam”
Ke ..
Tasveer Humne Har Taraf,
Teri Laga Di.

Yun Kabhi Kabhi Toh Najara Karenge Hum,
Pahna Karo Naqab Utara Karenge Hum,

Mahtaab Ki Jami Pe Aaine Ko Dekhna,
Jab Naam Lekar Tujhko Pukara Karenge Hum,

Humse Ebadato Mein Kami Rah Gayi Agar,
Rah Rah Kar Apne Mathe Pe Mara Karenge Hum,

Manjilo Se Agar Na Mil Saka Koi Jawab,
Mud Mud Ke Tera Naam Pukara Karenge Hum,

Wakt E Sahar Jo Raat Ki Low Jhilmila Gayi,
Uth Uth Ke Teri Julfe Sanvara Karenge Hum.

Agar Mohabbat Hai Mujhse To,
Is Kadar Kyu Khade Huye,
Apne Zidd Par Bolo Dilbar,
Kyu Ho Ab Tak Ade Huye,
Dil Se Mohabbat Ho Jaaye To,
Rahe Na Nafrat Jigar Kabhi,
Pooch Nain Se Kinke Liye,
Palkon Mein Aansu Bhare Huye.

Itna Pyaar Na Kar Ke, ,
Ishq Bhi Ro Padega Teri Wafa Dekh Kar,
Tum Milo Na Milo Par,
Rab Zaroor Jal Uthega,
Tumhara Junoon Dekh Kar.

In Pyari Nigahon Ko Na Jhukao,
Ki Humse Yeh Saha Na Jaayega,
Hamein Yun Akela Chhod Ke Na Jaao,
Ki Tere Bina Humse Raha Na Jayega,
Teri Ek Tavassum Se Sanam,
Murjhaye Phool Bhi Khil Jaaye,
Teri Hansi Rukhsaar Dekh Kar,
Mahtaab Bhi Sarma Jaaye.

Chahte Hain Aapko Kitna,
Yeh Koi Nahi Jaanta,
Aap Ke Bina Hum Jiye,
Yeh Dil Hi Nahi Manta.

Abke Baras Woh Nahi Aaye Bahar Mein,
Gujrega Ab Ek Baras Intezar Mein,
Tute Dil Mein Teri Mohabbat Tera Khyal,
Khush Rang Ho Bahar Ke Gujri Bahar Mein,
Chand Lamhe Hamein Pyar Ke Udhar De De,
Ki Marne Se Pahle Hamein Jhuta Karar De De,
Kuchh Der Hi Teri Yaad Mere Dil Se Mit Jaaye,
Yahi Soch Kar Tu Thoda Sa Sharab De De.

Nagme Toh Kayi Sune Honge,
Jahan Mein Magar,
Mujhsa Nagma Na Kahin Suna Hoga,
Aashiq Toh Kayi Honge,
Jahan Mein Magar,
Mujhsa Chahne Wala Na Kahin Hoga,
Tumhein Khusi Dene Ki Khatir,
Tujh Se Dil Laga Baithe,
Armaa Na Tha Mohabbat Ka,
Tujh Se Mohabbat Kar Baithe.

Afsos Hai Hamein Us Ghadi Ka,
Jab Tumse Dil Laga Baithe,
Tere Pyar Ki Khatir Eh Sandil,
Hum Apni Har Khusi Ganva Baithe,
Agar Tujhe Bhulana Aasan Hota,
Toh Kab Ke Bhula Dete,
Agar Mere Dil Mein Tera Naam Na Hota,
Toh Kab Ka Is Dil Ko Jala Dete..

Khwaish Ho Aapki,
Humne Yaad Kiya,
Jo Tohfa Tha Paas Mere,
Humne Tumhe Ada Kiya,
Pesh Karte Hain Yeh Chhota Sa Tohfa,
Aitraaj Na Ho Toh Kabool Farmana,
Yeh Thoda Sa Dhaar Hai Mere Dil Ka,
Har Saal Ki Tarah Ise Dil Mein Basana.

Chand Ki Tarah Chamkate Husn Humne Dekhe Hain,
Ishq Mein Kayi Dil Tadpate Dekhe Hain,
Jo Noor Apni Aankhon Ka,Mahboob Ko Bata Dete Hain,
Woh Aasiq Humne Benoor Tadpate Dekhe Hain.

Dil Ke Jakhmon Ki Dava Mahboob Hi Hota Hai,
Aashiq Ke Labo Ki Dua Mahboob Hi Hota Hai,
Dil Ki Khusiyon Ki Barat Mahboob Hi Hota Hai,
Aashiq Ke Sar Ka Kafan Mahboob Hi Hota Hai.

Us Mahboob Ko Poojte Hain,
Jinhein Pyar Hum Karte Hain,
Us Husan Ko Hum Chahte Hai,
Jis Par Hum Aahein Bharte Hain.

Jab Jab Phool Khilte Rahenge,
Tab Tak Baharein Aati Rahengi,
Jab Tak Hum Zinda Rahenge,
Tab Tak Tum Yaad Aaoge.

Tujhe Paane Ki Khatir Hum,
Jalte Huye Angaron Par Chal Denge,
Agar Saath Tera Rahe To,
Hum Jahan Ke Saare Sitam Sah Lenge.

Ae Khuda Salaamat Rakhna Unko,
Jo Humse Nafrat Karte Hain,
Pyar Na Sahi Nafrat Hi Sahi,
Kuchh To Hai Jo Wo Sirf Humse Karte Hain.

Badi gahrai se chaha hai tujhe,
Badi duao se paya hai tujhe,
Tujhe bhulane ki sochu bhi to kaise,
Kismat ki lakiro se churaya hai tujhe.

Pyar Ka Matlab Wo Jane Jo Dil Ka Sauda Karte Hai,
Preet Ke Liye Pritam Har Diwar Ko Raunda Karte Hai,
Pyar Ek Se Hota Hai Ye Hota Nahi Aneko Se,
Wada Hota Jhutha Na Or Ek Duje Pe Marte Hai.

Meri Har Khta Pe Naraj Na Hona
Apni Pyari Si Muskan Kabhi Na Khona
Sukoon Milta Hai Dekh Kar Aapki Hansi Ko
Mujhe Maut Bhi Aa Jaye To Bhi Na Rona.

Tere Chehre Ki Chamak Sada Bani Rahe,
Hansi In Labo Pe Hamesa Saji Rahe,
Dur Rakhe Khuda Sare Gamo Se Tujhe,
Khusi Tere Daman Me Sada Bani Rahe.

Unse Door Bhala Hum Kaise Reh Pate,
Dil Se Unhe Kaise Bhula Pate,
Kaash Ki Woh Sanso Ke Illava Aayine Mein Bhi Hote,
Khud Ko Bhi Dekhte To Woh Nazar Aate.

Dil Ka Rishta Hai Hamara,
Dil Ke Kone Mein Naam Hai Tumhara,
Har Yaad Mein Hai Chehra Tumhara,
Hum Sath Nahi To Kya Hua,
Zindagi Bhar Pyar Nibhane Ka Wada Hai Hamara.

Savan Ki Barsat Ka Kya Karu,
Dil Ki Tapis Ko Kya Karu,
Le jaye Kahan Waqt Ka Dariya Kya Janu,
Dil Pe Huya Kisi Ka Asar,
Bolo Aab Us Asar Ka Kya Karu.

Lab Khamosh Ho Jate Hain,
Jab Tum Samne Aate Ho,
Dil Dhadkta Hain Jab Nigahe Milate Ho,
Saans Rukti Hain Jab Tum Muskarate Ho,
Dil Kamjor Hain Mera,
Itna Kyo Darate Ho.

Kaash Aisa Ho Ki Tumko Tumse Chura Loon,
Waqt Ko Rok Kar Waqt Se Ek Din Chura Loon,
Tum Paas Ho To Is Raat Se Ek Raat Chura Loon,
Tum Saath Ho To Is Jahan Se Ye Jahan Chura Loon.

Aanko Ki Saja Tab Tak Hai,
Jab Tak Didar Na Ho,

Dil Ki Saja Tab Tak Hai,
Jab Tak Pyar Na Ho,

Ye Jindgi Bhi Ek Saza Hai,
Jab Tak Aap Jaisa Yaar Na Ho.

Zarur Taro Ki Bhi Kahani Hogi,
Chand Ki Duniya Bhi Suhani Hogi,
Yu Hi Nahi Hai Aasman Itna Khoobsurat,
Zarur Wo Bhi Kisi Ke Pyar Ki Nisani Hogi.

Chup kar kahi kisi aur se dosti nahi ki,
mene kiya tha pyar .. pyar ka karja chuka diya,
logo ne poochha jab udasi ka sabab
to kore kagaj par toota hua dil bana diya

Kya ho agar aapka pyar aapse door chala jaye,
Phir naa kabhi wo zindagi me paas laut kar aaye,
Chhupke sabse chori se fir dil ye bahut rota hai,
Sach hai dosto kisi ko bhulana aasan nahi hota hai.

Kosish Bahut Ki Dil Ko Samjhne Ki,
Aankho Ko Kasam Di So Jane Ki,
Bahut Samjhaya Phir Bhi Aankhe Nahi Soyi,
Soyi Tab Jab Maine Baat Ki Aapke Khawabo Me Aane Ki.

Dil Ki Kitaab Kaa Panna Churaa Le Gyaa Koi,
Neend Aankhon Se Udaa Le Gaya Koi,
Peene Ki Aadat Nahi Thi,
Humein Zaam Nigahoon Se Pilaa Gaya Koi.

Jab Ho Aapka Pyara Sa Saath,
Aur Ho Haathon Mein Haath,
Tanhai Ho….Rangeen Ho Sama Jahan Koi Aur Nahi,
Sirf Aap Aur Hum Ho Wahan,
Tab Hogi Barsaat Pyar Ki,
Mere Aur Sirf Mere Pyar Ki.

Mann Mein Sabka Armaan Nahi Hota,
Har Koi Dil Ka Mehamaan Nahi Hota,
Par Ek Baar Dil Me Sama Jaye,
Use Bhulana Aasaan Nahi Hota.

Dekh Meri Aankho Mein Khawab Kiske Hai,
Dil Me Mere Sulagte Toofan Kis Ke Hai,
Nahi Guzra Koi Aaj Tak Is Raaste Se Ho Kar,
Phir Ye Kadmo Ke Nishaan Kiske Hai.

Humne Dekhi Hai In Aankhon Ki Mehakti Khusbu,
Haath Se Chhu Ke Ise Ishq Ka Ilzaam Na Do,
Ek Ehsaas Hai Ise Rooh Se Mahsoos Karo,
Pyar Ko Pyar Hi Rehne Do Ise Koi Dusra Naam Na Do.

Mohabbat Ki Shama Jalake To Dekho,
Zara Dil Ki Duniya Saza Kar To Dekho,
Tumhe Ho Na Jaye Mohabbat To Kehna,
Zara Humse Nazrein Milake To Dekho.

Kaun Kehta Hai Ishq Me Bas Ikraar Hota Hai
Kaun Kehta Hai Ishq Me Bas Inkaar Hota Hai,
Tanhai Ko Tum Bebasi Ka Naam Na Do,
Kyunki Ishq Ka Doosra Naam Hi Intezaar Hota Hai.

Humne Chaand Se Pooha,
Teri Chaandni Ka Raaz Kya Hai,
Chaand Ne Aapki Taraf Ishara,
Kar Ke Kaha Inhi Say Pucho Jisay,
Dekh Kar Main Chamakta Hoon.

Dil Ki Aawaz Ko Izhaar Kehte Hai,
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehte Hai,
Sirf Paane Ka Naam Ishq Nahi,
Kuch Khone Ko Bhi Pyar Kehte Hai.

Jaan Hai Mujhko Zindagi Se Pyari,
Jaan Ke Liye Kar Doon Kurban Yaari,
Jaan Ke Liye Todd Doon Dosti Tumhaari,
Ab Tumse Kya Chhupana,
Tum Hi To Ho Jaan Hamaari.

Nasha Tha Unke Pyar Ka,
Jis Mein Hum Kho Gaye,
Unhe Bhi Nahi Pata Chala,
Ki Kab Hum Unke Ho Gaye.

Dost Bankar Is Kadar Dushmani Ki Hai,
Jaise Naajuk Aaine Se Dillagi Ki Hai,
Jo Ik Najar Dekhne Se Hi Bikhar Gaya,
Yun Rokar, Basar Humne Zindagi Ki Hai.

Meri Mahbooba Hum Tumko Salaam Karte Hain,
Fir Bhi Aap Hamein Yun Badnaam Karte Hain,
Pyar Jatakar Dil Tod Dena Pyar Mein,
Janvaron Se Ghatiya Kaam Yeh Insaan Karte Hain.

Pal Bhar Ke Liye Agar Woh Hamein Apna Bana Le,
Aapne Zeevan Ka Agar Woh Sapna Bana Le,
Phir Bhale Hi Woh Mera Dil Tod De,
Bus Is Raat Ke Liye Woh Mujhe Sajna Bana Le.

ज़िंदगी जीने के लिए मुझे दुआ चाहिए,
उस पर किस्मत की भी वफ़ा चाहिए,
खुदा के रहम से सब कुछ है मेरे पास,
बस प्यार करने के लिए आप जैसा कोई महबूब चाहिए

Zindgi Mujhe Jeene Ke Liye Dua Chahiye,
Us Par Kismat Ki Bhi Wafa Chahiye,
Khuda Ke Raham Se Sab Kuchh Hai Mere Paas,
Bas Pyar Karne Ke Liye Aap Jesa Koi Mehbboob Chahiye.

Dil Se Tera Pyar Hoga Kam Nahi,
Tum Bewafa Huye To Kya, Aur Ek Gham Sahi,
Aapka Faisla Aapke Karm Karenge,
Sab Kuchh Milega Tumhe Magar Honge Hum Nahi.

Dil Dekhta Hai Tumhe Sapno Mein,
Dil Kahta Hai Tumhe Sapno Mein,
Dil Mahsoos Karta Hai Sapno Mein,
Dil Bichhadta Hai Sapno Mein,
Dil Rota Hai Sapno Mein,
Kis Din Yeh Dil Na Dhadka Sapno Mein,
Bas Tumhare Liye.

Kya Hasino Se Dil Lagate Ho,
Kabhi Zindagi Ka Maza Bhi Uthaiye,
Pyar Milna, Nahi Milna, Kismat Ke Haath Hai,
Kisi Ko Itni Jaldi Na Khuda Banaiye.

Is Se Pahle Ki Saare Khwab Toot Jaayein,
Aur Yeh Zindagi Hum Se Rooth Jaaye,
Ek Doosre Ke Pyar Mein Kho Jaayein Iss Kadar ,
Ke Hum Saare Ghamon Ko Bhool Jayein.

Khata Pahli Samajh Kar Maaf Kar Dena,
Raah E Wafa Mein Ho Jaaye Jo Gunaah Hamse,
Mohabbat Ki Hadein Paar Kar Chuke Hain Sanam,
Phir Kaise Hain Dilbar Yeh Parde Hum Se.

Mana Ki Tumhein Mujhse Jyada Gham Hoga,
Magar Rone Se Yeh Gham Kabhi Na Kam Hoga,
Jeet Hi Lenge Dil Ki Nakam Baaziyan Hum,
Agar Mohabbat Mein Hamari Dam Hoga.

Chaahat Ke Yeh Kaise Afsane Huye,
Khud Nazron Mein Apni Begane Huye,
Kisi Bhi Riste Ka Khayal Nahi Mujhe,
Ishq Mein Tere Is Kadar Diwaane Huye.

Dil Par Na Mere Yun Waar Kijiye,
Chodo Yeh Nafrat Thoda Pyar Kijiye,
Tadapte Hain Jis Kadar Tere Pyar Mein Hum,
Kabhi Khud Ko Bhi Us Kadar Bekraar Kijiye.

Laakh Bandisen Laga Le Duniya Hum Par,
Magar Dil Par Kaabu Nahi Kar Payenge,
Woh Lamha Aakhiri Hoga Zeevan Ka Hamara,
Jis Din Hum Yaar Tujhe Bhul Jayenge.

Jabse Mulakat Huyi Hai Unse Meri,
Tabse Mere Dil Ko Karaar Aaya,
Kabhi Zulph Lahraai Kabhi Nakhara Kiya,
Unki In Adaaon Par Bahut Pyar Aaya.

Kitna Chahta Hun Tujhe Yeh Mujhko Pata Nahi,
Magar Tumhare Siva Koi Aur Dil Mein Basa Nahi,
Zamana Dushman Ho Gaya Chahat Ka Hamari,
Juda Ho Gaye Phir Se Hum Yeh Meri Khata Nahi.

Laakh Pardon Par Tumhein Duniya Ne Chhupa Rakha Hai,
Chand Pardon Mein Tumne Khud Ko Chhipa Rakha Hai,
Eh Chhupane Waale Yeh Bhi Chhupa Kar Rakhna,
Humne Tumhein Apne Dil Mein Chhupa Ke Rakha Hai.

Kaun Hai Woh Jo Dil Mein Samaye Huye Hain,
Uske Liye Hum Har Khusi Bhulaye Huye Hain,
Najar Nahi Aata Par Tadap Mahsoos Hoti Hai,
Andekhe Yaar Ke Liye Sapne Sajaye Huye Hain.

Tum Hi Tum Tadpo Na Hamein Tadpaao,
Do Roohein Milne Do Ek Jaan Ban Jaao,
Deti Ho Meri Bhool Ki Itni Badi Saja,
Thukra Ke Mera Pyar Na Ban Jaao Bewafa.

Nazrein Meri Kahin Thak Na Jaayein,
Bewafa Tera Intezaar Karte Karte,
Yeh Jaan Yun Hi Nikal Na Jaaye,
Tum Se Ishq Ka Izhaar Karte Karte.

Dard-E-Dil mein unka ehsaas nahin hota,
Rota hai Dil mera jab koi pass nahi hota,
Barbaad ho gye hum unki mohabbat mein,
Aur wo kehte hai es tarah pyar nahi hota.

Log mohabbat ko khuda ka naam dete hai,
Koi karta hain toh eljaam dete hain,
Kehte hain patthar dil roya nahi karte,
Or patthar k rone ko jharne ka naam dete hai.

Jb mujhse mohabat hi nahi to rokte kyu ho..?
Tanhayi me mere baare me sochte kyu ho.?

Jab manzile hi juda hai toh jane do mujhe,
Lot ke kab aaoge yeh puchhte kyun ho….?

Zakhm laga kar mere dil pe badi sadgi se,
Mere zakhmi dil ka haal puchhte kyun ho..?

Thukra kar meri mohabbat ko es tarah,
Palat palat kar pyaar se dekhte kyun ho…?

Jane duniya me aisa kyun hota hain,
Jo sab ko khushi de wahi rota hai,
Umar bhar jo sath na de sake wahi,
Zindagi ka pahla pyar kyu hota hai.

Tujhe jana tere qareeb aane ke baad,
Tujhe samjha tujhse dil lagane ke baad,
Gum apna nahi gum to tera hai mujhe,
Koun chahega tuje itna mere jane k baad.

Meri zindagi mujhe yeh bata,
Mujhe bhul kar tujhe kya mila.?

Meri hasrato ka hisaab de,
Dil tor kar tujhe kya mila….?

Tere chaar din ke pyaar se,
Mujhe umar bhar ka gum mila

Main toot kar bikhar gayi,
Mujhe tor kar tujhe kya mila..??

Dil se dil ki bs yahi duaa hain,
Aaj fir humko kuchh hua hai,
Sham dhalte hi aati hai yaad aapki,
Lagta hain pyar aap se hi hua hain.

Mujhe na jeene ki khushi hain ab,
Or na hi marne ka hain gam,
Unse milne ki dua bhi nahi karte hum,
Kyuki ab har sham hai unki yaado ke sang.

Shaam ka ye haseen sama hain,
Suraj bhi ab dhalne lagaa hain,
Thandi hawa bhi chalne lagi hain,
Par tu naa jane kanha hain.

Chayi thandi ho gayi, garam kar lo,
Apne patthar se dil ko naram kar lo
Sham ho gyi hai fir bhi sms nhi kiya
Arre yaar thodi si toh sharam kar lo.

Shaam hote hi yeh dil udas hota hain,
Sapno ke siva kuchh na pass hota hai,
Aap ko bahut yaad karte hain hum,
Yado ka har lmha mere liye khas hota hai.

Teri ulfat ko kbhi naakam na hone denge,
Teri dosti ko kbhi badnam na hone dege,
Meri zindagi me sooraj nikale naa nikale,
Teri zindgi me kbhi sham na hone denge.

तुम्हारी इस अदा पे क्या जवाब दूँ,
अपने यार को क्या तोहफा दूँ,
कोई अच्छा सा फूल होता तो मंगवाता माली से,
जो खुद गुलाब है उसको क्या गुलाब दूँ.

Tumhari is ada pe kya jawab du,
Apne yaar ko kya tohfa du,
Koi acha sa phool hota to mangwata maali se,
Jo khud gulab hai usko kya gulab du.

फूलों ने अमृत का जाम भेजा है,
तारों ने गगन से सलाम भेजा है,
खुशियों भरी हो जिंदगी आपकी,
यहे दिल से हमने पैगाम भेजा है.

Phulon ne amrit ka jaam bheja hai,
Taaron ne gagan se salam bheja hai,
Khushiyon bhari ho jindgi aapki,
Yahe dil se humne paigam bheja hai.

खुदा न करे आपको कोई ग़म हो,
और सिर्फ खुशियां और हंसी मिले.
ग़म जब भी बढ़ चले आपकी और,
खुदा करे रास्ते में उसे पहले हम मिले..

Khuda na kare aapko koi gham ho,
Aur sirf khushiyan aur hansi mile.
Gham jab bhi badh chale aapki aur,
Khuda kare raaste me use pehle hum mile..

Sitaron se aage bhi koi jahan hoga,
Jahan ke saare nazaron ki kasam,
Aapse pyaara wahan bhi na hoga.

Sajti rahe khushiyon ki mehfil,
Har Khushi suhani rahe,
Aap zindgi mein itne khush rahe,
Ki har khushi aapki diwani rahe.

Khushiyon ka ek sansar leke aayenge,
Patjhad mein bhi bahaar leke aayenge,
Jab bhi pukar lenge aap dil se,
Jindgi se saanse udhar leke aayenge.

Har lamha apke hothon pe muskan rahe,
Har ghum se aap anjaan rahen,
Jiske sath mehak uthe aapki zindgi,
Hamsha aapke pass woh insan rahe.

Us din khuda ne bhi jashn manaya hoga,
Jis din apko apne hathon se banaya hoga,
Usne bhi bahaye honge aansu,
Jis din apko yahan bhej ker,
Khud ko akela paya hoga.

Aa teri umar main likh doon chand sitaron se,
Tera janam din main manau phoolon se baharon se,
Har ek khoobsurti dunia se main le aau,
Sajaun ko yeh mehfil main har haseen nazaron se.

Mujhe bhulaye kabhi yaad karke roye bhi,
Woh apne aap ko bikhraye aur piroye bhi,
Shumar hum na huye un chamkne walon mein
Badan bhi malte rahe roj kapde dhoye bhi,
Bahut gubar bhara tha dilon mein dono ke
Magar woh ek hi bistar par raat siye bhi.

Har Pal,
Mujhe Tumhari Yaad Aati Hai,
Baarish Ki Har Boond,
Tumhari Yaad Dilaati Hai,
Meri Parchayi Mein,
Tu Nazar Aati Hai,
Jab Bhi Dakhna Chahun Tumhe,
Tum To Nahi,
Meri Tanhai Nazar Aati Hai.

Saari Umar Aankho Mein Ek Sapna,
Yaad Raha,
Sadiyaan Beet Gayin Woh Lamha,
Yaad Raha,
Jaane Kya Baat Hai Aap Mein,
Saari Mahfil Bhool Gaye Bas Woh Pal,
Yaad Raha.

Logon Ki Bheed Mein To Maalum Nahi Hota,
Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai,
Aap To Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi,
Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai.

Aaj Fir Unki Yaad Aayi,
Socha Dil Main Unke Fir Utar Jaau,
Kya Pataa Tha Isko Fir Yaad Aaya,
Main To Dariya Hu Kahin Bhi Utar Jaau.

Din Toh Yeh Kat Jata Hai Magar,
Raaton Ko Musibat Hoti Hai,
Jab Yaad Tumhaari Aa Jaaye,
Bas Fir Toh Kyamat Hoti Hai,
Badi Bedard Duniya Hai,
Yeh Dil Ko Tod Deti Hai,
Kadar Isko Nahi Hai Koi,
Yeh Muh Ko Mod Leti Hai.

Hum Kaise Bataaye Ab Aapko Apni Bebasi,
Kyu Aapko Apne Dil Mein Basa Nahi Sakte,
Kyonki Jiski Yaadon Ke Sahaare Hum Zinda Hain,
Unki Yaadon Ko Hum Kabhi Bhula Nahi Sakte.

Humne To Kaha Tha Aapse Eh Mere Dost,
Ki Aap Humse Dosti Nibha Na Paaoge,
Aap To Shayad Bhool Bhi Jaaoge Hamein,
Magar Humko Ko Aap Hamesha Yaad Aaoge.

Aaj Humse Woh Door Hain Bahut Yeh Mana,
Magar Yaadon Mein Hum Unko Yaad Karte Hain,
Unse Sapno Mein Hi Mila De Eh Maalik,
Bas Hardam Hum Yahi Fariyaad Karte Hain.

Eh Mere Dost Itna Khyal Rakhna,
Apne Dil Ko Aise Hi Paak Rakhna,
Kal Main Na Bhi Rahun Is Jahan Mein Agar,
Yeh Aarju Hai Aap Hamein Yaad Rakhna.

Kaif Mein Duba Hua Hoon Aalam E Tanhayi Hai,
Phir Teri Yaad Dabe Paanv Chali Aayi Hai,
Shab E Taarik Pe Chhayi Huyi Ranayi Hai,
Yeh Teri Zulf Ke Saaye Hain Ke Parchhayi Hai,
Tere Deevane Ko Itna Bhi Ab Hosh Nahi,
Yeh Tera Aaghosh Hai Ya Ghausha E Tanhayi Hai.

Woh Shayad Isiliye Rahte Hain Door Humse,
Kyunki Unko Apne Husn Par Gurur Hoga,
Magar Yaad Rakhna Eh Dil Todne Waale,
Ki Tumko Iska Ehsaas Jaroor Hoga.

Wada Apna Tu Yaad Rakhna Oh Sanam,
Apne Waade Se Kahin Tu Mukrana Nahi,
Hum Toh Lad Jaayenge Tumhe Paane Ki Khatir,
Kahin Tu Is Janmane Se Darna Nahi.

No comments:

Post a Comment