Tuesday, November 14, 2017

Shayri In Hindi Love

Jaam pe jaam pine se kya fayda,
Shaam ko pee subah utar jayegi,
Are 2 boond mere pyar ki pee le,
Zindagi sari nashe me gujar jayegi.

Agar me had se gujar jau to muje maaf karna,
Tere dil mein utar jau toh mujhe maaf karna,
Raat mein tujhe dekh ke tere deedar ki khatir,
Pal bhar jo theher jau toh mujhe maaf karna.

Mujhe Kisi Se Muhabbat Nahi Siwa Tere
Mujhe Kisi Ki Jarurat Nahi Siwa Tere….!
Meri Najar Ko Thi Talash Jiski Barso Se
Kisi Ke Paas Wo Surat Nahi Siwa Tere !
Jo Mere Dil, Meri Zindagi Se Khel Sake
Kisi Ko Itni Ijaazat Nahi Siwa Tere……..!!

Zindagi ke liye jeena zaruri hai,
jeene ke liye arman zaruri hai,
dil mein chahe hazaro gam ho,
phir bhi tere chehre pe muskan zaruri hai.

Teri Bewafayi Nahi Kabool Mujhko,
Tujhe Ba Wafa Main Kahna Chahta Hun,
Juda Hokar Jeena Na Mumkin Hai,
Tere Sang Main Rahna Chahta Hun.

Kahne Walon Ka Kya Hai Yaar,
Yeh Toh Kuchh Bhi Kahte Rahte Hain,
Hamein Inki Toh Parwah Nahi,
Teri Khatir Sitam Yeh Sahte Hain.

Eh Mout Thahar Ja Tu Jara,
Yaar Ka Intezaar Hai Mujhko,
Aayega Woh Jarur Aaj Agar,
Us Se Sacha Pyar Hai Mujhko,

Tu Kahe Jo Bhi Woh Karunga Main,
Tu Udas Na Ho Tere Paas Hun Main,
Kya Karna Hai Kisi Aur Ka Sang,
Tere Saath Sanam Din Raat Hun Main.

Aapne Toh Yeh Pooch Liya Bas Mere Dosto,
Ki Unke Baare Mein Hamara Kya Khyal Hai,
Aapne Jara Yeh Bhi Toh Poochha Hota Hamse,
Unko Dekhne Ke Baad Hamara Kya Haal Hai.

Bin Aapke Kuchh Bhi Achha Nahi Lagta,
Kuchh Pal Ki Judai Bhi Sahi Nahi Jaati,
Tum Khud Hi Samajh Lo Gahrayi Pyar Ki,
Likh Kar Yeh Baat Mujhse Kahi Nahi Jaati.

Raat Ko Sapno Mein Dhundta Raha, Na Mile Tum,
Magar Jab Dil Mein Dekha Toh Laga Paas Ho Tum,
Meri Aankhon Se Yeh Aansu Kyu Chhalak Rahe Hain,
Lagta Hai Aaj Fir Se Udaas Ho Tum.

Chand Taare Toh Na La Sakunga, Main Tere Liye,
Magar Aakhiri Sans Bhi Meri Tere Naam Hai,
Tune Boond Se Bana Diya Hai Sagar Mujhko,
Tere Pyar Ko, Mere Hamdam, Mera Salaam Hai.

Sochta Hun Milunga Jab Tujhse,
Tujhe Seene Se Apane Lagaunga,
Chhupa Lunga Dil Mein Main Tujhko,
Kahin Door Na Fir Kabhi Jaaunga.

Agar Bantenge Sabko Pyar Jeevan Mein,
Tabhi Toh Yaaro Insaan Kahlaayenge Hum,
Jis Mein Hoga Bas Pyar Hi Pyar,
Ek Aisi Nayi Duniya Banayenge Hum.

Yeh Doori Aur Humse Sahi Nahi Jaati,
Tere Paas Aane Ko Dil Karta Hai,
Bhula Kar Saare Duniya Bhar Ke Ghamon Ko,
Tere Aagosh Mein So Jaane Ko Dil Karta Hai.

Aap Se Mulakat Ki Ek Ajib Si Nishani Hai,
Hanste Hanste Aankhein Bhar Aati Hain,
Zindagi Mein Ho Chahe Kitni Pareshani,
Aap Ke Saaye Mein Har Muskil Aasan Nazar Aati Hai.

Maine Khuda Se Ek Dua Mangi,
Dua Mein Apni Maut Mangi,
Khuda Ne Kaha Maut Toh Tujhe De Du Main,
Par Use Kya Kahun Jisne Teri Lambi Umar Mangi.

Eh Sanam Tujhe Kabhi Meri Yaad Aaye,
Aur Milne Ko Dil Bekarar Ho Jaaye,
Toh Ek Baar Mera Naam Dil Se Pukarna,
Teri Khusi Ke Liye Hum Jannat Se Laut Aaye.

Mayush To Hun Vaade Se Tere
Khuch Aas Nahi Aur Aas Bhi Hai

Main Apne Khayalon Ke Sadke
Tu Paas Nahi Aur Paas Bhi Hai

Dil Ne To Khushi Mangi Thi
Magar Jo Tune Diya Achha Hi Diya

Jis Dil Ko Talluq Ho Tujhse
Wo Raas Nahi Aur Raas Bhi Hai

Palkon Se Girte Ashkon Me
Tasveer Jhlakti Hai Teri

Deedar Ki Pyassi Aakhon Me
Ab Pyass Nhi Aur Pyass Bhi Hai.

Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hai,
Meri Har Aah Har Dard Samajhti Hain,
Pata Hai Majbur Hai Tu Bhi Aur Main Bhi,
Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain.

Dil To Unke Sine Mai Bhi Machalta Hoga,
Hushn Bhi So-So Rang Badalta Hoga,
Uthti Hongi Jab Nigahein Unki,
Khud Khuda Bhi Gir-Gir Ke Sambhalta Hoga.

Tera Sath Chahiye Jindgi Jine Ke Liye,
Tarsti Hai Aankhe Tere Didar Ko,
Kab Htenge Ye Kale Badal Aasman Se,
Kab Aayegi Ye Sunhari Dhup Le Ke Mere Pyar Ko.

Fasle Mitakar Aapas Me Pyar Rakhna,
Dosti Ka Ye Rista Hamesa Hi Barkrar Rakhna,
Bichhd Jaye Kabhi Aapse Hum To,
Aankho Me Hamesa Hamara Intjar Rakhna.

Dil Se Aapka Khayal Jata Nahi,
Aapke Siva Koi Yaad Aata Nahi,
Ji Chahta Ki Aapko Roj Dekhu Par,
Wo Waqt Kabhi Aata Nahi.

Dil Ki Awaz Koi Pehchanta Nahi,
Kisko Kya Dard Hai Koi Janta Nahi,
Hum Bhi Nahi Chahte Aapko Pareshan Karna,
Magar Kya Kare Dil Hai Ki Manta Nahi.

Na Gharz Kisi Se,
Na Wasta,
Mujhe Kaam Apne Kaam Se..
Tere Ziker Se,
Teri Fikr Se,
Teri Yaad Se,
Tere Naam se..!!!

Shaan Se Pyar Ka Izhar Karenge,
Teri Mohabbat Pe Jaan Bhi Nisar Karenge,

Dekh K Jalegi Duniya Saari,
Is Kadar Tujhpe Aitbaar Karenge,

Denge Salaami Sab Humko,
Jab Pyar Ko Hum Bayaan Karenge,

Daulat Aur Shaurat Ka Kya Hai Kaam,
Teri Khushi Mein Khudko Nichaawar Karenge,

Har Ghadi Ho Bus Tera Deedar,
Waqt Se Hum Yahi Iltijaa Karenge,

Saaye Ki Tarah Tujhse Liptey Rahenge,
Duniya Ki Buri Nazar Se Tujhe Bachaya Karenge.

Aapke paas waqt nahi hame yaad karne ka,
Bewaqt hi yaad kar liya karo,
Mana aap ke paas sari duniya hai,
Kabhi hamara bhi ahsas kar liya karo.

Bedaag Or Begunah Meri Sarkar Hain,
Humse unki Bewafai Se Waqt Ki Maar Hain,
Woh Bhale Hain Kitne Sitam Karein Hum Par,
Phir Bhi Mere Liye Wo Jaane Bahar Hain.

Dil Karta Hai Aag Laga Doon Is Zamaane Ko,
Jisne Dard Hi Dard Diya Har Diwaane Ko,
Har Pal Zakham Khaya Hai Dil Ne Mere,
Ab Kya Rah Gaya Aur Aajmaane Ko.

Ab Tak Taaza Hai Zakham Seene Mein,
Bin Tere Kya Rakha Hai Jeene Mein,
Hamein Toh Sanam Tera Sahara Chahiye,
Warna Der Nahi Hai Zahar Peene Mein.

Mohabbat ka koi rang nahi,
Fir bhi wo rangin hai,
Pyar ka koyi chehra nahi,
Phir bhi woh hasin hai.

Kab tak wo mera hone se inkaar karega,
Khud tut kar wo ik din mujhse pyaar karega,
Ishq ki aag me main usko itna jala dungi,
Ki izhaar wo mujhse sar-e-bajaar karega.

Ruthi huyi zindagi ko manana toh aata hain,
Khud na hans sake par auro ko hasana to aata hain,
Hum khud naa bas sake kisi ke dil me to kya hua,
Par logo ko apne dil mein basana toh aata hain.

Apne karam se wo mera mukaddar bana gya,
Ek katre ko pal bhar me samundar bana gya,
Phulo se bhi jyada naram tha kabi dil ye mera,
Jise itna tadpaya ke ab patthar dil bana gaya.

Koi Toh Inteha Hogi Mere Pyar Ki Khuda,
Kab Tak Dega Tu Is Kadar Hamein Saja,
Nikal Le Tu Is Jism Se Jaan Meri,
Yah Mila De Mujhko Meri Dilruba.

Kitna Chaahata Hun Tujhe Yeh Mujhko Pata Nahi,
Magar Tumhare Siwa Koi Aur Dil Mein Basa Nahi,
Zamana Dusman Ho Gaya Chaahat Ka Hamari,
Juda Ho Gaye Phir Se Hum Yeh Meri Khata Nahi.

Kitne Armaano Ko Dafnaye Baitha Hun,
Kitne Zakhmo Ko Dabaye Baitha Hun,
Milna Muskil Hai Unse Is Daur Mein,
Phir Bhi Deedar Ki Aas Lagaye Baitha Hun.

Bhale Hi Raah Chalton Ka Daaman Tham Le,
Magar Mere Pyar Ko Bhi Tu Pahchan Le,
Kitna Intezaar Kiya Hai Tere Ishq Mein,
Jara Yeh Dill Ki Betaabi Tu Jaan Le.

Aise Na Muskaraao Aise Na Tadpaao,
Meri Halat Par Sanam, Kuchh Toh Raham Khaao,

Jale Hain Hum Ek Chirag Ki Tarah,
Apni Judai Se Hamein Ab Aur Na Tadpaao.

Bebas Hai Dil Beraham Hain Niganein,
Marne Se Pahle Thaam Lena Meri Baahein,

Fir Maalum Nahi Manzil Mile Na Mile,
Sambhal Kar Chalna Kanton Bhari Hain Raahein.

Churakar Dil Toh Mera Woh Bekhabar Se Baithe Hain,
Milate Nahi Najar Nahi Humse Woh Chat Par Aan Baithe Hain,
Dekh Kar Humko Kitab Se Mooh Chhipakar Baithe Hain,
Unhein Khud Nahi Maalum Ki Woh Kya Kar Baithe Hain.

Kabhi Mohabbat Karo Toh Hum Se Karna,
Dil Ki Baat Juba Par Aaye Toh Hum Se Kahna,
Na Kah Sako Toh Aankhein Jhuka Lena,
Hum Samajh Jaayenge Hamein Kuchh Na Kahna.

Pasand Karta Hun Har Haseeno Ko,
Magar Dil Mein Basane Ke Liye Jagah Nahi,
Thukra Dete Hain Begane Samajhkar,
Uski Hoti Koi Thukraane Ki Vajah Nahi.

Saaye Ne Saath Chhod Diya Yaar Ne Dil Tod Diya,
Ab Toh Khuda Bhi Mere Khilaf Ho Gaya,
Jo Pyar Ka Chirag Jalaya Tha Maine,
Usi Chiraag Se Jalkar Main Khak Ho Gaya.

Jo bani ho Mere liye,
Jis ke liye main Jee raha hoon,
Jo kahe Hum saath hain tere,
Jise dekhne ke liye Tarap raha hoon,
Ek aisa hi Dildaar chahiye,
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye.

Koshish to hoti hai ke
teri har khwaish puri karon…!!
Par dar lagta hai ke..
tu khwaish me mjhse judai na mang le

Din Ki Ye Tapti Dhoop
Us Par Ye Aapki Baatein Khoob
Dil Se Muskurate Mere Mehboob
Dekha Nahi Pehle Aapka Ye Sunhera Roop.

Wo Jo Sar Jhuka Ke Baithe Hain,
Hamara Dil Churaye Baithe Hain,
Humne Unse Kaha Hamara Dil Hume Lauta Do,
To Bole Hum To Hatho Mein Mehendi Laga Ke Baithe Hain.

Zindagi lambi hai dost banate raho,
Dil mile na mile hath milate raho,
Taj Mahal banaana to bahut costly hai,
Per har gali mein ek Mumtaz banate raho.

Terri Yaadon Mein,
Kuchh Aisee Baat Hai,
Ke Har Waqat Teree Yaadein,
Hamaare Sath Hain,
Dil Chahataa Hai Ki,
Tujhko Tujhee Se Churaa Loo,
Par Mummy Kahti Hain,
Ki Choree Karnaa Buri Baat Hai.

Pani Aane Ki Baat Karte Ho,
Dil Jalane Ki Baat Karte Ho,
Char Din Se Muh Nahi Dhoya,
Tum Nahane Ki Baat Karte Ho.

Ajib Si Kasish Hai Tum Mein,
Ki Hum Tumhare Khyalon Mein Khoye Rahte Hain,
Yeh Sochkar Ke Tum Khyalon Mein Aaoge,
Hum Din Raat Soye Rahte Hain.

Deedar khoob barsenge aangan mein sari raat
Main khwab ke sajar ki woh shakhe hilaunga,
Dhul jaayengi badan mein jami dhool ki tahein
Apne lahu mein aaj main aisa nahaunga,

Ek pal ki zindagi mujhe behad ajij hai
Palkon mein jhil milaunga or toot jaaunga,

Yeh raat fir na aayegi badal barsane de
Main janta hu subah tujhe bhool jaunga,

Mitti teri sada hu main thabde sitaron ke
Khamosh hot chumate hi mar jaaunga.

Paro mein noor hai udan mein hararat hai
Lahu hawa mein kisi subah ki sahadat hai,

Kisi ka pyar mujhe na der tak rok saka
Mere badan mein hawa ki koi khayalat hai,

Fiza mein dhuni huyi ruyi ke jaire mile
Kahan kahan mere ehsas ki komlata hai,

Safed barf ke khargosh gud gudane lage
Latif sardiyo mein narm narm garmi hai.

Koi jata hai yahan se na koi aata hai
Yeh diya apne andhere mein ghut jata hai,

Sab samjhte hain wohi raat ki kismat hoga
Jo sitara ki bulandi par najar aata hai,

Main isi khoj mein badta hi chala jata hu
Kiska anchal hai jo parbaton par lahrata hai,

Meri aankhon mein ek badal ka tukda shayad
Koi mousam ho sahr e sham baras jata hai,

De tasalli koi toh aankh chhalak udhti hai
Koi samjhaye to dil aur bhi bhar jata hai.

Na ji bhar ke dekha na koi baat ki
Badi aarju thi unse mulakat ki,

Ujalon ki patiya nahane lagi
Nadi gun gunayi khayalat ki,

Main chup tha toh chalti hawa ruk gayi
Jubaa sab samjhate hain jajbat ki.

Kabhi yun bhi aa meri aankh mein
Ki meri najar ko khabar na ho,

Mujhe ek raat navaj de
Magar uske baad subah na ho,

Woh bada raham o karam hai
Mujhe yeh asar bhi daan karein,

Tujhe bhulane ki dua karun
Toh meri dua mein asar na ho,

Mere baajuon mein thaki thaki
Abhi khwab dekh rahi hai chandani,

Na uthe sitaron ki palki
Abhi aahton ka gujar na ho.

Ab kise chahein kise dhunda karein
Woh bhi aakhir mil gaya ab kya karein,

Halki halki baaris hoti rahe
Hum bhi phoolon ki tarah bhiga karein,

Aankhein munde is gulabi dhoop mein
Der tak baithe use socha karein,

Dil, mohabbat, deen duniya, shayari
Har dariche se tujhe dekha karein,

Ghar naya bartan naye kapde naye
In purane kagjon ka kya karein.

Hoton par mohabbat ke fasane nahi aate
Sahil par samander ke khajane nahi aate,

Palkein bhi chamak udhati hain sote mein hamari
Aankhon ko abhi khwab chhupane nahin aate,

Dil ujadi huyi ek saray ki tarah hai
Ab log yahan raat bitane nahi aate.

Sannata chupke chupke kahta kya hai
Sari duniya kiska rain basera hai,

Aasman ke dono kono ke aakhir
Ek sitara tera hai ek sitara mera hai,

Anda machhli chhukar jisko paap lage
Unka poora hath lahoo mein duba hai,

Ahista ahista dil par dastak do
Dhire dhire dil ka darwaja khula hai,

Sari raat lihafon mein royi aankhein
Sab kahte the rista nata jhutha hai.

Phool barse kahin sabnam kahi moti barse
Aur is dil ki taraf barse toh pathar barse,

Barishein chhat par khuli jagah par hoti hai magar
Gham woh sawan hai jo in band kamron mein barse,

Koun kahta hai ke rango ke fariste utrein
Koi bhi barse magar is bar toh ghar ghar barse,

Hum jaise majbur ka gussa bhi ajib badal hai
Apne hi dil se uthe apne hi dil pae barse.

Basa gayi hai mere ehsas mein yeh kaisi mahak
Koi khusbu main lagaun teri khusbu aaye,

Maine khuda se din raat yeh dua maangi thi
Koi aahat na ho dar par mere aur tu aaye,

Uski baton ki gul o lala par sabnam barse
Sab ko apnane ka us shokh ko jaadu aaye.

Jo na hoti mohabbat ye aansu na hote,
Dil bhi na khota aaj tanha na rota,
Diwano si apni ye halat na hoti,
Agar jahan mein kambakhat,
Kaash ye mohabbat na hoti

Hum karte hai tumse pyar,
Aaj karte hai pyar ka ikraar.

Jante hai tum bhi hamare liye bane ho,
Tumne jitna pyar kiya utna kisi ne kiya na tha,

Jitna tumne khabon mein sataya ,
Utna tang kisi ne kiya na tha,

Hai majburiyan tumhari hai majburiya hamhari,

Bas kehna hai aaj itna tumse,
Kabhi kam na hogi dil se mohabbat tumhari.

Koi hal na koi jawab hai
Yeh sawal kaisa sawal hai,

Jise bhool jaane ka hukam hai
Use bhool pana muhaal hai,

Huyi jard phoolon ki bastiya
Magar usmein teri khata kahan.

Pyar ki chhanv mein do dil jo jara mil baithe
Bajm mein gajle huyi sahar mein afsane chale,

Subah fir apne hi teshe se kiran futhegi
Raat aayi kisi dukhan ke mahak chalein,

Ras mein dubi huyi in aankhon ki jumbish jaise
May se labrej chhalkate huye paimane chale,

Aakhiri baar giribaa gale lag ja mere
Fir mahkate huye rumalon ke najrane chale.

Bhigi huyi aankhon ka yeh manjar na milega
Ghar chhod kar mat jaao kahin ghar na milega,

Fir yaad bahut aayegi julfon ki ghani shyam
Jab dhoop mein shaya koi sar par na milega,

Aansu ko kabhi os ka katra na samjhana
Aisa tumhe chahat ka samander na milega.

Tu Kisi Pe Jaan Ko Nishar Kar De Ki Dil Ko Kadmon Mein Dall De,
Koi Hoga Tera Yahan Kabhi Yeh Khyak Dil Se Nikal De,

Mere Hukmara Bhi Ajib Hain Ki Jawab Leke Woh Aaye Hain,
Mujhe Hukm Hai Ki Jawab Ka Hamein Sidha Sidha Sawal De,

Rago Mein Jam Gaya Sard Khoo Na Main Chal Saku Na Hil Saku,
Mere Gham Ki Dhoop Ko Tej Kar Mere Khoon Ko Tu Ubal De,

Woh Jo Muskara Ke Mila Kabhi Toh Yeh Fikar Jaise Mujhe Huyi,
Kahu Apne Dil Ka Jo Mudda Kahin Muskara Ke Na Taal De,

Yeh Jo Man Dinki Hai Roshani Toh Yeh Dil Hai Raat Mein Chandani,
Mujhe Khwab Utne Hi Chahiyen Jitane Jamana Khyal De.

Sari Hairat Hai Meri Sari Ada Uksi Hai,
Begunahi Hai Meri Aur Saja Uski Hai,

Mere Alfaj Mein Jo Rang Hai Woh Uska Hai,
Mere Ehsaas Mein Jo Hai Woh Fija Uski Hai,

Sher Mere Hain Magar Unmein Mohabbat Uski,
Phool Mere Hain Magar Baade Saba Uski Hai,

Ek Mohabbat Ki Yeh Tasveer Hai Do Rango Mein,
Shok Sab Mera Hai Aur Sari Haya Uski Hai,

Ek Mere Hi Shiwa Sabko Pukare Hai Koi,
Maine Pahle Hi Kaha Tha Yeh Sada Uski Hai,

Khoon Se Sinchi Hai Maine Jo Jamee Mar Mar Ke,
Woh Jamee Ek Sitamgar Ne Kaha Uski Hai,

Usne Hi Isko Ujada Hai Ise Loota Hai,
Yeh jamee uski agar hai bhi toh kya uski hai,

Hamne kya mohabbat ki us se ijajat li thi,
Dil sikan hi sahi par baat baja uski hai

Main Khud Bhi Kab Yeh Kahta Hu Ki Sabab Nahi,
Tu Sach Hai Mujhko Chhod Bhi De Toh Ajab Nahi,

Vapas Jo Chaho Jana Toh Ja Sakte Ho Magar,
Ab Itni Door Aa Gaye Hum Dekho Ab Nahi,

Dhan Ka Jaruraton Ka Jamane Ka Dosto,
Karte Toh Hum Bhi Hain Magar Itna Adab Nahi,

Mera Pyar Hai Toh Hamesha Ke Vaste,
Tera Karam Nahi Hai Ki Ab Hai Aur Ab Nahi,

Duniya Se Kya Shikayaten Logon Se Kya Gila,
Humko Hi Zindagi Se Nibhane Ka Dhang Nahi.

Yaad Use Bhi Ek Adura Afsana Toh Hoga,
Kal Raaste Mein Usne Humko Pahchana Toh Hoga,

Dar Humko Bhi Lagta Hai Raste Ke Sannate Se,
Lekin Ek Safar Par Eh Dil Ab Jana Toh Hoga,

Kuchh Baton Ke Matlab Hain Aur Kuchh Matlab Ki Baatein,
Jo Yeh Fark Samajh Lega Woh Deewana Toh Hoga,

Dil Ki Baaatein Nahi Hain Toh Dilchasp Hi Kuchh Batein Ho,
Jinda Rahna Hai Toh Dil Ko Bahlana Toh Hoga,

Jeet Ke Bhi Woh Sarminda Hai Haar Ke Bhi Hum Garvit,
Kam Se Kam Woh Dil Hi Dil Mein Yeh Mana Toh Hoga.

Main Tumhe Dhundhne Savar Ke Dawar Tak,
Roj Jata Raha Roj Aata Raha,
Tum Gajal Ban Gayi Geet Mein Dhal Gayi,
Manch Se Main Tumhe Gungunata Raha…

Zindagi Ke Sabhi Raste Ek The,
Sabki Manjil Tumhaare Chayan Tak Nahi,

Aparkaasit Rahe Peer Ke Upnishad,
Man Ki Gopan Kathayein Nayan Tak Rahi,

Pran Ke Pej Par Priti Ki Alpana,
Tum Mitaati Rahi Main Banata Raha,

Tum Gajal Ban Gayi Geet Mein Dhal Gayi,
Manch Se Main Tumhe Gungunata Raha.

Ek Khamosh Halchal Bani Zindagi,
Gahra Thahra Hua Jal Bani Zindagi,

Tum Bina Jaise Mahlon Mein Beeta Hua,
Urmila Ka Koi Pal Bani Zindagi,

Najar Aakash Mein Aas Ka Ek Diya,
Tum Bujhati Rahi Main Jalata Raha,

Tum Gajal Ban Gayi, Geet Mein Dhal Gayi,
Manch Se Main Tumhe Gungunata Raha….

Tum Chali Toh Gayi Man Akela Hua
Saari Yadon Ka Purjor Mela Hua
Jab Bhi Loti Nayi Khusbuon Mein Saji
Man Bhi Bela Hua Tan Mhi Bela Hua
Khud Ke Aaghat Par Vayarth Ki Baat Par
Ruthati Tum Rahi Main Manata Raha
Tum Gajal Ban Gayi Geet Mein Dhal Gayi,
Manch Se Main Tumhe Gungunata Raha.

Main Tumhe Dhundhne Savarg Ke Dawar Tak,
Roj Jata Raha Roj Aata Raha.

Rang, Duniya Ne Dikhaya Hai Nirala Dekhu,
Hai Andhere Mein Ujala Toh Ujala, Dekhu,

Aaina Rakh De Mere Saamne, Aakhir Main Bhi,
Kaisa Lagta Hai Tera Chahne Wala, Dekhu,

Kal Talak Woh Jo Mere Sar Ki Kasam Khata Tha,
Aaj Sar Mera Usne Kaise Uchhala, Dekhu,

Mujhse Majhi Mera, Kal Raat, Saham Kar Bola,
Kis Tarah Maine Yahan Khud Ko Sambhala, Dekhu,

Jiske Aangan Se Khule The Mere Saare Raste,
Us Hawali Par Bata Main Kaise Tala Dekhu.

Sab Tamannayein Ho Puri, Koi Khwaish Bhi Rahe,
Chahta Woh Hai, Mohabbat Mein Numaish Bhi Rahe,

Aasmaa Chume Mere Pankh, Teri Rahmat Se,
Aur Kisi Ped Ki Dali Pe Rihaish Bhi Rahe,

Usne Sompa Nahi Mujhe Mere Hisse Ka Vajud,
Uski Koshish Hai Ke Mujhse Meri Ranjish Bhi Rahe,

Mujhko Maalum Hai, Mera Hai Woh, Main Uska Hu,
Uski Chahat Hai Ke Rashmon Ki Yeh Bandish Bhi Rahe,

Mosmon Se Rahein Vishvas Ke Aise Riste,
Kuchh Adavat Bhi Rahe, Thodi Navajish Bhi Rahe.

Dil Toh Karta Hai Khair Karta Hai,
Aapka Jikr Gair Karta Hai,

Kyo Na Main Dil Se Du Dua Usko,
Jabki Woh Mujhse Bair Karta Hai,

Aap Toh Hubhu Wohi Hain Jo,
Mere Sapno Mein Sair Karta Hai,

Ishq Kyu Aapse Yeh Dil Mera,
Mujhse Pooche Bagair Karta Hai,

Ek jarra Duayen Maa Ki Le,
Aasmano Ki Sair Karta Hai.

Na Jaane Yeh Kaisa Hai Mola, Dastoor E Mohabaat,
Woh Door Rahkar Bhi Dil Ke Karib Rahta Hai,
Har Koi Jaanta Hai Milenge Ismein Jakham, Fir Bhi,
Har Koi, Yaar Ka Diya Dard, Hans Kar Sahta Hai.

Tere Aaghosh Mein, Aane Ko Betab Hun Main,
Jab Chaho, Eh Dost Pukar Lena Hamein,
Mahsoos Karna Chahta Hu, Teri Dhadkano Ko,
Aankhon Ke Raste, Dil Mein Utaar Lena Hamein.

Bhale Laakh Kar Lu Koshish Bhi Magar,
Dil Ki Baat Kahi Na Jaayegi Mujh Se,
Eh Mere Hamdam Na Hona Juda Kabhi,
Teri Judaayi Na Sahi Jaayegi Mujhse.

Na Jaane Kyu Us Se Pyar Karta Hun Main,
Na Jaane Kyu Uspe Jaan Nishar Karta Hu Main,
Yeh Jaanta Hu Woh Dega Dhoka Ek Din,
Fir Bhi Jaane Kyu Us Pe Aitbaar Karta Hu Main.

Unko Yeh Sikayat Hai Humse,
Ki Hum Unhe Pyar Nahi Karte,
Pyar Toh Hum Bahut Karte Hain,
Magar Kabhi Ijhaar Nahi Karte.

Aakar Aap Ab Jana Nahi,
Dil Ko Mere Tarsana Nahi,
Hum De Chuke Hain Dil Aapko,
Todkar Isko Tadpana Nahi.

In Aankhon Mein Aur Koi Ab Basta Nahi Hai,
Ek Aapko In Aankhon Mein Basaane Ke Baad,
Yeh Dil Mera Ab Kahi Aur Lagta Nahi Hai,
Ik Aap Se Is Dil Ko Lagane Ke Baad.

Yeh Soch Rakha Tha Humne Apne Jeevan Mein, Ki,
Kisi Bhi Hansi Ko, Na Dil Mein Basayenge Hum,
Magar Aap Se Milne Ke Baad, Na Malun Tha, Yu,
Ki, Sirf Aapke Hi Hokar Rah Jaayenge Hum.

Aapko Apne Jakham Dikhana Chahta Hu Main,
Magar Kya Karun Bahut Hi Door Hain Aap,
Aapko Chahta Hu Banana Sathi Apna,
Magar Maanta Hu, Rashmo Ke Haatho Majbur Hain Aap.

Aap Mukurate Huye Hi Achhe Lagte Ho,
Aap Hamesha Hi Aise Muskuraya Karo,
Maja Aata Hai Humein Aapko Sataane Mein,
Magar Aap Ruthkar Maan Jaya Karo.

Hum Kaise Bhulaye Unko Bhala,
Jo Dil Mein Hamare Rahte Hain,
Jab Unko Apna Samjhte Hain,
Fir Woh Kyu Begana Kahte Hain.

Haan Yeh Sach Hai Ke Hum Mohabbat Karne Se Darte Hain,
Kyunki Yeh Pyar Baad Mein Dil Ko Bahut Tadpata Hai,
Apne Chehre Ke Aansu Toh Hum Chhupa Sakte Hain Dosto,
Magar Haal E Dil Duniya Ko Maalun Ho Jata Hai.

Hamein Toh Rog Laga Diya Ishq Ka,
Magar Door Khade Woh Muskurate Hain,
Paas Aane Ke Liye Bhi Kah Diya,
Aur Khud Hi Ab Door Huye Jaate Hain.

Najron Se Najar Mili Aur Unse Pyar Ho Gaya,
Bahut Roka Apne Dil Ko Magar Yeh Bekarar Ho Gaya,
Jab Se Kiya Pyar Tujhse Dil Ka Chain Hai Kho Gaya,
Ho Ke Juda Main Ji Na Saka Jeena Bhi Bhool Gaya.

Aap Hi Ke Liye Jeete Hain Aap Hi Ke Liye Marte Hain,
Aap Hi Ho Hamare Dilbar Jinse Hum Pyar Karte Hain,
Sabse Pyara Hai Mahboob Mera Sabse Nirali Uski Ada Hai,
Na Jaane Huyi Kya Humse Khata Jo Aalkal Rahta Hai Khafa.

Aap Humko Aise Mat Dekhiye,
Kahin Humko Mohabbat Na Ho Jaaye,
Aap Toh Muskura Kar Chale Jaaoge,
Is Dil Ko Musibat Na Ho Jaaye.

Aap Kya Ho, Mere Humrahi,
Jivan Ki Saari Khushi Ho Aap,
Humara Jivan Aapse Humdam,
Humare Liye To Bas Pyar Ho Aap,
Har Khushi Ke Rang Se,
Bhari Rahe Ye Zindgi Aapki,
Raho Sada Khush Yeh Aarzu He Humari.

Yadi Saneh Jaag Jaaye Adhikar Maan Lena,
Man Ko Uchit Lage Toh Tum Pyar Maang Lena….

Do Pal Mile Hain Tumko Yun Hi Na Beet Jaayein,
Kuchh Yun Karo Ki Dhadkan Aansu Ke Geet Gaaye,

Jo Man Ko Haraa Degaa Uski Hi Jeet Hogi,
Akshar Banenge Geeta Har Lay Mein Preet Hogi,

Bahumulya Hai Vaytha Ka Uphar Maang Lena…
Yadi Saneh Jaag Jaaye Adhikar Maang Lenaa,
Man Ko Uchit Lage Toh Tum Pyar Maang Lena.

Hum Khud Hi Chhod Denge Teri Duniya Eh Dost,
Bas Do Char Sanso Ki Aur Ijajat De Do,
Bhale Karna Nafrat Magar Kuchhh Lamhon Ke Liye,
Mohabbat Ka Bharm Toh Rahe Itni Mohabbat De Do.

Hamne Pahli Bar Apni Zindagi Mein Chaha Jisko,
Unse Hi Humne Apne Pyar Ka Izhaar Kar Diya,
Ab Woh Apne Dil Ko Bekarar Karein Ya Na Karein,
Magar Humne Toh Apne Dil Ko Bekarar Kar Diya.

Aapse Pyar Karne Ko Dil Karta Hai,
Aapko Baahon Mein Bharne Ko Dil Karta Hai,
Ek Aap Hi Toh Is Duniya Mein Jispe,
Dilo Jaan Nisaar Karne Ko Dil Karta Hai.

Ek Din Aap Hamein Hi Chahoge Dekh Lena,
Hum Khuda Se Aapko Maang Laayenge Dekh Lena,
Shayad Aapko Hamari Mohabbat Ka Ehsas Nahi Hai,
Aapse Hi Iska Izhaar Karvaayenge Dekh Lena.

Husn Ko Pyar Mein Kyu Laate Ho Tum,
Husn Ko Toh Hum Parvaah Nahi Karte,
Hum Toh Aapke Dil Se Karte Hain Pyar,
Aapke Husn Se Toh Hum Pyar Nahi Karte.

Aap Ab Aaye Ho Zindagi Mein Hamari,
Jab Hum Sabko Aajma Chuke Hain,
Aap Ab Kahte Hain Ki Pyar Karein,
Jab Hasino Se Dokha Kha Chuke Hain.

Agar Hum Na Mile Hote Unse,
To Yeh Dil Na Yun Bekarar Hota,
Na Najrein Milti Unse Kabhi,
Na Humko Un Se Pyar Hota.

Woh Humsafar Ishq Ke,
Uss Dariya Mein Chhod Gaya,
Jis Ka Koi Kinaara Nahi,
Ab Kya Bataun,
Kaise Bataayen Apna Hal E Dil,
Ab Toh Us Ishq Mein Fana Ho Gaya Hu,
Jis Mein Rooh Toh Rahi Par Dil Na Raha.

TTum Savyam Ko Sajaati Raho Raat Din,
Raat Din Main Savyam Ko Jalata Rahu,
Tum Mujhe Dekhkar Mud Ke Chalti Raho,
Main Virah Mein Madhur Geet Gata Rahun,

Main Jamaane Ki Thokar Hi Khata Rahun,
Tum Jamaane Ko Thokar Lagaati Hi Raho,
Zindagi Ke Kamal Par Girun Oss Sa,
Rosh Ki Dhoop Ban Tum Sukhaati Raho,

Kaanto Ki Sajaati Raho Raah Tum,
Main Usi Raah Par Roj Jaata Rahun,
Tum Savyam Ko Sajaati Raho Raat Din,
Raat Din Main Savyam Ko Jalata Rahu.

Jab Se Is Dil Ko Lagaya Hai,
So Bhi Toh Hum Nahi Paate Hain,
Hansana Toh Kab Ka Bhool Chuke Hain,
Aansu Bhi Toh Ab Nahi Aate Hain.

Unki Khubsurati Ki Kya Taarif Karun Eh Yaaron,
Khuda Bhi Un Jaisa Koi Aur Na Bana Paya Hoga,
Main Toh Pareshan Hun Yeh Sochkar Ki Shayad,
Na Zindagi Mein Aayega, Na Un Jaisa Koi Aaya Hoga

Pyar Hamein Yun Hona Tha So Ho Gaya,
Dil Ko Hamare Khona Tha So Kho Gaya,
Na Tujhse Koi Ranjish Na Koi Shikwa Hai,
Gham Ko Hamara Hona Tha So Ho Gaya.

Log Aksar Puchhte Hain Tumhaare Baare Mein,
Magar Hum Apni Kahani Sunayen Kyu,
Hamari Mohabbat Ko Poojenge Tum Dekhna,
Magar Hum Apni Jubani Batayen Kyu.

Jamaana Agar Hum Rooth Bhi Jaaye Toh,
Is Baat Ka Hamein Gham Na Koi Hoga,
Magar Aap Jo Humse Khafa Ho Gaye Toh,
Hum Par Is Se Bada Sitam Na Koi Hoga.

Aankhe Aksar Woh Baatein Kah Jaati Hain,
Jo Baatein Hum Jubaa Par La Nahi Paate,

Mohabbat Ho Gayi Hai Unse Par Hum,
Unhe Yeh Hum Baat Bataa Nahi Paate,

Bolna Toh Chahta Hai Dil Baatein Bahoot,
Par Jubaa Hi Ki Bol Nahi Paate,

Karam Itna Ho Khuda, Ki,
Oh Dil Ki Baat Aankho Se Samjh Jaate.

Jo Sararat Ki Unhone Kal Humse,
Us Ada Par Dil Nishaar Kar Baithe,
Dil Toh Chahta Tha Badla Lein Unse,
Na Jaane Kyu Unse Pyar Kar Baithe.

Zindagi Mein Bahut Kuchh Khoya Hai Humne,
Magar Ab Toh Kuchh Paane Ki Tamanna Hai Hamein,
Aap Humse Dil Lagayein Ya Na Lagayein,
Magar HumKo Aapse Dil Lagane Ki Tamanna Hai.

Kismat Kisi Ki Kisi Se Ruthe Na,
Yeh Saath Kisi Ka Bhi Kisi Se Chhute Na,
Jara Pyar Karna Soch Samajhkar,
Dekhna Dil Kahin Kisi Ka Tute Na.

Jaise Julfon Ki Lat Hai Chehre Ke Karib Tere,
Kaash Hum Bhi Aaj Tere Itne Karib Hote,
Tere Phulon Se Chehre Ko Hardam Niharte Hum,
Kaash Aisi Hoti Kismat Aise Naseeb Hote.

Is Mohabbat Ka Koi Raaz Na Jaane,
Jaane Sab Ko Kaise Hoti Hai,

Yeh Dil Toh Aapko Apna Maane,
Jaane Kaise Hota Hai,

Ehsas Tumhara Is Dil Mein Hardam Rehna,
Jaane Kaise Hota Hai,

Chup Chap Rah Kar Bhi Sab Kuch Kah Jaana,
Jaane Kaise Hota Hai,

Rooh Mein Samaa Ke Aankhon Mein Aa Jaana,
Jaane Kaise Hota Hai,

Is Mohabbat Ka Koi Raaz Na Jaane,
Jaane Kaise Hota Hai.

Bheed Mein Humko Tanha Rahna Aata Hai,
Tanhai Ko Mefil Karna Aata Hai,

Jab Na Samjhe Koi Apne Dil Ki Baat,
Aise Mein Fir Chup Bhi Rahna Aata Hai,

Taano Ke Tum Teer Chalao Fir Bhi Hamein,
Thanthak Jakhmon Par Bhi Rakhna Aata Hai,

Is Akshar Ko Chahe Koi Na Samjhe,
Pyar Ke Naam Par Humko Marna Aata Hai,

Shabnam Duniya Chahe Sataye Lakh Magar,
Humko Hak Ki Khatir Ladna Aata Hai.

Ajab Apna Haal Hota, Jo Vishaale Yaar Hota,
Kabhi Jaan Sadke Hoti, Kabhi Dil Nishaar Hota,

Na Maja Hai Dushmani Mein Na Lutf Hai Dosti Mein,
Koi Gair Gair Hota, Koi Yaar Yaar Hota,

Yeh Maja Tha Dillagi Ka, Ke Barabar Aag Lagti,
Na Tumhe Karar Hota, Na Hamein Karar Hota,

Tere Waade Par Sitamgar, Abhi Aur Sabr Karte,
Agar Apni Zindagi Ka Hamein, Eitbaar Hota.

Eh Mere Khuda Tu Itna Jarur Karna,
Do Chahne Walon Ko Kabhi Bhi Na Door Karna,
Bas Woh Likhana Ki Log Mujh Ko Na Bhool Paayein,
Kisi Ko Thhes Na Pahunche Yeh Dua Kabool Karna.

Puchhkar Haal Unhone Hamara Dosto,
Zindagi Hamari Kuchh Aur Badha Di,
Hum Toh Bhatkate The Andheron Mein Yun Hi,
Unhone Humko Ek Nayi Raah Dikha Di.

Are Aap Kyun Nahi Samajhate Ho Sanam,
Dil Ka Dard Dabta Nahi Hai Dabane Se,
Aapko Mohabaat Ka Ijhaar Karna Hi Padega,
Kyunki Mohabaat Chhupti Nahi Hai Chhupane Se.

Aap Yeh Kyun Chahte Hain Ki Hum Pyar Karein,
Jabki Hum Kisi Se Pyar Karna Nahi Chahte,
Aap Kyun Mangate Hain Dil Hamara Baar Baar,
Jabki Hum Dil Bekarar Karna Nahi Chahte.

Unko Malum Nahi Hai Mohabbat Ka Matlab Shayad,
Is Mein Toh Begano Ko Bhi Apna Liya Karte Hain,
Khud Bhale Kitne Bhi Gham Pade Sahne Magar,
Doosron Ko Bas Khusi Hi Diya Karte Hain.

Woh Humko Jaan Se Bhi Pyare Hain,
Jo Hamare Dil Ke Mehman Hain,
Woh Bhi Jaante Hain Sabkucch Magar,
Jaan Bujhkar Bante Anjaan Hain.

Woh Nigaahein Jhuka Karke Tera Muskurana,
Baaton Hi Baaton Mein Hamein Deevana Banana,
Ab Aa Bhi Jaao Oh Mere Humdam,
Seekho To Jara Kabhi Wada Nibhana.

Khuda Ka Sukr Karta Main,
Ki Usne Aapko Hum Se Mila Diya,
Yeh Alag Baat Hai Eh Mere Dost,
Aapne Darde Dil Hamara Badha Diya.

Kaise Samjhaun Main Apne Nadan Dil Ko,
Yeh Galti Se Aisi Himakat Kar Baitha,
Bahut Roka Maine Isko Aisa Karne Se,
Magar Na Jaane Kyun Mohabbat Kar Baitha.

Hamari Hi Na Lag Jaaye Najar Unko,
Hum Toh Yeh Sochkar Pareshan Hote Hain,
Unka Dil Bhi Hasee Hai Unhi Ki Tarah,
Hum Toh Yeh Sochkar Hairan Hote Hain

Agar Hamari Zindagi Mein Na Aise Aap Aate,
Toh Hum Ro Rokar Zindagi Ko Yun Hi Bitaate,
Sukriya Aapka Jo Aa Gaye Ho Zindagi Mein Hamari,
Varna Hum Toh Kisi Ko Na Kabhi Apna Banate.

Yeh Bhi Na Kah Paaye,
Ki Tumse Mohabbat Karte Hain,
Tumhare Liye Hi Jeete Hain,
Tumhare Liye Hi Marte Hain,
Kitni Mohabbat Karte Hain Yeh Toh Dil Hi Jaanta Hai,
Magar Na Kahenge Kisi Se,
Ki Akele Aahein Bharte Hain.

Tamanna Hai Hum Ko Ek Aise Dost Ki,
Jo Bahut Hi Haseen Hona Chahiye,
Chehre Ki Baat Toh Karte Nahi Hain Hum,
Usko Apne Dil Par Yakin Hona Chahiye.

Chhodkar Aapko Kahan Jaayenge Hum,
Aapse Door Kahan Chain Paayenge Hum,
Dil Toh Aap Par Luta Hi Chuke Hain,
Aap Dekhna Jaan Bhi Luta Jaayenge Hum.

Bas Itna Hi Bahut Hai Hamare Liye Eh Ajij Mere,
Ki Aapki Jubaa Par Naam Hamara Aaya Toh Tha,
Aapne Bhi Ki Thi Hamse Mohabbat Eh Yaar Mere,
Mere Dil Ko Kabhi Mohabbat Mein Dhadkaya Toh Tha.

Yeh Sach Nahi Hai Eh Mere Ajij Dost,
Ki Humne Kabhi Bhi Yahan Pyar Nahi Kiya,
Pyar Toh Humne Bhi Kiya Tha Kisi Se Magar,
Yeh Sach Ahi Ki Kabhi Ijhaar Nahi Kiya.

Jab Dekhi Tumhari Muskurahat,
Mere Dil Ko Mili Rahat,
Sochte Hain, Kya Yahi Hai Chahat,
Hay, Yeh Kaisi Machi Hai Dil Mein Kayamat.

Apni Is Zindagi Ke Baare Mein Sochkar,
Na Jaane Kyu Mera Dil Bekarar Hone Laga,
Log Toh Darte Hain Mout Ke Paas Aane Se,
Magar Humko Ko Mout Se Pyar Hone Laga.

Main Jeeta Raha Hun Ghut Ghut Ke Yaaro,
Mujhe Ab Jeene Ki Tamanna Nahi Hai,
Yeh Jo Humne Kiya Hai Pyar Tumse,
Yeh Dil Ki Lagi Hai Dilaagi Nahi Hai.

Woh Itne Hasee Honge Eh Mere Dosto,
Dil Ko Is Baat Ka Yakee Aata Nahi,
Ab Toh Unko Paane Ki Chahat Ho Gayi,
Unke Bina Ab Kuchh Bhata Nahi.

Woh Mousam Pyar Ka Eh Mere Dost,
Na Jaane Kyu Hardam Yaad Aata Hai,
Jab Bhi Hota Hai Akela Kabhi Hum,
Na Jaane Kyu Isko Bahut Rulata Hai.

Aapki Pooja Karte Hain Hum,
Aap Par Hi Bas Marte Hain Hum,
Humko Aapse Bahut Pyar Hai,
Aapko Kahne Se Darte Hain Hum.

Koi Bhi Insan Jahan Mein Hamein Sachha Nahi Lagta,
Dar Dar Bhatkna Pyar Mein Hamein Achha Nahi Lagta,
Mali Ne Kaha Tha Ki Aur Bhi Hain Phool Chaman Mein,
Magar Kya Karein Har Phool Hamein Achha Nahi Lagta.

No comments:

Post a Comment