Saturday, December 30, 2017

Hindi Shayri On Life

Yeh Ashq Paani Ke Is Tarah Na Ganva,
Ki Yeh Anmol Moti Hain,
Yeh Hayat Nahak Hi Na Ganva,
Ki Yeh Zindagi Bahut Chhoti Hai.
Har Sakhas Ka Aaj Ajab Haal Hai,
Shaad Hote Huye Bhi Haal Behaal Hai,
Hoton Par Dekho Toh Jhooti Muskaan Hai,
Chehre Par Kisi Ke Gham Ke Nishaan Hain
Seene Se Laga Kar Apni Wafa Mein,
Thikana Chhod Hum Chale Hain,
Na Manzil Ki Na Raahon Ki Khabar,
Fir Bhi Hum Musafir Bane Hain.
Kyo Koi Chah Kar Dosti Nibha Nahi Pata,
Kyo Koi Chah Kar Rishta Bana Nahi Pata,
Kyo Leti Hai Zindagi Aisi Karwat,
Ki Koi Chahkar Bhi Pyar Jata Nahi Pata.
Zindagi Hasin Hai Zindagi Se Pyaar Karo,
Hai Rat To Subah Ka Intzar Karo,
Wo Pal Bhi Ayega Jiska Intzaar Hai Aap Ko,
Rab Pr Bhrosa Aur Waqt Pe Aitbar Rakho.
ज़िन्दगी हसीन है ज़िन्दगी से प्यार करो,
हो रात तो सुबह का इंतज़ार करो,
वो पल भी आएगा जिस पल का इंतज़ार हैं आपको,
बस रब पर भरोसा और वक़्त पे ऐतबार करो।
Zindagi Bahut Kuch Sikhati Hai,
Kabhi Hasati Hai Kabhi Rulati Hai,
Khud Se Bhi Jyada Kisi Par Vishwash Mat Karna,
Kyuki Andhere Mein To Parchai Bhi Saath Chod Jati Hai.
जिंदगी बहुत कुछ सिखाती है,
थोड़ा रुलाती है थोड़ा हसाती है,
खुद से ज्यादा किसी पे भरोसा मत करना,
क्योंकि अँधेरे में तो परछाईं भी साथ छोड़ जाती है!
Bhahut Roya Tha Jab Mera Janam Hua Tha,
Aur Hans Rahi Thi Ye Duniya,
Magar Doston Ek Din Badala Lunga,
Hansta Hua Jaunga Aur Royegi Ye Duniya.
Dil Ki Baat Dil Mein Rahi Ho Jaise,
Hans Ke Tuu Naa Hansi Ho Jaise,
Umar Se Lambii Sadak Pe Chalte,
Koi Sadaa Tuune Suni Ho Jaise,
Armaan Jitne Sajaye The Kabhi,
Woh Aas Dil Mein Dabi Ho Jaise,
Dekhne Ko Tasveer Haath Mein,
Yaad Koi Puraani Li Ho Jaise,
Raat Ke Khaali Sannaate Mein,
Saans Ruk Ruk Ke Chali Ho Jaise,
Waqt Ke Band Darwaazon Mein,
Jaag Ke Der Tak Darri Ho Jaise,
Dipak Se Le Ke Koi Kitaab,
Tuune Raat Bhar Padhi Ho Jaise.
Es zulm ki duniya mein faqat pyar mere papa
Hain mere liye saya-e-deewar mere papa,
Nafrat ke jazeron se mohabbat ki hadon tak,
Bass pyaar hi pyaar hai bas pyar mere papa
Zindagi me insaan kisi ki sacchi kimat ..
Keval do hi halato me samaj pata hain ..
Ek usko paane se pahle,
Aur ek usko khone ke baad.
Ek nafrat hi hain ..
Jise duniya lamho mein hi jaan leti hai,
Varna Chahat ka pata lagane me to ..
Jamane beet jate hai.
Ruthi huyi zindagi ko manana toh aata hain,
Khud na hans sake par auro ko hasana to aata hain,
Hum khud naa bas sake kisi ke dil me to kya hua,
Par logo ko apne dil mein basana toh aata hain.
Apne karam se wo mera mukaddar bana gya,
Ek katre ko pal bhar me samundar bana gya,
Phulo se bhi jyada naram tha kabi dil ye mera,
Jise itna tadpaya ke ab patthar dil bana gaya.
Logo se kah do humari takdeer se jalna chod de,
Hum ghar se dawa nahi bhagwan ki dua lekar nikalte hai,
Koi na de hume khush rahne ki dua, to bhi koi baat nahi,
Vaise bhi hum khusiya rakhte nahi, baant diya karte hai.
Kismat mein likha humse koi nahi chieen sakta,
Agar ho khuda ki rehmat toh,
Wo bhi mil jayega jo humara kabhi ho nahi Sakta.
Aankh kholu toh chehra meri maa ka ho,
Aankh band ho to sapna meri maa ka ho,
Main marr bhi jau toh koyi gum nahi lekin,
Par Kaffan mile to dupatta meri maa ka ho.
Pyar Ko Jataane Wale Bahut Dekhe Hain Humne,
Magar Pyar Ko Nibhate Dekha Nahi Hai Koi,
Jaan De Denge Aapke Bina Hum Sabhi Kahte Hain,
Magar Jaan Ko Lutata Dekha Nahi Hai Koi.
Bheed Mein Humko Tanha Rahna Aata Hai,
Tanhai Ko Mefil Karna Aata Hai,
Jab Na Samjhe Koi Apne Dil Ki Baat,
Aise Mein Fir Chup Bhi Rahna Aata Hai,
Taano Ke Tum Teer Chalao Fir Bhi Hamein,
Thanthak Jakhmon Par Bhi Rakhna Aata Hai,
Is Akshar Ko Chahe Koi Na Samjhe,
Pyar Ke Naam Par Humko Marna Aata Hai,
Shabnam Duniya Chahe Sataye Lakh Magar,
Humko Hak Ki Khatir Ladna Aata Hai.
Jiske Aage Mujhko Jana Hi Nahi,
Aaj Mujhko Woh Thikana Mil Gaya,
Unse Do Hi Mulakatein Kya Huyi,
Jamane Ko Yun Hi Bahana Mil Gaya.
Zindagi Ko So Baar Aajmaya Hai Humne,
Har Baar Mout Ko Hi Kareeb Paya Hai Humne,
Chot Khane Se Kab Baaj Aate Hain Hum Bhi,
Toote Dil Ko Aaj Fir Lagaya Hai Hamne.
Juda Tumse Hokar Na Ji Paaunga Main,
Usi Pal Tadap Tadap Kar Mar Jaaunga Main,
Tere Sang Hi Jeevan Bitana Hai Mujhko,
Tere Bina Na Kuchh Bhi Ban Paaunga Main.
Main Khush Hun Teri Di Zindagi Se Khuda,
Mujh Jaisa Sabko Ghar Sansar Mile,
Jaisa Mujhko Diya Hai Aaj Mere Mola,
Aisa Jeevan Mein Sabko Pyar Mile…
Eh Zindagi Jaate Jaate Meri Duaen Leto Ja,
Dil Se Bhula Dena Har Ek Khata,
Saja Jo Bhi Deni Ho Mujhe Woh Bhi Deti Ja,
Ki Ab Toh Teri Yaad Ke Siwa Nahi Kuchh Bacha.
Ghar Ki Dahleej Par Meri,
Jab Kadam Woh Rakhenge,
Har Baat Ko Kahne Se Pahle,
Woh Hamein Yaad Jarur Karenge.
Tum Tab Tak Pyar Se Pyar Mat Karo Ki,
Pyar Tum Se Pyar Na Kare,
Pyar Ko Itna Pyar Karo Ki,
Pyar Kisi Aur Se Pyar Na Kare.
Zindgi Mujhe Jeene Ke Liye Dua Chahiye,
Us Par Kismat Ki Bhi Wafa Chahiye,
Khuda Ke Raham Se Sab Kuchh Hai Mere Paas,
Bas Pyar Karne Ke Liye Aap Jesa Koi Mehbboob Chahiye.
ज़िंदगी जीने के लिए मुझे दुआ चाहिए,
उस पर किस्मत की भी वफ़ा चाहिए,
खुदा के रहम से सब कुछ है मेरे पास,
बस प्यार करने के लिए आप जैसा कोई महबूब चाहिए…
Jabse Mulakat Huyi Hai Unse Meri,
Tabse Mere Dil Ko Karaar Aaya,
Kabhi Zulph Lahraai Kabhi Nakhara Kiya,
Unki In Adaaon Par Bahut Pyar Aaya.
Muskan aapke hontho se kahi jaye nahi,
Aansu aapke palkon pe kabhi aaye nahi,
Pura ho aapka har khwaab,
Aur jo pura na ho wo khwab kabhi aaye nahi.
Happy Birthday
मुस्कान आपके होंठों से कही जाये नहीं,
आँसू आपके पलकों पे कभी आये नहीं,
पूरा हो आपका हर ख्वाब,
और जो पूरा न हो वो ख्वाब कभी आये नहीं.
Happy Birthday
Raj jab sine se bahar ho gaya apna kahan
Ret par bhikhre huye aansu utha sakte nahin,
Aadmi kya hai gujrate wakt ki tasveer hai
Jaane wale ko sada dekar bula sakte nahin,
Sahar mein rahte huye hamein jamana ho gaya
Koun rahta hai kahan kuchh bhi bata sakte nahin.
Bazaron ki chahal pahal se roshan hai
In aankhon mein mandir jaisi sham kahan,
Main usko pahchan nahi paya toh kya
Yaad use bhi aaya mera naam kahan,
Din bhar suraj kiska pichha karta hai
Roj pahadi par jati hai sham kahan,
Logo ko suraj ka dhoka hota hai
Aansu bankar chamka mera naam kahan,
Dalano ki dhoop chhaton ki sham kahan
Ghar ke bahar ghar jaisa aaram kahan.
Yeh Mujhse Puchhate Hain Doctor Kyu,
Ki Tu Zinda To Hai Ab Tak, Magar Kyu,
Jo Rasta Chhod Ke Main Ja Raha Hun,
Usi Raste Par Jati Hai Najar Kyu,
Sunayenge Kabhi Fursat Mein Tumko,
Ki Hum Barson Rahe Hai Darbadar Kyu,
Yahan bhi sab hai begana hi mujhse
Kahun Main Kya Ki Yaad Aaya Hai Ghar Kyu,
Main Khus Rahta Gar Samjha Na Hota,
Ye Duniya Hai To Main Deedavar Kyu.
Woh Bachpan Ki Baatein Woh Bachpan Ki Yaadein,
Hun Ko Hardam Bahut Hi Yaad Aati Hain,
Ab Toh Humko Bas Yeh Dekhna Hain Baaki,
Ki Yeh Zindagi Humko Kahan Lekar Jati Hai.
Ek Din Aayega Aisa Bhi Yaaro,
Mujhe Yaad Karega Sara Jahan,
Bas Bol Rahenge Mere Geeton Ke,
Mit Jayega Baaki Naamo Nishaa.
Tere Sagar Par Moula Yeh Jahan Julm Dha Raha Hai,
Tu Bhi Door Baitha Kaise Muskura Raha Hai,
Ab Puchhta Bhi Nahi Hai Koi Baad Uske Mujhe,
Aaj Bichhuda Yaar Mujhe Yaad Aa Raha Hai.
Kismat Se Apni Sabko Sikayat Kyu Hoti Hai,
Jo Nahi Milta Usi Se Mohabbat Kyu Hoti Hai,
Kitne Khade Rahte Hain Raahon Mein Dil Ki Fir Bhi,
Dil Ko Usi Ki Mohabbat Kyu Hoti Hai.
Kaash Is Dil Ki Aawaz Mein Itna Asar Ho Jaye,
Hum Aapko Yaad Karein,
Aur Aap ko Khabar Ho Jaye,
Khuda Se Maangte Hain Ki Aap Jise Bhi Chaho,
Wo Zindagi Ki Raah Mein Apka Humsafar Ho Jaye.
Hasi Ke Raste Pe Chala Karo,
Khushiyo Ki Mahak Liya Karo,
Pyar Se Dilon Ko Chuha Karo,
Jahan Tumhe Gum Nazar Aaye,
Is Nacheez Ko Yaad Kiya Karo,
Har Kali Tujhse Khushboo Udhar Mange,
Aftab Tujhse Noor Udhar Mange,
Rab Kare Tu Dosti Aisi Nibhaye Ki Log Teri Dosti Udhar Mange.
Sagar Main Gehraayi Hoti Hai,
Yaadon Main Tanhayi Hoti Hai,
Is Busy Life Main Kaun Kisko Yaad Karta Hai,
Aur Agar Karta Hai To Uski Yaado Main Sachhayi Hoti Hai.
Unn phoolon se dosti kya karoge,
Jo ek din murjha jayenge,
Karna hai dosti to hum jaise kaanton se karo,
Jo ek baar chubhe toh baar-baar yaad ayenge.
Yaadein Do Dilon Ke Faasle Ko Kaam Karti Hai,
Zindagi Aap Jaise Doston Par Naaz Karti Hain,
Mat Ho Udas Ke Aap Dur Hain Humse Kyun Ke..
Duriyan Hi Rishton Ko Aur Khas Karti Hain.
Jindagi Ek Aisi Sougat Hoti Hai,
Jisme Khusi Or Gum Se Mulakat Hoti Hai,
Kuch Pana Hai To Gahrai Me Utarna Sikho,
Kinaro Se To Jindagi Ki Shuruat Hoti Hai.
Dosti karna hame bhi sikhao,
Dil ke kisi kone me hame bhi bithao,
Ham tumhare dil me hain ki nahi,
Zuban se na sahi SMS se to batao.
Kinare bante hai bigadte hai ..
Is Darse lahro ka aana jana kabhi kam ni hota ..
Jindgi me tufano k aane se armano ka ..
Dagmagana kabhi kam ni hota.
Jo kal nahi tha wo aaj hu,
Khud se chupa hua ek raaz hu,
Jo koi khehta tha beta,
Use apne bachcho se fursat nahi hai,
Me kuch na mangu khuda se bus pyar ka mohtaz hu..
Kisi Ko Zyada Aazmaya Nahi Karte…
Apno Ko Kabhi Sataya Nahi Karte…
Chahne Wale Bhi Waqt Ke Lamho Ki Tarah Hote Hain…
Beet Jaaye To Laut Ke Aaya Nahi Karte..
Dil ke dariya me dhadkan ki kasti hai,
Khawabo ki duniya me yado ki basti hai,
Mohabbat ke bazar me chahat ka sauda,
Wafa ki kimat se to bewafai sasti hai..
Duniya me sabhi hain ajnabi,
Hum hain aap ke liye ajnabi,
Aap hain mere liye ajnabi,
Ye ajnabi hi ban jate hain zindgi,
Kyuki ajnabi se hi hoti hai mohabbat aur dosti.
Ishq ki taqat ko kam na samajh naasamajh,
ishq ko gaali dekar kamjor na kar,
Ishq to vo toofaan hai,
Jo kisi anpadh ko bhi bana de shayar…
Sab log rah guzar nahi hote,
Sath chalne wale hamsafar nahi hote,
Kitna dard hota haio un logo ke dilo main,
Pucho un logo se jinke apne bhi apne nahi hote….
Kamaal ka honsla diya ..
Rab ne insano ko ..
Aye dost
Waqif hum agle pal se nahi ..
Aur
Vaade janmo janmo k karte hai.
Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangti Hoon..
Tumhari Salamti Ki Hamesha Dua Mangti Hoon..
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori..
Bass Ye Chaahti Hoon Aur Tumhari Khushi Maangti Hoon.
Yun na jhaanka karo kisi gareeb ke dil mein,
Aye doston
Wahaan hasratein
Be-libaas raha karteen hain..!!!
Kahin par dharam bante hain,
Kahin par imaan bante hain,
Kahin par hindu,sikh,isai to
Kahin muslmaan bante hain,
Hamari mehfil main akar dekh “saki”
Yahan insaan hi insan bante hain.
Dil me aap ki yaaden ne kar liya hai makaam,
Umar bhar aapki yaad rahegi paigham,
Aap ki is dosti ne kar diya hame ghulam,
Are jaathe jaathe usthaadon lelo hamari salaam.
Kya Khubsurat Ye nazaare hai,
Kya khubsurat ye sama hai,
Dekho duniya ko meri nazorn se,
Yahan to bas har jagah bas khuda hai,
Kya soch kar banayi hogi usne duniya,
Har daal par jhulne ko panchi khada hai.
Socha Tha ..
Uss Se Bichrenge Toh Mar Jayenge,
Jaan Lewa Khauf Tha Bas,
Hua Kuch Bhi Nahi.
Yaadoki Safar Me Chalte Hi Rehena,
Zindegi Me Har Pal Muskurate Rehana,
Mussibat Aaye To Khuda Ko Yaad Karna,
Aur
Zindegi Me Kisiko Kabhi Alvida Na Kehena.
Khud Par Guroor Hai Itna Ki
Kabhi Pechhe Mud Kar Nahi Dekha..
*
*
*
Ek Bar Jise Apna Keh Diya,
Usey Mera Hona hi Padta Hai…
Apane Apane Hausale ..
Apani Talab Ki Baat Hai ..
Chun Liyaa Hamne Unhen ..
Saaraa Jahaan Rahane Diyaa ..
Wo Ek Shaks Bhi ..
Dekha to Dushmano Me Tha….
K Naam Jiska Mere Dil ki ..
Dhadhkano Me Tha…!
Shayari Nasha Bhi Hai,
Ek Zajbaat Bhi Hai
Har Toote Hue Dil Ka Ek Ehasaas Bhi Hai,
Jo Samajh Sake Iske Lafzoon Ko,
Uska Pyaar Bhi Hai,
Aur Jo Na Samajh Sake,
Uske Liye Ek Jhootha Khwaab Bhi Hai.
Kisi ko Aankhoo Ka Nasha Tha,
Kisi Ko Batoon Ka Nasha Tha,
Hum Nashe Ki Paimaaish Ginte Reh Gaye,
Kyonki Humein Har Waqt Bus,
Likhne Ka Nasha Tha.
Koi rishta naya ya purana nahi hota,
Zindagi ka har pal suhana nahi hota,
Juda hona to kismat ki baat hai,
Par judai ka matlab bhulana nahi hota.
Ek Toote Huye Dil Ki Aawaaj Mujhe Kahiye,
Sur Jismein Hai Sab Ghum Ke Woh Saaz Mujhe Kahiye,
Main Koun Hoon Aur Kyaa Hoon Kiske Liye zindaa Hoon,
Main Khud Bhi Nahi Samajhi Woh Raaz Mujhe Kahiye.
Phool Do Bar Nahi Khilta,
Janam Do Bar Nahi Milta,
Milne Ko Mil Jate Hai Hazaro,
Magar
Dilse ChahneWala Bar-Bar nahi Milta.
A smile is like a Sim card &
Life is like cell phone
Whenever you insert the
Sim card of a smile
A beautiful day is activated
Good morning
Kabi Ruth Kar,
Kabi Mana Kar,
Kabi Has Kar,
Kabi Hasa kar,
Kabi Ro Kar,
Kabi RuLa Kar,
Hmara sms kahega apse har Pal Jiyo,
Muskra Kar,
Tabdeeli jab bhi aati hai,
Mausam ki adaao me,
Kisi ka yu hi badal jana,
Bahut yaad aata hai.
Zindgi Kaaton ka safar hai,
Hosle iski pehchan hai,
Raastey par to sabhi chlte hain,
Jo raaste banaye wo insaan hai
Tum se Bohat Kuch Kehna Hai Magar !!
Kabhi Tum Nahi Milte Kabhi Alfaz Nahi Milte !!
Ye Doriyan Tu Mita Doon Mein Ek Pal Mein Magar !!
Kabhi Kadam Nahi Chalte Tu Kabhi Raste Nahi Milte !!
Tumhen Pana Chahti Hoon Umar Bhar Ke Liye Magar !!
Kabhi Halat Nahi Milte Tu Kabhi Jazbat Nahi Milte !!
Muskrana chaha muskra na sake,
Geet bhi khusiyo ke hum ga na sake,
Paray to kabhi apne bante nahi,
Hum to apno ko bhi apna bana na sake .
Choti choti baton ko dil se lagate nahi,
Jara si baat pe apno se rooth jate nahi,
Bada aasan hai kehna ke bhool jayenge hum,
Par Dil me rehne wale Dil se kabhi jate nahi.
Sapno ko Sapna Mankar Bhool Na jana,
Dil ki Armano Ko Chod Na Dena,
Tum Mein Kashish Hai Kuch Pane ki,
Na Mumkin Samajhkar Chod Na dena.
Dard Kya Hota hai Batayenge Kisi Roz,
Ek Achchhi Si Ghazal Sunayenge Kisi Roz,
Udne Do Parindon Ko Aazad Fizaaon Me,
Agar Apne Huye To Laut Aayenge Kisi Roz.
दर्द क्या होता है बताएगे किसी रोज,
इस दिल की गजल सुनाएंगे किसी रोज,
उड़ने दो इन परिंदों को आजाद फिजाओ में,
हमारे हुए तो लौट आएंगे किसी रोज!!
Hamare rishtey ko dil se juda na karna,
Zindagi main na kbhi ye gunaah karna,
Kuch pal beet jaye tumse baat kiye bina,
Zindagi na beet jaye ye dua karna.
Kahte hai riste nasa ban jate hai,
Koi kahte hai riste saja ban jate hai,
Per riste nibhao sache dil se to,
Wo riste hi jine ki wajah ban jate hai.
Duniya me koi kisi ke liye kuch nahi karta,
Marne wale ke saath har koi nahi marta,
Are Marne ki baat to door rahi,
Yaha to zindgi hai phir bhi koi yaad nahi karta.
Manzil tum chuno,
Raste hum denge,
Khush tum raho,
Khusiyan hum denge,
Bas isee tarah LAGAN aur ZUNOON se ..
Apani “Manzl” ki taraf chalate raho ..
To SAPANE apke pure honge ..
Aur Badhaiyan hum denge.
Jhuta apnapan to har koi jatata hai,
Woh apna hi kya jo pal pal satata hai,
Yakin na karna har kisi par,
Kyu ki karib hai kitna koi yeh toh waqt hi batata hai.
Tezz raftar zindagi ki ..
Ye aalam he in dino yaaro,
Ki subah k ghum bhi ..
Sham ko purane lagte hai….!!

No comments:

Post a Comment