Sunday, December 31, 2017

Miss You Shayari

दिल तेरी याद में आहें भरता है!
मिलने को पल पल तड़पता है!
मेरा यह सपना टूट न जाये कहीं!
बस इसी बात से दिल डरता है! ❤️
उसकी बातों को बार बार याद करके रोये,
उसके लिये दर पे फरियाद करके रोये,
उसकी खुशी के लिये उसको छोड दिया फिर,
उसे किसी ओर के साथ आबाद करके रोये. 💔
अंदाज-ऐ-प्यार तुम्हारी एक अदा है..
दूर हो हमसे तुम्हारी खता है..
दिल में बसी है एक प्यारी सी तस्वीर तुम्हारी..
जिस के नीचे ‘आई मिस यू’ लिखा है..
Wo Raat Dard Aur Sitam Ki Raat Hogi
Jis Raat Rukhsat UnKi Baraat Hogi,
Uth Jaate Hain Yeh Soch Kar Neend Se
Ki Kisi Gair K Bahon Me Hmari Sari Kaynaat Hogi.
वो रात दर्द और सितम की रात होगी,
जिस रात रुखसत उनकी बारात होगी,
उठ जाता हूँ मैं ये सोचकर नींद से अक्सर,
कि एक गैर की बाहों में मेरी सारी कायनात होगी।
प्यार कर के कोई जताए ये ज़रूरी तो नहीं,
याद कर के कोई बताये ये ज़रूरी तो नहीं,
रोने वाले तो दिल में ही रो लेते हैं,
किसी की आँख में आसूं आये ये ज़रूरी तो नहीं..
Kaash Koi Hum Par Bhi Itna Pyaar Jatata..
Piche Se Aakar Wo Hamari Ankho Ko Chupata..
Hum Puchte Ki Kaun Ho Tum..
Wo Hans Kar Khud Ko Hamari Jaan Batata..!!
काश कोई हम पर भी इतना प्यार जताती,
पीछे से आकर वो हमारी आँखो को छुपाती,
हम पुछ्ते की कौन हो तुम..??
और वो हस कर खुदको हमारी जान बताती.
उनका भी कभी हम दीदार करते है
उनसे भी कभी हम प्यार करते है
क्या करे जो उनको हमारी जरुरत न थी
पर फिर भी हम उनका इंतज़ार करते है !
Har mulakat par waqt ka takaza hua,
Jab jab use dekha dil ka dard taza hua,
Suni thi sirf ghazal mein judai ki bate,
Ab khud par biti to haqiqat ka andza hua.
हर मुलाकात पर वक्त का तकाज़ा हुआ..
हर याद पे दिल का दर्द ताजा हुआ..
सुनी थी सिर्फ हमने गज़लों मे जुदाई की बातें..
अब खुद पे बीती तो हकीकत का अंदाजा हुआ..!!
Wasta Nahi Rakhna to..
phir mujh pe.. nazar kyu rakhta hai.
main kis haal me jinda hu..
tu ye sab kahabr kyu rakhta hai
वास्ता नही रखना तो..
फिर मुझपे.. नजर क्यूं रखता है?
मैं किस हाल में जिंदा हूँ…
तू ये सब.. खबर क्यूं रखता है..!!
Dil Mein Ho Aap To Koi Aur Khaas Kaise Hoga,
Yaadon Mein Aapke Siva Koi Pass Kaise Hoga,
Hichkiyan Kehti Hain Aap Yaad Karte Ho,
Par Bologe Nahi To Humein Ehsas Kaise Hoga.
दिल में आप हो और कोई खास कैसे होगा,
यादों में आपके सिवा कोई पास कैसे होगा,
हिचकियॉं कहती हैं आप याद करते हो,
पर बोलोगे नहीं तो मुझे एहसास कैसे होगा।
Tujhe Chahte Hain Be-Inteha Par Chahna Nahi Aata,
Ye Kaisi Mohabbat Hai Ki Humein Kehna Nahi Aata,
Zindagi Mein Aa Jao Hamari Zindagi Ban Kar,
Ki Tere Bin Humein Zinda Rehna Nahi Aata.
Yaad Rukti Nahi Rok Paane Se,
Dil Maanta Nahi Kisi Ke Manane Se,
Ruk Jaati Hain Dhadkane Aapko Bhool Jaane Se,
Isliye Aapko Yaad Karte Hain Jeene Ke Bahane Se.
Maana Ke Mujhse Woh Khafa Rahe Honge,
Ho Sakta Hai Woh Mujhe Aazma Rahe Honge,
Hum Utni Hi Shiddat Se Yaad Karenge Unhein,
Jitni Shiddat Se Woh Humein Bhula Rahe Honge.
Har Roz Koi Khwaab Toot Jata Hai,
Har Roz Koi Apna Rooth Jata Hai,
Na Jaane Meri Kismat Mein Kya Hai,
Jise Main Yaad Karun Wohi Mujhe Bhool Jata Hai.
आंसू की बुँदे हैं या आँखों में नमी हैं !
न ऊपर आसमान हैं न निचे जमीन हैं !!
ये कैसा मोड़ हैं जिंदगी का…..
आपकी ही जरुरत हैं और आपकी ही कमी हैं…!
Aansoo ki boondein hain ya aankhon mein nami hai,
Na upper aasman hai na neeche zameen hai,
Ye kaisa mod hai zindagi ka,
Aapki hi zarurat hai aapki hi kami hai.
आज हँसी देकर कल रुला न देना,
इतना मिस करके कल भुला न देना,
अपने इस प्यारे रिश्ते को याद रखना,
कही इन्हे यादो की तरह भुला न देना!
Kadmo Ki Doori Se Dilon Ke Fansle Nahi Badhte,
Door Hone Se Dil Ke Ehsaas Nahi Marte,
Kuch Kadmon Ka Fansla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nahi Jab Hum Aapko Yaad Nahi Karte!
Nikli Mohabbat Ki Baat To Tum Yaad Aa Gaye,
Uthe Dil Mein Wo Zazbat To Tum Yaad Aa Gaye,
Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko,
Hui Jab Pyaar Ki Barsat To Tum Yaad Aa Gaye.
Hichkiya dila kar ye kaisi uljhan badha rahe ho,
Ankhe band hai fir bhi nazar aa rahe ho,
bas itna bata do humein, yaad kar rahe ho,
ya apni yaad dila rahe ho..!

Kaha se aati hai ye hichkiya,
Na jane KOUN fariyad karta hai,
Khuda hamesha Salaamat rakhe usko,
Jo hume Apne Dil se yaad karta hai.

Hichkiya aane se ek baat ka to ehsaans hua,
ki aap hume roz yaad karti hain,
milne nahi aati to kya hua,
phone par to baat karti hain.

Eh hichkiya kyun mujhe aane lagi hain,
fizao se bhee siskiya aane lagi hain,
yeh soch kar dil hain bahut khus kii,
yaad hamari bhii kisi ko aane lagi hain.

Kal tak tanha the,
aaj intzar karte hai,
kal tak kuch na tha,
aaj aitbaar karte hai,
yu hi nahi aati aapko hichkiya..
hum yaad aapko baar baar karte hai.

Dil me aap ho or koi khas kese hoga,
yaado me aapke siva koi pass kese hoga,
hichkiya kethi h aap yaad karte ho,
par bologe nahi to muje ehsas kese hoga..

Dur chale gaye hamare chahne wale,
ruth gaye hume manane wale,
ab to hichkiya bhi humse puchti hai,
ki kaha gaye tujhko roj yaad karne wale.

Hichkian dilakar humari ulfat kyon badha rahe ho,
bas itna bata do yaad kar rahe ho ya yaad aa rahe ho.

Hichkiya kyon mujhe aane lagi hain,
Fizaon se bhi siskiya aane lagi hai,
Yeh sochkar dil hai bahut khush,
Ki yaad meri bhi kisi ko aane lagi hai.
Ek Jurm Hua Hai Hum Se Ek Yaar Bana Baithe Hain,
Kuch Apna Sa Us Ko Samajh Kar Sab Raaz Bata Baithe Hain,
Phir Us Ke Pyaar Ki Raah Mein Dil-o-Jaan Gawa Baithe Hain,
Woh Yaad Bahut Aate Hain Jo Hum Ko Bhula Baithe Hain.
Dil Lagta Nahi Hai ab Tumhare Bina
Khamosh Se Rehne Lage Hein Tumhare Bina
Jaldi Laut Aao Ab Yahi Chaah Hai
Warna Ji Na Payenge Tumhare Bina.
दिल लगता नहीं है अब तुम्हारे बिना,
खामोश से रहने लगे है तुम्हारे बिना,
जल्दी लौट के आओ अब यही चाह है,
वरना जी ना पाएँगे तुम्हारे बिना।
हर शाम से तेरा इज़हार किया करते है,
हर ख्वाब मे तेरा दीदार किया करते है,
दीवाने ही तो है हम तेरे,
जो हर वक़्त तेरे मिलने का इंतज़ार किया करते है!!
Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai,
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hai,
Diwane Hi To Hai Hum Tere,
Jo Har Waqt Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hai !!
Tujhe Chahne Wale Kum Na Honge,
Waqt Ke Sath Shayad Hum Na Honge,
Chahe Kisi Ko Kitna Bhi Pyaar Dena,
Lekin Teri Yaadon Ke Haqdar Sirf Hum Hi Honge.
Aapse yeh doori humse sahi nahi jati,
Juda hoke aapse humse raha nahi jata,
Ab toh waapas laut aayiye hamare paas,
Dil ka haal ab lafzon mein kaha nahi jata!
Tadap ke Dekh Kisi ki Chahat Me,
To Pata Chale Intzaar Kya Hota Hai,
Yu Mil Jaaye Agar Koi Bina Tadap Ke,
To Kaise Pata Chale Pyar Kya Hota Hai..!!
Aata nahi tha humein ikraar karna,
Na jane kaise seekh gaye PYAR karna.
Rukte naa the do pal kabhi kisi ke liye.
Naa jane kaise seekh gaye intezaar karna..!!
Aasuon ki bunde hai ya ankhon ki nami hain,
Na upar aasma hai na niche zamee hain,
Ye kaisa mod hai zindagi ka,
Uski hi zarurat hai aur uski hi kami hain!!
Saans Tham Jati Hai Per Jaan Nahi Jaati
Dard Hota Hai Per Aawaz Nahi Aati
Ajeeb Log Hai Is Zamaane Mein
Koi Bhul Nahi Pata Aur Kisiko Yaad Nahi Aati !!!
Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
Pyaas bujhti bhi nahi barsaat guzar jate hai,
Aye jaan
Apni yadoon se kahoo ke na aaya karain
Neend aati bhi nahi raat guzar jati hai..
Itna aitbaar to apni dhadkanon par bhi humne na kiya,
Jitna aapki baaton par karte hain,
Itna intezar to apni saanson ka bhi na kiya,
Jitna aapke milne ka karte hain.
Yeh Meri deewangi thi..
Ya ishq ki inteha,
Mein uske pass se guzra khamosh..
Uske khayalon mein.
Tumhari palkon main bassa huwa ek khawb hoon,
Kahi adhura tutt kai bikhar na jaoon,
Tumhari ankhon mai jalakta hua ek anson hu,
Kahi beh kar raith mai mil na jau,
Tumhare dil mai bassa hua ek arman hu,
Kahi dharkan mai dabb kar kho ma jau,
Tumharae hothon pai bassi hua ek hassi hu,
Kahi kabi gam mai baddal na jau,
Tumhare labbo pai thirk ti hui ek kampkapi hu,
Kahi shoonay sai thirkna na bhul jau,
Mujhe hardam sinnae sai lagai rakhna tu,
Kahi judah ho kai duniya ki bhirr mai kho na jau,
Tumhare jism mai bassi hui ek ruh hu,
Kahi bichhur kai marr na jau!
Aaj bhigi hai palke kisi ki yaad me,
aakash bhi simat gaya hai apne aap me,
oas ki boonde aisi giri hai jameen per,
maano chand bhi roya ho unki yaad me..
Main to apni tanhaiyo se tang aa kar
Mahobbat ki talash me nikali thi..!!
Par..
Mujhe to mahobbat bhi aise mili jo aur tanha kar gai!!
साथ अगर दोगे मुस्करायेंगे ज़रूर,
प्यार अगर दिल से करोगे तो निभाएंगे ज़रूर,
राह में कितने कांटे क्यू न हो,
आवाज़ अगर दिल से दोगे तो आएंगे ज़रूर.
Saath agar doge muskrayenge zarur,
Pyar agar dil se karoge to nibhayenge zarur,
Raah me kitne kante q na ho,
Awaz agar dil se doge to aayenge zarur.
शायद फिर वो तक़दीर मिल जाये
जीवन के वो हसीं पल मिल जाये
चल फिर से बैठें वो क्लास कि लास्ट बैंच पे
शायद फिर से वो पुराने दोस्त मिल जाएँ ।
Logo ko aksar kehte suna hai ki..
Zinda rahe to fir milenge.
Magar is dil ne mahsoos kiya ki..
Milte rahoge to zinda rahenge.
Kab maine kaha ki shona aur chandi chahiye,
Bas aapki dil me chhota sa kona chahiye,
Jise hum keh sake dilse apna,
Aisa bhi to koi yaar hona chahiye
Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.
Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.
Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh oonchaai kis kaam ki!
Woh Jo Hamare Liye Khas Hote Hain,
Jinke Liye Dil Mein Ehsaas Hote Hain,
Chahe Waqt Kitna Bhi Door Kar De Unhe,
Door Reh Ke Bhi Woh Dil Ke Paas Hote Hain..
Aaj unhe fursat nahi humse baat karne ki,
Ye zindagi gujar gayi unki fariyaad kar k,
Wo aaye humari mout pe,to keh dena,
Abhi soye hai aapko yaad kar k.
आज उन्हे फुर्सत नही हमसे बात करने की,
ये जिन्दगी गुजर गई उनकी फरियाद करके,
वो आए हमारी मौत पे,
तो कह देना अभी सोया है आपको याद करके.
Kaha kho gaye hai aap,
Ya so gaye hai aap,
Bewafa to lagte nahi the pehle,
Kya ab ho gaye hai aap !!
कहाँ खो गए हैं आप ,
या सो गए हैं आप,
बेवफा तो लगते नहीं थे पहले,
क्या ? अब हो गए हैं आप.
दिल ने आज फिर तेरे दीदार की ख्वाहिश रखी है
अगर फुरसत मिले
तो ख्वाबों मे आ जाना…..!!
Sard mausam ka maza kitna alag sa hai,
Tanha raat mein intazaar kitna alag sa hain,
Dhund bani naqab, aur chupa lia sitaron ko,
Unki tanhaai ka ab ehsaas kitna alag sa hai.
Kafi Arsa Beet Gaya Jane Ab Woh Kaisa Hoga,
Waqt Ki Sari Kerwi Batain Chup Chap Sehta Hoga,
Ab Bhi Bhegge Barish Mein Woh Ban K Chatri Chalta Hoga,
Mujhse Bichre Arsa Beeta Ab Wo Kis Se Larta Hoga,
Acha Tha Jo Sath Hi Rhete Baad Mein Os Ne Socha Hoga,
Apne Dil Ki Sari Baatain Khud Se Khud Hi Karta Hoga.
Har Yaado Main Usi Ki Yaad Rehti Hai,
Meri Ankho Ko Usi Ki Talash Rehti Hai,
Kuch Tum Be Dua Karo Yaro,
Dosto Ki Dua Mai Farishto Ki Faryad Hoti Hai.
Har Subah Teri Muskurati Rahe,
Har Sham Teri Gungunati Rahe,
Meri Dua Hai Ki Tu Jis Se Bhi Mile,
Har Milne Wale Ko Teri Yaad Aati Rahe.
Aap se milne ka maan kar raha hai,
Maan ko samjaya to dil keh raha hai,
Dil ko bataya to ankhe ro padi,
Unhe chup kar diya to saanse bol padi.
Kyon tujhi ko dekhna chahati hain meri aankhein,
Kyon khamoshiyaan karti bas hain teri baatein,
Kyon itna chahane laga hoon tujhko main,
Ki taare ginte huye kat-ti hain meri raatein,
Tu hi kuchh bata de kya main karoon inka,
Har pal jo mujhe tadpaati hain teri yaadein.
Mehak kya hai fizaaon se poochho,
Pyaar kya hai mere dil se poochho,
Tadap kya hai meri deewangi se poochho,
Hum kitne tanha hain tumhare bina,
Yeh bhari mehfil se poochho.
Dil dhadakne ka sabab yaad aaya,
Woh teri yaad the ab yaad aaya,
Badi mushkil se din guzara tha,
Phir tere wada-e-shab yaad aaya,
Baith kar saya-e-gul main Nasir,
Hum bohat roye woh jab yaad aaya.
Yaadon ko teri hamne khone na diya,
Ghamo ne bhi chup hone na diya,
Aankhein to aaj bhi bhar aayi teri yaad mein,
Par teri di hui kasam ne hamein rone na diya
Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
Apki yadon ko seene se lagaya hai,
Pata nahi yaad aapki hi kyon aati hai,
Dost to hamne auron ko bhi banaya hai.
Kismat bhi apna khel dikhati chali gayi,
Mehkti fiza ki khusbu me jo deka pyar ko
Bas yaad unki aayi aur rulati chali gayi.
Logon Ki Bheed Mein Toh Maalun Nahi Hota,
Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai,
Aap Toh Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi,
Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai.
Hamara Pyar Majboor Kar Dega Aapko,
Isliye Hum Dil Ko Bichhaye Baithe Hain,
Tumko Kabhi Na Kabhi Aana Hi Padega,
Isliye Hum Shamaa Jalaaye Baithe Hain.
Aapko Dekhkar Aaj Kahin,
Hamara Dil Bekarar Na Ho Jaaye,
Lag Raha Hai Aaj Dar Humko,
Kahin Aapse Pyar Na Ho Jaaye,
Khush Rahein Bas Aap Hamesha,
Dil Se Hum Fariyaad Karte Hain,
Aap Humko Bhale Bhol Chuke Ho,
Magar Hum Aapko Yaad Karte Hain.
Kisi Pal Toh Mile Chain Mujhko,
Kabhi Toh Khusiyon Ka Paigam Mile,
Kya Aayegi Woh Ghadi Jab,
Mere Yaar Ka Mujhko Salam Mile.
Fat Jata Hai Kaleja Yeh Sochkar,
Ke Aap Humse Kyu Juda Ho Gaye,
Yeh Samajh Nahi Aaya Aaj Talak,
Kyu Aap Humse Yun Khafa Ho Gaye.
Raat Ko Sapno Mein Dhundta Raha, Na Mile Tum,
Magar Jab Dil Mein Dekha Toh Laga Paas Ho Tum,
Meri Aankhon Se Yeh Aansu Kyu Chhalak Rahe Hain,
Lagta Hai Aaj Fir Se Udaas Ho Tum.
Sochta Hun Milunga Jab Tujhse,
Tujhe Seene Se Apane Lagaunga,
Chhupa Lunga Dil Mein Main Tujhko,
Kahin Door Na Fir Kabhi Jaaunga.
Bhale Kitna Hi Door Ho Woh Humse,
Magar Dil Ke Kareeb Lagta Hai,
Woh Saath Tha Toh Har Shay Suhati Thi,
Bina Uske Sab Bhi Ajib Lagta Hai.
Saaye Ki Tarha Saath Rahne Wali,
Rista Kuchh Is Tarah Se Tod Gayi,
Hakikat Mein Milna Toh Mumkin Na Tha,
Khwabon Mein Aana Bhi Chhod Gayi.
Kalam Uthayi Hai Lafj Nahi Milta,
Jisko Dhoond Rahe Hain Lafj Nahi Milta,
Firte Ho Tum Zamane Ki Talash Mein,
Bas Hamare Liye Tumhe Waqt Nahi Milta.
Eh Sanam Tujhe Kabhi Meri Yaad Aaye,
Aur Milne Ko Dil Bekarar Ho Jaaye,
Toh Ek Baar Mera Naam Dil Se Pukarna,
Teri Khusi Ke Liye Hum Jannat Se Laut Aaye.
Zuban Khamosh Aankhon Me Nami Hogi,
Yahi Bas Ek Dastan-E-Zindagi Hogi,
Bharne Ko To Har Zakham Bhar Jayega,
Kaise Bhariegi Wo Jagah Jaha Teri Kami Hogi.
Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hai,
Meri Har Aah Har Dard Samajhti Hain,
Pata Hai Majbur Hai Tu Bhi Aur Main Bhi,
Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain.
Dil Ki Awaz Koi Pehchanta Nahi,
Kisko Kya Dard Hai Koi Janta Nahi,
Hum Bhi Nahi Chahte Aapko Pareshan Karna,
Magar Kya Kare Dil Hai Ki Manta Nahi.
Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badhte,
Dur Hone Se Ehsas Nhi Marte,
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nahi Jab Hum Apko Yaad Nhi Karte.
Aksar gumsum rehnewala nagma hu main,
Aapki yaado me rehnewala lamha hu main,
Aap meri jaan ho to ek baat batao,
Aapke hote huye bhi kyu tanha hu main.
Na Gharz Kisi Se,
Na Wasta,
Mujhe Kaam Apne Kaam Se..
Tere Ziker Se,
Teri Fikr Se,
Teri Yaad Se,
Tere Naam se..!!!
Ae hawa tu udhar to jati hogi,
Unko hmara hal to batati hogi,
Zara chhu kar to dekh unke dil ko,
Kya yaad unko bhi hamari aati hogi.
Aapke paas waqt nahi hame yaad karne ka,
Bewaqt hi yaad kar liya karo,
Mana aap ke paas sari duniya hai,
Kabhi hamara bhi ahsas kar liya karo.
Bedaag Or Begunah Meri Sarkar Hain,
Humse unki Bewafai Se Waqt Ki Maar Hain,
Woh Bhale Hain Kitne Sitam Karein Hum Par,
Phir Bhi Mere Liye Wo Jaane Bahar Hain.
Har Roz Mujhe Yeh Khayal Aata Hai,
Ghamon Se Mera Bahut Purana Nata Hai,
Har Roz Teenka-Teenka Marte Hain Hum,
Chah kar Bhi Tera Chehra Nahi Bhulaya Jata Hai.
Kya-Kya Na Saha Tere Pyar Ke Liye,
Tu Bhul Gayee Mujhe Begaane Yaar Ke Liye,
Bitaaye The Lamhe Saath Milkar Kabhi,
Tarsate Hain Aaj Tere Deedar Ke Liye.
Laakh Bandisen Laga Le Duniya Hum Par,
Magar Dil Par Kaabu Nahi Kar Payenge,
Woh Lamha Aakhiri Hoga Zeevan Ka Hamara,
Jis Din Hum Yaar Tujhe Bhul Jayenge.
Kitne Armaano Ko Dafnaye Baitha Hun,
Kitne Zakhmo Ko Dabaye Baitha Hun,
Milna Muskil Hai Unse Is Daur Mein,
Phir Bhi Deedar Ki Aas Lagaye Baitha Hun.
Tanhai Mein Hum Teri Taakte Hain Raahein,
Tumhe Dekhne Ko Tarsati Hain Nigahein,
Bekhudi Ka Yeh Aalam Hai Kaisa,
Tumhe Yaad Karke Nikalti Hain Aahein.
Dil Ki Zalan Mitane Ke Liye,
Tere Sitam Bhulane Ke Liye,
Peete Hain Sharab Teri Yaad Mein Hum,
Warna Lakhon Hain Ghar Basaane Ke Liye.
Jo bani ho Mere liye,
Jis ke liye main Jee raha hoon,
Jo kahe Hum saath hain tere,
Jise dekhne ke liye Tarap raha hoon,
Ek aisa hi Dildaar chahiye,
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye.
Yaadon ko teri hum pyar karte hai,
Saat janam bhi tum par nisaar karte hai.
Fursat mile to kuch likh bhejna yaar,
Ek tere hi sms ka intezar karte hai!
Good Night
Apni Surat Ka Kabhi Toh Deedar De,
Tadap Raha Hun Ab Aur Intezaar Na De,
Apni Aawaz Nahi Sunani Toh Mat Suna,
Kam Se Kam Ek Miss Call Hi Mar De.
Meri zindagi bhi meri nahi yeh
Hajar khano mein banti gayi,
Mujhe ek muthi jamin de
Yeh jamin kitni simat gayi,
Teri yaad aaye toh chup rahu
Jara chup rahu toh ghazal kahu,
Yeh ajib aag ki bel thi
Mere tan badan se lipat gayi,
Mukhe likhne wala likhe bhi kya
Mujhe padhne wala padhe bhi kya,
Jahan mera naam likha gaya
Wahin par roshnayi ulat gayi.
Jo na hoti mohabbat ye aansu na hote,
Dil bhi na khota aaj tanha na rota,
Diwano si apni ye halat na hoti,
Agar jahan mein kambakhat,
Kaash ye mohabbat na hoti
Bhigi huyi aankhon ka yeh manjar na milega
Ghar chhod kar mat jaao kahin ghar na milega,
Fir yaad bahut aayegi julfon ki ghani shyam
Jab dhoop mein shaya koi sar par na milega,
Aansu ko kabhi os ka katra na samjhana
Aisa tumhe chahat ka samander na milega.
Hum Kaise Bhulaye Unko Bhala,
Jo Dil Mein Hamare Rahte Hain,
Jab Unko Apna Samjhte Hain,
Fir Woh Kyu Begana Kahte Hain.
Oh Mere Pahle Pyar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar..
Oh Shakti Bhare, Anurakti Bhare,
Nas Nas Ke Pahle Javaar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar,
Pavas Ki Pahli Fuharon Se,
Jisne Mujhko Kuchh Bol Diye,
Mere Aansu Muskano Ki,
Kimat Par Jisne Tol Diye,
Jisne Ahsas Diya Mujhko,
Main Ambar Tak Uthh Sakta Hu,
Jisne Khud Ko Bandha, Lekin,
Mere Sab Bandhan Khol Diye,
Mere Geeton Ke Saar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar,
Oh Mere Pahle Pyar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar.
Woh Nigaahein Jhuka Karke Tera Muskurana,
Baaton Hi Baaton Mein Hamein Deevana Banana,
Ab Aa Bhi Jaao Oh Mere Humdam,
Seekho To Jara Kabhi Wada Nibhana.
Yeh Bhi Na Kah Paaye,
Ki Tumse Mohabbat Karte Hain,
Tumhare Liye Hi Jeete Hain,
Tumhare Liye Hi Marte Hain,
Kitni Mohabbat Karte Hain Yeh Toh Dil Hi Jaanta Hai,
Magar Na Kahenge Kisi Se,
Ki Akele Aahein Bharte Hain.
Woh Mousam Pyar Ka Eh Mere Dost,
Na Jaane Kyu Hardam Yaad Aata Hai,
Jab Bhi Hota Hai Akela Kabhi Hum,
Na Jaane Kyu Isko Bahut Rulata Hai.
Kyun Khayalon Mein Mere Chali Aati Ho,
Soye Armano Ko Mere Phir Jagati Ho,
Tum Ko Bhoola Hoon Badi Mushkil Se,
Kyun Zinda Laash Ko Yun Tadpati Ho,
Beshumar Mohabbat Liye Baitha Hun,
Bar-Bar Kyun Imtehaan Liye Jaati Ho,
Ek Wada Tha Kiya, Na Ruswa Karne Ka,
Jan Le Meri, Kyun Ruswa Huyi Jaati Ho,
Na Aayega Sagar Kabhi Teri Rahon Mein,
Kyun Garib Pe Be-Eitbaar Kiye Jaati Ho.
Din Ho Bhale Hi Raat Ho,
Bas Yaad Teri Hi Aati Hai,
Kaise Kahu Ke Main Theek Hu,
Yeh Hardam Mujhko Rulati Hai,
Ab Toh Yaaro Khud Se Bhi,
Mujhko Wafa Ki Umeed Nahi,
Mohabbat Aisi Shaii Hai Yaaro,
Jise Sakte Kabhi Kharid Nahi.
Pyar Karta Hun Main Jinko Khuda,
Khush Rakhna Unhe Yeh Fariyad Karta Hun,
Bhale Hi Bhool Gaye Hon Woh Mujhko,
Magar Main Ahr Pal Unko Yaad Karta Hun.
Woh Khwabo Mein Aakar Rulate Hain,
Hakikat Mein Na Aakar Tadpaate Hain,
Jinko Hum Samjhaya Karte The Kabhi,
Woh Log Aaj Humko Samjhate Hain.
Dekhte Hi Dekhte Yeh Zindagi Gujar Jaayegi,
Jo Ghadiya Beet Chuki Hain Dubara Nahi Aayengi,
Kah Toh Diya Ke Bhool Jaayenge Tum Ko,
Jaanta Hun Magar Unki Yaad Bahut Tadpayengi.
Aapne Diye The Jo Pyar Ke Lamhe,
Un Lamhon Ka Karz Chuka Na Paayenge,
Aapne Bhale Bhula Diya Hi Hamein,
Magar Hum Kabhi Bhi Bhula Na Paayenge.
Sab Kuchh Bhulaya Uski Yaad Mein,
Khud Ko Bhi Mitaya Uski Yaad Mein,
Agar Hai Kuchh Baki Toh Sirf Yaad Uski,
Khud Ko Kabar Mein Sulaya Uski Yaad Mein.
Mera Chain Chheen Liya Hai Tere Nain Ne,
Tadpu Bepanah Rahu Bechain Main,
Har Pal Main Tujh Par Jaan Nishar Karta Hun,
Tujhe Pata Nahi Kitna Main Pyar Karta Hun.
Jeete Hain Na Chain Se Na Mar Sakte Hain,
Kyoki Wada Jo Kiya Hai Maine Tujse,
Na Yaha Voh Pyari Si Bahare Hain,
Na Yaha Voh Pyari Si Chahat Hain,
Na Yaha Voh Bahti Nadiyan Hain,
Na Yaha Voh Nila Aasmaan Hain,
Ye Sab Kuch Bhi Nahi Hai Tumhare Bina,
Tujse Hi To Judi Sari Muskan Meri Hai,
Ab Aakhri Gujarish Hai Meri Tujhse,
Bhul Ja Tu Mujko Ki Mera Bhulna Aasan Ho Jaye.
Chhod Aayi Thi Main Tera Voh Shaher,
Soch Ke Yeh Ki Bhul Jaungi Tujhe Main,
Par Itni Door Aakar Bhi Na Bhul Payi Main Tujhe,
Soch Ke Yeh Ki Tadpaungi Tujhe Main…
Par Tadapati Rahi Main Khud Itni,
Jaise Shama Jalti Hai Parvane Ke Liye,
Kash Samja Hota Tune Pyar Ko Mere,
Na Aaj Hum Tum Dono Is Halat Me Hote.
Jab Jab Phool Khilte Rahenge,
Tab Tak Baharein Aati Rahengi,
Jab Tak Hum Zinda Rahenge,
Tab Tak Tum Yaad Aaoge.
Zarur Taro Ki Bhi Kahani Hogi,
Chand Ki Duniya Bhi Suhani Hogi,
Yu Hi Nahi Hai Aasman Itna Khoobsurat,
Zarur Wo Bhi Kisi Ke Pyar Ki Nisani Hogi.
Kya ho agar aapka pyar aapse door chala jaye,
Phir naa kabhi wo zindagi me paas laut kar aaye,
Chhupke sabse chori se fir dil ye bahut rota hai,
Sach hai dosto kisi ko bhulana aasan nahi hota hai.
Dono Aankhon Mein Ashq Diya Karte Hai,
Hum Aapni Neende Tere Naam Kiya Karte Hai,
Jab Bhi Palak Jhapke Tumhari Samajh Lena,
Hum Tumhe Yaad Kiya Karte Hai.
Laakh Bandisen Laga Le Duniya Hum Par,
Magar Dil Par Kaabu Nahi Kar Payenge,
Woh Lamha Aakhiri Hoga Zeevan Ka Hamara,
Jis Din Hum Yaar Tujhe Bhul Jayenge.

No comments:

Post a Comment