Saturday, December 30, 2017

Sad Shayari In Hindi For Life

Zindagi Mein Kabhi Kisi Ka Saath Nahi Chodna,
Kyun Ki Kuch Pal Lagte Hai Rishte Banane Mein,
Aur Kuch Pal Lagte Hai Rishte mitane Mein,
Ek Pal Lagta Hai Kisi Ko Rulane Mein,
Aur Zindagi Beet Jati Hai Kisi Ko Bhulaane Mein.
मंजिल मिले ना मिले
ये तो मुकदर की बात है !!
हम कोशिश भी ना करे
ये तो गलत बात है….!!
सड़क कितनी भी साफ हो
“धुल” तो हो ही जाती है..!!
इंसान कितना भी अच्छा हो
“भूल” तो हो ही जाती है !!!
कहने वालों का कुछ नहीं जाता,
सहने वाले कमाल करते हैं,
कौन ढूंढें जवाब दर्दों के,
लोग तो बस सवाल करते हैं…
Kehne waalon ka kuch nahi jaata,
Sehne waale kamaal karte hain,
Kaun dhoonde jawaab dardon ke,
Log toh bas sawaal karte hain.
खामोश बैठें तो लोग कहते हैं
उदासी अच्छी नहीं,
ज़रा सा हँस लें तो
मुस्कुराने की वजह पूछ लेते हैं !
Khamosh baithe toh log kehte hai..
Udaasi acchi nahi,
Zara sa hans le toh
Log muskuraane ki wajah pooch lete hain..!!
Is Zindagi Ko Jeene Ki Aarzoo,
Bin Tere Hai Adhuri,
Tera Sath Jo Mil Jaye,
Meri Zindagi Ho Jaye Puri. ❤️
Zindagi ki aise daud mein…
Daud ke karna kya hai!!
Jab yehi jeena hai dosto to phir…
Marna kya hai!!
Zindagi Ne Kai Sawalat Badal Dale,
Waqt Ne Mere Haalaat Badal Dale,
Main to Aaj bi wahi hun Jo main kal tha,
Bas mere liye Kuch apno ne Apne Khyalat badal dale.
उनको ये शिकायत है कि मैं बेवफाई पे नहीं लिखता,
और मैं सोचता हूं कि मैं उनकी रुसवाई पे नहीं लिखता..
ख़ुद अपने से ज्यादा बुरा जमाने में कौन है?
मैं इसलिए औरों की बुराई पे नहीं लिखता..
कुछ तो आदत से मजबूर हैं और कुछ फितरतों की पसंद है
जख्म कितने भी गहरे हों, मैं उनकी दुहाई पे नहीं लिखता…..!!
Unko ye shikayat hai ki main bewafai pe nahi likhta,
Aur main sochta hun ki main unki ruswai pe nahi likhta,
Khud apne se jyada bura jamane me kaun hai,
Is liye main auron ki buraai pe nahi likhta,
Kuchh toh aadaton se majbur hain aur kuchh fiaraton ki pasand hai,
Jakhm kitne bhi gehre ho, main unki duhai pe nahi likhta,
Nafratein Lakh Mili Par Kisi Ki Mohbbt Na Mili,
Zindagi Beet Gai Magar Rahat Na Mili,
Teri Mehfil Me Har Ek Ko Hasta Dekha,
Ek Mein Hi Tha Jise Hasne Ki Ijazat Na Mili..
Zindagi Se Pucho Ye Kya Chahti Hai,
Bas Ek Dil Se Wafa Chahti Hai,
Kitni Masoom Or Nadaan Hai Zindagi,
Khud To Bewafa Hai Aur Dusro Se Wafa Chahti Hai !!!
भरोसा खुद पर रखो तो..
ताकत बन जाती है,
और
दूसरों पर रखो तो..
कमजोरी बन जाती है!!
Milna ek ittefaq hai,
Aur bichadna majburi hai,
Char din ki is zindagi mein,
Sabka sath hona jaruri hai.
Mulakaate bahut jaruri hain..
Agar rishte nibhane hain..
Varna lagakar bhul jane se toh..
Podhe bhi sukh jate hai..
Sub Kuch Hasil Nahi Hota
Zindagi Mein Yahan,
Kisi Ka ‘Kaash’
To Kisi Ka ‘Agar’
Rah Hi Jaata Hai…!!
Zindagi Hasne Ka Naam Hai,
Rona Kis Kaam Ka,
Jaane Wale Chale Gaye,
Unke Liye Dil Dukhana Kis Kaam Ka..
राह संघर्ष की जो चलता है,
वो ही संसार को बदलता है।
जिसने रातों से जंग जीती है,
सूर्य बनकर वही निकलता है।
Mujhe Dekh kar Hi Dar Jate Hain Log,
Raston Me Milte Hi Katrate Hain Log,
Meri Yaari Jab Kisi Se BadhTi Hai,
Peeth Pichhe Use Samjhate Hain Log,
Agar Bhool Se Koyi Tareef Kare Meri,
Us Baat Ko Wahin Dafnate Hain Log,
Mera Dushman Jo Kahin Pe Mil Jaye,
Use Tahedil Se Gale Lagate Hain Log,
Sach Kah Deta Hun Kisi Ke Muh Par,
Meri Isi Fitrat Se Ghabrate Hain Log.
Dushman ko hazaar mauke do,
Ki woh tumhara dost ban jaye.
Lekin dost ko ek bhi mauka mat do,
Ki woh tumhara dushman ban jaye.
Zindagi se hum apni..
Kuch udhhar nahi lete,
Kafan bhi lete hai..
To apni Zindagi dekar.
Kuchh Rishte Upar wala Banata Hai,
Kuchh Rishte Log Banaate Hain,
Woh Log Bahut Khaas Hote Hain,
Jo Bina Rishte, Rishta Nibhaate Hai.
Hume waqt aur teacher dono sikhaate hain,
Par Waqt or Teacher me sirf itna sa farq hai,
Teacher sikhaa ke imtihaan leta hain,
Aur Waqt imtihaan lekar sikhaata hain!!
Choo le aasmaan zameen ki talaash na kar,
Jee le zindagi khushi ki talaash na kar,
Takdeer badal jaayegi khud hi mere dost,
Muskurana seekh le wajah ki talaash na kar.
Kuch Pathro Me Phul Khil Jate Hai,
Kuch Anjane Bhi Apne Ban Jate Hai,
Kuch Lasho Ko Kafan Naseeb Nahi Hota,
To Kuch Lasho Pr Tajmahal Ban Jate Hain.
अभी सूरज नहीं डूबा जरा सी शाम होने दो,
मैं खुद लौट जाऊंगा मुझे नाकाम तो होने दो,
मुझे बदनाम करने का बहाना ढूंढ़ता है जमाना !!
मैं खुद हो जाऊंगा बदनाम पहले मेरा नाम तो होने दो!!
Abhi suraj nahi dooba zara si sham hone do,
Main khud hi laut jaunga mujhe nakam hone do,
Mujhe badnaam karne ke bahane dhundte ho kyun,
Main khud ho jaunga badnaam pahle naam hone do.
ना किसी से ईर्ष्या,
ना किसी से कोई होड़,
मेरी अपनी मंजीले,
मेरी अपनी दौड़!!
Na kisi se irsha,
Na kisi se koi hod,
Meri apni manzile,
Meri apni daud.
Zindagi tasveer bhi Hai or taqdeer bhi hain,
Farak to bas rango ka hain,
Maanchahe rango se bane to tasveer,
Or aanjane rango se bane to taqdeer.
Ek shabd hai mohabbat
Ise kar ke dekho tum tadap na jao toh kehna,
Ek shabd hai mukaddar
Isse ladkar dekho tum haar na jao toh kehna,
Ek shabd hai wafa
Zamane me nahi milti, kahin dhoond pao toh kehna,
Ek shabd hai aansu
Dil me chhupa ka rakho, tumhari aankh se na nikle toh kehna,
Ek shabd hai judai
Ise seh kar toh dekho, tum toot kar bikhar na jao toh kehna,
Ek shabd hai bhagwan
Use pukar kar toh dekho, sab kuchh na pa lo toh kehna.
मां तो जन्नत का फूल है,
प्यार करना उसका उसूल है,
दुनिया की मोह्ब्बत फिजूल है,
मां की हर दुआ कबूल है,
मां को नाराज करना इंसान तेरी भूल है,
मां के कदमो की मिट्टी जन्नत की धूल है!
Main nahi chahta k..
Khuda zindagi 100 saal ki de..
Thodhi hi sahi par..
Jo bhi de kamaal ki de.
Bematlab ki duniya ka..
Kissa hi khatm,
Ab jis tarah ki duniya..
Us tarah ke hum.
Har kisi ki zindagi ka maqsad
Ek hi hota hain


Khud chahe kitne hi Bewafa kyu na ho,
Talash humesha wafaa ki hi karta hain.
अपनी कमजोरियां उन्ही लोगों को बताइये,
जो हर हाल में आपके साथ मजबूती से खड़े होना जानते है”
” क्यूँकि रिश्तों में विश्वास,
और मोबाईल में नेटवर्क ना हो,
तो लोग Game खेलना शुरू कर देते हैं !!
Saath na rehne se Rishte nahi tuta karte,
Waqt ke hath se Lamhe nahi chhuta karte,
Log kehte hain mera Sapna toot gaya,
Toot ti neend hai.. Sapne toota nahi karte.
GOOD NIGHT
साथ ना रहने से रिश्ते टूटा नहीं करते,
वक़्त की धुंध से लम्हे टूटा नहीं करते,
लोग कहते हैं कि मेरा सपना टूट गया,
टूटी नींद है.. सपने टूटा नहीं करते।
शुभ रात्रि
Woh Jo Hamare Liye Khas Hote Hain,
Jinke Liye Dil Mein Ehsaas Hote Hain,
Chahe Waqt Kitna Bhi Door Kar De Unhe,
Door Reh Ke Bhi Woh Dil Ke Paas Hote Hain..
Bejan cheezo ko badnaam karne k..
Tareeke kitne aasaan hote hai,
Log sunte hai chup chup k baatein,
Aur kehte hai deewaaro k bhi kaan hote hai !!
बेजान चीज़ो को बदनाम करने के
तरीके कितने आसान होते है….!
लोग सुनते है छुप छुप के बाते ,
और कहते है के दीवारो को भी कान होते हैं !!
Sangharsh Mein Aadmi Akela Hota Hai,
Safalta Mein Duniya Uske Saath Hoti Hai,
Jis-Jis Per Ye Jag Hasa Hai,
Usi Usi Ne Itihaas Racha Hai.
Zindagi Mai Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Ek talwar ki keemat hoti hai uski dhaar se,
Insaan ki keemat hoti hai uske vyavhaar se.
Zindagi ki uljhanon ne,
Hamaari sharaaratein kam kar di,
Aur log samajhne lage ki,
Hum samajhdaar ho gaye.
Bhul jana use jo tumhe bhula de,
Mat dekhna use jo tumhe rula de,
Par kabhi dukhi na hona us shakhs se,
Jo apni aakhein bhigo kar tumhe hasa de.
Yeh Khusbhu,
Yeh Hawaa Apki Huyi,
Mausam Ki,,
Har Ek Ada Apki Huyi,
Dil Ne Chaha,
Kuch Khaas Tohfa Doo Aapko,
Chalo Aaj Se
Meri Har Dua Apki Huyi.
Ye Duniya Hai Yahan Pe,
Yeh Tamasha Ho Bhi Sakta Hai,
Abhi Jo Gham Hamara Hai,
Tumhara Ho Bhi Sakta Hai,
Tum Apne Aap Ko Hargiz,
Koi Ilzaam Mat Dena,
Ye Soda Hai Mohabbat Ka,
Khasara Ho Bhi Sakta Hai
Tum Yeh Mat Samajhna,
Tum Hi Meri Akhri Mohabbat Ho,
Mohabbat Jurm Hai,
Hum Se Dobara Ho Bhi Sakta Hai.
Khuda ne nawaja hume zindagi dekar,
Aur hum shohrat maangte reh gaye,
Zindagi gujar di humne shohrat k piche,
Phir jeene ki mohlat maangte reh gaye.
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti
Wo to majburiyo mein lipti hain
Apne shiddat bhare khayalon mein
Apne ander chhupi ek aurat mein
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Apne reet or rawajoon se
Aane wale naye azaboon se
Zarurat mein khile ghulaboon se
Pyaar karti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti
Kyu k majborioon mein lepti hain
Aur har lamha darti rehti hain
Apne pyaar se, apne saye se
Apne rishton se, dil ki dharkan se
Apni khwahish, se apni kushioon se
Mere Mata Pita Hi Sabkuchh Hain Mere Liye,
Inse Badhkar Na Koi Hai Mera Yahan,
Inki Khatir Hi Toh Zinda Hun Ghamon Mein Main,
Inke Liye Hi Toh Haajir Hai Mera Dil Meri Jaan.
Mile Jo Agar Khuda Toh Puchhenga Use,
Ki Meri Kismat Ko Aisa Kyun Bana Diya,
Jhukna Pada Mujhe Har Chhote Bade Ke Saamne,
Itna Neeche Kyun Mujh Ko Gira Diya.
Kami Hai Mujh Mein Toh Bas Itni Eh Mere Dosto,
Ki Haal E Dil Apna Sabhi Ko Suna Deta Hun Main,
Yeh Maalum Hai Mujhko Ki Koi Saath Nahi Deta,
Fir Bhi Sabhi Ko Apna Bana Letaa Hun Main.
Roothe Huye Hain Jo Humse,
Hum Unko Khud Hi Mana Lenge,
Soyi Huyi Apni Kismat Ko,
Hum Fir Se Yaaron Jaga Lenge.
Eh Mout Jara Thahar Ja,
Jara Sa Ruk Ja Tu,
Intezaar Hai Unka,
Jinki Amanat Hai Zindagi,
Jara Unse Rukhsat Le Lene De,
Fir Le Chalna,
Yeh Jaruri Hai,
Unhi Ki Badolat Hai Zindagi.
Kudrat Ka Yeh Usul Hai,
Ki Aana Jana Hai Bari Bari,
Kya Karenge Yaaro Woh Mohabbat,
Jinko Sirf Dhan Daulat Hai Pyari.
Agar Duniya Ko Samjhane Ki Sochte Ho,
Toh Kabhi Isko Toh Samjha Na Sakoge Tum,
Agar Ki Parwah Duniya Ki Baaton Ki Tumne,
Toh Kabhi Bhi Mujhko Pa Na Sakoge Tum.
Kisi Pal Toh Mile Chain Mujhko,
Kabhi Toh Khusiyon Ka Paigam Mile,
Kya Aayegi Woh Ghadi Jab,
Mere Yaar Ka Mujhko Salam Mile.
Phool Bantata Hai Jaise
Sabko Hi Khusboo,
Aise Hi Tu Sab Ko Khusiyan Deta Ja,
Yeh Na Soch Koun Tera Apna Koun Begana,
Bas Sab Ke Hi Diye Gham Chup Chap Leta Ja.
Mana Ki Poojati Hai Duniya
Chadte Sooraj Ko,
Kya Hua Hai Yaaro
Jo Aaj Hamari Sham Hai,
Magar Yeh Bhi Wada Raha
Aapse Hamara Dosto,
Dekhna Kal Ki Subah
Humare Hi Naam Hai.
Kahne Walon Ka Kya Hai Yaar,
Yeh Toh Kuchh Bhi Kahte Rahte Hain,
Hamein Inki Toh Parwah Nahi,
Teri Khatir Sitam Yeh Sahte Hain.
Teri Rahmat Ne Mere Daata,
Mujhko Jeena Sikha Diya,
Na Raha Kisi Se Bhi Sikwa,
Jakhmon Ko Seena Sikha Diya.
Mujhe Tohfe Diye Har Kadam Khuda Ne,
Bhale Hi Dukhon Se Meri Jholi Bhari Hai,
Na Jaane Kaisi Likhi Hai Meri Takdeer,
Har Mod Par Ek Nayi Musibat Khadi Hai.
Baad Aapke Samjhata Hai Kon Mujhe,
Mera Dard Badhane Lage Hain Yeh Log,
Kiske Kandhe Rakhkar Sar Main Roun,
Har Pal Hi Rulane Lage Hain Yeh Log.
Ghamon Se Usne Mujhko Navaja,
Us Khuda Ki Hai Meharbaani Hai,
Insan Bankar Main Hun Aaya,
Itni Toh Hai Huyi Mujhse Nadani.
Rukne Ka Ab Naam Na Le Eh Meri Zindagi,
Chalna Hi Tera Kaam Hai Eh Meri Zindagi,
Bhatak Kar Na Mout Ki God Mein Ja Girun,
Tu Badh Kar Mujhko Tham Le Ah Meri Zindagi.
Mere Moula Tune Toh Di Hogi Achhi Hi,
Shayad Maine Hi Kho Di Kahin Takdeer Meri,
Teri Karigari Mein Toh Kahin Kami Na Thi,
Mujhse Hi Ban Na Saki Achhi Tasveer Meri.
Doulat Se Hi Hote Hain Agar Haasil Sabhi Riste,
To Kyu Na Tu Bhi Ise Pa Ke Dikha De,
Agar Tujh Mein Nahi Himaat Aisa Karne Ki Toh Sun,
Kam Se Kam Yeh Toh Kar Apni Yeh Zindagi Gavan De.
Kaun Kahta Hai Ghamon Mein Jiya Nahi Jata,
KaunKahta Hai Jeevan Ka Jahar Piya Nahi Jata,
Humko Dekhiye Ji Raha Hai Lakhon Jakham Khakar,
Kaun Kahta Hai Har Ek Jakham Siya Nahi Jata.
Sab Matlab Se Nata Rakhte Hain,
Matlab Nikalte Hi Chhod Dete Hain,
Samjhate Hain Dil Ko Khilona Koi,
Khel Kar Fir Ise Tod Dete Hain.
Insaniyat Ko Sooli Chade Huye,
Yahan Ek Zamana Bita Gaya Hai,
Hoton Par Toh Jhoot Hai Lekin,
Haath Mein Dekho Geeta Hai.
Rooth Jaye Agar Koi Toh Mana Lo,
Tutne Na Do Ghar Apna Basa Lo,
Agar Dushman Bhi Mile Raah Mein Kabhi,
Toh Usko Bhi Yaar Gale Laga Lo.
Thodi Si Toh Akal Seekh Le Tu Bhi Pagal,
Jaane Waale Ko Peechhe Se Bulaya Nahi Karte,
Ban Jaate Hai Naasur Ek Vakt Ke Baad,
Dil Ke Jakhmon Ko Yu Sahlaya Nahi Karte.
Aapko Bhulane Ki Koshish Kar Raha Hun,
Varna Baad Mein Mujhko Hi Gham Rahega,
Aapko Toh Laakhon Hai Sahare Duniya Ke,
Baad Aapke Hamein Apna Kon Kahega.
Is Kadar Dil Ko Dukhana Achha Nahi Hota,
Har Kisi Se Yun Dil Ko Lagana Achha Nahi Hota,
Kuchh Riste Hote Hain Aise Jinme Behtar Hai Dooriyan,
Itna Bhi Kisi Ke Paas Jana Achha Nahi Hota.
Khuda Ki Razaa Mein Sada Raazi Rahna Seekh Lo,
Mera Duniya Waalon Ko Sada Yehi Paigam Hoga,
Usne Di Zindagi Tab Bhi Kiya Sazda Humne,
Jab Mout Woh Dega Tab Bhi Mera Salaam Hoga.
Khusiyon Se Toh Kuchh Bhi Na Hua Haasil,
Balki In Ki Vajah Se Lakhon Jakham Khaye,
Jinhe Samjhate The Bure Wohi Gham Aaj Dekhiye,
Hamein Inki Shohrat Kis Mukam Par Le Aaye.
Jo Likha Meri Takdeer Mein Hai,
Woh Yahan Mujhe Mil Hi Jaayega,
Varna Rone Se Ya Mangne Se,
Koi Kya Haasil Kar Paayega.
Sab Kuchh Mil Jata Hai Duniya Mein Magar,
Yaad Rakhna Ki Bas Maa Baap Nahi Milte,
Murjha Kar Gir Jaaye Ek Baar Dali Se,
Yeh Aise Phool Hain Jo Dobara Nahi Khilte.
Chhodkar Chala Jaaun Ab Teri Yeh Duniya,
Mere Data Mujhko Itni Si Izazat De De,
Maine Payi Hai Nafrat Sada Teri Di Zindagi Se,
Maut Toh Laga Le Gale Itni Mohabbat De De.
Apni Aadat Hai Ke Dil Khol Dikhata Hun Main,
Yehi Hai Vajah Ke Sabhi Se Dhokha Khata Hun Main,
Bas Ranjish Hai Itni Mujhe Tujhse Eh Khudara,
Tere Logon Ko Kabhi Samajh Hi Nahi Pata Hun Main.
Bojh Ban Gaya Hun Dharti Par,
Mere Maula Tu Utha Le Mujhko,
Bhale Daal Dena Wahan Narka Mein,
Bas Apne Paas Bula Le Mujhko.
Gahraai Ka Shok Kise Hai,
Hum To Kinaare Par Hi Rahte Hain,
Kisi Galti Ka Aham Nahi Mujhe,
Kisi Ke Sahaare Hi Rahte Hain,
Teri Qaaynaat Mein Thodi Jagah De Ah Khuda,
Intezaar, Tere Ishaare Par Hi Rahte Hai.
Aap Se Mulakat Ki Ek Ajib Si Nishani Hai,
Hanste Hanste Aankhein Bhar Aati Hain,
Zindagi Mein Ho Chahe Kitni Pareshani,
Aap Ke Saaye Mein Har Muskil Aasan Nazar Aati Hai.
Maine Khuda Se Ek Dua Mangi,
Dua Mein Apni Maut Mangi,
Khuda Ne Kaha Maut Toh Tujhe De Du Main,
Par Use Kya Kahun Jisne Teri Lambi Umar Mangi.

1 comment: