Saturday, December 30, 2017

Shayari On Life

GANDHIJI janme the us desh me Rehta hu,
Fir bhi ye Bhrshtachar roj Sehta hu,
Koi Aayega mitane Bhrshtachar ye Manta hu,
Lakin khud himmat kar mai Aage nahi Badta hu,
Fas na jau Rajneeti me isi liye main inse Darta hu,
Har din har roz in Bhrshto k hatho main Marta hu.

Ae phool mujhe bata tu aaj tak kyun khilta raha,
Tune to di sabko khusbuoo tujhko kya milta raha,
Phool ne kaha tu abhi nadan hai pyar ke sachhe matlab se anjan hai,
Dene ke badle lena, wo to ek vyapar hai,
Jo dekar bhi kuch na mange wahi to sachha pyar hai…

Pyar To Jindgi Ka Afsana Hai,
Iska Apna Hi Ek Tarana Hai,
Pata He Ki Sabko Milege Sirf Aansu,
Par Na Jane Duniya Me Har Koi Kyo,
Iska Ka Diwana Hai.

Udasiyo Ki Wajah To ..
Bahut Hai Zindagi Main,
Par
Bewajah Khush Rehne Ka Maaja Hi ..
Kuch Aur Hai.

Hum se ek rootha hua ..
Shakhs na mana,
Log to roothi huyi ..
Taqdeer mana lete hain.

Kabhi Nazrein Milane Me Zamane Beet Jaate Hain,
Kabhi Nazrein Churane Me Zamane Beet Jaate Hain,
Kisi Ne Aankh Bhi Kholi To Sone Ki Nagri Mein,
Kisi Ko Ghar Banane Me Zamane Beet Jaate Hain,
Kabhi Kaali Siyahi Raatein Hamein Ek Pal Ki Lagti Hai,
Kabhi Ek Pal Bitane Me Zamane Beet Jaate Hain.

Marne ke darr se mere dil,
Jeena naa tu chhod dena,
Rone ke darr se jahaan mein,
Hansna naa tu chhod dena.

Jaha sar juk jaye wahi khuda ka ghar hai,
Jaha har nadi mil jaye wahi samandar hai,
Is zindgi mein dard to sab dete hai,
Jo har dard ko samaj sake wo hi hamdard hai.

Zindagi jina aasaan nahi hota,
Bina sangharsh koi mahan nahi hota,
Jab tak na pade hathodi ki maar,
Tab tak patthar dil bhi naram nahi hota.

Khushiya milti nahi mangne se,
Manzil milti nahi raah par ruk jane se,
Bharosa rakhana apne aap par aur us RAB par,
Sab kuchh deta hai wo sahi waqt aane pe.

Uske Chale Jaane Ke Baad,
Hum Mohabbat Nahi Karte Kisi Se,
Ek Choti Si Zindagi Hai,
Kis-Kis Ko Aazmate Rahenge.

Bachpan ke din kitne ache hote the,
Tab “DIL”nahi sirf “KHILONE” tota krte the ..
Ab to ek ansu tak bhi saha nahi jata,
Aur Bachpan me jee bharkar roya krte the.

Kudrat k niymo se inayat na karna,
In hasin nazaro se kaymat na karna,
Wo khud dega her chiz tumko bas,
Waqt se pahle pane ki khawhish na karna.

Raat Bhar Sisakte Rehna ..
Bs Ek Shaks Ki Khatir,
Isey Aagr Ishq Kehty Hain ..
To Wallah Meri Tauba.

Parindo ko nahi di jati taaleem udaano ki,
Woh khud hi tay karte hai manzil asmano ki,
Rakhta hai jo housla asman ko chune ka,
Usko nahi hoti parwah gir jane ki.

Kaas Koi Hum Se Puch Leta Ke Tum Bhi Pyar Karte Ho,
Dil Me Koi Mohabbat Hai Ki Ase Hi Aah Bhrte Ho,
Kasam Se Ham Unhe Kewal Sach Hi Batate,
Jo Puch Lete Wo,
Hamare Dil Me Kewal Watan Basa Hai,
Ashiyana Deta He Jo.

Ungliyaan Meri Wafa Par Na Uthana Logo ..
Jise Ko Shak Ho ..
Wo Kabi Mujh Se,
Nibaah Kar Dekhe.!

Dil ki aawaz se nagmein badal jate hai,
Sath na de to apne badal jate hai,
Palke bhi jara samhal ke jhapkana kyunki,
Palke jhapkane se sapne badal jate hai.

Khushiya Itni Ho Ki Aankhon Me Ansu Jam Jaye,
Lamhe Ho Itne Hasin Ki Waqt Bhi Tham Jaye,
Dosti Nibhayenge Hum Apse Is Tarha,
Ki Saath Guzra Har Pal Zindagi Ban Jaye.

Kabi Kisi Ko Inta Yaad Mat Karo,
K Phir Bhoola Na Sako…
Kabi Kisi Ko Inta Pyar Na Karo,
K Phir Nafraat Na Kar Sako…
Kabi Kisi Ko Apne Itne Karib Na Hone Do,
K Phir Apne Se Duur Na Kar Sako

Is Gumraah Dil Ko Kaash
Ye Mulum Hota..
Ke Mohabbat Us Waqt Tak Dilchasp Hoti Hai,
Jab Tak Nahi Hoti.

Bewafa hai ye duniya,
kabhi kisi ka aitbaar na karna..
Har pal milta hai yahan pe dhoka,
Kabhi kisi se pyar na karna..
Mar jaana chahiye,
Saari umar tanha ji kar,.
Par zindagi mein kabhi kisi ka,
intzaar na karna..

Apne Asman Se Meri Zameen Dekh Lo,
Tum Khwab Aaj Koi Hasin Dekh Lo,
Aazmana Hai Agar Aitbar Ko Mere,
To Ek Jhut Tum Bolo Or Mera Yaqeen Dekh Lo.

Jo Dil Ke Aaine Me Ho…
Wo Hi Pyar K Kabil Hai,
Wrna Deewar K Kabil To
Har Tasveer Hoti Hai..!!

Duniya ka har shauk pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko uchala nahi jata,
Mehnat karne se mushqile ho jati hai aasan,
Kyunki har kaam taqdeero per tala nahi jata.

Pyar ki gadi mein kabhi petrol nahi hota,
pyar ke safar mein kabhi panchar nahi hota,
Pyar jivan ki aisi gadi hai jis mein…
Do se jayada passenger hona achha nahi hota.

Kya Baat Kahiye Duniya Ki,
Har Shakhs Ke Apne Afsaane Hain,
Jo Saamne Hai Usse Log Bura Kehte Hain,
Jisko Dekha Nahi Kabhi Usse Khuda Kehte Hain!!

Yad Na Karo Gi To Sataoun Ga,
Rotho Gi To Manaoun Ga,
Ro Gi To Hasaoun Ga,
Dost Hon Mein Tumhara Saya Nahi,
Jo Andhere Mein Sath Chor jaunga.

Kudrat k niyamon se Khilwad kar diya,
Hari Bhari Dharti ko ujad kar diya,
Guruon Peeron ke desh me hamne,
Sab Dharmon ko Vyopar kar diya.

Zindagi Hamari Sitam Ho Gayi,
Khushi Na Jane Kaha Dafan Ho Gayi,
Bahut Likha Khuda Ne Logoe Ki Kishmat,
Par Hamari Bari Aayi To,
Sihayi Hi Khatam Ho Gayi

Ye Zindagi Bhi Kitna Tadpati Hai,
Kabi Dil Ko Sehlati Hai Kabi Jalati Hai,
Kabhi Jeet Dilati Hai Kabi Haar Me Bebas Banati Hai,
Kabi Tufaan Me Kashti Paar Lagati Hai Kabi Dubati Hai.

Aitbar kiya bhagwaan pe bhagwan nahi milta,
Dharti pe farishte bhi hai aisa koi nishan nahi milta,
jane kya huya hai duniya me sab khuda he milte hain ab,
jane kyun is jahan me insaan nahi milta…

Kabhi Kabhi Khamoshi Bhi Bahut Kuch Keh Jati Hai,
Tarapne Ke Lie Bahut Kuchh Chhor Jati Hai,
Life Ho Ya Sigrate,
Jalne K Baad Sirf Rakh Hi Chhor Jati Hai.

Rab Insan Ke Irade Aajmata Hai,
Khwabo Ki Chadar Aankho Se Hatata Hai,
Har Rishte Ka Ehsaas Dil Mein Rakhiyega,
Kyoki Ek Ehsaas Hi Hai,
Jo Rishto Ko Banata Hai.

Ajnabi kuch milte hai aur jane kab dost ban jate hai,
Dil mein nahi baste vo to Dil ka hissa ho jate hai,
Badi haseen lagti hai duniya doston k saath yaro,
Par bada dard hota hai jab kabhi dost ajnabi ho jate hai..

Roti hui ankho me intzar hota hai,
na chahte huye bhi pyar hota hai,
kyo dekhte hai hum wo sapne,
jinke tutne per bhi unke sach hone ka intzar hota hai.

kaun puchta hain,
pinjre mein band inn panchiyon ko,
YAAD wo hi aate hain,
jo urh jatay hain…

Girna bhi accha lagta hai,
Aukat ka patta chalta hai,
Badhte hai jab hath logo ke uthane ko,
Apno ka patta chal jata hai.

Kyon waqt ke saath rangat kho jati hai,
hasti khelti jindgi bhi aam ho jati hai,
ek savera tha jab haskar utha karte the hum,
aaj bina muskuraye hi shaam ho jaati hai.

Khubsurat sa ek pal kissa banjata hai,
Jane kab kaun zindagi ka hissa banjata hai,
Kuch log zindagi me milte hain aise,
Jinse kabhi na tootnewala rishta banjata hai.

Lab Khulte Hai Band Ho Jate Hai,
Sache Dost Milte Hai Bichad Jate Hai,
Per Jab Saath Bitaye Din Yaad Aate Hai Toh,
Hasti Aankhon Se Bhi Aansoo Nikal Aate Hai.

Khubsurat sa ek pal kissa ban jata hai,
Jane kab kaun zindagi ka hissa ban jata hai,
Kuch log zindagi me milte hain aise,
Jinse kabhi na tutnewala rishta banjata hai.

Ae dost zindagi bhar mujhse dosti nibhaana,
dil ki koi bhi baat humse kabhi na chupaana,
sath chalna mere tum dukh sukh mein,
bhatak jau mein jo kabhi sahi raasta dikhlaana.

Ek pal mein jo aakar gujar jaaye,
Yeh hawa ka woh jhoka hai aur kuch nahi,
Pyar kahti hai duniya jise,
Ek rangeen dhokha hai aur kuch nahi.

Ise nacheez ko har kisi ne istemal kiya,
khubsurat nahi thi par fir bhi pyar ka inteqab kiya,
jab aayi nibhane ki baari,
to kaha yaar humne to sirf majak kiya.

Duniya ki bheed mein hum us insaan ko dhundte rahe,
Jo hamien bhi zindagi jeena sikha de,
Mile bahut par…
Har koi zindagi me aane ki wajah suna gaye.

Chale hai kafile ke saath…
hum bhi manzil ki talash me,
Raah mein bichhad jaane walon mein…
kabhi hum bhi honge.

Kuch Lamhe Aye Zindagi Me Kuch Lamho Ke Liye,
Aaj Fir Tarste Hain Hum Un Lamho Ke Liye,
Khuda Ne Kaha Kuch Maang Lo,
Maine Kaha Wo Lamhe Fir De Do Kuch Lamho Ke Liye.

Agar Bharosa Uparwale par hai to,
Jo likha taqdeer mein hai wahi paoge,
Magar Bharosa agar khud par hai to,
Wo wahi likhega jo aap chahoge,

Mile wo jo aapki nazar ko talash ho,
Har subah ke saath ek naya ahsaas ho,
Zindagi ka har lamha pasand aaye apko,
Zindagi gujre aise ki har pal khushiyo se mulakat ho

Aapka dost jab pragati kare tab
garv se kehna wo mera DOST hai,
Aur
jab aapka dost mushkil mein ho tab
garv se kehna Main uska DOST hun.

Kisi Ghareeb Ki Madad Kar K Yeh Mat Socho K…
Tum Us Ki Duniya Sanwar Rahe Ho,
Yeh Socho K woh Gareeb…
Aap Ki Akhirat Sanwar Raha Hai.

Ehsaas na kar mere jazbaaton ka,
Nazron se gira be shak lekin,
Jeena bhi mujhe dushwar lage,
Itna to nazar andaaz na kar.

Shayad Wo Apna Wajood Chod Gaya Hai Meri Hasti Mein,
Yun Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi.

Ab to kuch apni tabiyat bhi juda lagti hai,
Saans leta hun to zakhmo ko hawa lagti hai,
Kabhi razi to kabhi mujse kafa lagti hai,
Zindgi tu hi bata tu meri kiya lagti hai.

Daulat ki bhuk aisi lagi ki kamane nikal gaye,
Jab daulat mili toh hath se rishte nikal gaye,
Bachon ke sath rahne ki fursat na mil saki,
Fursat mili to bache khud kamane nikal gye.

Anjaan is gham se koi reh nahi sakta,
Koi sabar karta hai to koi seh nahi sakta,
Mohobbat to har dil ko ho hi jati hai,
Bas koi izhar karta hai to koi keh nahi sakta.

Zindagi bhi kya ajeeb mod leti hai
Ek waqt aisa tha jab hum apne dosto se kahte the
Chalo milkar kuch plan banate hain
Aur ab
chalo milne ka koi plan banate hain

Zindgi mein pehle hi itna gum samet liya he yaaron,
Ab aur aasuon ki jagah baaki kahan hai,
Hum to apni saanse sambhal k baithe the bas,
par kambakth es duniya ko hi chain kaha hai…

Kyun sochte ho ki kuch bhi acha nahi hota,
Sach to ye hai ki jaisa chaho vaisa nahi hota,
Koi apka sath de na de kabhi gum na karna,
Khud se bada duniya me koi humsafar nai hota.

Ek nafrat hi hai jise duniya chand lamho mein jaan leti hai,
Warna chahat ka yaqeen dilane mein to zindagi beet jati hai.

Dard Jo Tune Diya Wo Gehra Diya,
Karke Wada Tune Humko Bhula Diya,
Zakham Dene Wale Tera Bhi Shukriya,
Jo Zindagi Ka Tune Matlab Sikha Diya.

Hum Gussa Un Par Hote Hain,
Jin Pe Humein Yaqeen Hota Hai,
Ke Wo Hamein Mana Lenge,
Aur Hum Manaate Use Hain,
Jise Hum Kabhi Khona Nahi Chahte.

True And Touching Lines –
Mat kar itna garoor apne aap par aye insaan,
Na jane Khuda ne kitne tere jese bana bana k mita diye..

Humara dil tab nahi rota,
Jab hum kisi ko kho dete hain…
Dil to tab rota hain
Jab hum khud Ko kho kar Bhi Kisi k ho nahi pate….

Kabhi aisi bhi berukhi dekhi hai humne
Ke log aap se tum tak,
Aur tum se jaan tak,
Fir jaan se anjaan tak ho jate hain..

Khud ko padhta hun chhodh deta hun,
Duniya k dukho se yun muh mod leta hun,
Itne zakham hai meri nigahon me mere,
Dekh khud ko main aaina har roz tod deta hun.

Zindagi ne kuch is tarah ka rukh liya,
Jisne jis taraf chaha mod diya,
Jisko jitni thi zaroorat saath chala,
Aur phir ek lamhe mein tanha chod diya.

Jab Pyar ke Ehsaas ko Samaj Jaoge,
Har sanso mein mera hi Naam Paoge,
Mera pyar us waqt dega Awaaz,
Jab tum dunia ki Bheed mein khud ko Akela Paoge…

Rone wale to dil mein hi ro lete hain,
Aankho mein aansu aayein, ye zaruri to nahi

Ab kisi se koi aas nahi hai hamein,
In tanhaiyon ne hamein akele jeena sikha diya.

Khuda ka shukar hai jo us ne khwab bana diye,
Warna tamanna tum se milne ki,
kabhi puri nahi hoti…

Teri mohabbat ke pyase the,
Isliye haath faila diya humne,
Warna hum to khud ki,
zindagi ke liye bhi dua nahi karte….

Mere jane ke baad kisi ko,
fark to nai padega,
Bass tanhayi hi royegi,
ki mera humsafar chala gya….

Khamoshiyon Ke Rishte Nibhana Mujhe Aata Hai,
Har Dard Se Is Dil Ko Lagana Mujhe Aata Hai,
Jo Tum Hanso Hansta Hun, Agar Ro Do To Rata Hun,
Jo Jaisa Hai Sang Uske Jeena Mujhe Aata Hai,
Banjar Si Jamin Par Hi Kabse Jee Raha Hun Main,
Ret Se Apna Ghar Banana Mujhe Aata Hai,
Dunia Mein Mohabbat Ka Katra Na Mila Mujhko,
Ab Dukh Bhare Geeton Ko Gana Mujhe Aata Hai.

Zindagi me kuch aise log hain,
Jo haqiqat mein to samne aate nahi,
aur sapno me aakar jaate bhi nahi…

Khushi se beete har din,
har suhani raat ho,
jis taraf aapke kadam pare
Vaha par phoolo ki barsaat ho.

No comments:

Post a Comment