Tuesday, January 2, 2018

Hindi Shayari Love Sad

Kabhi Mom Ban Ke Pighal Gaya,
Kabhi Girte Girte Sambhal Gaya,
Use Rokta Bhi To Kis Tarah, Ke Woh Shakhs Kitna Ajeeb Tha,
Kabhi Tadap Gaya Meri Aah Se,
Kabhi Aansu Se Bhi Na Pighal Saka,
Jo Mila Woh Kbhi Sar E Raah, Woh To Najar Chura Ke Gujar Gaya,
Woh Utar Gaya Meri Aankh Se,
Meri Rooh Se Kyu Na Utar Saka,
Woh Sambhal Gaya Mujhe Chodkar,
Main Bikhar Ke Phir Na Sambhal Saka,
Use Rokta Bhi Toh Kis Tarah Ke Woh Shaks Kitna Ajeeb Tha.
Wo Hum Se Door Hokar Bhi,
Hamare Dil Ke Paas Rahta Hai,
Jise Woh Sabse Pyara Hai,
Use Begana Kahta Hai,
Jo Chaha Tha Woh Kar Dala,
Mujhe Khud Se Juda Karke,
Meri Yeh Jaan Bhi Le Lo,
Bas Yahi Karne Ko Rahta Hai.
Aaj Socha Toh Aansu Bhar Aaye,
Mudatein Ho Gayi Muskuraye,
Har Kadam Par Udhar Mud Ke Dekha
Unki Mahfil Se Hum Uthh Toh Aaye,
Dil Ki Naajuk Ragein Tootati Hain
Yaad Itna Bhi Koi Na Aaye,
Rah Gayi Zindagi Dard Ban Ke
Dard Dil Mein Chhupaye Chhupaye.
Aata Hai Yaad Mujhko Gujra Hua Jamana,
Woh Baag Ki Baharein Woh Hawa Ka Chah Chahana,
Aajadiyan Kahan Ab Woh Apne Ghonsale Ki,
Apni Khusi Se Aana Spni Khusi Se Jana,
Lagti Hai Chot Dil Par Aatha Hai Yaad Jis Dam,
Shabnam Ke Aansuon Par Kaliyon Ak Muskarana,
Woh Pyari Pyari Surat Woh Kamini Ki Murat,
Aabad Jiske Dam Se Tha Mera Aasiyana,
Kya Badnseeb Hu Main Ghar Ko Taaras Raha Hun,
Sathi Toh Hai Vatan Mein Main Kaid Mein Pada Hun,
Aayi Bahar Kaliyan Phulon Ki Hans Rahi Thi,
Main Is Andhere Ghar Mein Kismat Ko Ro Raha Hun.
Kabhi Dard Isne Diya
Kabhi Dard Usne Diya,
Jakhmon Ko Magar
Kisi Ne Bhi Seene Nahi Diya,
Aaj Farista Kahte Hain
Sabhi Mere Yaar Mujhko,
Magar Insano Ki Tarah
Kabhi Jeene Nahi Diya.
Kisko Farebi Hum Kahein Kisko Kahein Hum Bewafa,
Kismat Hi Shayad Aisi Likha Kar Laaye Hain Hum,
Aaj Wakif Hai Yaaro Hamse Sahar Ka Har Ek Aadmi,
Magar Apno Ke Liye Hi Dekhiye Paraye Hain Hum.
Aap Jaise Hi The Sabhi,
Aur Bhi Jo Mile Mujhko,
Fir Kaise Unmein Se
Kisi Ko Apna Bana Lete,
Ek Aap Hi Ka Pyar
Na Raas Aaya Hai Humko,
Fir Un Se Kaise
Eh Dost Aur Jakham Kha Lete.
Gham Hi Mile Itne Jeevan Mein,
Ki Khusiyon Ko Bulana Bhool Gaye,
Huya Teri Judai Mein Aisa Aalam,
Ki Hum Apna Hi Thikana Bhool Gaye.
Patjhad Mein Sukhe Patte Ki Tarah,
Meri Yeh Zindagi Bhi Dagmagati Hai,
Hain Raahe Hi Raahein Main Dekhun Jidhar,
Kahin Manzil Najar Na Humko Aati Hai.
Mere Sathi Sun Jara Baat Meri,
Tere Sang Chalu Nahi Aukat Meri,
Teri Manzil Falak Ke Sitare Hain,
Meri Manzil Bas Kali Raat Meri.
Chhod Do Tanhai Mein Mujhko Yaaro,
Saath Mere Rahkar Kya Paaoge,
Agar Ho Gayi Aapko Bhi Mohabbat Kabhi,
Meri Tarah Tum Bhi Pachhtaoge.
Phool Bantata Hai Jaise
Sabko Hi Khusboo,
Aise Hi Tu Sab Ko Khusiyan Deta Ja,
Yeh Na Soch Koun Tera Apna Koun Begana,
Bas Sab Ke Hi Diye Gham Chup Chap Leta Ja.
Aap Raho Khus Sada
Yeh Tamanna Hai Hamari,
Chalo Khud Par Humne
Yeh Iljaam Le Liya,
Jakham Gham Ruswaiyan
Yaar Ne Di Humko,
Aaj Wafa Ka Yaaro
Yeh Ilzaam Le Liya.
Aazad Kar Do Mujhe
Duniya Ke Bandhano Se,
Itna Toota Hun Main
Inko Nibha Nahi Sakta,
Eh Moula Bula Le Jaldi Se
Mujhko Tu,
Kamjor Hun Itna
Chalkar Aa Nahi Sakta.
Har Pal Kam Ho Rahi Hai Zindagi Apni,
Har Lamha Us Se Door Ja Raha Hu Main,
Samajh Paya Nahi Moula Yeh Duniya Teri,
Is Liye Jaldi Tere Paas Aa Raha Hun Main.
Chaand Sitare Bhar Deta
Main Teri Maang Mein,
Magar Kya Aapko Mujh Par
Yakeen Nahi Hota,
Agar Aap Kar Paate
Kabhi Waade Wafa Apne,
Toh Is Kadar Humara
Mukaddar Nahi Hota.
Sab Kuchh Milta Hai Duniya Mein,
Magar Ek Pyar Nahi Milta,
Dushman Toh Laakhon Milte Hain,
Magar Sachha Yaar Nahi Milta,
Humne Toh Bas Itna Hi Sikha Hai Dosto,
Raah E Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta,
Jo Mil Jaaye Is Raah Par Kabhi Yaar Se,
Woh Jakham Fir Kabhi Bhi Dubara Nahi Silta.
Mana Ki Poojati Hai Duniya
Chadte Sooraj Ko,
Kya Hua Hai Yaaro
Jo Aaj Hamari Sham Hai,
Magar Yeh Bhi Wada Raha
Aapse Hamara Dosto,
Dekhna Kal Ki Subah
Humare Hi Naam Hai.
Na Jaane Kaise
Dard E Dil Chhupa Lete Hain Log,
Na Jaane Kaise
Gham Mein Bhi Muskura Lete Hain Log,
Meri Zindagi Toh Ek Khuli Kitab Hai,
Na Jaane Kaise
Chehre Par Chehra Chadha Lete Hain Log.
Aap Kya Jaano
Kya Hota Hai Dard Judai Ka,
Humse Yeh Puchho
Kaisa Haal Hota Hai Tanhai Ka,
Mout Ko Laga Lete Hain
Majboor Hokar Gale Yaaro,
Aisa Hota Hai
Jab Bhi Hota Hai Hashar Rushwai Ka.
Ek Apni Hi Baat Kya Main Karu,
Tune Kitno Ke Jaane Dil Tode Hain,
Magar Humse Nahi Hoga Sahan Kabhi,
Humare Din Ab Toh Thode Hain.
Mujhe Apnana Na Kabhi Tum Yaaro,
Mani Bahut Hi Badnaseeb Hun Yaaro,
Mere Paas Kuchh Nahi Hai Ghamon Ke Shiwa,
Bas Mout Ke Hi Kareeb Hun Yaaro.
Koi Toh Bataye Itna Mujhko,
Kyu Bewafa Ho Jaate Hain Sab,
Saya Bhi Nahi Hai Saath Rahta,
Gham Ke Badal Chhate Hain Jab.
Na Chalta Hai Dil Par Jor Koi,
Yeh Khud Ki Hi Marji Chalata Hai,
Karta Hai Khatayein Kaisi Kaisi,
Aur Badle Mein Hamein Rulata Hai.
न चलता है दिल पर जोर कोई,
यह खुद की ही मर्जी चलाता है,
करता है खटाएं कैसी कैसी,
और बदले में हमें रुलाता है।
Jo Diya Hai Logon Ne Humko,
Woh Hi Toh Louta Rahe Hain Hum,
Raas Na Aayi Humko Zindagi,
Tabhi Toh Duniya Se Ja Rahe Hain.
Kahne Walon Ka Kya Hai Yaar,
Yeh Toh Kuchh Bhi Kahte Rahte Hain,
Hamein Inki Toh Parwah Nahi,
Teri Khatir Sitam Yeh Sahte Hain.
Teri Rahmat Ne Mere Daata,
Mujhko Jeena Sikha Diya,
Na Raha Kisi Se Bhi Sikwa,
Jakhmon Ko Seena Sikha Diya.
Eh Khuda Bata Too Mujhe Itna,
Kya Ki Hai Aaj Talak Khata Humne,
Yeh Jo Mile Hain Itne Gham Humko,
Kis Baat Ki Di Hai Saja Tumne.
Mujhe Tohfe Diye Har Kadam Khuda Ne,
Bhale Hi Dukhon Se Meri Jholi Bhari Hai,
Na Jaane Kaisi Likhi Hai Meri Takdeer,
Har Mod Par Ek Nayi Musibat Khadi Hai.
Baad Aapke Samjhata Hai Kon Mujhe,
Mera Dard Badhane Lage Hain Yeh Log,
Kiske Kandhe Rakhkar Sar Main Roun,
Har Pal Hi Rulane Lage Hain Yeh Log.
Sab Kuchh Apna Ganvakar Socha,
Kya Humne Yahan Paya Hai,
Meri Wajah Se Woh Toh Khush Hai,
Yeh Soch Kar Dil Bahlaya Hai.
Tu Bhi Hai Sangdil Bewafa Eh Dost,
Yeh Sochkar Dil Ghabrata Hai,
Ab Karun Bhi Kya Ke Bin Tere,
Mujh Se Jiya Nahi Jata Hai.
Unhe Nafrat Thi Humse
Toh Izhaar Kyu Kiya,
Dena Tha Zahar
Toh Pyar Kyu Kiya,
De Kar Zahar Bole Peena Hoga,
Jab Pee Gaye To Bole
Tumhe Meri Kasam Jeena Hoga.
Ghamon Se Usne Mujhko Navaja,
Us Khuda Ki Hai Meharbaani Hai,
Insan Bankar Main Hun Aaya,
Itni Toh Hai Huyi Mujhse Nadani.
Wafa Mujhse Kar Ke
Kya Paaoge Tum,
Mere Saath Zindagi Yun Hi
Ganvaoge Tum,
Main Toh Na Jaane
Kab Chhod Du Duniya,
Mere Baad Fir Bahut
Pachh Taaoge Tum.
Hum Khud Hi Kar Rahe Hain
Khud Ko Door Unse,
Kyun Ki Kal Chale Jana Hai
Bahut Door Unse,
Ashk Kabhi Aaye Aankhon Mein
Unki Yaad Mein,
Mere Khuda Yeh Nahi Hoga Manjur Kabhi Humein.
Paane Ke Liye Jisko Chale The Ghar Se Hum,
Manzil Woh Hamari Raah Mein Kahin Chhut Gayi,
Ab Kis Ko Dosh Du Tu Hi Bata De Sagar,
Lagta Hai Meri Kismat Hi Mujh Se Rooth Gayi.
Mere Moula Tune Toh Di Hogi Achhi Hi,
Shayad Maine Hi Kho Di Kahin Takdeer Meri,
Teri Karigari Mein Toh Kahin Kami Na Thi,
Mujhse Hi Ban Na Saki Achhi Tasveer Meri.
Main Is Liye Rahta Hun Din Raat Tanha Yaaro,
Mujhko Kisi Ki Jarurat Mahsoos Hi Nahi Hoti,
Itna Ro Chuka Hun Main Apne Ghamon Par Moula,
Aaj Kal Toh Meri Kabhi Aankh Bhi Nahi Roti.
Raat Diwali Ki Hai Magar Kismat Mein Andhera Hai,
Na Chhate Yeh Gham Ke Badal, Na Aaya Savera Hai,
Juda Hamara Hona Yun, Likha Lakiron Mein Tha Magar,
Is Mein Kasoor Eh Sanam Na Tera Na Mere Hai.
Doulat Se Hi Hote Hain Agar Haasil Sabhi Riste,
To Kyu Na Tu Bhi Ise Pa Ke Dikha De,
Agar Tujh Mein Nahi Himaat Aisa Karne Ki Toh Sun,
Kam Se Kam Yeh Toh Kar Apni Yeh Zindagi Gavan De.
Kaun Kahta Hai Ghamon Mein Jiya Nahi Jata,
KaunKahta Hai Jeevan Ka Jahar Piya Nahi Jata,
Humko Dekhiye Ji Raha Hai Lakhon Jakham Khakar,
Kaun Kahta Hai Har Ek Jakham Siya Nahi Jata.
Main Kisi Ko Dikhata Nahi Jakham Apne,
Fir Log Kyu Ghamon Ka Badsaah Kahte Hain,
Main Kahta Bhi Nahi Kisi Se Kuchh,
Fir Log Kyu Mujh Se Juda Rahte Hain.
Sab Matlab Se Nata Rakhte Hain,
Matlab Nikalte Hi Chhod Dete Hain,
Samjhate Hain Dil Ko Khilona Koi,
Khel Kar Fir Ise Tod Dete Hain.
Tere Liye Hi Luta Dala Jeevan Sara,
Kash Khud Ke Liye Bhi Hum Jiye Hote,
Sochte Hai Kyu Banaya Naasur Jakhmon Ka,
Kaash Tere Diye Jakham Humne Siye Hote.
Kaise Bhulaya Jata Hai Dil Se Kisi Ko,
Kaash Yeh Ada Aap Hamein Bhi Sikha Dete,
Agar Yun Chhod Kar Jana Tha Toh Kah Toh Dete,
Hum Aapki Raahon Mein Palkein Bichha Dete.
Is Liye Karta Nahi Yeh Mohabbat Kisi Se,
Judayi Yaar Ki Is Se Sahi Jaayegi Nahi,
Koi Puchh Baitha Jo Sabab Hamare Rone Ka,
Dastaa Pyar Ki Bhi Kahi Jaayegi Nahi.
Jamana Humko Gham Deta Raha Hum Sahte Rahe,
Jo Kahlwana Chaha Isne Hum Kahte Rahe,
Manjil Nahi Koi, Bhatke Aawara Baadal Bankar,
Kabhi Sagar Ki Lahron Ki Tarah Hum Bahte Rahe.
Bas Ek Baat Aur Satayenge Aapko,
Mayyat Par Apni Jab Bulayenge Aapko,
Chale Jaayenge Tumse Hum Itni Door Fir,
Kabhi Bhi Tadpaane Na Aayenge Tumko.
Bahut Dino Baad Yeh Khayal Aaya,
Ki Humne Zindagi Ko Jiya Hi Nahi,
Abhi Bhi Uthati Hai Tees Seene Mein,
Shayad Yaar Ka Diya Jakham Siya Nahi.
Aap Toh Chalo Jaaoge Magar Kaise Jiyenge Hum,
Aapki Judai Ka Jahar Kaise Piyenge Hum,
Aap Bhale Hi Bhula Dena Mujko Ko Magar,
Na Bhule Se Bhi Kabhi Apne Gham Siyenge Hum.
Insan Kahan Marta Hai Auron Ka Mara Hua,
Insan Ko Khud Uski Tanhai Maar Deti Hai,
Yun Toh Ji Bhi Sakta Hai Yeh Yaar Ki Judai Mein,
Magar Isko Toh Yahan Jag Hansayi Maar Deti Hai.
Tujhe Kaise Bataun Ke Bin Tere,
Main Kitna Tanha Ho Jata Hun,
Dil Har Pal Rota Rahta Hai,
Main Samjha Isko Nahi Pata Hun.
Ab Toh Lagne Laga Hai,
Zindagi Ke, Shayad Kuchh Pal Hi
Baki Rah Gaye Hain,
Humne Bhi Ki Nahi Ranjish Kisi Se,
Jo Bhi Jakham Mile Sab Sahte Gaye Hain.
Mujhe Zindagi Se Hai Kya Mila,
Main Yeh Sochta Hun Har Ghadi,
Jab Koi Nahi Mera Sathi,
Mujhe Jeene Ki Fir Kya Padi.
Main Kisi Aur Se Kya Mangu Mere Mola,
Jab Tu Hi Kuchh Dene Ko Taiyar Nahi Hai,
Sab Ko Hi Bantata Hai Khusiyan Sada,
Kyu Mujh Se Fir Tujhe Kyu Pyar Nahi.
Chot Jigar Par Apne Khayi Hai Humne,
Kya Jaanenge Dard Mera Yeh Log Paraye,
Mout Se Achhi Ho Sakti Hai Zindagi Kaise,
Mujhe Itna Hi Bas Aakar Koi Samjhaye.
Lakhon Hi Gham Hain Jeevan Mein,
Ab Kya Kya Sabko Batlaaun Main,
Kar Sako Toh Karna Yaaro Itni Dua,
Is Duniya Se Jaldi Chala Jaaun Main.
Mujhko Bhi Milengi Khusiyan,
Tum Bahlate Yaaro Kyu Ho,
Main Janta Hun Apni Kamiyan,
Tum Ginvate Yaaro Kyu Ho.
Log Jee Lete Hai Yaaro Tadbeero Se,
Hum Takdeeron Se Jhagdate Rahe,
Sab Ji Gaye Zindagi Apni,
Hum Bemaut Hi Sada Marte Rahe.
Ranjish Nahi Mujhe Koi Bhi Tujhse,
Jakhmon Ko Tere Sada Sahlaya Hai,
Na Jaane Khuda Ko Kya Tha Sikwa,
Jo Inssan Duniya Mein Aaya Hai.
Muskaraun Bhi Main Toh Kaise Yaaro,
Kya Mila Hai Mujhko Zamane Mein,
Mere Jakhamon Par Lagaya Na Marham,
Dard Aur Badha Sabko Dikhane Mein.
Dekh Bhar Gaya Hai,
Tera Diya Jakham Fir Se,
Aaj Mukuraya Hun,
Rulane Ke Liye Aaja,
Tukde Samete Hain Humne Fir Se Dil Ke,
Aur Nahi Toh Thokar Lagane Ke Liye Aaja.
Kahne Ko Roj Niklata Hai Suraj Lekin,
Mere Jeevan Mein Kyu Sada Se Andhera Hai,
Kya Kabhi Na Chhantegi Yeh Kali Raat Moula,
Kya Mere Naseeb Mein Na Likha Savera Hai.
Halat Hi Aisi Hai Ke Aansu Chhalak Aate Hain,
De Kar Ke Muhko Gham, Sabhi Dil Ko Dukhate Hain,
Main Aaj Talak Na Samajh Paya Hun Mere Khuda,
Mere Kiye Ehsaano Ko Sab Kyu Bhool Jaate Hain.
Akela Hun, Tanha Hun, Zindagi Bhar Rahunga Shayad,
Eh Khuda Kaash Mere Bhi Koi Paas Hota,
Mere Askon Ko Hota Jo Koi Ponjhane Wala,
Toh Main Tanha Yun Na Sari Sari Rat Rota.
Aankhon Se Ashq Bahane Se Fayda Kya,
Unko Apna Dildar Banane Se Fayda Kya,
Woh Bhi Toh Hansee Hai De Denge Daga Ek Din,
Dgabaaj Hain Sab Aajmane Se Fayda Kya.
Jubaa Agar Ashkon Ki Samjho Toh,
Yeh Sab Kuchh Kah Jaate Hain Yaaro,
Dil Ke Bojh Ko Karte Hain Halka,
Khud Sabke Gham Sah Jaate Hain Yaaro.
Khwab Ki Tabir Thi,
Ya Kuchh Hakikat,
Gham Suda Yaadein Thi,
Ya Mahfil Ki Kadwahat,
Maut Ki Raftar Thi,
Ya Dulhan Ki Sajawat,
Armano Ki Barat Thi,
Ya Khuchal Jane Ki Aahat.
Yaad Aisi Ke Yeh Bhule Se, Bhulane Se Rahi,
Tu Nahi, Khair Mere Saath Tera Gham Hi Sahi,
Ek Tum The Jo Najar Humse Milane Se Rahe,
Eh Tasveer Tumhari Yeh Jhukane Se Rahi,
Tere Aan Eki Bhanak Na Kabhi Kisi Ko Huyi,
Tere Jaane Ki Khabar Saare Zamane Ne Kahi,
Un Sawalon Ke Jawab Aaj Bhi Dhunde Humne,
Jawab Woh Jo Uthate Hain Sawalat Wohi,
Tera Daamn Toh Kab Ka Chhod Diya Tha Humne,
Rang Taja The Magar Meri Hatheli Par Wahin.
Baad Unke Jeene Ki Tamanna Hi Nahi,
Mere Moula Tu Apne Paas Bula Le Mujhko,
Mujhse Sahi Nahi Jaati Unki Berukhi,
Tu Apni God Mein Ab Sula Le Humko.
Hum Na Kah Paayenge Kisi Se Bhi,
Aap Humse Hamari Kahani Na Puchhiye,
Hum Na Rok Paayenge Aaankho Se Ashk,
Aap Hamin Se Hamari Jubani Na Puchhiye.
Agar Aapne Mukh Fer Liya Humse,
Toh Eh Dost Humse Naseeb Rooth Jaayega,
Humse Na Sahi Jaayegi Yeh Berukhi Aapki,
Humara Dil Hai Naajuk Toot Jaayega.
Na Jaane Eh Dost Kis Baat Ne Tujhko,
Zindagi Mein Apni Itna Magrur Kar Diya,
Yeh Bhi Aapka Julm Hai Jo Dekar Ke Kasam,
Hum Ko Jeene Ke Liye Majboor Kar Diya.
Mulakat Toh Huyi Thi Unse Ek Roj Magar,
Hum Haal E Dil Unko Apna Sunate Kaise,
Hamari Takdeer Mein Hi Likha Hai Rona Magar,
Unko Dikhakar Jakham Apne Hum Rulate Kaise.
Thodi Si Toh Akal Seekh Le Tu Bhi Pagal,
Jaane Waale Ko Peechhe Se Bulaya Nahi Karte,
Ban Jaate Hai Naasur Ek Vakt Ke Baad,
Dil Ke Jakhmon Ko Yu Sahlaya Nahi Karte.
Jaane Kya Kami Hai Ham Mein Yarab,
Jaane Kyu Sab Humse Khafa Rahte Hain,
Humne Toh Chaha Banana Sab Ko Apna,
Jaane Kyu Sab Humse Juda Rahte Hain.
Aapko Bhulane Ki Koshish Kar Raha Hun,
Varna Baad Mein Mujhko Hi Gham Rahega,
Aapko Toh Laakhon Hai Sahare Duniya Ke,
Baad Aapke Hamein Apna Kon Kahega.
Bhool Jana Yaaro Itna Aasan Nahi Hota,
Jakhmon Ke Nishan Mitana Itna Aasan Nahi Hota,
Jisne Mana Ho Yaar Ko Barabar Rab Ke,
Usko Yun Chhod Jana Aasan Nahi Hota.
Yeh Manta Hun Main, Ki Har Koi Bewafa Nahi Hota,
Magar Teri Tarah Har Koi Sab Kuchh Toh Nahi Khota,
Yeh Bhi Sach Hai Ki Agar Mujhko Gham Nahi Milte,
Toh Is Duniya Mein Shayad Main Nahi Hota.
Mujhko Rulane Se Milta Hai Sabko Na Jaane Kya,
Na Jaane Kyu Us Khuda Ko Bhi Raham Aata Nahi,
Maine Kabhi Bhi Na Ki Sikayat,
Bhale Hi Laakh Gham Mile,
Magar Mere Moulal Mujhse Ab Aut Jiya Jata Nahi.
Mujhko Rulakar Woh Bhi Roya Toh Hoga Yaaro,
Muh Ashko Se Usne Bhi Dhoya Toh Hoga Yaaro,
Agar Na Kiya Hai Kuchh Hasil Hamne Pyar Mein,
Kuchh Na Kuchh Usne Bhi Khoya Toh Hoga Yaaro.
Huyi Toh Hai Yeh Khata Humse Bahut Bhari Sanam,
Na Chahte Huye Bhi Hum Aapse Pyar Kar Baithe,
Roka Tha Humein Sab Ne Ki Na Kar Tu Pyar,
Na Jaane Fir Bhi Kyu Tera Aitbaar Kar Baithe.
Is Kadar Dil Ko Dukhana Achha Nahi Hota,
Har Kisi Se Yun Dil Ko Lagana Achha Nahi Hota,
Kuchh Riste Hote Hain Aise Jinme Behtar Hai Dooriyan,
Itna Bhi Kisi Ke Paas Jana Achha Nahi Hota.
Woh Jhoot Kahte Hai Ki Main Unka Lagta Nahi Koi,
Woh Jhoot Kahte Hai Ki Mera Unko Gham Nahi Koi,
Meri Kabr Par Chadakar Phool Woh Phoot Phootkar Roye,
Kisi Gair Ki Khatir Aankhein Karta Nam Nahi Koi
Rona Meri Fitrat Hai Bas Mujhko Bahana Chahiye,
Jahan Na Ho Sang Mere Koi Woh Aashiyana Chahiye,
Pagal Mujhko Kahte Hain Pagal Hi Karke Chhodenge,
Baad Na Jiske Koi Gham Ho Woh Thikana Chahiye.
Khuda Ki Razaa Mein Sada Raazi Rahna Seekh Lo,
Mera Duniya Waalon Ko Sada Yehi Paigam Hoga,
Usne Di Zindagi Tab Bhi Kiya Sazda Humne,
Jab Mout Woh Dega Tab Bhi Mera Salaam Hoga.
Aapke Tevar Kyu Badle Najar Aate Hain,
Kahin Aap Mujhse Khafa Toh Nahi Hain,
Hamne Toh Umeed Ki Thi Wafa Ki Aapse,
Kahin Aap Bhi Sanam Bewafa Toh Nahi Hain.
Aapne Us Jagah Par Chhoda Hai Hamein,
Jis Se Aage Koi Rasta Nahi Jata,
Kam Se Kam Itna Vakt Toh Dete,
Hum Bhi Apne Aap Ko Samajh Pata.
Fat Jata Hai Kaleja Yeh Sochkar,
Ke Aap Humse Kyu Juda Ho Gaye,
Yeh Samajh Nahi Aaya Aaj Talak,
Kyu Aap Humse Yun Khafa Ho Gaye.
Agar Jaate, Tum Se Dil Na Lagate,
Ki Majhdar Mein Chhod Jaoge Hamein,
Yeh Dil Aaj Tak Bhi Nahi Manta,
Ki Auron Ki Tarah Rulaoge Hamein.
Jara Si Roshni Ke Waste Hum Yaaro,
Dekhiye Apna Hi Ghar Jalaye Baithe Hain,
Shayad Khuda Ne Bhi Fer Li Aankhein Humse,
Sunta Nahi Muddato Se Haath Uthaye Baithe Hain.
Woh Ghamon Ko Mujhse Milane Ko Mila Tha,
Yaar Mere Dard Badhanae Ko Mila Tha,
Main Dosh Bhala Kya Usko Du, Toh Kaise Du,
Woh Zindagi Se Nijaat Dilane Ko Mila Tha.
Khusiyon Se Toh Kuchh Bhi Na Hua Haasil,
Balki In Ki Vajah Se Lakhon Jakham Khaye,
Jinhe Samjhate The Bure Wohi Gham Aaj Dekhiye,
Hamein Inki Shohrat Kis Mukam Par Le Aaye.
Gila Karke Is Duniya Se Kya Karenge Hum,
Apni Takdeer Ko Hi Apna Dushman Samjhate Hain,
Yeh Zindagi Toh Kar Gayi Hai Hamse Bewafayi Yahan,
Ab Hum Mot Ko Hi Apna Dilbar Samajhate Hain.
Insan Bane Hain Is Jeevan Mein,
Bas Humse Yahi Ek Khata Huyi,
Isi Karan Huye Kai Gunah Humse,
Isi Liye Toh Mout Bhi Bewafa Huyi.
Kasam Khai Thi Na Bichhudane Ki,
Na Jaane Tumne Kyu Fir Tod Di,
Dil, Rooh, Zindagi Sab Toh Le Liya,
Aakhiri Sans Fir Kyu Chhod Di.
____________________________________________
Aapko Bhi Apnakar Dekh Liya,
Aap Se Bhi Dhokha Khakar Dekh Liya,
Barbaad Bhi Hum Huye Jo, Toh Kya,
Aapne Toh Dil Parcha Kar Dekh Liya.
Jo Likha Meri Takdeer Mein Hai,
Woh Yahan Mujhe Mil Hi Jaayega,
Varna Rone Se Ya Mangne Se,
Koi Kya Haasil Kar Paayega.
Is Pyar Bhare Dil Mein Kar Ke Paida Nafrat,
Kyu Mujhko Meri Hi Nazron Mein Gira Rahe Ho,
Kuchh Toh Aur Pal Kar Lo Intezaar Tum Yaaro,
Kyu Jeete Ji Humara Janaza Utha Rahe Ho.
Aap Bhi Ho Gaye Hum Se Bewafa,
Humko Yeh Aitbar Hi Nahi Hota,
Hum Toh Koste Hain Apne Aap Ko Hi,
Kaash Aapse Pyar Hi Nahi Hota.
Raat Ko Sapno Mein Dhundta Raha, Na Mile Tum,
Magar Jab Dil Mein Dekha Toh Laga Paas Ho Tum,
Meri Aankhon Se Yeh Aansu Kyu Chhalak Rahe Hain,
Lagta Hai Aaj Fir Se Udaas Ho Tum.
Rona Likha Hai Takdeer Mein Toh Ro Lenge Hum,
Ashkon Se Apne Jakhmon Ko Dho Lenge Hum,
Tujh Se Karenge Na Shikwa Kabhi Bewafayi Ka,
Tere Har Sitam Ko Dil Mein Samo Lenge Hum.
Jab Aayega Kabhi Mera Vakt Aakhiri,
Aap Ki Dua Bhi Kaam Nahi Aayegi,
Us Din Manaunga Main Eid Yaaro,
Meri Mahbooba Maut Jab Mujhe Le Jaayegi.
Bar Baadiyon Ka Silsila Abhi Aur Chalne Do,
Chand Lamhe Fursat Se Abhi Aur Jeena Chahta Hun Main,
Agar Milegi Khusiayn Toh Na Jee Paunga Main Kabhi,
Isi Liye Ghamon Ka Zahar Peeta Hun Main.
Hum Jee Lenge Aapke Diye Ghamon Ke Sahare,
Aap Khus Raho Sada Dil Se Dua Hamari Hai,
Ek Rah Gayi Hamare Paas Amanat Aapki,
Jab Chaaho Mang Lena Yeh Jaan Bhi Tumhari Hai.
Humko Na Mili Khusiyan Kisko Dosh Dein Yaaro,
Bad Naseebon Ki List Mein Naam Hamara Bhi Ahi,
Dekar Jakham Rulakar Hamein Khush Na Hona Tum,
Dagabaajon Ki Kitab Mein Naam Tumhara Bhi Hai.
Gulon Ki Khawais Na Karo Kabhi Yaaro,
Umar Bhar Yeh Toh Saath Nibhate Hi Nahi,
Kharon Se Jodo Rista, Behtar Hai Sabhi Se,
Jo Tham Lein Daman Toh Chhod Jaate Hi Nahi.
Woh Zamane Hi Aur The Yaaro,
Jab Khusiyan Hamare Paas Thi,
Hamare Bhi Jeevan Mein Aayega Koi,
Humko Ko Bhi Iski Aas Thi.
Aitbaar Tum Par Kya Karte,
Pyar Tumse Kya Karte,
Kadar Nahi Tumhe Pyar Ki,
Ikrar Tumse Kya Karte.

No comments:

Post a Comment