Tuesday, January 2, 2018

Love Sad Shayri

Hasrat Sirf Tumhe Paane Ki,
Aur Koi Khwaish Nahi Is Parwane Ki,
Gham Ki Aandhi Aisi Chali, Hum Tum Bichhud Gaye,
Aansu Bhi Apne Puchhne Lage, Aapke Saathi Kidhar Gaye.
Lakhon The Log Teri Is Duniya Mein,
Fir Meri Hi Jholi Mein Gham Kyu Dale Hain,
Humko Bhi Dekho, Hain Nadan Kitne,
Humne Bhi Sab Ke Hi Jakham Paale Hain.
Sanam Tujhse Ki Thi Mohabbat Humne,
Tum Samjhe Nahi Yeh Alag Baat Hai,
Magar Kaise Main Kahun Ke Hun Tanha,
Teri Yaadon Ka Kaafila Aaj Bhi Saath Hai.
Hamari Wafa Ki Kasmein Khata Tha Zamana,
Bewafayi Ki Bhi, Aap Hi Misaal Banoge,
Har Rag Se Aashikon Ki Ho Wakif,
Dil Todne Mein Aap Kamaal Banoge.
Bheed Hogi Sahar Ke Har Ek Mod Par,
Mujhe Toh Soona Sa Yeh Sahar Lagta Hai,
Main Jee Raha Hun Zinda Laash Ki Tarah,
Unke Bina Har Ek Pal Kahar Lagta Hai.
Meri Manzil Ka Koi Bhi Thikana Nahi,
Musafir Ki Tarah Jeena Hai Mujhko,
Koi Kuchh Nahi Kar Sakta Mere Liye,
Bas Judayi Ka Jahar Peena Hai Mujhko.
Socha Nahi Tha Kabhi Ke Aise Ho Tum,
Sapne Mein The Jaise Nahi Vaise Ho Tum,
Agar Jaante, Na Tumko Apna Banate,
Kya Maalum Tha Auron Jaise Ho Tum.
Yahan Karna Na Chahiye Pyar Kabhi Bhi,
Jo Karta Hai Pyar Pachhtata Hai,
Na Milta Hai Chain Kabhi Bhi Jeevan Mein,
Bas Yun Hi Ro Rokar Woh Mar Jata Hai.
Hum Apni Maut Khud Mar Jaayenge Sanam,
Aap Apne Sar Kyu Iljaam Lete Ho,
Jaalim Hai Duniya Na Jeene Degi Aap Ko,
Aap Kyu Apni Jubaa Se Mera Naam Lete Ho.
Aisa Hua Aalaam Ke Apne Aap Ko Bhi,
Aajkal Yaaro Main Pahchan Nahi Pata Hun,
Hansne Par Bhi Nikal Aate Hain Aansu Mere,
Is Liye Mola Muskura Bhi Nahi Pata Hun.
Sab Kuchh Mil Jata Hai Duniya Mein Magar,
Yaad Rakhna Ki Bas Maa Baap Nahi Milte,
Murjha Kar Gir Jaaye Ek Baar Dali Se,
Yeh Aise Phool Hain Jo Dobara Nahi Khilte.
Rona Bhi Hum Jo Chahte Hain Toh Ro Nahi Paate,
Dil Ke Jakhmon Ko Aansuon Se Dho Nahi Paate,
Is Zindagi Ke Khel Bhi Ajeeb Hain Yaaro,
Hona Hum Jinke Chahte Hain Ho Nahi Paate Hain.
Humtoh Pukarte Hi Rahenge Aapko Hamesha,
Marzi Aapki Aap Aayein Ya Na Aayein,
Hum Toh Maan Chuke Hain Apna Aapko,
Marzi Aapki Apnaaye Ya Na Apnaaye.
Tujhse Bhi Sikwa Main Kyakarun Bata,
Khud Par Hi Mujhko Jab Aitbaar Nahi Hai,
Teri Bhi Kya Khta Mahol Hi Aisa Hai,
Nibhata Is Daur Mein Koi Pyar Nahi Hai.
Tamannayein Hamari Bhi Bahut Thi Sanam,
Magar,
Tum Hi Socho Tumne Humse Hai Kiya Kya,
Humne Toh Kiye Shikwe Aapse Laakh Magar,
Sach Kaho Tumne Hamein Koun Sa Hai Sukh Diya.
Main Khatavaar Hun Tera Eh Mere Sanam,
Tujhse Wada Tha Kiya Magar Nibha Nahi Saka,
Bhool Jaane Ki Tujhko Khai Toh Thi Kasam,
Laakh Koshish Bhi Kari Lekin Bhula Na Saka.
Wada Koi Bhi Kabhi Poora Nahi Kiya,
Har Kadam Par Hamein Thukraya Aapne,
Baad Marne Ke Jalne Ka Dar Na Raha,
Jite Ji Itna Hai Itna Jalaya Aapne.
Zindagi Toh Yun Hi Kat Jaayegi Magar,
Teri Yaad Hamein Bahut Tadpaayegi Magar,
Sabkuchh Hoga Yun Toh Bas Ek Tere Shiwa,
Teri Kami Kami Hi Rah Jaayegi Magar.
Daulat Ko Lekar Main Kya Karun,
Mila Na Mujhko Pyar Kabhi,
Bas Itna Hi Jana Humne,
Bewafa Hain Yahan Toh Yaar Sabhi.
Main Ja Raha Hun Is Duniya Se,
Wada Karo Ke Tum Rounge Nahi,
Tum Jiyoge Zindagi Hansate Huye,
Mere Liye Kuchh Bhi Khounge Nahi.
Main Jisko Apna Kahta Hun,
Woh Mujhse Juda Kyu Hota Hai,
Hai Kaisi Likhi Takdeer Meri,
Dil Kyu Hardam Rota Hai.
Tanhai Se Dar Nahi Lagta Mujhe,
Mahfil Se Ghabra Jata Hun Main,
Koshish Karta Hun Yaadein Dafnane Ki,
Magar Tujhko Bhool Nahi Pata Hun Main.
Sabhi Karte Hain Pyar Jeevan Mein,
Jo Humne Bhi Kiya Toh Kya Hua,
Sabhi Karte Hain Haasil Khusiyan Magar,
Jo Humne Gham Liya Toh Kya Hua.
Koi Kisi Ka Nahi Hai Jag Mein,
Yeh Riste Naate Yaaro Sab Jhute Hain,
Jab Girte Hain Badal Ghamon Mein Tab,
Sab Bandhan Ek Pal Mein Toote Hain.
Mere Dil Ko Tamanna Hai Abhi Bhi,
Mera Yaar Jakham Mujhko De Jaaye,
Kuchh Khusiyan Rakhi Hain Sambhal Maine,
Woh Aakar Mujh Se Toh Le Jaaye.
Dard E Judai Sahne Ki Aadat Si Ho Gayi,
Gham Na Kisi Se Kahne Ki Aadat Si Ho Gayi,
Hokar Juda Bhi Yaar Ne Le Liya Jeene Ka Wada,
Rote Huye Bhi Jinda Rahne Ki Aadat Si Ho Gayi.
Chhodkar Chala Jaaun Ab Teri Yeh Duniya,
Mere Data Mujhko Itni Si Izazat De De,
Maine Payi Hai Nafrat Sada Teri Di Zindagi Se,
Maut Toh Laga Le Gale Itni Mohabbat De De.
Auron Ko Bhi Du Main Kya Dosh Bhala Yahan Sagar,
Shayad Gham Sahne Ki Mujhko Hi Aadat Ho Gayi,
Jab Thi Tamannayein Mere Dil Mein Woh Zamane Aur The,
Jisko Khusiyan Chahiye Thi Woh Aatma Toh So Gayi.
Apni Aadat Hai Ke Dil Khol Dikhata Hun Main,
Yehi Hai Vajah Ke Sabhi Se Dhokha Khata Hun Main,
Bas Ranjish Hai Itni Mujhe Tujhse Eh Khudara,
Tere Logon Ko Kabhi Samajh Hi Nahi Pata Hun Main.
Muddat Ho Gayi Hamein Mile Huye Unse,
Shayad Takdeer Mein Ab Mulakat Hi Nahi,
Aap Ho Pahlu Mein Aur Uthaun Main Parda,
Shayad Mere Mukaddar Mein Aisi Raat Hi Nahi.
Aaj Ke Daur Mein Pyar Ki Kimat Hi Nahi,
Jinda Rahne Ke Liye Kitni Baar Maut Sahta Hai,
Wahi Dete Hain Sada Aakhir Mein Dhokha Usko,
Jinki Khatir Umar Bhar Woh Tadpata Rahta Hai.
Sabhi Rahte Hain Tabhi Door Mujhse,
Mera Gham Kahin Unko Lag Na Jaaye,
Mere Apne Bhi Yahi Sochte Hain,
Yeh Duniya Se Kab Jaaye.
Jo Dekhe The Unke Saath Humne,
Saakaar Na Kabhi Woh Sapne Huye,
Jinka Tha Bahut Sahara Humko,
Woh Gham Bhi Haay Apne Na Huye.
Sochta Hun Milunga Jab Tujhse,
Tujhe Seene Se Apane Lagaunga,
Chhupa Lunga Dil Mein Main Tujhko,
Kahin Door Na Fir Kabhi Jaaunga.
Bojh Ban Gaya Hun Dharti Par,
Mere Maula Tu Utha Le Mujhko,
Bhale Daal Dena Wahan Narka Mein,
Bas Apne Paas Bula Le Mujhko.
Bhale Sadiyan Gujar Gayi Bichhude Huye Tumse,
Aaj Bhi Magar Bahut Yaad Aate Ho Tum,
Kya Kasam Khayi Hai Tumne Sada Gham Dene Ki,
Khwab Mein Bhi Aakar Rula Jaate Hi Tum.
Bhale Kitna Hi Door Ho Woh Humse,
Magar Dil Ke Kareeb Lagta Hai,
Woh Saath Tha Toh Har Shay Suhati Thi,
Bina Uske Sab Bhi Ajib Lagta Hai.
Pyar Par Hamare Kabhi Shaq Mat Karna,
Iske Ilawa Humne Kiya Kya Hai,
Mana Ke Gham Hi Gham Hain Paas Hamare,
Iske Ilava Tumne Diya Kya Hai.
Tujhko Kiya Humse Juda Jisne,
Humne Woh Sara Hi Zamana Chhod Diya,
Jeene Ki Tamanna Bhi Na Rahi Baaki,
Humne Dil Apna Khud Hi Tod Diya.
Lut Gaya Bhari Baharon Mein Jo,
Us Gulista Ka Haal Kya Hoga,
Mukar Gayi Koul Dekar Jo,
Us Jubaa Ka Haal Kya Hoga,
Muskurane Par Ilzaam Hansane Ki Saza,
Toh Khilkhilane Par Haal Kya Hoga.
Hansane Ke Ilzaam Ki Mili Yeh Saja Mujhe,
Ro Lene Do Ji Bharkar Mujhe,
Paas Nahi Aa Sakte The Woh,
Diya Chhod Magar Akela Pakar Mujhe.
Maine Banta Hai Marsarat Ke Khajane Dosto,
Fir Bhi Duniya Ne Diya Har Ek Nastar Mujhe,
Muskurane Par Lagaye Gaye Ilzaam,
Chukani Padi Hai Kimat Hansi Aane Par Mujhe.
Mana Ke Chot Phoolon Se Khayi Tumne,
Dard Kaanton Ka Magar Mera Hai,
Rah Ke Charon Mein, Sada Hansna Hansana Toofan,
Aajkal Kaam Yehi Subah Sham Mera Hai,
Har Saans Par Mout De Rahi Dastak Jahan,
Kahte Hain Jise Rajdhani Aisa Sahar Mera Hai,
Sukun E Zindagi Le Gaya Chhinkar Jo,
Koi Aur Nahi Woh Humsafar Mera Hai.
Bujhi Huyi Samma Ka Noor So Gaya Hai,
Aadmi Se Aadmi Door Ho Gaya Hai,
Nasha Daulat Ka Chada Aisa,
Tha Magroor, Majboor Ho Gaya Hai,
Chadha Salib Jo Hansate Hansate,
Koi Isha Koi Mansoor Ho Gaya Hai,
Chalayi Kasti Ret Par Jisne,
Jag Ki Aankhon Mein Noor Ho Gya Hai,
Dikhayenge Aaina Andho Ko,
Zamane Ka Yeh Dastoor Ho Gaya Hai.
Nakhuda Ne Chhoda Manjhdar Jinhe,
Bachayi Doobne Se Kastiyan Humne,
Sajayi Tasveer Marne Ke Baad,
Jeete Ji Kasi Fabtiyan Humne,
Khokhli Hansi Degi Sukun Kaise,
Suni Hai Sune Dil Ki Siskiyan Humne,
Raah Bhatkenge Toofan Woh Kaise,
Jinki Haathon Mein Di Ungliyan Humne.
Junun E Iahq,
Nahi Raas Aaya Hamein,
Jab Bhi Dekha Aaina,
Aks Unka Hi Najar Aaya Hamein,
Tadpate Dil Ke Byaan Karein Kaise ?
Jab Bhi Kureda Ghavo Ko,
Dard Unka Hi Ubhar Aaya.
Gahraai Ka Shok Kise Hai,
Hum To Kinaare Par Hi Rahte Hain,
Kisi Galti Ka Aham Nahi Mujhe,
Kisi Ke Sahaare Hi Rahte Hain,
Teri Qaaynaat Mein Thodi Jagah De Ah Khuda,
Intezaar, Tere Ishaare Par Hi Rahte Hai.
Saaye Ki Tarha Saath Rahne Wali,
Rista Kuchh Is Tarah Se Tod Gayi,
Hakikat Mein Milna Toh Mumkin Na Tha,
Khwabon Mein Aana Bhi Chhod Gayi.
Kalam Uthayi Hai Lafj Nahi Milta,
Jisko Dhoond Rahe Hain Lafj Nahi Milta,
Firte Ho Tum Zamane Ki Talash Mein,
Bas Hamare Liye Tumhe Waqt Nahi Milta.
Ikatthaa Karke, Woh Mere Katl Ka Samaan,
Bewafa Adaaon Se Teer Chalaate Gaye,
Hamein Aadat Thi Use Muskurata Dekhne Ki,
Isiliye,
Hum Uski Har Adaa Par Muskuraate Gaye.
Tu Jab Mujh Se Juda Ho Gayi,
Zindagi Meri Mujhko Saja Ho Gayi,
Teri Wafayi Par Mujhko Bada Naaj Tha,
Sandil Aaj Tu Bhi Bewafa Ho Gayi.
Jab Bhi Tujhe Meri Yaad Aayegi,
Pyar Ki Har Baat Tujhe Tadpayegi,
Main Na Aaya Agar Kabhi Tere Darwaje Par,
Mohabbat Ka Shola Tere Dil Mein Bhadkayegi.
Mere Paas Mein Padi Hai Gham Ki Bedi,
Tumhein Kaise Main Apni Dastaa Sunaun,
Ab Uthi Hai Meri Takdeer Mujh Se,
Jo Mile Hain Jis Ko Jakham, Unhe Kaise Mitaun.
Is Jakhami Dil Se Poochho,
Ki Jakham Kitne Khaye Hain,
Hamein Tadpaane Ke Liye Woh,
Dushmano Ki Mahfil Mein Aaye Hain.
Dil Todne Se Toh Achha Tha,
Pyar Ka Izhaar Hi Na Karte,
Khud Ko Bad Kismat Samajh Kar,
Hum Apni Kismat Par Hi Ro Lete.
Raaste Chalna Hamein Hain Sikhate,
Hum Hain Ke Raaste Hain Bhool Jaate,
Humko Manzil Tak Hain Pahunchate,
Aur Hum Unhe Pichhe Hai Chhod Aate.
Kya Mila Aapko Sanam,
Mera Dil Todkar,
Hum Yahin Rah Gaye,
Aap Chal Diye Hamein Chhod Kar.
Is Kadar Tujh Se Pyar Hua,
Ki Hum Ban Baithe Aashiq,
Tum Hi Bata Do Eh Bewafa,
Kya Kami Thi Mere Pyar Mein Aakhir.
Tanhai Ki Duaen Toh,
Tumhi Ne Mangi Thi,
Teri Khusi Ki Khatir,
Hum Par Bhi Kar Baithe,
Ba Ek Ehsaan Aur,
Mujh Par Kar Dena,
Mere Wakt E Janaje Par,
Do Aansu Baha Dena.
Anjaane Mein Hum Tum Se,
Dil Ko Laga Baithe,
Apni Khusiyon Ko Hum,
Khud Hi Ganva Baithe,
Tujh Se Shikayat Nahi Karenge,
Ki Khata Hamari Hi Hai,
Jo Bekadron Ko Pyar Ki,
Murat Hi Bana Baithe.
Tum Se Juda Hokar Dil Ko Ujaad Bana Diya,
Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Luta Diya,
Jakham Dil Ke Bharne Mein Abhi Vakt Kafi Hai,
Tere Aane Jaane Ki Raahon Mein Humne Khud Ko Bichha Diya.
Raaton Ko Aansu Bahate Hain,
Din Mein Aahein Bharte Hain,
Kya Kahun Eh Sanam Hum,
Tere Bina Kaise Tanha Rahte Hain.
Gham Dekar Tumne Khata Ki,
Eh Sanam Tum Yun Na Samjhna,
Tera Diya Hua Gham Bhi,
Hamein Dava Hi Lagti Hai.
Fikr Ki Jisne Mere,
Dushmani Ki Muhse Chhipkar,
Hum Se Fira Kar Aankhein,
Jisne Gairon Se Ki Baatein Hanskar,
Gila Na Humne Kabhi,
Sahte Rahe Bas Nadan Samajhkar.
Yeh Ashq Paani Ke Is Tarah Na Ganva,
Ki Yeh Anmol Moti Hain,
Yeh Hayat Nahak Hi Na Ganva,
Ki Yeh Zindagi Bahut Chhoti Hai.
Har Sakhas Ka Aaj Ajab Haal Hai,
Shaad Hote Huye Bhi Haal Behaal Hai,
Hoton Par Dekho Toh Jhooti Muskaan Hai,
Chehre Par Kisi Ke Gham Ke Nishaan Hain.
Woh Pyar Bhari Baatein Teri,
Yaad Kabhi Bhi Na Aaye,
Woh Mahki Mahki Yaadein Teri,
Yaad Kabhi Bhi Na Aaye,
Dil Se Bhula Dena Chahta Hun,
In Yaadon Ko Is Kadar,
Ki Markar Bhi Phir Kabhi,
Yaad Kabhi Bhi Na Aaye.
Seene Se Laga Kar Apni Wafa Mein,
Thikana Chhod Hum Chale Hain,
Na Manzil Ki Na Raahon Ki Khabar,
Fir Bhi Hum Musafir Bane Hain.
In Alfazon Se Hum,
Tujhe Ruswa Na Karenge,
Teri Bewafayi Ka Zikr,
Hum Markar Bhi Na Karenge,
Apni Raza Se Hum Gair Bankar,
Chhup Chhup Kar Aahein Bharenge.
Woh Chamkate Bhalvoos Dekho,
Pahan Kar Aaye Hain,
Aaj Fir Kisi Par Fareb Ki,
Bizliyan Girane Aaye Hain,
Woh Husn Gurur Woh Adayein,
Dikhane Ke Liye Aaye Hain,
Woh Nadano Ko Mohabbat Ka,
Khwab Dikhane Aaye Hain.
Mayush To Hun Vaade Se Tere
Khuch Aas Nahi Aur Aas Bhi Hai
Main Apne Khayalon Ke Sadke
Tu Paas Nahi Aur Paas Bhi Hai
Dil Ne To Khushi Mangi Thi
Magar Jo Tune Diya Achha Hi Diya
Jis Dil Ko Talluq Ho Tujhse
Wo Raas Nahi Aur Raas Bhi Hai
Palkon Se Girte Ashkon Me
Tasveer Jhlakti Hai Teri
Deedar Ki Pyassi Aakhon Me
Ab Pyass Nhi Aur Pyass Bhi Hai.
Ret Pe Naam Kabhi Likhte Nahin,
Kyonki Ret Pe Naam Kabhi Tikte Nahin,
Aap Kahte Ho Tum Patthar Dil Ho,
Par Patthar Pe Likhe Naam Kabhi Mit Te Nahin.
Mit Gaye Hain Sab Zakham,
Bas Nishaan Baaki Reh Gaya,
Saza Puri Ho Gayi,
Karna Gunaah Baaki Reh Gaya.
Pyar Aankho Se Jataya To Bura Maan Gaye,
Haal-E-Dil Humne Sunaya To Bura Maan Gaye,
Woh To Har Roz Rulaya Karte They,
Ek Roz Humne Rulaya To Bura Maan Gaye.
Hamare Sabr Ka Imtihaan Na Lijiye,
Hamari Khamoshi Ko Saza Na Dijiye,
Jo Aapke Bina Jee Na Sake,
Unhe Jeene Ki Duaa Na Dijiye.
Ehsaas Bohut Hoga Jab Chhod Ke Jayenge,
Royenge Bohut Magar Aansu Nahi Aayenge,
Jab Saath Na De Koi Toh Awaaz Humein Dena,
Aasmaan Per Bhi Honge Toh Laut Aayenge.
Khushi Mili Has Na Sake,
Gam Mili Ro Na Sake,
Zindagi Ka Yahi Dastur Hai,
Jise Chaha Use Pa Na Sake,
Or Jise Paya Use Chah Na Sake.
Zuban Khamosh Aankhon Me Nami Hogi,
Yahi Bas Ek Dastan-E-Zindagi Hogi,
Bharne Ko To Har Zakham Bhar Jayega,
Kaise Bhariegi Wo Jagah Jaha Teri Kami Hogi.
Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hai,
Meri Har Aah Har Dard Samajhti Hain,
Pata Hai Majbur Hai Tu Bhi Aur Main Bhi,
Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain.
Kyo Koi Chah Kar Dosti Nibha Nahi Pata,
Kyo Koi Chah Kar Rishta Bana Nahi Pata,
Kyo Leti Hai Zindagi Aisi Karwat,
Ki Koi Chahkar Bhi Pyar Jata Nahi Pata.
Na Jane Kaun Si Baat Aakhri Hogi,
Na Jane Kaun Raat Aakhri Hogi,
Karni Ho To Kar Lo Ji Bhar Ke Bat,
Na Jane Kaun Si Sans Aakhri Hogi.
Dill Kahi Lagtaa Nahi Hai Ab Tumhaare Binaa,
Khaamosh Se Rehne Lage Hum Tumhaare Binaa,
Zaldi Laaut Aao Yehi Chaah Hai Hamaari,
Ji Naa Saakenge Hum Tumhaare Binaa.
Her Raah Ek Nayi Manzill Hai,
Kaddmo Ko Shambhalna Zara Musqil Hai,
Dost Ager Saath Naa Dey Toh,
Dhoop Toh Kyaa Chhaanv Mein Bhee Challna Musqil Hai.
Laut Jaati Hai Duniya Gam Hamare Dekhkar,
Jaise Laut Jaati Hai Lahre Kinare Dekhkar,
Tu Kandha Na Dena Mere Janaje Ko,
Kahi Phir Jinda Na Ho Jaun Tera Sahara Dekhkar.
Woo Ye Kahkar Chale Ki Mulakat Bahut Hai,
Hamne Kha Rukkar Jaoo Aabhi Raat Bahut Hai,
Jra In Aansuoo Ko Tham Jane Do,
Baher Barsat Bahut Hai
Shaam Utri Zindagi Gaane Lagi,
Maut Ko Fir Neend Aane Lagi,
Fir Kisi Ki Yaad Ka Dipak Jala,
Aur Andheri Raat Muskurane Lagi.
Zindagi Tere Bagair Adhuri Si Lagti Hai,
Zindagi Jine Ke Liye Teri Jarurat Si Lagti Hai,
Aa Ja Fir Se Laut Kar Meri Zindagi Mein Tu,
Meri Aannkhen Bhi Pyaar Ke Wo Din Dhunda Karti Hai.
Gujarte Hai Meri Saanso Me Tera Naam Aaj Bhi,
Dhalti Hai Tere Intezar Me Meri Shaam Aaj Bhi
Tujko Mujh Se Bichde Zamana Ho Gaya,
Magar Hoti Hao Tere Naam Se Meri Pahchan Aaj Bhi.
Mannato Mein Manga Jise Khuda Sey,
Kyon Aaj Wo Baddua Ho Gay,
Kal Tak Tha Jo Dard Mera,
Kaise Kisi Ki Dawa Ho Gaya,
Ab Do Sawalo Mein Atki Hai Meri Zindgi,
Ab Ye Khuda Bhi Mujh Sey Khafa Ho Gaya.
Mere Marne Ke Baad Meri Kahani Likhna,
Kaise Barbaad Huwi Meri Jawani Likhna,
Aur Likhna Ki Mere Honth Khushi Ko Tarse,
Kaise Barsa Meri Aankhoon Se Paani Likhna,
Aur Likhna Ki Uska Intezaar To Bahut Tha,
Aakhri Saansoon Mein Woh Hichkiyoun Ki Rawaani Likhna,
Likhna Ke Marte Waqt Bhi Deta Tha Dua Tujhko,
Haath Bahar Tha Qafan Se Yehi Nishaani Likhna.
Mujhe Kisi Ne Bewafa Ka Naam Diya,
Sathi Ne Jaise Jahar Ka Jaam Diya,
Jo Kabhi Kaha Karte The Bhula Mat Dena,
Unhone Hi Bhul Jane Ka Paigam Diya.
Nafrat Thi Hamsea To Pyar Kyo Kiya,
Dena Tha Jahar To Ikrar Kyo Kiya,
De Ke Jahar Ab Kahte Ho Ki Pina Hi Hoga,
Or Jab Pi Gye To Kahte Ho Jina Hi Hoga.
Chand Utra Tha Hamare Aangan Mein,
Ye Sitaro Ko Gwara Na Huaa,
Hum Bhi Sitaro Se Kaise Gila Kare,
Jab Chand Hi Hamara Na Huaa.
Waqt Nur Ko Benur Kar Deta Hai,
Thode Se Jakhm Ko Nasur Kar Deta Hai,
Kaun Chahta Hai Aapno Se Door Hona,
Per Waqt Sabko Majboor Kar Deta Hai.
Kehte Hai Gam Baatne Se Hota Hai Kam,
Aisa Hi Kabhi Pele Maante The Hum,
Tere Pyar Ki Nishani Tera Gam Hi To Hai Mere Paas,
Wo Bhi Baatdu To Rahega Kya Mere Paas,
Sochta Hoon In Sagar Ki Lehro Ko Dekh Kar,
Kyon Yeh Kinaro Se Takra Kar Palat Jati Hai,
Karti Hai Vo Kinare Se Bewafai Ya Fir Sagar Se Wafa Nibhati Hai.
Teri Yaadon Ke Sahare Duniya Mein Rah Lete Hai,
Teri Juddai Ka Gam Chupchap Sah Lete Hai,
Samjhaya Dilko Yeh Raaz Chupana Hai,
Par Aansu Banke Wo Sab Kah Dete Hai.
Dil Se Aapka Khayal Jata Nahi,
Aapke Siva Koi Yaad Aata Nahi,
Ji Chahta Ki Aapko Roj Dekhu Par,
Wo Waqt Kabhi Aata Nahi.
Apne Apne Andaz Hoten Hai,
Jagti Ankhone Mein Bhi Khwab Hoten Hai,
Zaroori Nahi Ki Gum Mein Nikle Aansu,
Muskurahat Ankhone Mein Bhi Sailab Hoten Hai.
Nigahon Par Nagahon Ke Pher Hoten Hai,
In Nigahone Ke Ghav Bhi Gehare Hoten Hai,
Jane Kyon Kosten Hain Hum Badsurato Ko,
Barbad Karne Wale To Haseen Chehare Hi Hote Hai.
Oh Hote Nahi Phir Bhi Unke Hone Ka Bharam Hota Hai,
Ye Dile Nadan Yah Kya Karam Hota Hai
Agar Mile Oh Ghari Bhar Ke Liye Humse,
To Yeh Unka Hum Pe Raham Hota Hai,
Unke Milne Ki Khushi To Hoti Hai,
Par Mil Ke Bichhar Jane Ka Gaam Hota Hai,
Oh Hote Nahi Phir Bhi Unke Hone Ka Bharam Hota Hai,
Ye Dile Nadan Yeh Kya Karam Hota Hai.
Koi Pakar To Koi Khokar Juda Hota Hai,
Koi Hanskar To Koi Rokar Juda Hota Hai,
Magar Juda Hone Ka Dard Tab Hota Hai,
Jab Koi Kisi Ka Hokar Juda Hota Hai.
Subah Juda Hai Raat Juda Hai,
Apni To Her Baat Juda Hai,
Tumse Bichar Ker Aisa Laga,
Jaise Dua Main Haath Juda Hai,
Sab To Aate Rahte Hai,
Tum Aao To Baat Juda Hai.
Kaash Yeh Zalim Judaai Na Hoti,
Ae Khuda Tune Yeh Cheez Banayi Na Hoti,
It Na Hum Unse Milte Na Pyar Hoti,
A Zindigi Jo Apni Thi Woh Parayi Na Hoti.
Agar Zindagi Mein Judai Na Hoti,
To Kabhi Kisi Ki Yad Aii Na Hoti,
Sath Hi Guzarta Har Lamha To,
Shayed Rishto Mein Ye Gehrai Na Hoti.
Zindagi Hasin Hai Zindagi Se Pyaar Karo,
Hai Rat To Subah Ka Intzar Karo,
Wo Pal Bhi Ayega Jiska Intzaar Hai Aap Ko,
Rab Pr Bhrosa Aur Waqt Pe Aitbar Rakho.
ज़िन्दगी हसीन है ज़िन्दगी से प्यार करो,
हो रात तो सुबह का इंतज़ार करो,
वो पल भी आएगा जिस पल का इंतज़ार हैं आपको,
बस रब पर भरोसा और वक़्त पे ऐतबार करो।
Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai,
Par Zindagi Kisi Ki Mohabbat Nahi Banti,
Tamanna Le Kar Jeete Hai Sab Log,
Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti.
Dil Ki Awaz Koi Pehchanta Nahi,
Kisko Kya Dard Hai Koi Janta Nahi,
Hum Bhi Nahi Chahte Aapko Pareshan Karna,
Magar Kya Kare Dil Hai Ki Manta Nahi.
Zindagi Bahut Kuch Sikhati Hai,
Kabhi Hasati Hai Kabhi Rulati Hai,
Khud Se Bhi Jyada Kisi Par Vishwash Mat Karna,
Kyuki Andhere Mein To Parchai Bhi Saath Chod Jati Hai.
जिंदगी बहुत कुछ सिखाती है,
थोड़ा रुलाती है थोड़ा हसाती है,
खुद से ज्यादा किसी पे भरोसा मत करना,
क्योंकि अँधेरे में तो परछाईं भी साथ छोड़ जाती है!
Khushion Se Naraz Hai Meri Zindagi,
Pyar Ki Mohtaz Hai Meri Zindagi,
Has Leta Hoon Logon Ko Dikhane Ke Liye,
Varna Dard Ki Kitaab Hai Meri Zindagi.
Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badhte,
Dur Hone Se Ehsas Nhi Marte,
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nahi Jab Hum Apko Yaad Nhi Karte.

1 comment: