Monday, January 1, 2018

Romantic Shayari In Hindi

Ek aas, ek ehsaas,
Meri soch aur bus tum,
Ek sawal, ek majaal,
Tumhara khayal or bs tum.

Koi hain jiska ess dil ko intjaar hain,
Khayalo mein bas usi ka khayal hain,
Khushyaan main saari us par luta du..
Chahat me uski mai khud ko mita du..
Kab ayega vo jiska es dil ko intjaar hain.

Aankhe To Pyar Mein Dill Ki Juban Hoti Hai,
Chahat To Sada Bejuban Hoti Hai,
Pyar Mein Dard Bhi Mile To Kya Ghabrana,
Suna Hai Dard Se Chahat Or Jawan Hoti Hai.

Tu Kahe Jo Bhi Woh Karunga Main,
Tu Udas Na Ho Tere Paas Hun Main,
Kya Karna Hai Kisi Aur Ka Sang,
Tere Saath Sanam Din Raat Hun Main.

Aapne Toh Yeh Pooch Liya Bas Mere Dosto,
Ki Unke Baare Mein Hamara Kya Khyal Hai,
Aapne Jara Yeh Bhi Toh Poochha Hota Hamse,
Unko Dekhne Ke Baad Hamara Kya Haal Hai.yari

Bin Aapke Kuchh Bhi Achha Nahi Lagta,
Kuchh Pal Ki Judai Bhi Sahi Nahi Jaati,
Tum Khud Hi Samajh Lo Gahrayi Pyar Ki,
Likh Kar Yeh Baat Mujhse Kahi Nahi Jaati.

Agar Bantenge Sabko Pyar Jeevan Mein,
Tabhi Toh Yaaro Insaan Kahlaayenge Hum,
Jis Mein Hoga Bas Pyar Hi Pyar,
Ek Aisi Nayi Duniya Banayenge Hum.

Yeh Doori Aur Humse Sahi Nahi Jaati,
Tere Paas Aane Ko Dil Karta Hai,
Bhula Kar Saare Duniya Bhar Ke Ghamon Ko,
Tere Aagosh Mein So Jaane Ko Dil Karta Hai.

Dil To Unke Sine Mai Bhi Machalta Hoga,
Hushn Bhi So-So Rang Badalta Hoga,
Uthti Hongi Jab Nigahein Unki,
Khud Khuda Bhi Gir-Gir Ke Sambhalta Hoga.

Shaan Se Pyar Ka Izhar Karenge,
Teri Mohabbat Pe Jaan Bhi Nisar Karenge,
Dekh K Jalegi Duniya Saari,
Is Kadar Tujhpe Aitbaar Karenge,
Denge Salaami Sab Humko,
Jab Pyar Ko Hum Bayaan Karenge,
Daulat Aur Shaurat Ka Kya Hai Kaam,
Teri Khushi Mein Khudko Nichaawar Karenge,
Har Ghadi Ho Bus Tera Deedar,
Waqt Se Hum Yahi Iltijaa Karenge,
Saaye Ki Tarah Tujhse Liptey Rahenge,
Duniya Ki Buri Nazar Se Tujhe Bachaya Karenge.

Mohabbat ka koi rang nahi,
Fir bhi wo rangin hai,
Pyar ka koyi chehra nahi,
Phir bhi woh hasin hai.

Kab tak wo mera hone se inkaar karega,
Khud tut kar wo ik din mujhse pyaar karega,
Ishq ki aag me main usko itna jala dungi,
Ki izhaar wo mujhse sar-e-bajaar karega.

Kabhi yun bhi aa meri aankh mein
Ki meri najar ko khabar na ho,
Mujhe ek raat navaj de
Magar uske baad subah na ho,
Woh bada raham o karam hai
Mujhe yeh asar bhi daan karein,
Tujhe bhulane ki dua karun
Toh meri dua mein asar na ho,
Mere baajuon mein thaki thaki
Abhi khwab dekh rahi hai chandani,
Na uthe sitaron ki palki
Abhi aahton ka gujar na ho.

Hum karte hai tumse pyar,
Aaj karte hai pyar ka ikraar.
Jante hai tum bhi hamare liye bane ho,
Tumne jitna pyar kiya utna kisi ne kiya na tha,
Jitna tumne khabon mein sataya ,
Utna tang kisi ne kiya na tha,
Hai majburiyan tumhari hai majburiya hamhari,
Bas kehna hai aaj itna tumse,
Kabhi kam na hogi dil se mohabbat tumhari.

Sab Tamannayein Ho Puri, Koi Khwaish Bhi Rahe,
Chahta Woh Hai, Mohabbat Mein Numaish Bhi Rahe,
Aasmaa Chume Mere Pankh, Teri Rahmat Se,
Aur Kisi Ped Ki Dali Pe Rihaish Bhi Rahe,
Usne Sompa Nahi Mujhe Mere Hisse Ka Vajud,
Uski Koshish Hai Ke Mujhse Meri Ranjish Bhi Rahe,
Mujhko Maalum Hai, Mera Hai Woh, Main Uska Hu,
Uski Chahat Hai Ke Rashmon Ki Yeh Bandish Bhi Rahe,
Mosmon Se Rahein Vishvas Ke Aise Riste,
Kuchh Adavat Bhi Rahe, Thodi Navajish Bhi Rahe.

Dil Toh Karta Hai Khair Karta Hai,
Aapka Jikr Gair Karta Hai,
Kyo Na Main Dil Se Du Dua Usko,
Jabki Woh Mujhse Bair Karta Hai,
Aap Toh Hubhu Wohi Hain Jo,
Mere Sapno Mein Sair Karta Hai,
Ishq Kyu Aapse Yeh Dil Mera,
Mujhse Pooche Bagair Karta Hai,
Ek jarra Duayen Maa Ki Le,
Aasmano Ki Sair Karta Hai.

Tere Aaghosh Mein, Aane Ko Betab Hun Main,
Jab Chaho, Eh Dost Pukar Lena Hamein,
Mahsoos Karna Chahta Hu, Teri Dhadkano Ko,
Aankhon Ke Raste, Dil Mein Utaar Lena Hamein.

Bhale Laakh Kar Lu Koshish Bhi Magar,
Dil Ki Baat Kahi Na Jaayegi Mujh Se,
Eh Mere Hamdam Na Hona Juda Kabhi,
Teri Judaayi Na Sahi Jaayegi Mujhse.

Aakar Aap Ab Jana Nahi,
Dil Ko Mere Tarsana Nahi,
Hum De Chuke Hain Dil Aapko,
Todkar Isko Tadpana Nahi.

In Aankhon Mein Aur Koi Ab Basta Nahi Hai,
Ek Aapko In Aankhon Mein Basaane Ke Baad,
Yeh Dil Mera Ab Kahi Aur Lagta Nahi Hai,
Ik Aap Se Is Dil Ko Lagane Ke Baad.

Yeh Soch Rakha Tha Humne Apne Jeevan Mein, Ki,
Kisi Bhi Hansi Ko, Na Dil Mein Basayenge Hum,
Magar Aap Se Milne Ke Baad, Na Malun Tha, Yu,
Ki, Sirf Aapke Hi Hokar Rah Jaayenge Hum.

Aap Mukurate Huye Hi Achhe Lagte Ho,
Aap Hamesha Hi Aise Muskuraya Karo,
Maja Aata Hai Humein Aapko Sataane Mein,
Magar Aap Ruthkar Maan Jaya Karo.

Aap Humko Aise Mat Dekhiye,
Kahin Humko Mohabbat Na Ho Jaaye,
Aap Toh Muskura Kar Chale Jaaoge,
Is Dil Ko Musibat Na Ho Jaaye.

Hamne Pahli Bar Apni Zindagi Mein Chaha Jisko,
Unse Hi Humne Apne Pyar Ka Izhaar Kar Diya,
Ab Woh Apne Dil Ko Bekarar Karein Ya Na Karein,
Magar Humne Toh Apne Dil Ko Bekarar Kar Diya.

Aapse Pyar Karne Ko Dil Karta Hai,
Aapko Baahon Mein Bharne Ko Dil Karta Hai,
Ek Aap Hi Toh Is Duniya Mein Jispe,
Dilo Jaan Nisaar Karne Ko Dil Karta Hai.

Ek Din Aap Hamein Hi Chahoge Dekh Lena,
Hum Khuda Se Aapko Maang Laayenge Dekh Lena,
Shayad Aapko Hamari Mohabbat Ka Ehsas Nahi Hai,
Aapse Hi Iska Izhaar Karvaayenge Dekh Lena.

Agar Hum Na Mile Hote Unse,
To Yeh Dil Na Yun Bekarar Hota,
Na Najrein Milti Unse Kabhi,
Na Humko Un Se Pyar Hota.

Unki Khubsurati Ki Kya Taarif Karun Eh Yaaron,
Khuda Bhi Un Jaisa Koi Aur Na Bana Paya Hoga,
Main Toh Pareshan Hun Yeh Sochkar Ki Shayad,
Na Zindagi Mein Aayega, Na Un Jaisa Koi Aaya Hoga

Jamaana Agar Hum Rooth Bhi Jaaye Toh,
Is Baat Ka Hamein Gham Na Koi Hoga,
Magar Aap Jo Humse Khafa Ho Gaye Toh,
Hum Par Is Se Bada Sitam Na Koi Hoga.

Zindagi Mein Bahut Kuchh Khoya Hai Humne,
Magar Ab Toh Kuchh Paane Ki Tamanna Hai Hamein,
Aap Humse Dil Lagayein Ya Na Lagayein,
Magar HumKo Aapse Dil Lagane Ki Tamanna Hai.

Jaise Julfon Ki Lat Hai Chehre Ke Karib Tere,
Kaash Hum Bhi Aaj Tere Itne Karib Hote,
Tere Phulon Se Chehre Ko Hardam Niharte Hum,
Kaash Aisi Hoti Kismat Aise Naseeb Hote.

Is Mohabbat Ka Koi Raaz Na Jaane,
Jaane Sab Ko Kaise Hoti Hai,
Yeh Dil Toh Aapko Apna Maane,
Jaane Kaise Hota Hai,
Ehsas Tumhara Is Dil Mein Hardam Rehna,
Jaane Kaise Hota Hai,
Chup Chap Rah Kar Bhi Sab Kuch Kah Jaana,
Jaane Kaise Hota Hai,
Rooh Mein Samaa Ke Aankhon Mein Aa Jaana,
Jaane Kaise Hota Hai,
Is Mohabbat Ka Koi Raaz Na Jaane,
Jaane Kaise Hota Hai.

Woh Itne Hasee Honge Eh Mere Dosto,
Dil Ko Is Baat Ka Yakee Aata Nahi,
Ab Toh Unko Paane Ki Chahat Ho Gayi,
Unke Bina Ab Kuchh Bhata Nahi.

Aapki Pooja Karte Hain Hum,
Aap Par Hi Bas Marte Hain Hum,
Humko Aapse Bahut Pyar Hai,
Aapko Kahne Se Darte Hain Hum.

Bhale Kitne Hi Khafa Hote Ho Tum Hamse,
Magar Paas Hote Ho Toh Sab Achha Lagta Hai,
Baaki Saari Kaynat Lagti Hai Jhooti Si,
Bas Ek Aapka Pyar Sachha Lagta Hai.

Agar Thak Jaao Kabhi Toh Humse Kahna,
Hum Utha Lenge Tumko Apni Baahon Mein,
Aap Ek Baar Pyar Karke Toh Dekho Humse,
Hum Khusiyan Bichha Denge Aapki Raahon Mein.

Agar Zindagi Mein Kabhi Pyar Hum Karenge,
Har Haal Mein Us Pe Aitbar Hum Karenge,
Karenge Hum Sada Poori Har Aarju Uski,
Wada Raha Na Kabhi Takrar Hum Karenge.

Karta Hun Aaj Tuhse Yeh Wada,
Har Ek Kadam Tere Saath Rahunga,
Bharunga Teri Jholi Main Khusiyon Se,
Tere Liye Toh Har Gham Main Sahunga.

Tujhsa Hansi Na Dekha Humne,
Sara Zamana Dekh Liya,
Tere Aaghosh Mein Aake Humdam,
Savrag Suhana Dekh Liya.

Aap Humse Pyar Karke Toh Dekhiye,
Hum Aapke Sare Gham Apne Bana Lenge,
Chhinkar Is Saare Jahan Ki Khusiyan,
Dekhna Aapke Kadmon Tale Bichha Denge.

Jeevan Mein Bas Aap Se Hi Pyaar Kiya Tha,
Aapse Hi Toh Mohabbt Ka Izhaar Kiya Tha,
Agar Chhodna Tha Yun Hi Toh Inkar Kar Dete,
Tab Toh Aapne Bhi Dil Se Ikrar Kiya Tha.

Main Kya Dekhun Is Duniya Ke Najare,
Mujhe Tere Chehre Se Fursat Nahi Hai,
Sagar Pana Chahta Hai Bas Tujhko,
Mujhe Aur Kisi Ki Jarurat Nahi.

Tere Hi Dam Se Zinda Hun Yaar,
Sirf Tumhi Se Karta Hun Main Pyar,
Jaan Ho Meri Tum Ho Mera Karar,
Sirf Tumhi Se Karta Hun Main Pyar.

Abhi Abhi Toh Aaye Ho Eh Mere Hamdam,
Aur Abhi Jaane Ki Baat Karte Ho,
Yeh Kaisi Hai Sanam Mohabbat Aapki,
Aap Dil Dukhane Ki Baat Karte Ho.

Najar Na Lag Jaaye Kahin Aapko Kisi Ki,
Sari Duniya Se Chhupakar Aa Rakh Lu Tujhko,
Bas Itni Si Aarju Hai Hamari Toh Jeevan Mein,
Har Janam Mein Pyar Milta Rahe Aapka Mujhko.

Juda Tumse Hokar Na Ji Paaunga Main,
Usi Pal Tadap Tadap Kar Mar Jaaunga Main,
Tere Sang Hi Jeevan Bitana Hai Mujhko,
Tere Bina Na Kuchh Bhi Ban Paaunga Main.

Teri Har Ada Mein Koi Baat Hai,
Main Deewana Sa Hua Jaata Hun,
Har Kisi Mein Dekhta Hun Tumko,
Khud Se Begana Hua Jata Hun.

Mere Dil Mein Rahna Tum Oh Sanam,
Kya Karna Is Char Deewari Ka,
Bas Hum Jee Lenge Ek Dooje Ke Liye,
Chhod Denge Is Duniya Sari Ko.

Jabse Dekha Hai Najron Ne Aapko,
Inko Aur Kuchh Bhi Najar Nahi Aata,
Na Jaane Kaisa Kiya Hai Jaadu Aapne,
Koi Aur Chehra Isko Nahi Bhata.

Bhale Bhool Jana Aap Hamein,
Hum Aapko Bhool Na Paayenge,
Aapka Hi Saath Mangenge Sada,
Hum Jab Bhi Jahan Mein Aayenge.

Chup Rahkar Bhi Kya Karte,
Aaj Bol Diya Ki Pyar Hai,
Ab Hoga Jo Woh Dekh Jaayega,
Ab Kah Diya Ki Ikrar Hai.

Tere Bina Main Kuchh Bhi Nahi,
Tere Saath Hi Sab Baharein Hain,
Jo Teri Baahein Hain Hamdam,
Sagar Ke Yahi Toh Kinare Hain.

Chand Taaron Ki Hamein Jarurat Nahi,
Humko Toh Bas Aapka Pyar Chahiye,
Aur Kuchh Nahi Mangunga Aapse Kabhi,
Pyar Ki Dolat Bas Besumar Chahiye.

Aap Aayenge Kab Talak Itna Toh Bata Dijiye,
Aap Ke Intezaar Mein Kkhud Ko Bhulaye Baithe Hain,
Wapas Ja Na Paoge Bas Ek Baar Chale Aao,
Aapki Raahon Mein Hum Palkein Bichhye Baithe Hain.

Aap Aayenge Kab Talak Itna Toh Bata Dijiye,
Aap Ke Intezaar Mein Kkhud Ko Bhulaye Baithe Hain,
Wapas Ja Na Paoge Bas Ek Baar Chale Aao,
Aapki Raahon Mein Hum Palkein Bichhye Baithe Hain.

Kuchh Der Aur Agar Aap Thahar Jaate,
Toh Dil Ke Armaan Main Pure Kar Leta,
Aankhon Mein Basakar Kar Leta Band Inko,
Fir Hanskar Sabke Sitam Jar Leta.

Pyar Mein Tere Hum Is Kadar Kho Gaye Hain,
Zamane Se Bekhabar Hum Tere Dil Mein So Gaye Hain,
Mat Uthana Ab Hamein Apne Dil Ki God Se,
Hum Sada Ke Liye Ab Tumhaare Ho Gaye Hain.

Mera Chain Chheen Liya Hai Tere Nain Ne,
Tadpu Bepanah Rahu Bechain Main,
Har Pal Main Tujh Par Jaan Nishar Karta Hun,
Tujhe Pata Nahi Kitna Main Pyar Karta Hun.

Dil Ke Kisi Kone Mein Ab,
Koi Jagah Nahi,
“E-Sanam”
Ke ..
Tasveer Humne Har Taraf,
Teri Laga Di.

Jaanu Na Main Kya Ajib Si Muskurahat Hai Tumhari,
Kyon Uspe Main Apna Sab Kuch Vaar Deti Hun,
Jaanu Na Main Kya Ajib Si Chahat Hai Tumhari,
Kyon Uspe Had Se Gujar Jana Chahti Main Hun,
Kya Baat Hai Tujme Mere Yara,
Dil Chir Ke Dekho Sirf Tera Hi Naam Likha Hai Usmein Yara,
Jaanu Na Main Aisi Kya Kashish Hai Aap Ke Pyar Mein,
Aapki Baahon Mein Aakar Bikhar Jati Main Hun,
Jaanu Na Main Aisa Kaun Sa Dard Hota Hai Pyar Mein,
Par Tu Jo Saath Hai Mere To Har Dard Sahe Jati Main Hun,
Jaanu Na Main Yeh Ajib Si Zindagi Ki Mushkil Raahein,
Par Haath Tera Mere Haath Mein Hai,
To Har Mushkil Se Lad Jati Main Hun.

Chahte Hain Aapko Kitna,
Yeh Koi Nahi Jaanta,
Aap Ke Bina Hum Jiye,
Yeh Dil Hi Nahi Manta.

Nagme Toh Kayi Sune Honge,
Jahan Mein Magar,
Mujhsa Nagma Na Kahin Suna Hoga,
Aashiq Toh Kayi Honge,
Jahan Mein Magar,
Mujhsa Chahne Wala Na Kahin Hoga,
Tumhein Khusi Dene Ki Khatir,
Tujh Se Dil Laga Baithe,
Armaa Na Tha Mohabbat Ka,
Tujh Se Mohabbat Kar Baithe.

Us Mahboob Ko Poojte Hain,
Jinhein Pyar Hum Karte Hain,
Us Husan Ko Hum Chahte Hai,
Jis Par Hum Aahein Bharte Hain.

Badi gahrai se chaha hai tujhe,
Badi duao se paya hai tujhe,
Tujhe bhulane ki sochu bhi to kaise,
Kismat ki lakiro se churaya hai tujhe.

Unse Door Bhala Hum Kaise Reh Pate,
Dil Se Unhe Kaise Bhula Pate,
Kaash Ki Woh Sanso Ke Illava Aayine Mein Bhi Hote,
Khud Ko Bhi Dekhte To Woh Nazar Aate.

Dil Ka Rishta Hai Hamara,
Dil Ke Kone Mein Naam Hai Tumhara,
Har Yaad Mein Hai Chehra Tumhara,
Hum Sath Nahi To Kya Hua,
Zindagi Bhar Pyar Nibhane Ka Wada Hai Hamara.

Kaash Aisa Ho Ki Tumko Tumse Chura Loon,
Waqt Ko Rok Kar Waqt Se Ek Din Chura Loon,
Tum Paas Ho To Is Raat Se Ek Raat Chura Loon,
Tum Saath Ho To Is Jahan Se Ye Jahan Chura Loon.

Kosish Bahut Ki Dil Ko Samjhne Ki,
Aankho Ko Kasam Di So Jane Ki,
Bahut Samjhaya Phir Bhi Aankhe Nahi Soyi,
Soyi Tab Jab Maine Baat Ki Aapke Khawabo Me Aane Ki.

Dil Ki Kitaab Kaa Panna Churaa Le Gyaa Koi,
Neend Aankhon Se Udaa Le Gaya Koi,
Peene Ki Aadat Nahi Thi,
Humein Zaam Nigahoon Se Pilaa Gaya Koi.

Humne Chaand Se Pooha,
Teri Chaandni Ka Raaz Kya Hai,
Chaand Ne Aapki Taraf Ishara,
Kar Ke Kaha Inhi Say Pucho Jisay,
Dekh Kar Main Chamakta Hoon.

Jaan Hai Mujhko Zindagi Se Pyari,
Jaan Ke Liye Kar Doon Kurban Yaari,
Jaan Ke Liye Todd Doon Dosti Tumhaari,
Ab Tumse Kya Chhupana,
Tum Hi To Ho Jaan Hamaari.

Pyaar Mein Milne Ki Zaroorat Hoti Hai,
Naa Milon To Phir Shikayat Hoti Hai,
Khamosh Rahe Lab Naa Bole Beshaq,
Lekin Aankhon Mein Mohabbat Hoti Hai,
Rakh Lo Chaahe Sau Pardon Mein Ishq,
Zamaane Mein Phir Bhi Fasiihat Hoti Hai,
Jo Itna Paas Rehke Dil Se Door Ho Jaye,
Woh Kya Jaane Ashq Ki Bhi Kimat Hoti Hai,
Khwaab Ki Teh’ni Paka’d Soya Reh Kitnaa,
Jab Hoye Naa Puraa To Musiibat Hoti Hai,
Ulfat Mein Roothne Ki Riit Puraani Hai,
Dil Naa Maane Manaane Ki Tabiiyat Hoti Hai.

Yaadon Ke Bhanwar Mein Ek Pal Humara Ho,
Khilte Chaman Mein Ek Gul Humara Ho,
Aur Jab Yaad Kare Aap Apno Ko To Uss,
Yaad Mein Ek Naam Hamara Ho.

Pal Bhar Ke Liye Agar Woh Hamein Apna Bana Le,
Aapne Zeevan Ka Agar Woh Sapna Bana Le,
Phir Bhale Hi Woh Mera Dil Tod De,
Bus Is Raat Ke Liye Woh Mujhe Sajna Bana Le.

Is Se Pahle Ki Saare Khwab Toot Jaayein,
Aur Yeh Zindagi Hum Se Rooth Jaaye,
Ek Doosre Ke Pyar Mein Kho Jaayein Iss Kadar ,
Ke Hum Saare Ghamon Ko Bhool Jayein.

Khata Pahli Samajh Kar Maaf Kar Dena,
Raah-E-Wafa Mein Ho Jaaye Jo Gunaah Hamse,
Mohabbat Ki Hadein Paar Kar Chuke Hain Sanam,
Phir Kaise Hain Dilbar Yeh Parde Hum Se.

Chaahat Ke Yeh Kaise Afsane Huye,
Khud Nazron Mein Apni Begane Huye,
Kisi Bhi Riste Ka Khayal Nahi Mujhe,
Ishq Mein Tere Is Kadar Diwaane Huye.

Sitaron se aage bhi koi jahan hoga,
Jahan ke saare nazaron ki kasam,
Aapse pyaara wahan bhi na hoga.

Sajti rahe khushiyon ki mehfil,
Har Khushi suhani rahe,
Aap zindgi mein itne khush rahe,
Ki har khushi aapki diwani rahe.

Aa teri umar main likh doon chand sitaron se,
Tera janam din main manau phoolon se baharon se,
Har ek khoobsurti dunia se main le aau,
Sajaun ko yeh mehfil main har haseen nazaron se.

Saari Umar Aankho Mein Ek Sapna,
Yaad Raha,
Sadiyaan Beet Gayin Woh Lamha,
Yaad Raha,
Jaane Kya Baat Hai Aap Mein,
Saari Mahfil Bhool Gaye Bas Woh Pal,
Yaad Raha.

Aaj Humse Woh Door Hain Bahut Yeh Mana,
Magar Yaadon Mein Hum Unko Yaad Karte Hain,
Unse Sapno Mein Hi Mila De Eh Maalik,
Bas Hardam Hum Yahi Fariyaad Karte Hain.

Kaif Mein Duba Hua Hoon Aalam E Tanhayi Hai,
Phir Teri Yaad Dabe Paanv Chali Aayi Hai,
Shab E Taarik Pe Chhayi Huyi Ranayi Hai,
Yeh Teri Zulf Ke Saaye Hain Ke Parchhayi Hai,
Tere Deevane Ko Itna Bhi Ab Hosh Nahi,
Yeh Tera Aaghosh Hai Ya Ghausha E Tanhayi Hai.

Ek Aapko Paane Ki Khatir Sanam,
Aap Dekhna Hum Kya Kya Kar Jaayenge,
Bas Aap Yaad Rakhna Apna Wada,
Hum Toh Saare Jahan Se Lad Jaayenge.

Laakh Karta Hun Koshish Ki Yeh Na Aaye,
Aa Hi Jaati Hai Kambhakt Yaad Aapki,
Sari Sari Raat Fir Na Deti Hai Sone,
Mere Sanam Pyari Si Baat Aapki.

Mohabbat Aur Kisi Se Bhi Hoti Hai Jamane Mein Dosto,
Jaruri Nahi Ki Hasino Se Hi Pyar Kiya Jata Hai,
Aankhon Aankhon Mein Bhi Ho Jaati Hai Baatein Kai Aksar,
Jaruri Nahi Hamesha Aankhon Se Hi Ajhar Hota Hai.

Tum Puchhte Ho Dil Kyu Bharta Hai Aahein Mera,
Hum Kahte Hain Ke Koi Isko Bhi Samjha De,
Aakar Tum Hi Puchh Lo Jo Tum Janana Chahte Ho,
Ki Kya Hua Hai Yeh Shayad Tum Ko Hi Bata De.

Umar Ki Raah Mein Raste Badal Jate Hai,
Waqt Ki Aandhi Me Insan Badal Jate Hai,
Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare Lekin,
Ankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hai.
उम्र की राह में रास्ते बदल जाते हैं,
वक़्त की आंधी में इंसान बदल जाते हैं,
सोचते हैं तुम्हें इतना याद ना करें लेकिन,
आँख बंद करते ही इरादे बदल जाते हैं।

Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badhte,
Dur Hone Se Ehsas Nahi Marte,
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nzhi Jab Hum Apko Yaad Nahi Krte..

Bheegi Palkon Ke Sang Muskurate Hain Hum,
Pal Pal Dil Ko Kuch Aur Behlate Hain Hum,
Tu Door Hai Humse To Kya Hua Mere Dilbar,
Har Saans Mein Teri Aahat Paate Hain Hum.

Yaad Aane Wale Yaad Aaye Ja Rahe Hain,
Mere Khayalon Kee Duniya Par Chaye Ja Rahe Hain,
Hum Kuch Keh Rahe Hain Par Wo Chup Hain,
Bas Mera Khat Padh Kar Muskuraye Ja Rahe Hain.

Dosti karna hame bhi sikhao,
Dil ke kisi kone me hame bhi bithao,
Ham tumhare dil me hain ki nahi,
Zuban se na sahi SMS se to batao.

Ye dil bda kamjor hai ise koi samjhata nahi,
Ye tumse pyar bahut karta hai par keh pata nahi,
Darta hai kahi tumne ise thukra na do,
Kyuki ek tum hi ho jiske bina ye rah pata nahi.

Yaad ap ko kuchh is trah karte hain,
Ki ap ki yaado mein hi khoye rahte hain,
Kab gujar jati hain din aur rate,
Fir bhi ap ki khayalo me jagte hue hi soye rahte hain.

Rahenge tere dil me hardam,
Humara pyar kabhi na hoga kam,
Chahe kitni bhi aaye zindgi me khusiyan aur gum,
Rahenge hum dono sath sath hardam.

Tera hi ishq hai meri bandag…
Mujhe aur kuch to khabar nahi..
Tujhe dekh kar dekhun aur kahin..
Ab mere paas wo nazar nahi..!!!

Bahut ajeeb hai yeh bandhishe Mohabbat ki ..
Na us ne Qaid mein rakha ..
Na hum Farar huye.

Chand bhi tanha,
Raat bhi tanha,
Aur tanha meri Zaat hai,
Phir Toot ke ye yaad aaya,
Ajeeb December ki ye Raat hai.

Aadhi raat ko sapna aa jaata hai,
Phir sona mushkil ho jaata hai,
Khuda ki kasam yaaro maine pyar nahi kiya,
Ye pyaar to apne aap hi ho jaata hai…

Teri aankhe samundar ki tarah gahri hain sathi..
Yun to tairna aata hai mujhko par..
Unme dub jaane ka maza kuchh aur hai.

No comments:

Post a Comment