Tuesday, January 2, 2018

Romantic Shayari On Love

Tum mujhe kabhi dil to ..
Kabhi aankho se pukaro,
Ye hontho ke tabassum to ..
Jamane ke liye hain.

Mere kuch lafz aise hain,
Jo apni band aankhon se,
Tere dil ki her ek tehreer parhte hai,
Woh hain to lafz he lekin,
Woh ek taqdeer rakhtr hai,
Kabhi jo rooth jao tum,
Na mujhse maan pao tum,
To tumko woh manane ki,
Her ek tadbeer rakhte hain,
Mere kuch lafz aise hain.

Apna Humsafar Bana Le Mujhe,
Tera Hi Saya Hu Apna Le Mujhe,
Ye Raat Ka Safar Or Bhi Hasin Ho Jayega,
Tu Aa Ja Mere Sapno Me Ya Bula Le Mujhe.

Kya nasha hai ishq aaj tak samajh na paye hum,
Un nashili ankho me kahi ho na jayenge gum,
Yun to ishq samajh nahi aata najane kya bala thi ye,
Ke juda hone pe unke yeh ankhe ho gayi hai num.
क्या नशा है इश्क आज तक समझ ना पाये हम,
उन नशीली आँखों में कहीं हो ना जाऐं गुम,
युँ तो इश्क समझ नहीं आता ना जाने क्या बला थी ये,
कि जुदा होने पे उनकी ये आँखे हो गई है नम 🌹

Aaj pyari si subha boli,
Uth dekh kya najara hai,
Maine kaha Ruk pahle use message bhej du,
Jo ise subha se bhi pyara hai.

Har Subha Teri Duniya Me Roshni Kar De,
Rab Tere Gam ko Teri Khushi Kar De
Jab Bhi Tootne Lage Teri Sanse,
Khuda Tujhme Shamil Meri Zindagi Kar De.

Hamne To Kaha Tha Mat Dekho Khwab Hamare,
Tumne Fir Bhi Khwabo Mai Basaya Hamko,
Kar Khud Ki Mohabbat Ko Buland Jara,
Aur Kismat Ke Panno se Chura Lo Hamko.

Zindgi Raaz Hai To Raaz Rehne Do,
Agar H Koi Aitraaz To Aitraaz Rehne Do,
Par Agar Apka Dil Kahe Hume Yaad Karne Ko,
To Dil Ko Ye Mat Kehna Ki Aaj Rehne Do.

Raat Hoti Hai Har Shaam K Baad,
Teri Yaad Aati Hai Har Baat K Baad,
Hamne Khamoos Reh Kar Bhi Dekha Hai,
Teri Awaaz Aati Hai Meri Har Saans K Baad.

Gulab ki mehak bhi fiki lagti hai,
Kaun si khushbu mujhme basa gayi ho tum,
Zindgi hai kya teri chahat ke siva,
Yeh kaisa khwab aankho ko dikha gayi ho tum.

Na gharz kisi se,
Na wasta,
Mujhe kaam hay apne kaam se ..
teray zikr se,
teri fikar se,
teri yaad se,
tere naam se.

Wo Ankhon ke Samne rehne lga hai aajkal,
Kyun yaad aane lga hai pal pal,
Kyun khoyi khoyi si ye Nazar hai,
Pyaara Lagne lga yeh lamba safar,
Waqt ka Na hosh hai Na darr kisi cheez ka,
Rub-a-ru huyi intezaar tha Jis tasveer ka.

Ae neend zara dhire aa,
Lagta hai unke khwabo me ane ka waqt ho gaya hai,
Is pal ke intezar me, suraj dhal gaya hai,
Yahi waqt hai mulakat ka,
Kya btaye yaaro kitna haseen khwab aaya hai,
Shayad ruthe the wo humse,
Pehli bar kisiko manane me maza aya hai.

Us Ke Bina Ab Chup Chup Rehna Acha Lagta Hai,
Khamoshi Se Dard Ko Sehna Acha Lagta Hai,
Jis Hasti Ki Yaad Mein Din Bhar Aansoo Behte Hain,
Saamne Us Ke Kuch Na Kehna Acha Lagta Hai,
Mil Ker Us Se Bichar Na Jaon Darti Rehti Hoon,
Is Liye Bas Door Hi Rehna Acha Lagta Hai.

Teri har baat se mohabbat ki hai,
Tere ehsaas se mohabbat ki hai,
Tu mere paas nahi hai phir bhi,
Teri yaad se mohabbat ki hai,
Main tum ko kis tarha bhool sakta hoon,
Maine teri har ada se mohabbat ki hai,
Kabhi to usne bhi mujhe yaad kiya hoga,
Maine un lamhe se mohabbat ki hai.

Mere mehboob me kyun na tujhe pagal kar doon..
Ban kar pyaas main khud tujhe badal kar doon..
Tu baras jaye shiddat se muhabbat ki ghata ban kar..
Me ban ka nasheb tera khud ko jal thal kar doon..!!

Kash Me Aisi Ghazal Likhu Teri Pyar Me,
Tera Aks jhalakta Ho Mere Har Alfaz Me,
Tere Liye Aise Moti Sajau Alfazo Ki Surat Me,
Jis Ka Na Zikr Ho duniya ki Kisi Kitab Me..

Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne.

Haste dilo me gham bhi hai,
Muskurati aankhe kabhi nam bhi hai,
Dua karte hai aapki hansi kabhi na ruke,
Kyunki apki muskurahat ke deewane hum bhi hai.

Paheli bar tumne hume itne pyar se dekha ki ..
Hum aap ke baremein sochne lege,
Aur ek bar dekhengein to ..
Pyar ka itbar karne ko sochane lage.

Kash Tum Samjh ,
Kitna Chah Hai Tumko,
Kitna Dhonda Hai Tum Ko,
Kis Qadar Muhabbat Hai,
Kis Qadar Zarorat Hai,
Kash Tum Samjh Pate,
Jaan Ye Tumhari Hai,
Her Khushi Tumhari Hai,
Dil Lagi Tumhi Se Hai,
Zindagi Tumhi Se Hai,
Rooh Ki Zarorat Ho,
Meri Tum Muhabbat Ho,
KASH TUM SAMJH Pate.

Jaha dekhu samne nazaar ati ho tum,
Pyaar ki parichayiyo se hamesha yaad ati ho tum,
Mere Khwaboo ki duniya me rehti ho tum,
Mere pass ake muskurati ho tum,
Mohabat ki in raho me aake tadapati ho tum,
Pyaar hume de kar door cheli jati ho tum.

Inkaar bhi tum ho, Ikraar bhi Tum ho,
Meri zindagi ka, pehla pehla pyaar Tum ho,
Aaati ho khwaabo mein muskurate huye,
Shayad !! Mere khwaab ki taaabir Tum ho,
Kabhi Surkh,kabhi Zard,kabhi Sabz rang mein
Gulshan ke har Gul ke rango mein Tum ho,
Girti huweee Zulf teri, Jaise ho Aabshaar,
Fanoos se girte huye Jharno mein Tum ho,
Gazaali Aankhein udhjaye teri, to ho jaye Sawera,
Taab-e-Aftab mein , to kabhi Mahtaab mein Tum ho,
Teri ek nazar humpar bhi Inayaat ho jaye ! Sabaa !!!
Meri dhadkan, meri Rooh, mere Khoon ke katro mein Tum ho !!!

Dhadakte huye dil ka qaraar ho tum,
Inn saji mehfilon ki bahaar ho tum,
Tarasti huyi nigaahon ka intezaar ho tum,
Naz(naam) ki zindagi ka pehla pyar ho tum.

Dekha Hai Tuje Meri Ankhoon Ne,
Chooa Hai Tuje Meri Hontoon Ne,
Hum Ne To Kuch Nahi Kiya Sanam,
Pyaar Kiya Hai Tuje Mere Hathoon Ne.

Tum Mera Pyaar Bhi Meri Chahat Bhi,
Is Dil Ki Dhar Kan Or Karar Bhi Tu Hai,
Mere Pyaar Ki Tum Hi Manzil Ho,
Is Jahaa Me Sab Se Kaareeb Tu Hai,
Meri Raton Ki Chandni Bhi Ho Tum,
Meri Zindgi Ka Ujala Tum Ho Sanam,
Dil Ki Baaggia Sirf Tum Se Khili,
Mere Gulfam Bhi Tu Gulshan Tu Hai.

Thora Likhti Ho Kya Khoob Likhti Ho,
Choti Si Soch Kamal Zahn Rakhti Ho,
Khushi Deni Ya Gham Kya Stock Rakhti Ho,
Manti Nahin Modern Hoon Q Naqab Main Rahti Ho.

Apko Dekhkar Ye Nigah Jhuk Jayegi,
Khamoshi Har Bat Keh Jayegi,
Pad Lena In Ankhon Mein Apne Pyar Ko,
Apki Kasam Sari Kaynaat Wahi Ruk Jaegi.

Hum Karte Hain Tum Se Pyar Tum Se Hi Pyar Karenge,
Aaj Ye Sari Duniya K Samne Iqraar Karenge,
Kabhi To Jhalak Do Hamari In Tarasti Nighaon Ko,
Phir Shaam O Saher Tumhara Hi Deedar Karenge.

Saamne Baithe Raho,
Dil Ko Qaraar Aayega,
Jitnaa Dekhenge Tumhe,
Utnaa Hi Pyar Aayega.

Is Duniya Se Tumse Pahle Main Chala Jaaonga,
Aasmaan Par Jakar Ek Aashiyana Banaunga,
Jahan Chand Aur Taare Tumara Kahna Manega,
Wahan Main Tumahare Pyaar Ka Jahan Sajaunga.

Hum apni deewangi se jaane jaate hain,
Wo apni be-rukhi se pehchaane jaate hain.
Roz miltey hai lekin kuch kehte sunte nahi,
Mere saamne wo meri dharkan barhaane aate hain,
Shab-bhar Intzaar me hum taare dekha karte hai,
Sawera hone se pehle wo chand bujhane aate hain.

Sitam Ko Hamne Berukhi Samjha,
Pyar Ko Hamne Bandgi Samjha,
Tum Chahe Mujhe Jo Samjho,
Hamne To Tumeh Apni Zindagi Samjha.

Raah me uske roshni karne ko ..
Hum apna dil bhee jalaa dete ..
Wo kehte to sahi hamse dil ki baat ..
Hum sunne ko uski bat saare jahaan ko khamosh karaa dete ..

Uske bina duniya suni si lagti hai ..
Bin uske Zindgi adhuri si lagti hai ..
Pata Nahi kyu chahte hain Hum usko itna ..
Ki uske Bin jeena bhi majburi si lagti hai….

Izhaar mohabbt ka kuch aise huya,
Kya kahe pyar kaise huya,
Unki ek jhalak pe nisar huye hum,
Sadgi mein marr-mitte aur ankho se ikarar huya.

Raat ka andhera kuch kehna chahta hai ..
Yeh chand chandni ka sath rehna chahta hai ..
Hum to tanha hi khush the ..
Mager pta nhi kyu yeh dil ab ..
Kisi ke sath rehna chahta hai ..

Aankho me teri hain mera ha chehra,
Chaahe too ye maane ya na maane,
Teri mohabbat pe hai mera pehra,
Chaahe too ye maane ya na maane,
Tere liye main jate huye lamho ko mod lu,
Tere dhadkano ko chhu lu teraa jism odh lu.

Sukun milta hai jab unse baat hoti hai,
Hazar raato mein wo ek raat hoti hai,
Nigah utha ke jab wo dekhti hai meri traf,
Wo ek nigah meri puri kaynaat hoti hai.

Jab bhi dekha hai us chand ko,
Usme shirf tumhi nazar aate ho hume,
Kardo meri zindegi ko roshan aapni chandni se,
Ab to tere kirno me bhigne ki tamanna hai hume.

Uske pyar mein do pal ki zindgi bahut hai,
Ek pal ki hasi aur ek pal ki kushi bahut hai,
Ye dunia mujhe jane ya na jane,
Uski ankhe muje pehchan le yahi mere liye bahut hai.

Sun li jo khuda ne woh dua tum to nahi ho,
Darwaazey pe dastak ki sadaa tum to nahi ho,
Simtti huyi sharmaayi huyi raat ki raani,
Soyi huyi kaliyon ki hayaa tum to nahi ho,
Mehsoos kiya tum ko to geeli hui palkein,
Bheegey huye mausam ki adaa tum to nahi ho,

Hai tumari wafaon pe mujhko yaqeen,
Phir bhi dil chata hai mere dil nasheen,
Yunhi meri tasalli ki khatir zara,
Mujhko apna banane ka wada karo.

Aapki Yaad Ne Mujko Beqrar Kar Diya,
Tanha Jeena Mera Dushwar Kar Diya,
Socha Aaj Apko Hum Yaad Na Kare,
Kambakht Dil Ne Dhadkne Se Inkar Kar Diya,

Akash ke taro me khoya hai jaha sara,
lagata hai pyara ek-ek tara,
un taro me khoya hai ek sitara,
jo is waqt pad raha hai SMS hamara.

Tera Chehra Jab Samne Aaya,
Mera Dil Dekh Tumko Muskuraya,
Shukr Karta Hu Ma Us Khuda Ka,
Jisne Mujhe Tujhse Milaya.

Mere paas mere Habeeb Aa,
Zara aur dil k qareeb aa,
Tujhe dharkanon main basaon main,
K bicharne ka kabi darr na ho..

Muskurao Tum To Khushbu Bikhar Jaye,
Baate Karo To Dil Machal Jaye,
Itni Dilkash Hai Teri Ada,
Ki Insaan To Kya,
Khuda Bhi Aap Per Fida Ho Jaaye.

Kaho To Phool Ban Jau,
Tumhari Zindagi Ka Ek Asool Ban Jau,
Suna Hai Rait Per Chal K Tum Mehak Jate Ho,
Kaho To Ab Ki Baar Zameen Ki Dhool Ban Jau,
Bohat Nayab Hote Hain Jinhain Tum Apna Kehte Ho,
Ijazat Do K Main Bhi Iss Qdar Anmool Ban Jau…

Main Mar Jaun To Mujhe Jala Dena,
Usse Pahle Mera Dil Ko Nikal Lena,
Mujhe Parwah Nahi Is Dil Ki Jal Jane Ki,
Mujhe Parwah Hai Is Dil Mein Rahne Wali Ki.

Taare Toh Door Hain Fir Bhi Chamakte Hain,
Baadal Toh Door Hain Phir Bhi Baraste Hain,
Hum Bhi Kitne Nadan Hain,
Aap Hamare Dil Mein Hain Aur Hum Aapse Milne Ko Taraste Hain.

Na Hogi Mohabbat Mujhe Kisi Se Tere Siwa,
Na Rahi Ab Zaroorat Kisi Ki Tere Siwa,
Dhondh Rahi Thi Ankhain Jisko Sadiyoon Se,
Duniya Mein Woh Chehra Kisi Ka Nahi Tere Siwa.

Apke aane se zindagi kitni Khubsurat hai,
Dil me basi hai jo wo apki hi Surat hai,
Door jaana nahi humse kabhi bhulkar bhi,
Hume har kadam per aapki hi Zarurat hai.

Pariyon se sunder hai mehbooba meri,
Paakar use khud par naaz karta hu,
Har janam mein bas usi ka banna hai,
Ye elaan sareaam karta hu.

Tu bhadkata huya shola hai
Aur main Sheetal shabnam ki tarhan,
Ab dekhna yeh hai ke
Tu pighalata hai mujhe pehle
Yahn mein bujha deti hoon teri pyas.

Pyar kiya to unki mohabbat nazar aayi,
Dard huya to palke unki bhar aayi,
Do dilon ki dharkan me ek baat nazar aayi,
Dil to unka dharka par awaz is dil se aayi.

Ah Khuda Aaj Yeh Faisla Kar De,
Use Mera Yaa Mujhe Uska Kar De,
Bahut Dard Sahe Hain Maine,
Koi Khusi Ab Toh Mukkadar Kar De,
Bahut Muskil Lagta Hai Us Se Door Rahna,
Judai Ke Safar Ko Kam Kar De,
Jitna Door Chale Gaye Who Mujh Se,
Utna Kareeb Kar De,
Nahi Likha Agar Naseeb Mein Unka Naam,
Toh Khatam Yeh Zindagi Aur Mujhe Fanna Kar De.

Jab vo haste hai to raha nahi jata,
Jab vo rote h to saha nahi jata,
Ji chahta ke gale se laga lu,
Par jab vo paas hote hai to kuch kaha bhi nahi jata.

Fiza me mehakti shaam ho tum,
Pyaar me jhalakta jaam ho tum,
Seene me chupaye feerte hain hum yaadein tumhari,
Isliye meri zindagi ka dusra naam ho tum.

Kamaal Ki Funkaari Hain
Tum Mein Aey-Jaana…..!!
Waar Bhi Dil Par Karte Ho
Aur Rehte Bhi Dil Mein…..!!

Log samajhte hain humne unko bhula rakha hai,
wo kya jane ki dil me chupa rakha hai,
dekhe na koi usay meri aankho mein,
isliye palkon ko hum ne jhuka rakha hai.

Aap Hume Bhool Jao Hume Koi Gum Nahi,
Aap Hume Bhool Jao Hume Koi Gum Nahi,
Jis Din Humne Aapko Bhuladiya,
Samajh Lijiyega, is duniya me hum nahi.

Khuda Ne Jab Tujhe Banaya Hoga,
Ek Suroor Sa Uske Dil Mai Aaya Hoga,
Socha Hoga Kya Dunga Tohfe Mai Tujhe,
Tab Jake Usne Mujhe Banaya Hoga.

Palko ko humne jab bhi jhukaya hai,
Bas ek hi khayal aaya hai,
Jis khuda ne tumhe banaya hai,
Tumhe dharti pe bhejke bhala wo kaise jee paaya hai.

Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi,
Jab Unki Nigahe Humari Nigaho Ke Saath Hogi,
Baithe Hai Hum Uss Raat Ke Intezaar Mein,
Jab Unke Hontho Ki Surkhiya Humare Hontho Ke Saath Hogi.

Mohabbat ke chaand ko apni panah mein rehne do,
Labon ko na kholo aankhon ko kuch kehne do,
Dil peh haath rakho aur kuch der rehne do,
Mujhe mehsoos karo aur apne paas hi rehne do.

Mera har lamha chura liya aapne,
Aankhon ko ek chand dikha diya aapne,
Hamein zindagi di kisi aur ne,
Par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.

Doorian Bahut Hai Par Itna Smajh Lo,
Pass Rahkar Hi Koi Rishta Khas Nahi Hota,
Tum Dil Ke Pass Itne Ho Ki,
Dooriyon Ka Ehsaas Nahi Hota.

Badi Gahrai se Chaha hai Tujhe,
Badi Duao se Paya hai Tujhe,
Tujhe Bhulane ki Sochu bhi to Kaise,
Kismat ki Lakiro se Churaya hai Tujhe.

Ae barish zara thamke baras,
Jab mere yaar aa jaye to jamke baras,
Pehle na baras ki woh aa na sake,
Phir itna baras ki wo jaa na sake…

Aaj socha ki sms kya bheju,
aap muskurain aisa paigam kya bheju,
koi phool to mujhe malum nahi,
jo khud gulshan ho use gulab kya bheju.

Dukh me khushi ki wajah banti hai mohabbat,
dard me yado ki wajah banti hai mohabbat,
Jab kuch bhi acha nhi lagta duniya me,
Tab jeene ki wajah banti hai mohabbat.

Love and Friendship..
Its a package of “feelings”,
Nobody can “Make it”,
Nobody can “Break it”,
Nobody can “Explain it”,
Only “I” and “You” can “feel it” .

Chah kar bhi juda na reh sakoge,
Ruthkar bhi khafa na reh sakoge,
hum Rishta hi kuch aise nibhayege,
Ki Aap humare bina ek pal bhi na reh sakoge.

Muddat se akele the hum,
ek zamane ke baad kisi ka milna achha laga..
Sagar se gehri lagi apki dosti,
tairna aata tha par doob jana achha laga..

Na shikva na gila rahe aapse,
Tamnna hai bas ek silsila rahe aapse,
Haskar fir rona nahi chahte,
Paane ki chaah nahi bas khona nahi chahte.

Na Chorhna Mera Saath…
Zindagi Mein Kabhi,
Shahyad Mein Zinda Hun…
Tere Saath ki Wajah Se.

Khamosh Raastoon Mein,
Tera Saath Chahiye…
Tanha Hai Mera Haath,
Tera Haath Chahiye…

Teri Nigahon Ke Yoon Hi Kayal The Hum,
Kya Jaroorat Thi Aajmane Ki,
Yoon Hi Behosh Pade Hai Teri Rahon Main,
Kya Jaroorat Thi Alag Se Muskurane Ki.

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai,
Palke Uthe To Izhaar Ho Jata Hai,
Na Jane Kya Kasish Hai Chahat Main,
Ke Koi Anjaan Bhi Hamari….
Zindagi Ka Haqdaar Ho Jata Hai.

3 comments: