Tuesday, January 2, 2018

Sad Hindi Shayri

Sab log rah guzar nahi hote,
Sath chalne wale hamsafar nahi hote,
Kitna dard hota haio un logo ke dilo main,
Pucho un logo se jinke apne bhi apne nahi hote….
Chor di hum ne duniya bas teri khushi ke liye..
Jee sakenge na ab hum kisi ke liye..
Tera milna bicherna ek khwab sa tha..
Teri kasam traste rahe bas ek hansi ke liye..
Teri judai se badh kar kya gham hoga..
Zakham kafi hain yeh hi meri zindgi ke liye.
Alfaaz To bahut Hai Mere dard Bayaan Karne K Liye..
Mere Dost
Par jo Meri Khaamoshi Ko nahi Samajh saka..
Wo Mere Alfaaz Ko Kya Samjhega..
Kitne Ghuroor Me Hai Wo,
Mujhe Tanha Chod Kar..
*
*
Ae Dost
*
*
Kyun Ki Use Maloom Hai,
Mere Paas Koi Aur Nahi Hai Us K Siwa..
Is Daur Me Ki Thi ..
Jisse Wafao Ki Umeedein ..
Aakar Usi K Haath Ka ..
Patthar lga mujhe ..
Bade Ajeeb hai ye zindgi ke raste,
Anjane mod par kuch log apne ban jate hai,
Milne ki khushi de ya na de,
Bichadne ka gam zaroor de jate hai.
Pattharon Se Pyar Kiya Naadan The Hum,
Galti Hui Kyu Ke Insaan The Hum,
Aaj Jinhe Nazre Milane Me Taklif Hoti Hai,
Kabhi Usi Shaks Ki Jaan The Hum..
Kitna alag hai unki fitrat mein ..
Andaaz-E-Mohobbat”
Roz ek jakham de ker kahte hai ..
Apna khayal rakhna.
Poochha Na Zindagi Mein,
Kisi Ne Bhi Dil Ka Haal,
Ab Shahar Bhar Mein Zikrr,
Meri Khudkushi Ka Hai.
Aata He Nahi..
Us Nadan K Bagair Jeena,
Kash Us Shakhs Ne..
Marna Bhi Sikha Deya Hota.
Humein izhaar karna nahi aaya,
Unhe pyaar karna nahi aaya,
Hum bas dekhte hi reh gaye,
Aur waqt ko thamna nahi aaya,
Woh chalte chalte itne door chale gaye,
Humein rokna bhi nahi aaya.
Kaise hai ye duniya hum samjh nahi paaye,
Bhikare huye sapne hum jod nahi paaye,
Sayad honge hum hi itne Bure,
Jo kisi ke dil main hum utar nahi paaye.
Gum ka ehsaas unko hone na diya,
Hum roye unko rone na diya,
Ab use khush rakhna Ae khuda,
Jisne chain se hamko sone na diya.
Dil ki duniya khali hai tab se jab se tum gaye ho,
Sab aane se darte hain yahan jab se tum gaye ho,
Sheeshe mein dekhta hoon chehra apna to ro deta hoon,
Kissi ne na poonche aansoo jab se tum gaye ho.
Kya nasha hai ishq aaj tak samajh na paye hum,
Un nashili ankho me kahi ho na jayenge gum,
Yun to ishq samajh nahi aata najane kya bala thi ye,
Ke juda hone pe unke yeh ankhe ho gayi hai num.
क्या नशा है इश्क आज तक समझ ना पाये हम,
उन नशीली आँखों में कहीं हो ना जाऐं गुम,
युँ तो इश्क समझ नहीं आता ना जाने क्या बला थी ये,
कि जुदा होने पे उनकी ये आँखे हो गई है नम 🌹
Haan Hum Bewfa Sahi,
Par Itna Mujhe Batao,
Bewafa Jo Nahi Hai,
Aisa koi Saksh Dikhao,
Haan Main Janta Hoon,
Aapne kisi se Bahut wafa ki Hai,
Par yun kya aapne Khud se koi Wafa ki Hai.
Tujhe kya pata kya guzaratee hai mujh per,
Tu to mujhe dariya mein chod ke kinare se dekhtee hain,
Sahil bhi tera gulam hai aur lehrein bhi,
Dono bhi mujhe bachane se pehle tujh-se poochtee hain.
Zindagi maie ek sapna dekha,
Jise ham haqiqat samajh baithe,
Maine jise pyar kiya,
Wo majak samajh baithe.
Din me yaad usko ek baar nahi baar karte the,
Ye jante hue ki uski yaad hi aayegi phir bhi intezar karte the,
Par jab us bekadar garoori se hi chot khai hamne tab hosh aya ki,
Hum to kisi pathar se pyar karte the.
Yaadoan Ki Kasak,
Sansoon Ki Tapash,
Aahoon Ki Nami,
December Tere Andar Sab Kuch Hai,
Hai Bas Uski Kami…
Manzil nahi hai thikana nahi hai,
Kahi par bhi mera ashiyana nahi hai,
Maine teer chalana sikhaya ushe,
Ab mere siva uska koi nishana nahi hai.
Kuch Umar Ki Pehli Manzil Thi,
Kuch Raaste The Anjaan Bahut..!
Kuch Hum Bhi Pagal The Lekin,
Kuch Woh Bhi The Nadan Bahut..!
Kuch usne Bhi Na Samjaya,
Yeh Pyar Nahi Asaan Bahut..!
Akhir Humne Bhi Khel Liya,
Jis Khel Mein Tha Nuqsaan Bahut…!!
Ye chahaten ..
Ye ronaken ..
Paband hai mere jeenay tak ..
Binaa Rooh k nahi rakhte ghar waale bhi jism ko..
Ik tum ho jise pyar bhi yaad nahi,
Ik mein hu jise or kuch yaad nahi,
Jindgi maut ke do hi to tarane hai,
Ik tume yad nahi ik mujhe yad nahi.
Muskrana chaha muskra na sake,
Geet bhi khusiyo ke hum ga na sake,
Paray to kabhi apne bante nahi,
Hum to apno ko bhi apna bana na sake .
Mohabbat Ada hai uski ..
Aur mera emaan hai,
Usi ke Dil me nahi Hum..
Jo hamari jaan hai.
Woh Andhera Hi Sahi Tha Ki Kadam Rah Par The,
Roshni Le Aaye Muje Manzil Se Bahot Door.
Woh Bhool Gaye Unhe Hasaya Kisne Tha,
Jab Woh Ruthte The To Unhe Manaya Kisne Tha,
Woh Kehte Hain Ke Woh Bahut Achhe Hain,
Lekin Woh Bhool Gaye Ke,
Unhe Yeh Bataya Kisne Tha.
Khwaab itne to dagabaaz na the mere kabhi,
Khwaab itni to meri neend nahi chhalte the,
Raat ki baat kya ik daur me ye khanabdosh,
Din nikalte hi mere saath saath chalte the.
Saza hume ye kaisi mili dil lagane ki,
Ro rahe magar tamnna thi muskurane ki,
Apna dard kise dikhau aye dost,
Dard bhi usine diya jo wajah thi muskurane ki.
Ab Agar Aaoo To Janey k Liye Mat Aana,
Sirf Ehsaan Jataney k Liye Mat aana,
Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain,
Dil Par Umeed Ki Soo Rasmen Jala Rakhi Hain,
Ye Haseen Shamen Bujhaane k Liye Mat Aana,
Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hain,
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hain.
Saarey waadon ko bhula sakta hun,
Lekin rehne do,
Main tumhein chor k ja sakta hun,
Lekin rehne do,
Tum jo har mord pe keh daiti ho khuda hafiz,
Faisla mein bhi suna sakta hun,
Lekin rehne do,
Tum ne jo baat ki dil ko dukhane wali,
Us per main muskura bhi sakta hun,
Lekin rehne do,
“Jise Maine Mohabbat Ki”
“Wo Mohabbat Thi Kisi Aur Ki”,,
“Dhadkan Mere Dil Ki”
“Aur Sansein Kisi Aur Ki”
“Badal Gayi Ye Dunia”
“Wo Dunia Hi Kuch Aur Thi”,,
“Wo Bas Ek Sapna Tha Mera”
“Haqiqat Thi Kisi Aur Ki”
Dukh Kam Nahi Hota Muskurane Se,
Aansu DiL Pe Hi Girte Hai Chupane Se,
Wo Aur Honge Jinhe Manjil Mil Gayi Hogi,
Hamein To Sirf Badnami MiLi Hai Is Zamane Se,
Mai kyo Teri Be’wafai ka Charcha karu,
Gham To kam Nahi Hota Dikhane Se,
Hum Bhi Bhula Denge Biti Hui Baato’n ko.
Kaash tu samaj pata k pyar kitna hai,
Use jatane me dard kitna hai,
Log ikrar karke bhi aasu bahaya karte hai,
Hum izhaar kiye bina khoon se nahaaya karte hai.
Jo kho diya is Dil ne phir rona kaisa,
Yaad-e-maazi se Aashon ko pirona kaisa,
Logon ka kehna hum tum juda ho gaye laikin,
Jab Dil mein Mohabbat hai tu juda hona kaisa,
Teri Ulfat ko Faramosh kiya hi nahi jab,
Tu kisi aur ki mohabbat mein khona kaisa,
Woh tu teri Zindgi ka maqsad hai.
Aarzu thi unki bahon main mera dum nikle..
Kasur unka nahi badnaseeb hum nikle..
Jahan bhi jaye khush rahe wo sada..
Dil se mere dua sada yahi nikle..
Mere hoto ki hasi unke hoto se nikle..
Unke gham ka dariya meri ankho se nikle..
Ye zindagi sada unhe hasati hue nikle..
Mera aitbar kam tha kisi k aitbar k samne,
Mera intzar kam tha kisi k intzar k samne,
De di usne apni chahat kisi aur ko,
Shayad mera pyar kam tha kisi k pyar k samne.
Khud se unhe dur karke dekha,
Na reh sake khud ko majbur karke dekha,
Meri har khata ko vo undekha akrta raha,
Gunhegar hone ko maine har kasoor karke dekha.
Katal kar k aye khuda kissa he tamam kar de,
Yun roz roz marne se main pareshan ho gaya hu,
Dekh kr mujhko sb zinda lash kehne lage hain,
Tu soch main kaisa insaan ho gaya hu !!
Sukoon apne Dil ka Maine kho diya,
Khud ko ‘DARD’ ke samandar main dubo diya,
Jo thi kabhi mere muskurane ki wajah,
Aaj uski kami ne meri palko ko bhigo diya.
Uski Aankhon main koi ‘DARD’ basa hai shayad,
Ya mujhe khud hi Veham sa hua hai shayad,
maine punchha ke bhool gaye ho tum bhi,
ponchh kar Aansu mujhe Usne kaha.. ‘SHAYAD’.
Mit mit ke Musafir ne basaya hai tujhe,
Sabse munh pher kar munh dikhaya hai tujhe,
Tujhse kyun na main Lipat kar soun e-kabar
Maine bhi to Aakhir jaan de kar paaya hai tujhe.
Rone ki saza hai na rulane ki saza hai,
Ye ‘DARD’ muhabbat ko nibhane ki saza hai,
Hanste hai to aankho se nikalte hai Aansoo,
Ye ek shakhs ko itna chahne ki saza hai.
Ek baat to batao,
Mohabat ki har gali gumnaam kyu hai,
Judai or maut ishq ka anjaam kyu hai,
Log dete hai naam ise paakeezgi ka,
To ye mohabbat itni badnaam kyu hai.
Har mulakaat par waqt ka takaza hua,
Har yaad par dil ka ‘DARD’ Taaza hua,
Suni thi sirf logo se judai ki baate,
Ab khud par beeti to Hakeekat ka andaza hua.
Ab na janengey kabhi hum ki zindagi kya hoti,
Tum hote agar sang to tum zindagi hote,
Saath hote hum to kisi rang mein yeh rangi hoti,
Tum khushi hote to zindagi kitni khush hoti,
Dil ko nahi koi aur phir aaarzoo hoti,
Tum hote mere sab kuch to tum sabhi kuch hote.
Uske naa hone se kuch bhi nahi badla mujh main,
e-Dost
Bas jahan pehle Dil rehta tha.
Wahan ab sirf ‘DARD’ rehta hai,
Talash Hai Us Manzil Ki,
Jise Main Pana Nahi Chahti,
Dekh Raha Hai Wo Mujhe,
Par Mai Uski Nazron Mai Aana Nahi Chahati….
Bhul Ke Mujhko Agar Tum Ho Salamat..
To Bhul Ke Tujhko Sambhalna Muze Bhi Aata Hai..
Nahi Hai Meri Fitrat Main Yeh Aadat..
WARNA Teri Tarha Badalna Muze Bhi Aata Hai..
Toote Jo dil to dukh hota hai,
Karke pyar use dil ab bhi rota hai,
‘DARD’ ka ehsas hota hai sirf usko,
Jo Muhabbat ko paane ke baad khota hai.
Muhabbat ka dosto sila kuch nahi,
Ek ‘DARD’ ke Siva mila kuch nahi,
Saare Armaan JAL kar khaak ho gaye,
Log phir bhi kehte hai Jala kuch nahi.
Duniya Ko Haqiqt Meri Pata Kuch Bhi Nahi,
Ilzam Hzaro Hai Aurr Khata Kuch Bhi Nahi,
DiL Me Kya Hai Ye Padh Na Skoge,
Sare Panne Bikhre Hue Hai, aur Likha Kuch Bhi Nahi!
Kyun banaya mujhe ae Banane wale,
Bahut ‘DARD’ dete hai ye Zamane wale,
Maine Aag ke ujale me kuch chehro ko dekha hai,
Mere apne hi the mere Ghar ko jalane wale.
Dil ne hume khoob dard diye,
Phir bhi humne hass hass ke sahe,
Deewangi mein teri kya kuch nahi kara,
Par jo hona tha woh ho hi gaya.
Humare aansu wo jaan na sake,
Mohobbat ki kahani wo maan na sake,
Kaha tha unhone marne k baad b yaad karenge,
Jeete jee to wo yaad kar na sake.
Gamon Se Bhari Hai,
Zindagi Yaron MERI,
Kis ek Ghum Ko Yaad Ker Ke,
Ashq Bahoon Main…
Samandar Pir Ka Andar Hai Lekin Ro Nahin Sakta,
Yeh Ansoon Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahin Sakta,
Meri Chahat Ko Dulhan Tu Bana Lena, Magar Sun Le,
Jo Mera Ho Nahin Paya, Woh Tera Ho Nahin Sakta.
Tera Pyar Pane Ke Liye,
Kya Kya Na Bana Main,
Kabhi Tujhse Hara,
Kabhi Her Bet Per Jita Main,
Main Har Kar Bhi Hara,
Jeet Ker Bhi Hara,
Tere Pyar Ka Hu Main Mara,
Mila Main Tujh Se Bar Bar,
Magar Mil Na Saka Khud Se Dobara.
Hamne Bhi Pyar Dekar Sanam Se Pyar Manga Tha,
So Bar Nahi Bas Ek Bar Iqrar Manga Tha,
Jab Giri Bijli Inqar Ki Hum Par Uske To Fir Se,
Khud Ki Numaish K Liye Gham Ka Darbar Manga Tha.
Ulajte Huye Qayalon Mein,
Chini Ka Pyala Pakad Rahi Thi,
Yeh Kiya Achanak ..
Woh Hath Se Pisla ..
Shayed Usi Waqt Tera Pyar Bhi ..
Mere Dil Se Nikala.
Bin Tere Shehr Ka Shehr Viran Rehta Hai,
Bichar K Tujh Se Har Rasta Sunsan Rehta Hai,
Wo Tujhe Tujh Se Zaida Pyar Karta Hai,
Jo Tere Samne Aksar Anjan Rehta Hai.
Saza Na Do Muje Bekasur Hoon Main,
Tham Lo Mujh Ko Gamon Se Choor Hoon Main,
Teri Doori Ne Kar Diya Pagal Sa Mujhe,
Aur Logon Ka Kehna Hain Ke Magroor Hoon Main.
Waqt ka koi bhi manjar mujhe ab raas ni aata,
Behte paani se ye din bhi nikal jayenge,
Guroor raat ka tootega to jaroor,
Magar khwab hajaar humare bhi bikhar jayenge.
Aap Ki Yadain Amanat Hain Hamari,
Aap Ki Khushi Chahat Hai Hamari,
Aap Se Wafa Mohabbat Hai Hamari,
Par Aap Se Doori Shayad Kismat Hai Hamari.
Zuki Palko Se uska Didar Kiya,
Sab Kuch Bhulakar uska Intzar Kiya,
Vo Jan Hi Na Paya Jazbat Mere,
Jise Duniya Mein Mene Sabse Jyada Pyar Kiya..
Mohabbat bhi teri thi wo nafrat bhi teri thi,
Wo apnaane aur thukrane ki ada bhi teri thi,
Hum apni wafa ke insaaf ka insaaf kaise maange,
Wo shehr bhi tera tha wo adalat bhi teri thi.
Us Ne Kaha Tum Main Pehli Si Baat Nahi,
Main Ne Kaha Zindgi Mein Tera Saath Nahi,
Us Ne Kaha Ab Bhi Kisi Ki Aankhon Mein Doob Jatey Ho,
Main Ne Kaha Ab Kisi Aankh Mein Wo Baat Nahi,
Us Ne Kaha Kyu Itna Toot Ke Chaha Mujhe,
Main Ne Kaha Insaan Hoon Pathar Zaat Nahi.
Fir aaj zindagi se vishwas uth gaya hai,
Kanta sa koi seene me ghus gaya hai,
Meri badnasibi aaj fir mere samne aa gayi,
Meri zindagi ka har Roshan diya bujh gaya hai,
Ab to meri saanse bhi meri ruh ke saath nahi hai,
Mera to sara jaha ek saath lut gaya hai.
Ab Ke Rut Badli To Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Koun !!
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Koun !!
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge,
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Koun !!
Zakham Jitnay Bhi The Sab Mansoob Qaatil Se Howay,
Teray Haathon Ke Nishaan Ay Chaarahgar Dekhay Ga Koun !!
Tere liye khudko majboor kar liya,
Zakhmo ko apne nasoor kar liya,
Mere dil mein kya tha ye jaane bina,
Kune khudko humse kitna door liya.
तेरे लिए खुद को मजबूर कर लिया,
ज़ख्मो को अपने नासूर कर लिया,
मेरे दिल में क्या था ये जाने बिना,
तुने खुद को हमसे कितना दूर कर लिया!
Ankhe kyu hui meri num kabhi sochna,
Kyu hua hum pe itna sitam kabhi sochna,
Pyar to hum dono ne kiya tha,
Lekin sirf mujhe he kyu mila itna gum kabhi sochna.
Guzar jayege aapke pas se hawa bankar,
Beh jayege ankho se aansu bankar,
Aaj to aapke pass fursat nahi,
Yaad karoge jab reh jayege dil ki yaad bankar.
Jise Guzre Din Ke,
Gham Se Nahi Fursat,
Usko Naye Saal Ki,
Kya Mubarakbaad Dena…
Alfaazon me Mohabbat barsaane ka ab naam na lo ..
Dost ..
Ye mohabbat ki shohbat hai,
Jo kalam dard likhti hai.
Ik mulaqat thi ..
Jo dil ko sada yad rahi,
Main jise umer samajhta tha ..
Woh ik pal nikla.
Wo juda ho k bhi meetha dard de rahe hai,
Dur reh ker fir se pass aane lage hai,
Fir se kyu wo yaad aa rahe hai,
Jin ko bhulane me hame jamane lage hai.
Tumhari yadon se koi nata nahi tha,
Pr tumhe bhool jana hame aata nahi tha,
Yu to umar gujri hai tumse pehle bhi tanha meri,
Magar tab akelapan hume yu satata nahi tha.
Umeed ka daman chod to diya hamne,
Apne hathon se apna Dil tod to liya hamne,
Jane kahan se le aati hai uski yaad in ankhon me pani,
Katra katra ansuon ka in ankhon se nichod to liya hamne.
Yadon ka ik kafila,
Is Dil ki duniya ujaad gaya,
Hum aansu bahate reh gaye,
Aur Dil Siskta reh gaya,
Pyase ko 4 bund pani hi kafi hai,
Ishq me 4 din ki zindagani hi kafi hai.
Marna ho to samandar mein kyu jana,
Unki palko se tapakta hua ek ansu hi kafi hai.
Baki nahi alfaz baya karne ko meri mohhabat ke dasta,
Ho sake to tu hi ab kuch yaki karle,
Ess daur main ab tah umar sochne ke jajba nahi hota hai kahi,
Hum to akhri lamhe main bhi tere naam ko sath liye jane ka jaaba rakte hai.
Pathar Bana Diya Mujahy Rone Nahi Diya,
Daaman Bhi Tere Gham Ne Bighone Nahi Diya..!!
Tanhaiyan Tumhara Pata Poochhti Rahien,
Shab Bhar Tumhari Yaad Ne Sone Nahi Diya..!!
Ankhon Mein Aakar Beth Gai Annsoon Ki Lehar,
Palkon Pe Koi Khoawab Peerone Nahi Diya..!!
Ansuo ki likhawat ko padh na sakoge,
Gile Kagaz pe kuch likh na sakoge,
Yaad aayegi tumko hamari baate,
Khokar jab tum hume pa na sakoge.
Mein ne Poocha rooh nikalti hai jisam se kis tarhan???
Hath usne hathon se chura kar dikha dia!!!
Mein ne Poocha mehshar se pehle qayamat hay kya???
Zindagi se usne meri ja kar dikha dia!!!
Mein ne Poocha k ye hasad hay kia cheez???
Usne kisi aur ko apna bana k dikha dia!!!
Meri Yaadon Ki Kashti ..
Uss Samundar Mein Tairti Hai,
Jiss Mein Paani ..
Meri Apni Hi Palkon Ka Hota Hai.
Guzar Gaye Jo Din,
Wo Waapas Laut Kar Nahi Aate,
Lekin Un Dino Ko Yaad Karna ab ..
Mujhe Accha Nahi Lagta.
Aaye khuda kiya cheez mohabbat tu ne banai hai,
Kisi ko yeh mil jati hai aur koi sehta umar bhar ki tanhai hai,
Saath chalne ke khawab dekhte hain Jo log mohabbat main,
Koi paa leta hai apni manzil ko aur koi sehta Umar bhar ki judaai hai.
Fir Nahi Baste Wo Dil,
Jo Ek Baar Toot Jate Hein,
Qabre Jitni Bhi Sanwaro,
Koi Zinda Nahi Hota..!
Is Dil Ki Mohabbat Jan Nahi Paye,
Ek Din Chale Jayenge Is Duniya se,
Or Wo Kahenge ..
Lout Aao Hum Aapko Pahchan Nahi Paye.
Zindgi Hai Akeli Dil Ye Nadaan Hai,
Kya Safar Hai Aur Kya Samaan Hai,
Kisi Tanha Ke Gum Ko Samajh Kar To Dekho,
Tukura Dena Bahota Aasan Hai.
Ek Din Humari Aankhon Ne Bhi,
Thak Kar Humse Keh Diya,
Khawab Vo Dekha Karo Jo Pure Ho,
Roz Roz Humse Roya Nahi Jata.
Mohabbat Laakh Chupayi Zamaane Se Maine,
Magar Aankhon Me Tere Aks Ko Chupa Na Saka.
Mujhe fir tabah kar,
Mujhe fir rula jaa,
Sitam karne wale kahi se tu aaja,
Aankho me teri surat basi hai,
Teri hi tarah tera gam bhi haseen hai.
Shayad Issi Ko Kehte Hain ..
Majbori-e-Hayat ….!!
Ruk Si Gayi Hai ..
Umar-E-Gurezaan Tere Baghair.
Wo dard hi na raha ..
Warna ae mata-e-hayaat
Mujhe gumaan bhi na tha
Main tujhe bhula donga!!!!
Unhe Muskurana Nahi Aata,
Paas Aakar Dur Jana Nhi Aata,
Hume Pyar Jatana Nahi Aata,
Aur Unhe Pyar Nibhana Nahi Aata.
Kyu Insan Hasta He Rone K Baad,
Jeena Fir Bhi Padta He Sab Kuch Khone K Baad,
Socha Aaj Sabko Yaad Kar Lu,
Kya Pata Aankh Hi Na Khule Aaj Sone K Baad.
Jane kya khata he meri aye khuda,
Ke har mood per ajama leta hai tu,
Chahat rakhta hu jis chiz ki,
Use kisi aur ka bana deta hai tu.
Sagar ke paas sab kuch tha,
Par lehro ki tadap kuch or hi thi,
Hume mohabbat to huyi unse yaaro,
Par unki chahat to kuch or hi thi..
Thokare Kha Kar Bhi
Agar Na Sambhle To Musafir Ka Naseeb..
Warna
Raahon Ke Patthar To..
Apna Farz Adaa Karte Hi Hain.
Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De,
Aisa Kar Ya RaBB Meri Hasti Mita De,
Yu Ghut Ghut Ke Jeene Se Maut Behtar Hai,
Kabhi Na Khulain Aankhein Tu Aisi Neend Sula De.
Apni zindgi se mujhe hatane chale ho,
Ek staye hue ko stane chale ho,
Kitne naadan ho tum mere DOST,
Jo apne haton ki lakire mitane chale ho.
Mujse Naraz Hai,
To Chor De Tanha Mujko,
Zindagi Dekh,
Mujhe Roz Tamasha Na Bana.
Tut jaye khwab to judne ki aash kya rakhna,
Palko ke bhigne ka hisab kya rakhna,
Bas isliye muskura dete hai hum,
Ki apni udasi se kisi ko udas kya rakhna.
Kyu ye chehara khushi ka mukhota hata nahi pata,
Pyar jisse karta hai use khul k bata nahi pata
Bhare mehfil mein to sare hamare ho jate hai,
Par kyu ye dil aaj bhi kisiko apna bana nahi pata.
Dil mein unke pyar k arman to hai,
Dil tut jaye magar usmein jaan to hai,
Dekh kar mujhko wo apna chehra ghuma leti hai,
Shukar hai aaj tak unhe mere chehre ki pehchan to hai.
Kyu ye duniya hume kisika hone nahi deti,
Kyu kisiki kasme hume rone nahi deti,
Itni gehri raat hone par bhi,
Kyu kisiki yaade hume sone nahi deti.
Pyar ki paribhasha samjhai nahi jaa skti,
Hai mahoobat hume apse is kadar ke Jatai nahi ja sakti,
Ek lamhe ka hi sath kyun na mil jaye,
Ab tanha zindagi gujari nahi jati.
Dil yu kabhi na udas hota,
Jo koi apna hamare pass hota,
Yu to humne sath diya aksar apno ka,
Par kash kisi ko hmari tanhaiyo ka ehsas hota.

1 comment:

  1. Very Nice Collection.. I really like it.. specially "ROOH NIKALTI HAI". Good Work.

    ReplyDelete