Tuesday, January 2, 2018

Teri Yaad Shayari

Din gujar jata hai apko soch soch kar,
Aati hai sham din gujar jaane ke baad,
Kat ti nahin sham ki tanhaiyaan,
Jaati nahi teri yaad tere jaane ke baad.
Shaam hote hi yeh dil udas hota hain,
Sapno ke siva kuchh na pass hota hai,
Aap ko bahut yaad karte hain hum,
Yado ka har lmha mere liye khas hota hai.
Bazaron ki chahal pahal se roshan hai
In aankhon mein mandir jaisi sham kahan,
Main usko pahchan nahi paya toh kya
Yaad use bhi aaya mera naam kahan,
Din bhar suraj kiska pichha karta hai
Roj pahadi par jati hai sham kahan,
Logo ko suraj ka dhoka hota hai
Aansu bankar chamka mera naam kahan,
Dalano ki dhoop chhaton ki sham kahan
Ghar ke bahar ghar jaisa aaram kahan.
Aaya hi nahi humko aahista guzrana
Sishe ka mukkadar hai takra ke gujar jana,
Taron ki tarah shab ke seene mein utar jana
Aahat na ho kadmon ki is tarah gujar jana,
Nashe mein sambhlane ki ada yun hi nahi aaya
In julfo se sikha hai lahra ke sanvar jana,
Bhar jayenge aankho mein aanchal se bhare badal
Yaad aayega jab gul par shabnam ka bikhar jana,
Har mod par do aankhe humse yahi kahti hain
Jisa taraf bhi mumkin ho tum lout kar ghar jana.
Mujhe bhulaye kabhi yaad karke roye bhi,
Woh apne aap ko bikhraye aur piroye bhi,
Shumar hum na huye un chamkne walon mein
Badan bhi malte rahe roj kapde dhoye bhi,
Bahut gubar bhara tha dilon mein dono ke
Magar woh ek hi bistar par raat siye bhi.
Sukr Hai Khariyat Se Hun Sahab,
Aapse Aur Kya Kahu Sahab,
Ab Samjhne Laga Hu Labh Hani,
Ab Kahan Woh Mujh Mein Junun Sahab,
Hum Tumhe Yaad Karte Ro Lete,
Do Khadi Milta Jo Sukun Sahab,
Sham Bhi Dhal Rahi Hai Ghar Bhi Door Hai,
Kitni Der Aur Main Ruku Sahab,
Ab Jhukunga Toh Toot Jaaunga,
Kaise Ab Aur Main Jhuku Sahab.
Yeh Mujhse Puchhate Hain Doctor Kyu,
Ki Tu Zinda To Hai Ab Tak, Magar Kyu,
Jo Rasta Chhod Ke Main Ja Raha Hun,
Usi Raste Par Jati Hai Najar Kyu,
Sunayenge Kabhi Fursat Mein Tumko,
Ki Hum Barson Rahe Hai Darbadar Kyu,
Yahan bhi sab hai begana hi mujhse
Kahun Main Kya Ki Yaad Aaya Hai Ghar Kyu,
Main Khus Rahta Gar Samjha Na Hota,
Ye Duniya Hai To Main Deedavar Kyu.
Fir Khamoshi Ne Saaj Chheda Hai,
Fir Khayalat Ne Lee Angdayi,
Kisliye Mahfil Sajayee Jaaye,
Pursukun Ho Gayi Hai Tanhayi,
Ek Se Ek Ghatna Huyi Lekin,
Na Gayi Tere Gham Ki Yatnayi,
Koi Shikwa Na Gham Na Koi Yaad,
Baithe Baithe Bas Aankh Bhar Aayi.
Main Jise Mudat Mein Kahta Tha Woh Pal Ki Baat Thi,
Aapko Bhi Yaad Hoga Aaj Kal Ki Baat Thi,
Roj Mela Jodte The Woh Samasya Ke Liye,
Aur Unki Jeb Mein Hi Band Hal Ki Baat Thi,
Us Sabha Mein Sabhyta Ke Naam Par Jo Mon Tha,
Bas Usi Ke Kathya Mein Moujad Tal Ki Baat Thi,
Nitiyan Jhuti Padi Ghabra Gaye Sab Saster Bhi,
Jhopadi Ke Saamne Jab Bhi Mahal Ki Baat Thi.
Raat Ko Jab Chand Sitare Chamkate Hain,
Hum Hardam Fir Teri Yaad Mein Tadpate Hain,
Aap To Chale Gaye Ho Chhodkar Sanam Ko,
Magar Hum Aapse Milne Ko Tarste Hain.
रात को जब चाँद सितारे चमकते हैं,
हम हरदम फिर तेरी याद में तड़पते हैं,
आप तो चले गए हो छोड़कर हम को,
मगर हम मिलने को तरसते है।
Woh Bachpan Ki Baatein Woh Bachpan Ki Yaadein,
Hun Ko Hardam Bahut Hi Yaad Aati Hain,
Ab Toh Humko Bas Yeh Dekhna Hain Baaki,
Ki Yeh Zindagi Humko Kahan Lekar Jati Hai.
Jeevan Ek Bagiya Hai Kaanto Pe Phool Bane,
Sange Mar-Mar Pathar Rahon Ki Dhool Bane,
Ek Patjhad Ka Mosam Aata Hai Bahaaro Mein,
Kuch Sajar Bhi Bagon Ke Vadon Ki Bhul Bane,
Shabnam Hoker Rona Hasna Hai Dhupon Ka,
Barsat Nazro Ki Kuch Pal Ki Jhul Bane,
Har Vaqt Khayalon Mein Chanda Ki Kirne Hain,
Raaton Ke Sitaare Bhi Yaadon Ke Phool Bane,
Kuchh Phool Ukhad Jaate Duniyan Ki Bagiya Se,
Kar Baithe The Hanskar Vaade Na Aasul Bane.
Har Pal,
Mujhe Tumhari Yaad Aati Hai,
Baarish Ki Har Boond,
Tumhari Yaad Dilaati Hai,
Meri Parchayi Mein,
Tu Nazar Aati Hai,
Jab Bhi Dakhna Chahun Tumhe,
Tum To Nahi,
Meri Tanhai Nazar Aati Hai.
Saari Umar Aankho Mein Ek Sapna,
Yaad Raha,
Sadiyaan Beet Gayin Woh Lamha,
Yaad Raha,
Jaane Kya Baat Hai Aap Mein,
Saari Mahfil Bhool Gaye Bas Woh Pal,
Yaad Raha.
Logon Ki Bheed Mein To Maalum Nahi Hota,
Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai,
Aap To Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi,
Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai.
Aaj Fir Unki Yaad Aayi,
Socha Dil Main Unke Fir Utar Jaau,
Kya Pataa Tha Isko Fir Yaad Aaya,
Main To Dariya Hu Kahin Bhi Utar Jaau….
Din Toh Yeh Kat Jata Hai Magar,
Raaton Ko Musibat Hoti Hai,
Jab Yaad Tumhaari Aa Jaaye,
Bas Fir Toh Kyamat Hoti Hai,
Badi Bedard Duniya Hai,
Yeh Dil Ko Tod Deti Hai,
Kadar Isko Nahi Hai Koi,
Yeh Muh Ko Mod Leti Hai.
Hum Kaise Bataaye Ab Aapko Apni Bebasi,
Kyu Aapko Apne Dil Mein Basa Nahi Sakte,
Kyonki Jiski Yaadon Ke Sahaare Hum Zinda Hain,
Unki Yaadon Ko Hum Kabhi Bhula Nahi Sakte.
Hamaare Toh Kuchh Hi Din Baaki Hain Zindagi Ke,
Aapki Yaadon Ke Sahaare Yeh Kat Hi Jaayenge,
Magar Itna Yaad Rakhna Eh Dagaa Karne Waalon,
Ki Aap Bhi Kisi Se Dhoka Jarur Khayenge.
Khafa Hokar Humse Fir Maan Jana,
Yahi Ada To Humko Bahut Bhati Hai,
Baaki To Sabkuchh Bhool Chuke Hain Hum,
Magar Humko Wo Bewafa Bahut Yaad Aati Hai.
Humne To Kaha Tha Aapse Eh Mere Dost,
Ki Aap Humse Dosti Nibha Na Paaoge,
Aap To Shayad Bhool Bhi Jaaoge Hamein,
Magar Humko Ko Aap Hamesha Yaad Aaoge.
Aise Hi Rakhna Mujhe Eh Mere Khuda,
Meri Dosti Sada Aise Hi Paak Rahe,
Hum Mar Bhi Jaaye Koi Gham Na Ho,
Marne Ke Baad Sada Doston Ko Yaad Rahe.
Aaj Humse Woh Door Hain Bahut Yeh Mana,
Magar Yaadon Mein Hum Unko Yaad Karte Hain,
Unse Sapno Mein Hi Mila De Eh Maalik,
Bas Hardam Hum Yahi Fariyaad Karte Hain.
Eh Mere Dost Itna Khyal Rakhna,
Apne Dil Ko Aise Hi Paak Rakhna,
Kal Main Na Bhi Rahun Is Jahan Mein Agar,
Yeh Aarju Hai Aap Hamein Yaad Rakhna.
Kaif Mein Duba Hua Hoon Aalam E Tanhayi Hai,
Phir Teri Yaad Dabe Paanv Chali Aayi Hai,
Shab E Taarik Pe Chhayi Huyi Ranayi Hai,
Yeh Teri Zulf Ke Saaye Hain Ke Parchhayi Hai,
Tere Deevane Ko Itna Bhi Ab Hosh Nahi,
Yeh Tera Aaghosh Hai Ya Ghausha E Tanhayi Hai.
Chand Toh Aata Hai Roj Raaton Ko Magar,
Na Jaane Chandani Ko Kyun Saath Le Aata Hai,
Bahut Koshish Ki Use Bhulane Ki Magar,
Fir Bhi Jaane Kyun Woh Dost Bahut Yaad Aata Hai.
Woh Shayad Isiliye Rahte Hain Door Humse,
Kyunki Unko Apne Husn Par Gurur Hoga,
Magar Yaad Rakhna Eh Dil Todne Waale,
Ki Tumko Iska Ehsaas Jaroor Hoga.
Wada Apna Tu Yaad Rakhna Oh Sanam,
Apne Waade Se Kahin Tu Mukrana Nahi,
Hum Toh Lad Jaayenge Tumhe Paane Ki Khatir,
Kahin Tu Is Janmane Se Darna Nahi.
Jo Pal Gujare Saath Unke,
Woh Pal Bahut Yaad Aate Hain,
Jab Bhi Hum Tanha Hote Hain,
Yeh Humko Bahut Rulate Hain.
Aapke Saath Bitaaye Woh Pal,
Hamare Dil Ko Bahlayenge Hamesha,
Aap Bhale Hi Paas Na Ho Hamare,
Magar Yaadon Mein Hamari Aayenge Hamesha.
Woh Bholi Bhali Si Surat Unki,
Hum Bhool Bhi To Nahi Paaate Hain,
Jab Bhi Yaad Aa Jaaye Unki Kabhi,
Hame Jaante Hain Dil Ko Kaise Samjhate Hain.
Din Ho Bhale Hi Raat Ho,
Bas Yaad Teri Hi Aati Hai,
Kaise Kahu Ke Main Theek Hu,
Yeh Hardam Mujhko Rulati Hai,
Ab Toh Yaaro Khud Se Bhi,
Mujhko Wafa Ki Umeed Nahi,
Mohabbat Aisi Shaii Hai Yaaro,
Jise Sakte Kabhi Kharid Nahi.
Ek Din Aayega Aisa Bhi Yaaro,
Mujhe Yaad Karega Sara Jahan,
Bas Bol Rahenge Mere Geeton Ke,
Mit Jayega Baaki Naamo Nishaa.
Tere Sagar Par Moula Yeh Jahan Julm Dha Raha Hai,
Tu Bhi Door Baitha Kaise Muskura Raha Hai,
Ab Puchhta Bhi Nahi Hai Koi Baad Uske Mujhe,
Aaj Bichhuda Yaar Mujhe Yaad Aa Raha Hai.
Tere Sahar Tera Naam Kyu Teri Baatein Yaad Rakhun,
Jo Hamne Ki Thi Tumse Kyu Mulakatein Yaad Rakhu,
Dil Ko Mere Todkar Ghamon Ka Sagar Hai Diya,
Jo Saath Thi Gujari Kyun Barsaatein Yaad Rakhun.
Main Is Liye Chhod Aaya Tha Woh Tera Sahar,
Ki Shayad Teri Yaad Na Fir Aayengi Mujh Ko,
Magar Kya Maalum Tha Ki Aisa Bhi Hoga Kabhi,
Pahle Se Bhi Jyada Yeh Tadpayengi Mujhko.
Aisi Koi Raat Nahi Aayi Jeevan Mein,
Teri Yaad Jab Seene Se Lagaata Nahi,
Bas Itni Khud Se Hai Sikayat Mujhko,
Kyu Duniya Ko Chhod Main Jata Nahi.
Iltaja Karta Hun Aapse,
Ab Na Yaad Kabhi Aana,
Aakar Meri Kabr Par,
Na Tun Kabhi Askon Ko Bahana,
Badi Muskil Se Dhunda Hai,
Door Jaane Ka Aapse Rasta,
Kasam Hai Aapko Aapki Meri Rooh Ko Na Tadpaana.
Pyar Karta Hun Main Jinko Khuda,
Khush Rakhna Unhe Yeh Fariyad Karta Hun,
Bhale Hi Bhool Gaye Hon Woh Mujhko,
Magar Main Har Pal Unko Yaad Karta Hun.
Teri Yaadon Ke Deep Jal Uthate Hain,
Main Jab Bhi Kabhi Tanha Hota Hun,
Maine Rakhe Hain Aaj Bhi Sahej Kar,
Ashkon Se Tere Diye Jakham Dhota Hun.
Laakh Karta Hun Koshish Ki Yeh Na Aaye,
Aa Hi Jaati Hai Kambhakt Yaad Aapki,
Sari Sari Raat Fir Na Deti Hai Sone,
Mere Sanam Pyari Si Baat Aapki.
Laakh Kahta Hun Bhula Diya Maine Tujhko,
Magar Dil Se Mita Na Saka Tasveer Teri,
Magar Aisi Kahan Thi Mere Yaar Takdeer Meri.
Kabhi Na Kabhi To Aayegi Unko Yaad Hamari,
Kya Hua Aaj Jo Humko Woh Bhulaye Baithe Hain,
Jis Din Jis Pal Bhi Aaoge Dekhoge Sanam,
Hum To Aapki Raahon Mein Palkein Bichhaye Baithe Hain.
Har Baat Samjhayi Nahi Jaati,
Har Yaad Bhulayi Nahi Jaati,
Muskurana Bhi Hoti Hai Majburi Kabhi,
Har Wakt Toh Aankh Rulayi Nahi Jaati.
Dosti Ka Farz Yun Hi Nibhate Rahenge,
Wakt Bewakt Aapko Satate Rahenge,
Dua Karo Ke Umar Lambi Ho Hamari,
Varna Yaad Ban Ke Aapko Satate Rahenge.
Jab Mohabbat Ki Daastan Dil Sunayega,
Humko Koi Bichhuda Sathi Yaad Aayega,
Hum Bhool Jaayenge Zindagi Ke Ghamon Ko,
Jab Saath Gujra Vakt Yaad Aayega.
Yaad Aa Gayi Fir Humko,
Kuchh Bhuli Huyi Baatein Yaaro,
Royenge Jinmein Kuredkar Jakham,
Aa Gayi Fir Woh Baatein Yaaro.
Na Jeene Ki Khusi Na Marne Ka Gham,
Pal Pal Unhe Yaad Karke Tadapte Hain Hum,
Aap Rokar Bhi Apna Dard Kam Na Kar Sake,
Aur Humne Muskura kar Apna Har Gham Chhupa Liya.
Sitaron Ki Mahfil Dekhkar,
Pyar Ki Mahfil Yaad Aati Hai,
Chand Ko Falak Mein Dekhkar,
Mahboob Ki Yaad Aati Hai.
Kaash Is Dil Ki Aawaz Mein Itna Asar Ho Jaye,
Hum Aapko Yaad Karein,
Aur Aap ko Khabar Ho Jaye,
Khuda Se Maangte Hain Ki Aap Jise Bhi Chaho,
Wo Zindagi Ki Raah Mein Apka Humsafar Ho Jaye.
Unki Yaad Mein Sab Kuchh Bhula Baithe Hai,
Chirag Khusiyo Ke Jalye Baithe Hai,
Hum To Marenge Unki Bahon Mein,
Ye Maut Se Sart Lagaye Baithe Hai.
Hasi Ke Raste Pe Chala Karo,
Khushiyo Ki Mahak Liya Karo,
Pyar Se Dilon Ko Chuha Karo,
Jahan Tumhe Gum Nazar Aaye,
Is Nacheez Ko Yaad Kiya Karo,
Har Kali Tujhse Khushboo Udhar Mange,
Aftab Tujhse Noor Udhar Mange,
Rab Kare Tu Dosti Aisi Nibhaye Ki Log Teri Dosti Udhar Mange.
Umar Ki Raah Mein Raste Badal Jate Hai,
Waqt Ki Aandhi Me Insan Badal Jate Hai,
Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare Lekin,
Ankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hai.
उम्र की राह में रास्ते बदल जाते हैं,
वक़्त की आंधी में इंसान बदल जाते हैं,
सोचते हैं तुम्हें इतना याद ना करें लेकिन,
आँख बंद करते ही इरादे बदल जाते हैं।
Dil Se Aapka Khayal Jata Nahi,
Aapke Siva Koi Yaad Aata Nahi,
Ji Chahta Ki Aapko Roj Dekhu Par,
Wo Waqt Kabhi Aata Nahi.
Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badhte,
Dur Hone Se Ehsas Nahi Marte,
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nzhi Jab Hum Apko Yaad Nahi Krte..
Sagar Main Gehraayi Hoti Hai,
Yaadon Main Tanhayi Hoti Hai,
Is Busy Life Main Kaun Kisko Yaad Karta Hai,
Aur Agar Karta Hai To Uski Yaado Main Sachhayi Hoti Hai.
Yaad Mein Teri Kaise Din Gujaare Hain,
Puchho Na Hamse Aalam Woh Judai Ka,
Kaanto Ki Tarah Chubhta Raha Woh Lamha,
Ro-Rokar Gujara Hai Raasta Har Tanhai Ka.
Paimane Se Nikli Hai Aawaz Teri,
Stati Hai Mujhko Sanam Yaad Teri,
Kisi Gair Ka Daman Tham Na Lena,
Warna Ho Jayegi zindagi Barbad Meri.
Ishq Paane Ki Tamanna Mein Sanam,
Zindagi Barbad Banker Reh Gayi,
Jis Surat Ko Dil Mein Basaya Tha Kabhi,
Aaj Woh Surat Ek Yaad Bankar Rah Gayi.
Tarsegi Tu Pyar Ke Liye Tamam Umar,
Ab Yaar Tujhe Main Aisi Saja Dunga,
Yaad Karegi Jab Tu Mere Pyar Ko,
Magar Us Din Main Tujhe Bhula Dunga.
Bheegi Palkon Ke Sang Muskurate Hain Hum,
Pal Pal Dil Ko Kuch Aur Behlate Hain Hum,
Tu Door Hai Humse To Kya Hua Mere Dilbar,
Har Saans Mein Teri Aahat Paate Hain Hum.
Yaad Aane Wale Yaad Aaye Ja Rahe Hain,
Mere Khayalon Kee Duniya Par Chaye Ja Rahe Hain,
Hum Kuch Keh Rahe Hain Par Wo Chup Hain,
Bas Mera Khat Padh Kar Muskuraye Ja Rahe Hain.
Zindagi Ke Har Lamhon Mein Unhi Ko Paate Hain,
Bhool Jayein Khud Ko Par Unhe Nahi Bhulate Hain,
Jane Kya Baat Hai Unme Ae Khuda,
Jitna Bhulate Hain Wo Utna Yaad Aate Hain.
ज़िन्दगी के हर लम्हो में उन्ही को पाते हैं,
भूल जाएं खुद को पर उन्हें नहीं भुलाते हैं,
जाने क्या बात है उनमे ऐ खुदा,
जितना भूलते हैं वो उतना याद आते हैं.
Tanhai Mein Hum Teri Taakte Hain Raahein,
Tumhe Dekhne Ko Taras Jati Hain Nigahein,
Bekhudi Ka Ab Yeh Aalam Hai Kaisa,
Tumhe Yaad Karke Nikal Jati Hain Aahein!
Unki Yaadon Ko Abhi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun,
Haye Main Kis Zalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun,
Inhi Raahon Se Aayenge Bhale He Baad Mere Marne Ke,
Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun!
Yaad Aa Rahe Hai Din Or Raat,
Karte The Jab Hum Aapki Baat,
Khush Ho Lete The Gam Bantkar,
Acha Lagta Tha Tab Tera Sath.
Kuch Yadon Ke Silsile Le Kar Chal Pade Hai,
Manjil Pa Jayenge Hum Bhi Waqt Aane Par.
Duriya Mita Na Sakengi Dil Par Jo Hai Nishan,
Ishq Mera Hi Jitega Uske Aajmane Par.
Mera Iljam He Tere Par Ke Tu Bewafa Tha,
Dosh To Tera Tha Par Tu Hamse Hi Khafa Tha,
Ek Kitab Main Bayan He Teri Meri Kahani,
Yaddon Se Sarabor Uska Ek Ek Saffa Tha.
Sirf Yaad Ban Kar Na Rah Jaye Pyar Mera,
Kabhi Kabhi Kuch Waqt Ke Liye Aya Karo,
Meri Dolat He Jo Sambhal Ke Dil Main Rakhta Hu,
Mere Agar Aap Nahi Aap Sakte To Kuch Yaden Hi De Jaya Karo.
Jane Kitni Umeede Thi Tujhko Meri Yadon Se,
Ke Jab Bhi Ayengi Haal Suna Jaya Karengi.
Hum Bhi Tere Liye Ek Khilona Bhar The,
Ke Yaden Ayeni Or Dil Bahla Jaya Karengi.
Unn phoolon se dosti kya karoge,
Jo ek din murjha jayenge,
Karna hai dosti to hum jaise kaanton se karo,
Jo ek baar chubhe toh baar-baar yaad ayenge.
Yaadein Do Dilon Ke Faasle Ko Kaam Karti Hai,
Zindagi Aap Jaise Doston Par Naaz Karti Hain,
Mat Ho Udas Ke Aap Dur Hain Humse Kyun Ke..
Duriyan Hi Rishton Ko Aur Khas Karti Hain.
Kyo yaad aati ho dil dukhane ke baad,
Kyo dur jati ho pass aane ke baad,
Humne to bahut chaha hai dil se tumko,
Fir kyu aansu de jati ho yaad aane ke baad.
Dil ke dariya me dhadkan ki kasti hai,
Khawabo ki duniya me yado ki basti hai,
Mohabbat ke bazar me chahat ka sauda,
Wafa ki kimat se to bewafai sasti hai..
Yaad ap ko kuchh is trah karte hain,
Ki ap ki yaado mein hi khoye rahte hain,
Kab gujar jati hain din aur rate,
Fir bhi ap ki khayalo me jagte hue hi soye rahte hain.
Album to meri hai magar tasveer teri hai,
Aadhi khali hai aur aadhi bhari hai,
Teri tasveer khojta hun magar nahi milti,
Shayad aadhi ko jis ki talas hai,
Dost wo tasveer teri hai.
Chand bhi tanha,
Raat bhi tanha,
Aur tanha meri Zaat hai,
Phir Toot ke ye yaad aaya,
Ajeeb December ki ye Raat hai.
Dil me aap ki yaaden ne kar liya hai makaam,
Umar bhar aapki yaad rahegi paigham,
Aap ki is dosti ne kar diya hame ghulam,
Are jaathe jaathe usthaadon lelo hamari salaam.
Yaadoki Safar Me Chalte Hi Rehena,
Zindegi Me Har Pal Muskurate Rehana,
Mussibat Aaye To Khuda Ko Yaad Karna,
Aur
Zindegi Me Kisiko Kabhi Alvida Na Kehena.
Kyo yaad aati hai teri,
Kyu plake bheeg jaati hain meri,
Jaha-jaha bhi gire mere aanshu,
Kyun tasveer ban jatti hai teri..
Chupke Se Jo Mangi Hai,
Un Duao Me Tum Ko Pana Hai,
Tum Rooth Ke Mujse Na Jao,
Mujhe Sath Tumhara Pana Hai,
Tum Laut Ke Wapis Aa jao,
Mujhe “Hamsafar” Tumhe Bnana Hai.
Dil ki duniya khali hai tab se jab se tum gaye ho,
Sab aane se darte hain yahan jab se tum gaye ho,
Sheeshe mein dekhta hoon chehra apna to ro deta hoon,
Kissi ne na poonche aansoo jab se tum gaye ho.
Din me yaad usko ek baar nahi baar karte the,
Ye jante hue ki uski yaad hi aayegi phir bhi intezar karte the,
Par jab us bekadar garoori se hi chot khai hamne tab hosh aya ki,
Hum to kisi pathar se pyar karte the.
Raat Guzri Fir Mahekti Subha Aayi,
Dil Dhadka Fir Aapki Yaad Aayi,
Aankho Ne Mahesus Kiya Uss Hawa Ko,
Jo Aapko Chhukar Hamare Paas Aayi.
Kudarat ke karishme mein agar raat na hoti
To khawabo mein yun mulakaat na hoti
Har rishte ki wajah ye dil hi hai
Agar ye dil na hota to koi baat hi na hoti.
Palko mein kaid kuch sapne hai,
Kuch begane aur kuch apne hai,
Na jaane kya kasish hai in khayalo mein,
Kuch log humse dur hoke bhi kitne apne hai.
Raat kya hui Roshni ko Bhool gaye,
Chand kya nikla suraj ko bhool gaye,
Maana kuch der hum ne aap ko SMS nahi kiya,
To kya aap hamein yaad karna bhool gaye.
Good Night
रात क्या हुयी रौशनी को भूल गये,
चाँद क्या निकला सूरज को भूल गये,
माना कुछ देर हमने आपको SMS नही किया,
तो क्या आप हमे याद करना भूल गये.
Good Morning
Dekho fir raat aa gai,
Good Night kahne ki bat yaad aa gai,
Hum baithe the sitaro ki panah mein,
Chand ko dekha to aap ki yaad aa gai.
Good Night
Ek aah jo dil ko rula de,
Ek waah jo maan ko bahla de,
Ek raah jo manjil ko mila de,
Aur, ek SMS jo apno ki yaad dila de.
Bahut khubsurat hote hai,
Wo pal jab koi dost saath hote hai,
Lekin usse bhi khubsurat hote hai,
Wo lamhe jab dur rahkar bhi wo humein yaad karte hai.
Kaise Guzarti Hai,
Meri Har Ik Sham Tere Baghair,
Agar Tu Dekh Le To,
Kabi Tanha Na Chor Mujhe.
Yun Raton ko Jagnay ki Aadat ..
Meri to Na the ..
Na Janay Q kisi ki Yaadon Ne ..
Awara bana Diya.
Tujh mein apnapan dekha tha maine,
Sar jhukake sharmai thi mein,
Dil hi dil mein ghabrai thi mein,
Tere mathe ko chum apna smjha tha maine,
Tere seene ko chu teri dhadkano ko suna tha maine,
Kya ho gya tujhe,
Kyu chod gya tu mujhe,
Jaan thi na mein teri.
Ek mitha sa ehsas huya abhi-abhi,
Esha laga apne yaad kiya abhi-abhi,
Etna to yakin hai dil ko her waqt na sahi,
Per hum yaad to aate honge apko kabhi-kabhi.
Tumhari Har Ada Har Baat Pe Fida Hu Mein,
Tumse Bahut Kareeb Hoke Bhi Judaa Hu Mein,
Tumhare Chale Jaane Pe Bhi Zindaa Hu Mein,
Bas Isi Baat Pe Aaj Sharmindaa Hu Mein.
Har Waqt Tum Ko Yaad Karta Hu,
Ha Main Tumsein Pyaar Karta Hu,
Kyun Tum Mujhse Khafa Ho,
Main Tumhi Per To Marta Hu.
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahi,
Duniya samajh rahi hai Mohabbat usse nahi,
Lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main,
Kafi dinon se Mujh se shikayet usse nahi,
Dil ki zameen us ki hai banjar issi liye,
Jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahi.
Kash Hum Aapse Mil Paate,
Aapko Apne Gale Se Laga Paate,
Najare Tarasti Hai Aapke Didar Ko,
Kuch Pal Hi Sahi,
Par Kash Hum Aapki Sirf Ek Jalak Bhi Dekh Paate.
Har baat ko yaad karte hai,
Kabhi chahat kabhi judai ki aah bharte hai,
Yun to roz aap se phone me baat karte hai,
Phir bi mulakat ki intazzr karte hai.
Tum na aao to bechain rehta hai dil mera,
Dekh ker tumko chain khota hai dil mera,
Kaise aayega mere dil ko karar pata nahi,
Ki teri yaad mein pal pal dil rota hai mera.
Beete pal phir la nahi sakte,
Sukhe phul phir khila nahi sakte,
Kabhi kabhi lagta hai aap hume yaad nahi karte,
Par dil kehta hai aap hame bhula bhi nahi sakte..
Aaj Tak Qaim Hai ..
Uske Lout Aane Ki Umeed,
Aaj Tak Tehri Hai ..
Zindagi Aapni Jaga ..!!
Ek muskan tu muhje ek baar de de,
Khwab mein hi sahi ek deedar de de,
Bas ek baar kar le tu aane ka wada,
Phir Umar Bhar ka chahe intezar de de.
Aapki Yaad Ne Mujko Beqrar Kar Diya,
Tanha Jeena Mera Dushwar Kar Diya,
Socha Aaj Apko Hum Yaad Na Kare,
Kambakht Dil Ne Dhadkne Se Inkar Kar Diya,
Kitni Zaalim Hoti Hai,
Ye Pal Do Pal Ki Pehchan..
Na Chate Huye Bhi,
Dil Ko Kisi Ka Intezaar Sa Rehta Hai…
Tarapte hai jab uski yaad mein,
To dil se bus yahi Dua nikalti hai,
K jhotti Mohabbat kisi Dushman ko bi na ho.
Teri Ankhon Me Ansoo The Meri Khatir,
Teri Ankhon Me Ansoo The Meri Khatir,
Wahi Ek Lamha Muje Zindagi Se Pyara Laga.
Khuda pyar sabko deta hai
DIL bhi sabko deta hai
DIL me basne wala bhi sabko deta hai
Per
Kaash Unko Kabhi Fursat Mein Yeh Khayal Aa Jaye,
Ke Koi Yaad Karta Hai Unhey Zindagi Samajh Kar.
Tamnna ishq to hum bhi rakhte hai,
Hum bhi kisi ke dil me dhadkte hai,
Milne chahte to bahut hai aapse,
Par milne ke bad judai se darte hai.
Pyar ne ye kaisa tohfa de diya,
Mujhko gumo ne pathar bana diya,
Teri yaadon main hi kat gayi ye umar,
Kehta raha tujhe kab ka bhula diya.
प्यार ने ये कैसा तोहफा दे दिया,
मुझको गुमो ने पत्थर बना दिया.
तेरी यादों मैं ही कट गयी ये उमर,
कहता रहा तुझे कब का भुला दिया!
Bina Pukare Hume Apne Sath Paoge,
Karo Wada Ki Dosti Aap Be Nibaoge,
Matlab Ye Nahi Ki Roz Yaad Karna,
Bus Yaad Rakhna Uss Waqt,
Ab Khud Ko Tanha Paoge.
Waqt guzrega hum bikhar jayenge,
kaun jane k hum kidhar jayenge,
Hum apki parchayi hain yaad rakhna,
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge.
तुझे भूलकर भी न भूल पायेगें हम!
बस यही एक वादा निभा पायेगें हम!
मिटा देंगे खुद को भी जहाँ से लेकिन!
तेरा नाम दिल से न मिटा पायेगें हम!
Tujhe bhool kar bhi Na bhula payenge hum,
Bas yahi ek wada Nibha payenge hum,
Mita denge khud ko Jhan se lekin…
Tujhe na bhula payenge hum.
Kash K Wo Lout Aaye Mujh Se Ye Kehne.
.
.
.
.
K Tum Kon Hote Ho Mujh Se Bicharne Wale.
Udaas Hai Dil Aur Ankho Me Nami Hai,
Jaise Rutha Hai Aasman,
Our Khamosh Ye Zami Hai,
Yaad Na Karne Ki Koi To Wajah Batao,
Naaraaz Ho Humse Ya Wakt Ki Kami Hai.
Nasha hum karte hain,
ilzaam sharaab ko diya jaata hai,
magar ilzaam sharab ka nahi unka hai,
jinka chehra hume har jaam me nazar aata hai.
नशा हम करते हैं,
इलज़ाम शराब को दिया जाता है,
मगर इल्ज़ाम शराब का नहीं उनका है,
जिनका चेहरा हमें हर जाम में नज़र आता है!
Kadmo ki duri se dilo ke fasle nahi badte,
Door hone se ehsas nahi marte,
Kuch kadmo ka fasla hi sahi hamare beech,
Lekin aisa koi pal nahi jab hum apko yaad nahi krte.
Apni barbadiyo ke saaye mein,
roz jeeta hun roz marta hun,
Tum mujhe bhool gayi ho lekin,
main tumhe ab bi yaad karta hun.
Na muskurane ko jee chahta hai,
Na aansoo bahane ko jee chahta hai,
Likhun to kya likhun teri yaad mein,
Bas tere pass laut aane ko jee chahta hai.
Ek roj jab wo mujhse miley to kehne lage ki,
Tum yu udaas na raha karo mujhe achha nahi lagta,
Yaaro, Main to us se itna bhi na keh saka,
Ye udaasi to kab ki chali gayi hoti…
Jo mujhe tera saath mil gaya hota…
Kasam khuda ki hamein tum se pyar aaj bhi hai,
Wo pyar ki taraf bekarar aaj bhi hai,
Meri wafa ka aitbar tumhe ho ya na ho,
Teri wafa ka aitbar hamein aaj bhi hai
Koi sham aati hai tumhari yaad lekar,
Koi sham jati hai tumari yaad dekar,
Mujhe tho us sham ka intezar hai,
jo aaye tume saath lekar.
Wo din din nahi, wo raat raat nahi,
wo pal pal nahi, jis pal teri yaad nahi,
teri yaadon se maut hame alag kar sake,
maut ki bhi ye aukat nahi.
Aankhon me rehne wale ko yaad nahi karte,
Dil me rehne wale ki baat nahi karte,
Hamari to RUUH me bas gaye ho aap,
Tabhi to milne ki FARIYAD nahi karte!
Aankhon me rehne wale ko yaad nahi karte,
Dil me rehne wale ki baat nahi karte,
Hamari to RUUH me bas gaye ho aap,
Tabhi to milne ki FARIYAD nahi karte!
Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan,
Na Karta Kisi Ko Yun Ye Pareshaan,
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Me,
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Sake Bayaan.
Tapish Suraj Ki Hoti Hai,
Jalna Zameen Ko Parta Hai,
Qusur Aankhon Ka Hota Hai,
Tarapna Dil Ko Parta Hai.
Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.
Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu.

1 comment: