Tuesday, January 2, 2018

Very Sad Shayari In Hindi



Tumhe mujhse sayad ab koi wasta nahi,
Tumhe mujhse sayad ab koi wasta nahi,
Par tere hisse ka waqt main…
Aaj bhi tanha gujarta hu.
Aaj bhi unke intzar me sham ho gayi,
Kalam uthate hi aur ek ghazal fir unke naam ho gayi,
Hum chahte hai unhe aaj bhi,
Fir kyon ye tanhai meri mohbbat ka inaam ho gayi.
Dil ki khwahish ko naam kya du,
Pyar ka use paigam kya du,
Is dil me dard nahi yaaden hai uski,
Ab yaaden hi mujhe dard de to use ilzam kya dun.
Dil ki aawaz se nagmein badal jate hai,
Sath na de to apne badal jate hai,
Palke bhi jara samhal ke jhapkana kyunki,
Palke jhapkane se sapne badal jate hai.
Sochta hu ke kabi
tere dil me utar kardekh lu…
Kon basa hai tere dil me jo mujhe
basne nahi deta..!!
Aakhri saanse hai meri ab to aajaa,
Khuli hai palke tu jhalak dikha jaa,
Mar na jaye kahi tere intezaar mein,
Aakhri waqt to surat dikha jaa.
Dard Mujhko Dhhoond Leta Hai Roz,
Naye Bahane Se,
Ae yaaro,
Woh Ho Gya Hai Waqif Mere Har,
Thikane Se.
Dil ki gahrayio me humne sirf tumhe hi dekha,
dil ki gahrayio me humne sirf tumhe hi dekha,
bus fark tha to itna hi ki wha daba dard
na tumne aur na hi zamane me kisi ne dekha.
Hume tumse mohabbat hai itni,
phir bhi wafa tum nibhate nahi,
tumhe mohabbat hai gairo se itni,
jitni nafrat hum chah k bhi tumse karpate nahi.
Kabhi Hum Bhi Soya Karte The
Teri Tarha Bekhabar Ho Kar,
Jaan ..
Ab Toh Yeh Aalam Hai,
Ke Neend Ko Taraste Taraste Raat Guzar Jaati Hai.
Zindagi Mujhse Kehti Hai,
Har Dam Udaas Mat Raha Kar …!!!
Main Kehta Hoon Mujhe
Ik Wajah To De Hansne Ke Liye…!!!
Yeh kudrat ka da dastoor hai,
ya kismat ka kasoor hai,
Koi to duniya chod gya,
koi jeene ko majboor hai.
Dard ka ehsaas tb huya,
jab zakham nasoor ho gaya,
ek sawal kiya khuda se,
ki mujhse kya kasoor ho gaya,
Kyun takdeer me likh diya rona khuda tune,
kyun har pyar karne wala mujhse door ho gaya.
Gujarta waqt hame ehsaas kara deta hai,
jise chate hai hum dil se wo hi dil dukha deta hai,
Waqt marham laga deta hai jin zakhmo pe,
Koi apna uske dard ko fir se jaga deta hai.
Koi umeed nahi thi ..
Hume unse mohabbat ki,
Sirf ik shaunk tha ki ..
Dil toote to unke haath se toote.
Na kar mohabbat aye Dil ye tera kaam nahi hai,
Khushiyon ka jahan me kahi tera naam nahi hai,
Hamne bhi ab ye socha hai k ab chain se so jayen,
Jeete jee hamahi Kismat me araam nahi hai.
Kitab likh du agar padhe koi,
Main bhi kahu apni agar sune koi,
Meri khamoshi ki zuban koi samajhta he nahi,
Aur koi samjhe na to kya kahe koi..!!
Tanha hu to ab main khush hu,
na bichad jane ka gum na kisi ka intzar hota hai,
Chalta hu to lagta hai k koi sath hai mere,
palat kr dekhta hu to mera saya he bs har bar hota hai ..
Hansne ke baad kyu rulati hai duniya,
Jaane ke baad kyu bhulati hai duniya,
Zindagi me kya kuch kasar baaki thi,
Jo marne ke baad bhi jalati hai duniya.
Pal Pal Uska Saath Nibhaate Hum,
Ek Ishare Pe Duniya Chhor Jate Hum,
Samundar K Beech Me Pohanch Kar Fareb Kiya Usne,
Woh Kehta To Kinare Peh Hi Doob Jate Hum.
Sapno Me Ek Pyara Dost Roz Aata Hai,
Sath Guzre Har Pal Ki Yaad Dilata Hai,
Dil Karta Hai Ye Lamha Yun Hi Ruka Rahe,
Par Subah Hote Hi Khwab Toot Jata Hai.
Ehsaas Duriyo Ka Waqt Ke Sath Bhi Hoga,
Gujarte Lamho Main Yaado Ka Khwab Bhi Hoga,
Ham Honge Ya Na Honge Unke Zindagi Main,
Magar Hamare Na Hone Ka Asar Hamare Baad Bhi Hoga.
Aye Chand Usey Kehna,
Woh Jo Dur Bohat Dur Basta Hai,
Usey Koi Yaad Karta Hai,
Aur, Behisaab Karta Hai,
Usey Kehna,
Jab Woh Kisi Aur Ke Sang Hasta Hai,
To Phir Dur Bohat Dur Kisi Ka Dil Darhakta Hai,
Aur,
Jab Woh Udaas Hota Hai,
Pass Uske Na Koi Gham Shanas Hota Hai,
To Phir Dur Bohat Dur Kisi Ki Aankhon Se Lahoo Barasta Hai.
Log puchte hain kyu surkh hain tumhari aankhein,
Hans ke keh deti hoon raat ko so na saki,
Laakh chahoon bhi magar ye keh na sakoon,
Raat ko rone ki hasrat thi magar ro na saki..
Vishwas Ban ke Log Zindagi Me Aate Hai,
Khwab Ban ke Aankho Me Samaa Jaate Hai,
Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Wo Hamare Hai,
Fir Na Jaane Kyu Badal Jaate Hai.
Na Jagte Huye Khwab Dekha Karo,
Na Chaho Use Jise Pa Na Sako,
Pyaar Kaha Kisika Pura Hota Hai,
Pyaar Ka Pehla Akshar Adhura Hota Hai.
Pyar ne ye kaisa tohfa de diya,
Mujhko gumo ne pathar bana diya,
Teri yaadon main hi kat gayi ye umar,
Kehta raha tujhe kab ka bhula diya.
प्यार ने ये कैसा तोहफा दे दिया,
मुझको गुमो ने पत्थर बना दिया.
तेरी यादों मैं ही कट गयी ये उमर,
कहता रहा तुझे कब का भुला दिया!
Zindgi ne Diya Subkuch,
Par Wafa Na Di,
Zakham Diye Sub Ne Pa,r
Kisi Ne Dawa Na Di,
Hum Ne To Subko Apna Mana,
Par kisi Ne muje Apno Me Jagah Na Di…
Bs Di To Thokar Di.
RABBA Tu v kise naal Ishq kita hovega,
J nahi kita te kadi kri v na,
PACHTAVENGA,
Asi taan marr k tere koL aa Javaange.
Das tu marr k kithe Javenga.
Jab husan burke me chala karta tha,
ek dewana peeche-peeche chala krta tha,
sochta tha kab hawa chale aur husan ka deedar ho,
Ek din dewana chal basa aur husan ko dewane ki yaad aayi,
jab wo kabar pe aayi to andar se awaz aayi
waah re khuda
aaj mai parde me aur wo benakaab aayi…
Meri Mohabbat ka is Tarah..
Mazak na Bna dena k,
Teri aankhain hi taras jaye..
Mujah dekhnay k liye.
Kabhi-kabhi ye dil jaroor rota hai,
Jab koi apna mil kar nazron se door hota hai,
Kyun roti hai kambkht ye ankhen..!!
Kya dil se zyada inka kasoor hota hai…
Inkar Ko Ikrarr Kehte Hai,
Khamosi Ko Izhar Kehte Hai,
Kya Dastur Hai Is Duniya Ka,
Ek Khubsurat Sa Dhoka Hai,
Jise Log PYAR Kehte Hai
Kyu jha me esa bhi hota hai,
Jo sabko khushi de jane wahi kyu rota hai,
Jo sath na de zindgi bhar…
Jane pyar bhi unhi se kyu hota hai.
Kam nahi hain aansu..
meri ankhon me magar,
rota nahi k unme..
uski tasveer dikhti hai.
Dil ke dard ko dil todne wale kya jane,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni takleef kabar ke niche,
Yeh upar se phool chadhane wale kya jane.
Mohabbat Ke Sapney Wo Dikhaate Bahut Hain,
Raaton Main Wo Hum Ko Jagaate Bahut Hain,
Main Aankhon Main Kaajal Lagaaun To Kaise,
In Aankho Ko Log Rulaatay Bahut Hain.
Is behte dard ko mat roko,
Ye to saza hai kisi ke intejar ki,
Log inhe aansoon kahe ya deewangi,
Par ye to nishani hai kisi ke pyaar ki.
Toota ho dil to dukh hota hai,
Karke mohabbat kisi se ye dil rota hai,
Dard ka ehsaas to tab hota hai jab…
Kisi se mohabbat ho aur uske dil mein koi aur hota hai.
Bina Pukare Hume Apne Sath Paoge,
Karo Wada Ki Dosti Aap Be Nibaoge,
Matlab Ye Nahi Ki Roz Yaad Karna,
Bus Yaad Rakhna Uss Waqt,
Ab Khud Ko Tanha Paoge.
Hamdard ban kar aya tha aur dard dekar chala gaya,
Mere Dil ko Zakham naya vo khudgarz dekar chala gaya,
Arman jaga kar sab mere fir tanha chod gaya mujhko,
Apni yaaden dekar milne ka khwab dikha kar chala gaya.
Jab gamon ka daur chal pada waqt ki tarah,
Andhera tha roshni bhi kam thi zindagi ki tarah,
Tabhi kuch jala roshni ho gyi,
Dekha to har khushi jal rahi thi mere Dil ki tarah.
Dil todne ka bahana mil gaya usko,
Dil tod ke begana vo muskuraye bahut,
Toote dil me jo dekhi apni tasveer usne,
Ankhon se ro na saka pr Dil he Dil mein Pachtaya bahut.
Zindagi Hamari Sitam Ho Gayi,
Khushi Na Jane Kaha Dafan Ho Gayi,
Bahut Likha Khuda Ne Logoe Ki Kishmat,
Par Hamari Bari Aayi To,
Sihayi Hi Khatam Ho Gayi..!!
Is Dil Se Wo Dur Jate Bhi Nahi.
Hakeekat Me Wo Humhe Chahte Bhi Nahi.
Auro Ke Liye Wo Rote Rahte Hain Raat Bhar.
Hamare Liye To Woh Muskurate Bhi Nahi.
Iss Ghaflat Me Naa Rehna,
Ki Tere Waastey Main Jaag Raha Hun,
Neend Meri Aankhon Se Nahi,
Mere Muqaddar Se Udhi Hain.
तुझे भूलकर भी न भूल पायेगें हम!
बस यही एक वादा निभा पायेगें हम!
मिटा देंगे खुद को भी जहाँ से लेकिन!
तेरा नाम दिल से न मिटा पायेगें हम!
Tujhe bhool kar bhi Na bhula payenge hum,
Bas yahi ek wada Nibha payenge hum,
Mita denge khud ko Jhan se lekin…
Tujhe na bhula payenge hum.
Zindagi Ke Safar Ko Lafzon Me Piroya Hai,
Apni Har Ghazal Ko Dard Me Bhigoya Hai.
Plz Aaj Wah Wah Na Kehna…
Qki
Aaj Fir Ye Dil Kisi Ki Yaad Me Roya Hai.
Ek ajeeb sa manzar nazar aata hai,
Har ek pal samandar nazara aata hai,
Kahan banau main ghar sheeshe se,
Har kisi ke hath mein patthar nazar aata hai…!
Zindagi badi hi bedard hoti hai,
yaaro…
kise ko itna de dete h ki sambhale nahi sambhalta,
kise ko kuch dete he nahi.
Bhale Hi Kisi Gair Ki Jaagir Tha Wo,
Par Mere Khwaabo Ki Tasveer Tha Wo.
Mujhe Milta To Kaise Milta,
Kisi Aur Ke Hisse Ki Taqdeer Tha Wo.
Raaste Mein Pattharo Ki Kami Nahi Hai,
Mann Mein Toote Sapno Ki Kami Nahi Hai,
Chaahat Hai Unko Apna Banana Ki,
Magar Unke Paas Apno Ki Kami Nahi Hai.
Yun To Sadmo Mein Bhi Hans Leta Tha Main,
Aaj Kyu Bewajah Rone Laga Hun Main,
Barson Se Hatheliyan Khali Hi Rahi Meri,
Phir Aaj Kyu Lagaa Sab Khone Laga Hun Main.
Mere saber ka imtihan mat lo,
dil to le liya ab jaan mat lo,
pukarne lage hai mujhe log tere naam se ab,
kam se kam mujhse meri pehchan mat lo.
Dard bahut huya Dil ke toot jane se,
Kuch na mila unke liye ansu bahane se,
wo jante the vajeh mere dard ki,
fir bhi baaz na aye wo mujko azmane se.
Labon pe tera naam main laun kaise,
Tumne bhula diya par main tujko bhulaun kaise,
Tera zikar nahi karta k tu badnaam na ho jaye,
Par ye ansu main in ankhon me chupaun kaise…!!
Mar jayen hum to fariyad mat karna,
aaj yaad nahi karte to kal bhi yaad mat karna,
mana k aaj waqt nahi humare liye apke paas,
Zindagi me kabhi waqt mile to hum pe barbad mat karna. .
Pyar kya hai ye sikhaya usne,
Pyar ka ehsas dil me jagaya usne,
Fir jane kyu mujhe bhulaya usne…!!
Ab kya kahu mujhe kaisa pyar sikhaya usne..!!
Jane kitne aansu bahate hain…
hum ishq mein har roz,
itne aansu peekar bhi…
ye ishq pyasa kyun hai khuda..!!
Door jakar bhi hum door jaa na sakenge,
Kitna royenge hum bata na sakenge,
Gham iska nahi ki aap mil na sakoge,
Dard is baat ka hoga ki hum aapko bhula na sakenge.
The one who never valued my love,
Coincidentally I was loving only her,
That candle itself burnt my hand,
The one I was protecting from wind.
Na Karta Shikayat Zamane Se Koi,
Agar Maan Jaata Manane Se Koi,
Kisi Ko Kyun Hamesha Yaad Karta Koi,
Agar Bhul Jaata Bhulane Se Koi!
Roti hui ankho me intzar hota hai,
na chahte huye bhi pyar hota hai,
kyo dekhte hai hum wo sapne,
jinke tutne per bhi unke sach hone ka intzar hota hai.
Bichar kar humse,
phir kisi ke bhi na ho sakoge,
tum miloge sab se,
magar humari hi TALAASH me….!
Jo mujhse nafrat kare…
ab mujhe wo hi pasand hai ae dost,
Mohabbat karne wale to aksar…
barbad kar diya karte hai.
Kitna khusnuma hoga,
wo meri maut ka manjar,
Jab mujhe thukrane wale khud mujhe pane ke liye,
aansu bahayange…!!
Tere Na Hone Se…
Zindagi Mein Bas Itni Si Kami Rehti Hai,
Main Chahe Laakh Muskurau…
In Aankho Mein Nami Rehti Hai.
Mere chehre se kafan hata kar…
jara didar to kar lo,
ae jaan band ho gai hai wo ankhe…
jinhe tum rulaya karte the.
Hum to samjhe the ki zakham hai bhar jayega,
kya khabar thi ki rog dil me utar jayega,
Theek likha tha mere hath ki lakero me,
Tu agar pyar karega to bikhar jayega.
Bewafao ki ye duniya hai,
zara sambhal kar chalna e dost,
yaha log barbad karne ke liye bhi…
mohabbat ka sahara liya karte hai…!!
Kyon waqt ke saath rangat kho jati hai,
hasti khelti jindgi bhi aam ho jati hai,
ek savera tha jab haskar utha karte the hum,
aaj bina muskuraye hi shaam ho jaati hai.
Nasha hum karte hain,
ilzaam sharaab ko diya jaata hai,
magar ilzaam sharab ka nahi unka hai,
jinka chehra hume har jaam me nazar aata hai.
नशा हम करते हैं,
इलज़ाम शराब को दिया जाता है,
मगर इल्ज़ाम शराब का नहीं उनका है,
जिनका चेहरा हमें हर जाम में नज़र आता है!
Na thi jisko mere pyaar ki kadar,
Ittefaaq se usi ko chah raha tha main,
Usi diye ne jalaya mere hathon ko,
Jisko hawa se bacha raha tha main.
Nazar chahti hai didaar karna,
dil chahta hai pyaar karna,
kya batayein is dil ka aalam,
naseeb mein likha hai intezar karna.
Ek pal mein jo aakar gujar jaaye,
Yeh hawa ka woh jhoka hai aur kuch nahi,
Pyar kahti hai duniya jise,
Ek rangeen dhokha hai aur kuch nahi
Apni aakhon ke samunder main utar jaane de,
Tera mujrim hoon, mujhe doob ke mar jaane de.
Zakham kitne teri chaahat se mile hain mujhko,
Sonchta hu kahu tujhse….
magar jaane de.
Ise nacheez ko har kisi ne istemal kiya,
khubsurat nahi thi par fir bhi pyar ka inteqab kiya,
jab aayi nibhane ki baari,
to kaha yaar humne to sirf majak kiya.
Duniya ki bheed mein hum us insaan ko dhundte rahe,
Jo hamien bhi zindagi jeena sikha de,
Mile bahut par…
Har koi zindagi me aane ki wajah suna gaye.
Hamari zindagi ek shishe ki tarah hai,
Hamesha log dekh kar chale jate hai,
Gusse me tukde hamare karte hai,
Aur ek hum hai jo tukdo me bhi unko dikhate hai.
Waqt ka marham
har zakham ko bhar deta hai,
magar toote hue khawab
yaadon ke mausam me dard zarur dete hain….
Taaron se kal baat ki maine…
toote hue taaron ki,
har tarae ne bas ye kaha…
kisi aur ki khwahish ka liye jab khud tootoge
aur use tumhare tootne ka ehsaas bhi na hoga
tab aana hum jawab denge…
Raat ko aksr taron se baaten karta hu,
main tanha baith kr hazaron se baten karta hu,
patjhad ka mausam hai barson se zindgi me meri,
aur main hu ki bs baharon se baten karta hu.
Raah takti ankhon ka intezar khatam ho gya,
aaj mere dil ke andar pyar khatam ho gya,
chhoti si ik duniya thi iss dil me khawabon ki,
mere sath hi iss dil ka vo sansar khatam ho gya…
Meri khamoshi ko vo samjhta nahi,
mera khamosh rehna bhi use gawara nahi,
ikk baat bata de ae khuda,
hum uske ho gye to kya vo hamara nahi?
Log milte hain mujse aur kehte hain ki tujhmein ye kami hai,
ke tu ho jata hai sabka par kisiko apna manta nahi,
unhi logon se kuch arse main maine ye puchu ki kaise ho!
Wohi palat kar kehte hain main tumhe janta nahi….
Baithunga jab tanhai mein to ye DiL udas ho jayega,
Na chahte huye bhi mujhe tera pyar yaad aayega,
Abhi mangte hain jinhe hum din rat apni duaon mein,
Ek din wo kisi ko bin mange mil jayega.
Kitni Ratein Beet Gayi,
Kitny Din Beet Gaye,
Bas Nhi Beeta To Yaadon Ka Wo Pal,
Guzra Hua Wo Kal…
Nhi Beeti To Ankhon Ki Nami aur Teri Kami..
Waqt ke mod pe ye kaisa waqt aaya hai,
Zakhm dil ka zuban par aaya hai,
Na rote the kabhi kanton ki chubhan se,
Par aaj na jane kyun phulon ki khushbu se rona aaya hai.
वक़्त के मोड़ पे ये कैसा वक़्त आया है,
ज़ख़्म दिल का ज़ुबाँ पर आया है,
न रोते थे कभी काँटों की चुभन से,
आज न जाने क्यों फूलों की खुशबू से रोना आया है।
Pta hi nahi chla kab woh dost se hamara pyar ban gye,
Saath gujare hue kuchh pal aaj yaadgar ban gye,
Kar na sake unse izhaar hum is baat ka,
Aur dekhte hi dekhte woh kisi aur k dildar ban gye.
Ab to kuch apni tabiyat bhi juda lagti hai,
Saans leta hun to zakhmo ko hawa lagti hai,
Kabhi razi to kabhi mujse kafa lagti hai,
Zindgi tu hi bata tu meri kiya lagti hai.
Wakt To Hume Bhula Chuka Hai,
Mukaddar Bhi Na Bhula De,
Pyar Dil Se Hum Isiliye Nahi Karte,
Kyuki Darte Hain Koi Phir Se Na Rula De ..!
Ishq pane ki tamanna me kabhi kabhi,
zindagi khilona ban jati hai,
Jise dil me basana chahte hai,
Wo surat sirf yaad bankar reh jati hai.
Jee bhar ke roye to karar paya,
Iss daur mein kisne sachha pyaar paya,
Zindagi guzar rahi hai Imtihanon ke daur se,
ek zakhm bhara,to dusra taiyaar paya…
Jab kuch sapne adhoore reh jate hain,
Tab dil ke dard aansu banker beh jate hain,
Jo kehte hain ki hum sirf apke hain,
Pata nhi wo kaise alvida keh jate hain…
Zindgi mein pehle hi itna gum samet liya he yaaron,
Ab aur aasuon ki jagah baaki kahan hai,
Hum to apni saanse sambhal k baithe the bas,
par kambakth es duniya ko hi chain kaha hai…
Kyun sochte ho ki kuch bhi acha nahi hota,
Sach to ye hai ki jaisa chaho vaisa nahi hota,
Koi apka sath de na de kabhi gum na karna,
Khud se bada duniya me koi humsafar nai hota.
Ek nafrat hi hai jise duniya chand lamho mein jaan leti hai,
Warna chahat ka yaqeen dilane mein to zindagi beet jati hai.
Dard Jo Tune Diya Wo Gehra Diya,
Karke Wada Tune Humko Bhula Diya,
Zakham Dene Wale Tera Bhi Shukriya,
Jo Zindagi Ka Tune Matlab Sikha Diya.
Bichadte Hue Yaad De Jayenge,
Khud Rone Se Pehle Har Khushi De Jayenge,
Tumhe Gila Hai Hum Baat Nahi Karte,
Vada Raha Sans Rukne Se Pehle,
Har Baat Keh Jaayenge.
Wo kehte hain hum badal gaye hain
Koi jakar samjhaye unhe k rang
sookhe hue patton ka aksar badal jata hai.
Humara dil tab nahi rota,
Jab hum kisi ko kho dete hain…
Dil to tab rota hain
Jab hum khud Ko kho kar Bhi Kisi k ho nahi pate….
Kabhi aisi bhi berukhi dekhi hai humne
Ke log aap se tum tak,
Aur tum se jaan tak,
Fir jaan se anjaan tak ho jate hain..
Khud ko padhta hun chhodh deta hun,
Duniya k dukho se yun muh mod leta hun,
Itne zakham hai meri nigahon me mere,
Dekh khud ko main aaina har roz tod deta hun.
Zindagi ne kuch is tarah ka rukh liya,
Jisne jis taraf chaha mod diya,
Jisko jitni thi zaroorat saath chala,
Aur phir ek lamhe mein tanha chod diya.
Mohabbat chiz wo hai jo dukano par nahi milti,
Aisa hota to Taj Mahal jaisi imarat nahi milti,
Ab es duniya mein sachi mohabbat kaha hoti hai,
Hoti hai mohabbat par ab yahan wafa nahi milti.
Har ashiq ki ek ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nisani hai,
Koi zakhm nahi fir bhi dard ka ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukra aj bhi uske paas hai.
Na muskurane ko jee chahta hai,
Na aansoo bahane ko jee chahta hai,
Likhun to kya likhun teri yaad mein,
Bas tere pass laut aane ko jee chahta hai.
Ishq tujh se to zehar acha hai,
Kambhkat peene ke baad maut to gale laga leti hai.
Rone wale to dil mein hi ro lete hain,
Aankho mein aansu aayein, ye zaruri to nahi…
Ab kisi se koi aas nahi hai hamein,
In tanhaiyon ne hamein akele jeena sikha diya.
Mujhe maloom hai tum bahot khush ho is judai se,
Ab khayal rakhna apna,
Tumhe tum jaisa koi na mil jaaye….
Woh to apni tanhaai ki khatir,
fir se aa mile humse,
Hum nadaan ye samajh baithe ki,
hamari duaon ka asar hai….
Teri mohabbat ke pyase the,
Isliye haath faila diya humne,
Warna hum to khud ki,
zindagi ke liye bhi dua nahi karte….
Hum nadan the jo us ko apna humsafar samajh baithe,
Wo chalte to humare sath the,
magar kisi aur ki talash mein..!!
Mere jane ke baad kisi ko,
fark to nai padega,
Bass tanhayi hi royegi,
ki mera humsafar chala gya….
Khamoshiyon Ke Rishte Nibhana Mujhe Aata Hai,
Har Dard Se Is Dil Ko Lagana Mujhe Aata Hai,
Jo Tum Hanso Hansta Hun, Agar Ro Do To Rata Hun,
Jo Jaisa Hai Sang Uske Jeena Mujhe Aata Hai,
Banjar Si Jamin Par Hi Kabse Jee Raha Hun Main,
Ret Se Apna Ghar Banana Mujhe Aata Hai,
Dunia Mein Mohabbat Ka Katra Na Mila Mujhko,
Ab Dukh Bhare Geeton Ko Gana Mujhe Aata Hai.
Labo se chu kar ik jaam dete jana,
Hathon se apne ik paigam dete jana,
Meri mohabbat ko thukraya jo tune,
To ise dosti ka nam dete jana.
Ek roj jab wo mujhse miley to kehne lage ki,
Tum yu udaas na raha karo mujhe achha nahi lagta,
Yaaro, Main to us se itna bhi na keh saka,
Ye udaasi to kab ki chali gayi hoti…
Jo mujhe tera saath mil gaya hota…
Waqt ki andhi mujhe tumse door kar degi,
tum to jee lo ge mere bin kisi aur k sahare,
aur zindgi mujhe jeete ji marne ko majboor kar degi….
Kasam khuda ki hamein tum se pyar aaj bhi hai,
Wo pyar ki taraf bekarar aaj bhi hai,
Meri wafa ka aitbar tumhe ho ya na ho,
Teri wafa ka aitbar hamein aaj bhi hai
Ishq wale ankho ki baat samajh lete hai,
Sapno me mil jaye to mulakat samajh lete hai,
rota to aasma bhi hai Pyaar ke liye,
par log use barsat samajh lete hai.
Raat hogi to chand duhai dega,
Khawabon mein aapko woh chehra dikhai dega,
Ye mohabbat hai zara sochke karna,
Ek aansoo bhi gira to sunai dega.
रात होगी तो चाँद दुहाई देगा,
ख्वाबों में आपको वह चेहरा दिखाई देगा,
ये मोहब्बत है, ज़रा सोचकर करना,
एक आंसू भी गिरा तो सुनाई देगा!
Kaash tum mujhe ek khat likh dete,
mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete,
tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki,
nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete.
Sabne kaha ishq dard hai,
Humne kaha ye dard Kabul hai,
Sabne kaha is dard ke saath ji nahi paoge,
Humne kaha is dard ke saath marna Kabul hai.
Thokar Khate Hai Aur Muskurate hai,
Is Dil Ko Sabar Karna Sikhate Hai,
Hum To Dard Lekar Bhi Yaad Karte Hai,
Aur Kuch Log Dard Dekar Bhi Bhool Jate Hai..
Na gila karata hoon,
na shikwa karata hoon,
tum salamaat raho bas
yahi dua karata hoon..
Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.

No comments:

Post a Comment