Tuesday, January 2, 2018

Very Sad Shayri

Mohabbat Mangi Thi Mohabbat Ke Badle,
Tum Woh Bhi Humko De Na Sake,
Dil Ko Chaha Jab Kahin Aur Bahlana,
Is Baat Ko Bhi Tum Sah Na Sake,
Hum Kisi Ko Apna Banayein Yahan,
Shyad Yeh Kismat Ko Manjoor Nahi Tha,
Aapka Is Kadar Ruthna Humse,
Shayad Yeh Mohabbat Ka Dastoor Nahi Thaa.

Main Khusiyan Bantata Firta Hu,
Fir Gham Kyu Sabhi Mujhe Dete Hain,
Main Sabko Samjhata Hun Apna,
Fir Mujhko Begana Kyu Kahte Ho.

Kuchh Majburiyon Ne Humko Rok Rakha Hai,
Varna Hum Toh Kya Se Kya Kar Jaate,
Ek Naseeb Bhi Abhi Nahi Hai Saath Hamaare,
Varna Kya Hum Is Jamaane Se Dar Jaate.

Ab Uska Jikr Kya Karein Dosto,
Jo Chhod Gaya Humko Majhdar Mein,
Woh Kya Karega Kadar Kisi Ke Pyar Ki,
Jisne Tukde Kiye Dil Ke Pahli Baar Mein.

Logon Ki Bheed Mein Toh Maalun Nahi Hota,
Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai,
Aap Toh Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi,
Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai.

Hamara Pyar Majboor Kar Dega Aapko,
Isliye Hum Dil Ko Bichhaye Baithe Hain,
Tumko Kabhi Na Kabhi Aana Hi Padega,
Isliye Hum Shamaa Jalaaye Baithe Hain.

Woh De Denge Humko Daga Kabhi Na Kabhi,
Yeh Dil Hamara Humko Bata Chuka Tha,
Magar Kya Karta Main Bhi Yaaro,
Dil Iska Us Bewafa Pe Aa Chuka Tha.

Dard Saho Magar Aahein Na Bharo,
Yeh Jamane Ka Kaisa Dastoor Hai,
Na Mile Woh Hamse Na Mile Hum Unse,
Main Bhi Majboor Woh Bhi Majboor Hain.

Apne Gham Chhupana Chahta Hu Main,
Isliye Sada Muskarata Hun Main,
Aakhir Ko Bhi Toh Jal Hai Jana,
Is Liye Khud Ko Tadpata Hun Main.

Bahrein Bhi Yahan Nazare Bhi Yahan,
Kami Hai Toh Bas Itni Dil Ki Duniya Viran Yahan,
Koi Toh Hota Is Duniya Mein,
Jo Mera Gham Sah Leta Kabhi,
Jo Saath Rahta Meri Tanhaaiyon Ke,
Jise Apna Main Kah Leta Kabhi.

Jaakar Maykhane Par Yaaro,
Peena Toh Ek Bahana Hai,
Sachh Toh Yeh Hai Tere Gham Ko,
Ismein Doob Kar Bhulana Hai.

Dua Karna Yaaro Judaa Ho Rahe Hain,
Rahi Zindagi Toh Fir Aakar Milenge,
Agar Mar Gaye Toh Dua Karte Rahna,
Aansu Bahaane Ki Koshish Na Karna.

Yun Toh Bahut Hain Dost Mere,
Koi Apna Najar Nahi Aata,
Mujhe Is Jeevan Mein Sach Hota,
Koi Sapna Najar Nahi Aata,
Apno Ka Humko Dagaa Dena,
Yeh Toh Bas Ek Bahana Hai,
Sach Toh Yeh Hai Ke Har Gham Ko,
Mere Ke Paas Hi Aana Hai.

Yeh Maana Ke Fursat Nahi Hai Aapko Magar,
Hamare Liye Do Pal Toh Nikaal Sakte The Tum,
Yeh Mana Ke Khusiyan Bantana Nahi Chahte The,
Magar Apne Ghamon Mein Toh Pukaar Sakte The Tum.

Hum Itne Bure Toh Nahi The Eh Dost,
Jitna Apno Ne Hamein Kah Kar Bana Diya,
Ham Kahan Jaante The Ke Gham Kya Hota Hai,
Magar Apno Ne Hi Mujhe Ismein Duba Diya.

Kya Batayein Aapko Hum Apni Majburiyan,
Ki Kyu Aapko Hum Apna Bana Na Sake,
Bas Samajh Lijiye Ki Badnaseebi Thi,
Jo Aapke Pyar Ko Bhi Hum Pa Na Sake.

Aap Kyu Sarminda Hote Ho Apni Bewafayi Par,
Hamein Maalum Tha Ki Gham Ko Hamara Hona Tha,
Bas Aap Muskarate Rahein Yeh Dua Hai Humari,
Humari Kismat Mein Toh Likha Hi Rona Tha.

Roye Hai Sabhi Toh Aakar Lash Par Hamari,
Magar Unhone Do Aansu Bhi Na Bahaaye Hain,
Hamein Kiya Barbad Loota Hai Jis Jaalim Ne,
Door Khade Hokar Dekho Woh Muskaraye Hain.

Apne Dil Ke Gham Ab Kisko Sunayein Hum,
Aapke Baad Ab Paas Kisko Bithayein Hum,
Bin Aapke Toh Ab Ek Bhi Pal Nahi Katata,
Padi Hai Saari Umar Bataao Kaise Bitayein Hum.

Ab Tak Kisi Ne Na Samjha Hamein Apna,
Hamin Kyun Fir Sabko Apna Kahte Hain,
Tumne Kaisa Banaya Hai Humko Eh Khuda,
Sitam Kyu Sabke Hum Chup Chap Sahte Hain.

Mahfil Lagi Thi Ek Dusre Ko Gham Sunaane Ki,
Toh Sabhi Apne Apne Gham Sunane Lage,
Jab Hamne Shuru Kiye Sunane Eh Yarab,
Na Jaane Kyun Sabhi Mahfil Se Jaaane Lage.

Roothe Huye Logon Ko Toh
Main Mana Leta Hun,
Magar Roothi Ji Mujhse Takdeer
Toh Manaun Kaise,
Doston Ne Toh Dekha Hai
Mujhe Sadaa Hansate Huye,
Magar Kitna Gham Hai
Sab Ko Bataao Bataun Kaise.

Woh Aur Honge Log,
Zindagi Jinhe Raas Aayi,
Apna To Woh Haal Hai Gaalib,
Har Aas Tooti,
Har Umeed Charmarayi,
Hum Pe Aake Sab Haari,
Kya Neki, Kya Badi Aur Kya Khudayi.

Dilki Dahleej Par Yaadon Ke Deeye Rakhe Hain,
Aaj Tak Hamne Yeh Darwaaje Khule Rakhe Hain,
Is Kahani Ke Woh Kirdar Kahan Se Laaun,
Wohi Dariya Hai Wohi Kache Ghade Rakhe Hain,
Hum Par Jo Gujri Bataya Na Batayenge Kabhi,
Kitne Khat Ab Bhi Tere Likhe Huye Rakhe Hain,
Aapke Paas Kharidari Ki Kuvvat Hai Agar,
Aaj Sab Log Dukaano Mein Saje Rakhe Hain.

Main Tumko Bhool Bhi Sakta Hun Is Jahan Ke Liye,
Jara Sa Jhoot Jaruri Hai Daataa Ke Liye,
Mere Labon Par Koi Boond Tapki Aansu Ki,
Yeh Katra Kafi Tha Jalte Huye Makaan Ke Liye,
Main Kya Dikhaun Mere Taar Taar Daman Mein,
Na Kuchh Yahan Ke Liye Na Kuchh Vahan Ke Liye,
Ghazal Bhi Is Tarah Uske Saamne Laya Hun,
Ki Jaise Bachha Koi Aaye Imtehaan Ke Liye.

Haal E Dil Apna Kya Sunaayen Aapko,
Gham Se Baatein Karna Aadat Hai Hamari,
Log Marte Hain Sirf Ek Baar Dost,
Pal Pal Roj Marna Aadat Hai Hamari.

Bas Bahut Sah Liye Hain Julmo Sitam,
Ab Aur Hum Yeh Gham Sah Nahi Sakte,
Aaj Mujhko Na Rokna Eh Mere Dosto,
Ab Aur Is Duniya Mein Hum Rah Nahi Sakte.

Hum Markar Bhi Dikha Denge Unke Liye,
Kya Woh Fir Bhi Na Humko Chahenge,
Jab Jalaya Jaayege Hum Unke Saamne,
Kya Hamare Liye Do Aansu Bhi Na Bahayenge.

Upar Waale Ne Shayad Galti Se,
Khusiyon Ki Jagah Bhi Likh Diye Hain Gham,
Lagta Hai Mout Se Hogi Mulakat Jaldi,
Shayad Zindagi Ke Din Rah Gaye Hain Kam.

Yeh Toh Vakt Vakt Ki Baat Hai Dost,
Kabhi Hum Bhi Isi Arsh Ke Taare The,
Aaj Aapki Najron Ko Nahi Bhaate,
Kabhi Hum Bhi In Najron Ke Pyare The.

Hum Kyun Kisi Se Aankhe Chaar Kake Dekhein,
Hum Kyu Apne Dil Ko Bekarar Karke Dekhein,
Jab Pyar Ka Apne Izhaar Kar Nahi Sakte,
Fir Kyu Hum Kisi Se Pyar Karke Dekhein.

Ismein Aapki Khata Bhi Kya Bataun Main,
Hamare Naseeb Mein Hi Aapka Saath Nahi Hai,
Varna Sagar Ki Dosti Ko Yun Thukraate,
Aisi Toh Yahan Par Koi Bhi Baat Nahi Hai.

Jinko Chaha Tha Humne Apna Banana,
Na Jaane Kyun Woh Humse Door Ho Gaye,
Hamne Socha Tha Bitaayenge Zindagi Hanskar,
Magar Ghamon Ko Apnaane Par Majboor Ho Gaye.

Hamare Jeene Ke Liye
Yahi Bahut Hai Eh Dost,
Ki Aapke Hoton Par
Hamara Naam Aaya Toh Tha,
Bhale Hi Woh Khusi Thi
Kuchh Lamhon Ki Magar,
Aapki Vajah Se
Yeh Dil Muskaraya Toh Tha.

Dost Aapko Humse Bhi Achhe Mil Jaayenge,
Aap Humko Dost Banakar Kya Karoge,
Aapka Toh Intezaar Kar Rahi Hain Khusiyan,
Aap Humare Ghamon Ko Apnakar Kya Karoge.

Shayad Ek Khilona Samjha Hai
Mujhe Sabhi Ne,
Khelta Hai,
Dil Bhar Jaane Tak,
Fir Chhod Deta Hai,
Main Jisko Bhi Basata Hun
Dil Mein Apne Kabhi,
Shayad Kismat Aisi Hai
Dil Ko Tod Deta Hai.

Hamne Bahut Dekhi Hai Yeh Duniya,
Yeh Kisi Ko Jeene Bhi Nahi Deti Hai,
Aap Khule Aam Kahte Hain Karenge Mohabbat,
Yeh Toh Jakhamon Ko Seene Bhi Nahi Deti Hai.

Khafa Hokar Humse Fir Maan Jana,
Yahi Ada Toh Humko Bahut Bhati Hai,
Baaki Toh Sabkuchh Bhool Chuke Hain Hum,
Magar Sagar Woh Bewafa Bahut Yaad Aati Hai.

Bahut Jee Chuke Hum Gairon Ke Liye,
Ab Apno Ke Liye Hi Bas Jiyenge Hum,
Bahut Le Liye Hain Dard Auron Ke Humne,
Ab Toh Apno Ke Ghamon Ko Seeyenge Hum.

Pyar Toh Hum Bhi Karte Hain Aapse,
Magar Kya Karein Hamari Nigaahein Juda Hain,
Chahte Toh Hain Hum Bhi Aapke Saath Chalna,
Magar Kya Karin Hamari Raaheein Juda Hain.

Jis Dost Ko Samjha Tha Apna,
Woh Dil Ko Mere Aaj Tod Gaya,
Khusiyon Mein Mere Jo Saath Tha,
Aaj Ghamon Mein Akela Chhod Gaya.

Kitna Pyar Karte Hain Hum Unse,
Kaash Unko Bhi Yeh Ehsaas Ho Jaaye,
Magar Aisa Na Ho Ke Hosh Mein Tab Aayein,
Jab Hum Gahri Neend Mein So Jaaye.

Jo Vaada Kiya Usne Humse,
Dekhna Nibha Kar Dikhayenge Hum,
Na Naam Uska Aayega Hoton Par,
Magar Bhula Bhi Na Paayenge Hum.

Door Hi Rahna Hai In Hasino Se Hamein,
Paas Kabhi Inhein Apne Lana Nahi Hai,
Tod Dete Hain Dil Ko Pathardil Hain Yeh,
Dil Inse Apna Lagaana Nahi Hai.

Fursat Kise Hai Jakhamon Ko Sahlaane Ki,
Nigaahein Badal Gayi Hain Apne Begano Ki,
Humsafar Hi Saath Chhod Gaya Mera,
Ab Tamanna Na Rahi Aashiya Banane Ki,
Raakh Ho Gaya Chaman Armano Ka,
Naamon Nishaa Na Bacha Mere Afsane Ka,
Barbaadi Par Ranjo Gham Kaise Yaaro,
Hashar Yahi Toh Hota Hai Deewano Ka.

Mile Jo Agar Khuda Toh Puchhenga Use,
Ki Meri Kismat Ko Aisa Kyun Bana Diya,
Jhukna Pada Mujhe Har Chhote Bade Ke Saamne,
Itna Neeche Kyun Mujh Ko Gira Diya.

Ek Tere Chale Jaane Ke Baada Hamein,
Kisi Ka Bhi Yahan Eitbaar Na Raha,
Aur Kisi Se Toh Kya Karenge Mohabbat,
Jab Apni Hi Zindagi Se Pyar Na Raha.

Khusiyan Humko Koi Deta Nahi Hai Yahan,
Gham Apne Kisi Ko Dena Nahi Chahte,
Kahte Hain Paas Rahne Se Pyar Kam Hota Hai,
Isliye Kisi Ke Paas Bhi Rahna Nahi Chahte.

Jaisa Karoge Aap Vaisa Hi Paaoge Sada,
Aaj Sabke Hoton Par Yeh Sachhayi Mili,
Magar Kaise Maan Lun Main Is Baat Ko Sach,
Mujhko Toh Wafa Ke Badle Bewafayi Mili.

Eh Khuda Bula Le Ab Toh Apne Paas Mujhe,
Kyu Mujhse Tu Aur Imtehaan Liye Jata Hai,
Ab Kisi Ko Jarurat Nahi Hai Jahan Mein Meri,
Ye Insaan Yahan Par Bematlab Jiye Jata Hai.

Yeh Jo Diye Hain Aapne Jakham Humko,
Yeh Jakham Hamare Kabhi Bhi Sil Na Sakenge,
Yun Bichhude Ho Hum Se Is Kadar,
Ki Chahkar Bhi Kabhi Hum Mil Na Sakenge.

Akele Chalte Chalte Yahan Thak Chuke Hain Hum,
Ab Humko Bhi Kisi Ka Sahara Chahiye,
Aur Ghamon Ka Bojh Hum Utha Nahi Sakte,
Ab Ghamon Ke Sagar Ka Kinara Chahiye.

Hamne Toh Apni Mohabbat Ka Izhaar Kiya,
Magar Usne Fir Bhi Na Hamara Eitbaar Kiya,
Main Toh Jahan Se Lada, Ek Uski Khatir,
Us Bewafa Ne Sikwa Fir Bhi Hazaar Kiya.

Yeh Meri Thi Tamanna Koi Mera Bhi Yaar Hota,
Jisko Mere Har Ek Gham Ka Ehsaas Hota,
Jo Rahta Hamesha Mere Sukh Dukh Ka Saathi,
Kaash Mere Bhi Koi Itna Paas Hota.

Yeh Zindagi Toh Ghamon Ka
Dariya Banti Jaa Rahi Hai,
Mujhko Yaaro Kahin Bhi
Iska Kinara Najar Nahi Aata,
Jidhar Bhi Dekhta Hun
Kabhi Najar Uthakar Main Sagar,
Mujhko Kahin Par Bhi
Kisi Ka Sahara Najar Nahin Aata.

Jo Jakham De Gaye Aap Mujh Ko,
Na Jaane Kyun Woh Jakham Nahi Bharta,
Hum Toh Milna Chahte Hain Aapse Magar,
Kya Karein Hamara Naseeba Nahi Milta.

Koi Toh Hota Jo Samjhata Mujhko,
Ki Yahan Kisi Se Na Pyar Karna Chahiye,
Koi Bhi Nahi Banta Kisi Ka Apna,
Yahan Kisi Par Na Aitbaar Karna Chahiye.

Mohabbat Humne Bhi Ki Thi,
Magar Tumko Batayein Kya,
Mile Hain Gham Hamein Ismein,
Magar Tumko Sunayein Kya.

Roothe Huye Hain Jo Humse,
Hum Unko Khud Hi Mana Lenge,
Soyi Huyi Apni Kismat Ko,
Hum Fir Se Yaaron Jaga Lenge.

Aapko Dekhkar Aaj Kahin,
Hamara Dil Bekarar Na Ho Jaaye,
Lag Raha Hai Aaj Dar Humko,
Kahin Aapse Pyar Na Ho Jaaye,
Khush Rahein Bas Aap Hamesha,
Dil Se Hum Fariyaad Karte Hain,
Aap Humko Bhale Bhol Chuke Ho,
Magar Hum Aapko Yaad Karte Hain.

Aap Miloge Hum Se Kal Fir,
Dil Ko Samjhane Ki Baat Hai,
Lekin Itni Jaldi Chale Jaaoge,
Dil Ko Tadpaane Ki Baat Hai,
Ab Is Zindagi Mein Kya Rakha Hai,
Ismein Ab Khusiyan Hain Na Koi Gham,
Koi Manjil Bhi Najar Nahi Aati,
Bas Ab Toh Bhatke Huye Hain Hum.

Kaghaj Par Nahi Likhte Kuch Raaz Mohabbat Ke,
Pal Bhar Mein Bikhar Jaate Hain Alfaaz Mohabbat Ke,
Use Toot Kar Chaha Toh Hum Khud Hi Bikhar Gaye,
Aise Badal Jaate Hain Andaaj Mohabbat Ke,
Un ki Saheliyo Se Zara Kahna, Unhe Sath Hi Laaye,
Mujhe Phir Se Sajaane Hain Kuch Khwab Mohabbat Ke,
Apni To Saase Dost Usi Waqt Mein Thee Shaamil,
Kyun Baithe Huye Chor Gaye Kuch Haath Mohabbat Ke.

Zindagi Meri Adhuri, Raah Mein Tanhaiyan,
Sham Dhalte Aa Gayi Hain, Fir Wohi Tanhaiyan,
Raat Humne Kaat Li, Julmo Sitam Ko Jhelkar,
Waqt E Sahar Toh Ho Gaya, Par Saath Thi Tanhaiyan,
Fir Tera Aanchal Jara Sar Se Mere Hatne Laga,
Jaise Jaise Woh Hta, Badhti Gayi Tanhaiyan,
Yeh Tera Ahsaan Ke Tu Tanha Mujhko Kar Gaya,
Warna Kabhi Poori Bhi Na Hoti Meri Tanhaiyan,
Saaf Saaf Kah Rha Hai Rang Tere Rukhsaar Ka,
Tu Bhi Tanha Rah Gaya Dekar Mujhe Tanhaiyan.

Ek Yeh Bhi Bharam Toota,
Milne Ko Woh Na Aaya,
Kya Kya Na Mujhpe Gujri,
Kya Kya Na Dil Mein Aaya,
Pahle Bhi Yun Toh Usne,
Tode Hain Kayi Waade,
Hum Toh Na Bura Maane,
Humko Na Malaal Aaya.

Jab Tak Na Mile Mujhe Jakham Kisi Se,
Tab Taj Yah Dil Mera Rahta Pareshan Hai,
Khusiyon Ko Dekar Gham Le Leta Hun Main,
Yahi Toh Yaaro Meri Pahchan Hai.

Maine Usko Chaha Dil Se,
Mere Dil Ko Woh Jaan Na Paayi,
Maine Khud Ko Uska Banaya,
Fir Bhi Meri Woh Ban Na Payi,
Usne Mujhko Apna Kar Bhi,
Begana Hi Toh Bana Diya,
Pahle Mujhko Woh Jaan Na Paayi,
Ab Mujhko Pahchan Na Paayi,
Jo Pal Mere Saath Bitaaye,
Un Palon Ko Bhi Usne Bhula Diya,
Mujh Ko Na Pahchan Kar Usne,
Mere Dil Ko Bhii Rula Diya,
Main Jab Us Se Milne Pahuncha,
Woh Boli Tum Kon Ho Bhai,
Pahle Mujhko Woh Jaan Na Paayi,
Ab Mujhko Pahchan Na Paayi.

Kuchh Aise Bhi Log Hain Duniya Mein,
Jinhe Pyar Ke Badle Hai Pyar Mila,
Magar Hamari Toh Aisi Kismat Hai,
Jisko Chaha, Nahi Woh Yaar Mila.

Yeh Mana Ke Mohabbat Karna Hai Jurm Magar,
Yeh Jurm Yaaro Baar Baar Karte Hain Hum,
Woh Bewafa Hai Sangdil Hain Jaante Hai Magar,
Unpar Yaaro Aaj Bhi Aitbaar Karte Hain Hum.

Shayad Khuda Ke Darbar Mein Bhi
Beimaani Chalti Hogi,
Isi Liye Toh Hamari Kismat Ko
Aisa Banaya Hoga,
Jab Diye Honge Auron Ko
Khusiyon Ke Khajaane,
Ghamon Ko Akele Mere Ghar Ka
Raasta Dikhaya Hoga.

Ek Din Sapne Mein Aakar
Humse Kaha Khuda Ne Yeh,
Tune Kiya Bharosa Sabhi Par
Tujhe Iski Saja Milegi,
Main Kya Karun Teri Kismat Hi Aisi Hai
Mere Ajij,
Jiske Saath Bhi Tu Wafa Karega
Usi Se Tujhko Jafa Milegi.

Tujhse Karke Pyar Sangdil
Khud Se Hi Nafrat Ho Gayi,
Raaton Ko Jagte Rahne Ki Ab
Mujhko Aadat Ho Gayi,
Teri Duniya Mein Kya Ho Raha Hai
Tu Bhi Aakar Dekh Jara,
Kisi Ke Bhi Seene Mein Dil Nahi
Saari Duniya Pathar Ho Gayi.

Aap Humse Na Milte Toh Achha Tha,
Humaise Kisi Se Pyar Toh Na Karte,
Yeh Rahta Kambhakt Paas Hamare Hi,
Dil Apne Ko Yun Bekarar Toh Na Karte.

Aap Toh Ban Na Sake Hamare Magar,
Hum Bhi Kisi Aur Ke Ho Na Sake,
Khusiyan Toh Kya Milti Mujhko,
Ek Pal Bhi Kabhi Chain Se So Na Sake.

Yeh Shayari Jo Likhta Hun Main Dosto,
Shayari Nahi Hai Mere Dil Ka Haal Hai,
Yeh Khata Nahi Unki Jo Mujhe Gham Dete Hain,
Ghamon Se Toh Mera Janmon Ka Haal Hai.

Shaam Hoti Hai Toh, Palkon Pe Sajaata Hai Mujhe,
Wo Chiragon Ki Tarah Roz, Jalaata Hai Mujhe,
Main Hoon Yeh Kam Toh Nahi Hai, Tere Hone Ki Daleel,
Mera Hona Tera Ehsaas Dilaata Hai Mujhe,
Ab Kisi Shakhs Mein, Sach Sunne Ki Himmat Hai Kahaan,
Mushkilon Se Hi Koi, Paas Bitthata Hai Mujhe,
Kaise Mehfooz Rakhun Khud Ko Ajaayab Ghar Main,
Jo Bhi Aata Hai Yahaa Haath Lagata Hai Mujhe,
Jaane Kya Ban Na Hai Tujhko, Meri Gili Mitti,
Kuzaagar Roz, Banata Hai, Mitaata Hai, Mujhe,
Aab O Daana Kisi Bigde Huve Bachche Ki Tarah,
Main Jahaan Shaakh Par Baitthun, Udaata Hai Mujhe.

Bharosa Nahi Raha Ise Jab Apni Zindagi Ka,
Bataao Yeh Kisi Aur Ka Aitbar Kare Kaise,
Ek Baar Toh Kha Chuka Hai Yeh Dhoka Pyar Mein,
Ab Aur Kisi Se Batao Pyar Kare Kaise.

Agar Yakin Hota Ki Kahne Se Ruk Jaayenge,
Toh Hum Bhi Hanskar Unko Pukaar Lete,
Magar Naseeb Ko Yeh Manjoor Nahi Tha,
Ki Hum Bhi Do Pal Khusi Se Gujar Lete.

Eh Mout Jara Thahar Ja,
Jara Sa Ruk Ja Tu,
Intezaar Hai Unka,
Jinki Amanat Hai Zindagi,
Jara Unse Rukhsat Le Lene De,
Fir Le Chalna,
Yeh Jaruri Hai,
Unhi Ki Badolat Hai Zindagi.

Sab Kuchh Mila Mujh Ko Zindagi Mein,
Magar Ek Pyar Na Mila Kisi Ka,
Sab Mujhko Samajhte Hain Apna Humdard,
Magar Ek Aitbaar Na Mila Kisi Ka.

Aise Aise Jakham Hain Paas Mere,
Jinki Is Jahan Mein Kahin Dawa Nahi,
Aapne Bhi Kaha Begana Toh Kya Hua,
Hamne Toh Aapse Kucch Bhi Kaha Nahi.

Jitne Bhi Dena Chaho Gham De Do Mujhko Yaaro,
Ab Toh Do Char Lamhon Ka Bas Mehman Hun Main,
Main Apne Kiye Waade Nibha Paya Na Kabhi,
Bas Ek Isi Baat Se Ab Tak Pareshan Hun Main.

Har Dard Ko Toh Mitana Mushkil Hota Hai,
Gujri Yaadon Ko Bhulana Muskil Hota Hai,
Aur Baaton Ko Toh Hum Bhula Sakte Hain Sagar,
Magar Pahle Pyar Ko Bhulana Muskil Hota Hai.

Bewafa Nahi Hai Woh
Yeh Manta Hun Main,
Woh Bhi Chahte Hain Hamein
Yeh Jaanta Hun Main,
Magar Itna Bhi Toh Yaaron
Nadan Nahi Hun Main,
Unki Badli Huyi Najrein Toh
Pahchanta Hun Main.

Jo Gujaare Hain Pal Humne Saath Unke,
Hum Un Palon Ko Hi Dil Mein Utar Lenge,
Bas Aap Khus Raho Yeh Dua Hai Meri,
Hamara Kya Hai Hum Zindagi Yun Hi Gujar Lenge.

Itni Pilaao Aaj Tum Humko Yaaro,
Ki Kabhi Hosh Mein Hum Na Aane Paayein,
Ya Fir Mila Do Is Mein Jahar Jara Sa,
Ki Hosh Mein Aane Se Pahle Hi Mar Jaayein Hum.

Mujhe Rahne Do Eh Dost Paas Apne,
Najron Se Yun Apni Tum Door Na Karo,
Bas Ek Zindagi Hi Baaki Hai Paas Mere,
Isko Bhi Ganvaane Pe Majboor Na Karo.

Jinhe Hum Pyar Karte Hain,
Unko Bata Bhi Nahi Sakte,
Dekhiye Majboori Sagar Ki,
Unhe Hum Paa Bhi Nahi Sakte,
Jo Pal Gujare Saath Unke,
Woh Pal Bahut Yaad Aate Hain,
Jab Bhi Hum Tanha Hote Hain,
Yeh Humko Bahut Rulate Hain.

Aapke Saath Bitaaye Woh Pal,
Hamare Dil Ko Bahlayenge Hamesha,
Aap Bhale Hi Paas Na Ho Humare,
Magar Yaadon Mein Hamari Aayenge Hamesha.

Kudrat Ka Yeh Usul Hai,
Ki Aana Jana Hai Bari Bari,
Kya Karenge Yaaro Woh Mohabbat,
Jinko Sirf Dhan Daulat Hai Pyari.

Apno Ko Apno Ke Jazbaat Se Khelta Dekha Hai,
Jhoot Sun Sun Ke Sach Ka Katl Hote Dekha Hai,
Nahi Fark Padhta Unhein Kya Kya Gujregi Kisi Par,
Unko Toh Humne Bas Armano Ko Kuchlate Dekha Hai,
Lamha Lamha Door Hone Ka Gham Satata Rahta Hai,
Us Duri Ka Hamne Unhe Fayda Uthate Dekha Hai,
Kar Ke Sitam Fir Khate Hain Apno Ki Jhuti Kasam,
Un Kasmo Ko Humne Hamesha Tutate Huye Dekha Hai,
Farebi Nahi Hain Hum Fir Bhi Kahlaate Hain Farebi,
Farebi Kahke Hamein Us Ko Humne Hansate Huye Dekha Hai,
Sambhali Apni Har Khusi Uski Sachhi Ibadat Ke Liye,
Khusiyan Bantate Humne Unhe Gairon Ke Sath Dekha Hai.

Musafir Hoon Yahan Se Kal Chala Jaunga Main,
Jaane Kis Kis Rahguzar Ki Thokren Khaunga Main,
Chalte Chalte Thak Gaya Hoon Khoob Sone Do Mujhe,
Aansuon Se Zindaghi Ke Daagh Dhone Do Mujhe,
Aish O Isharat Apna Khota Hoon Toh Khone Do Mujhe,
Zindaghi Ki Khoj Mein Paagal Hone Do Mujhe,
Kyunki,
Musafir Hoon Yahan Se Kal Chal Jaunga Main.

Mere Geeton Ko Jo Sunega,
Tujhko Jaan Hi Lega,
Meri Mehfil Mein Mat Aana,
Tujhko Pahchan Hi Lega,
Teri Surat Jhalkati Hai,
Mere Geeton Ki Lafjon Se,
Zamane Ki Khata Kya Hai,
Tera Naam Hi Lega.

Door Se Aaye The Saki Sun Ke May Khane Ko Hum,
Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum,
May Bhi Hai, Meena Bhi Hai, Sagar Bhi Hai, Saki Nahi,
Dil Mein Aata Hai Laga Dein Aag Maykhane Ko Hum,
Humko Fansna Tha Kafas Mein Kya Gila Sayyad Ka,
Bas Tarsate Hi Rahe Hain Aab Aur Daane Ko Hum,
Baag Mein Lagta Nahi Sahra Mein Ghabrata Hai Dil,
Ab Kahan Le Jaake Baithe Aise Deewane Ko Hum,
Kya Huyi Bhool Humse Tu Bata De Eh Naajir,
Taaki Saahi Mout Samajhe Aise Mar Jaane Ko Hum.

Lutf Hum Ko Aata Hai Ab Fareb Khane Mein,
Aajmaye Logon Ko Roj Aajmane Mein,
Do Ghadi Ke Saathi Humsafar Samjhate Hain,
Kis Kadar Purane Hain Hum Naye Zamane Mein,
Tere Paas Aane Mein Aadhi Umar Gujri Hai,
Aadhi Umar Gujregi Tujh Se Door Jane Mein,
Ehtiyat Rakhne Ki Koi Had Bhi Hoti Hai,
Bhed Humne Khole Hain Bhed Ko Chhupame Mein,
Zindagi Tamasha Hai Aur Is Tamashe Mein,
Khel Hum Bigadenge Khel Ko Banane Mein,
Kaarwa Ko Unka Bhi Kuchh Khyal Aata Hai,
Jo Safar Mein Bichhde Hain Rasta Banane Mein.

Aapne Toh Ki Thi Dillagi Magar,
Hum Toh Dil Apna Tod Baithe,
Aapne Samjha Pyar Ko Khel Magar,
Hum Toh Ghamon Se Nata Jod Baithe.

Kamzor Nahi Hoon Main,
Shayad Hoon Majboor,
Dil Pe Pathar Rakhoon Main,
Nahi Mujhe Ghuroor,
Par Voh Dard Nahi Seh Paungi Main,
Agar Hogaye Tum Mujhse Door.

Zindagi Deti Nahi Saath Hamara,
Fir Bhi Jeene Ki Aas Kyu Hai,
Mere Moula Bata De Jara Itna,
Itne Gham Mere Paas Kyu Hai.

Koi Bhi Nahi Yahan Par Apna Hota,
Is Duniya Ne Yeh Sikhya Hai Humko,
Uski Bewafayi Ka Na Charcha Karna,
Aaj Dil Ne Yeh Samjhaya Hai Humko.

Shayad Na Rahi Ab Aapko Jarurat Hamari,
Isiliye Ab Aapne Humko Chhod Diya,
Jab Tha Jee Chaha, Toh Khele Is Dil Se,
Aur Ab Jab Jee Bhar Gaya Toh Ise Tod Diya.

Hamne Na Jana Tha Yeh Aaj Tak Kabhi,
Ki Koi Raah Mein Aise Bhi Chhod Deta Hai,
Koi Apne Dil Ko Bahlane Ke Baad,
Dusre Ke Dil Ko Aise Tod Deta Hai.

Jeevan Mein Kab Se Dhund Raha Hun Khusiyan,
Magar Khusi Toh Mujhko Najar Nahi Aati,
Zindagi Banti Ja Rahi Hai Lamba Safar,
Mujhko Iski Manzil Najar Nahi Aati.

Na Samajh Paya Main Aaj Tak Teri Duniya Ko,
Mujhko Zindagi Teri Na Kabhi Raash Aayi,
Jis Kisi Cheej Ko Bhi Kabhi Samjha Apna,
Bhule Se Bhi Kabhi Woh Na Mere Paas Aayi.

Agar Duniya Ko Samjhane Ki Sochte Ho,
Toh Kabhi Isko Toh Samjha Na Sakoge Tum,
Agar Ki Parwah Duniya Ki Baaton Ki Tumne,
Toh Kabhi Bhi Mujhko Pa Na Sakoge Tum.

Juda Tumse Hokar
Kisi Tarah Jee Toh Raha Hun Main,
Yeh Judai Ka Jahar
Main Hardam Pee Toh Raha Hun,
Yeh Maalum Hai Mujhko Ki
Mere Jakham Bhar Na Sakenge,
Magar In Jakhamon Ko Main
Fir Bhi Si Toh Raha Hun.

Apne Aap Ko Toh Hum Samjha Lenge,
Magar Dil Mera Yeh Manta Hi Nahi,
Humne Toh Dekhi Hai Bewafayi Aapki,
Aap Bewafa Ho Dil Jaanta Hi Nahi.

Is Zamane Ki Baat Mat Karna Humse,
Is Zamane Ke Saath Toh Hum Chal Nahi Sakte,
Yeh Toh Badlata Hai Rang Girgit Ki Tarah,
Magar Hum Iski Tarah Rang Badal Nahi Sakte.

Kyon Mere Dil Ko Diye Hain Jakham Aapne,
Kyon Mere Pyar Ko Aapne Aise Bhula Diya,
Wada Toh Kiya Tha Saath Nibhane Ka Magar,
Kyun Sagar Ko Fir Aise Hai Daga Diya.

Juda Hone Ki Baat Humse Mat Kijiye,
Juda Hokar Toh Kabhi Jee Na Paayenge,
Are Aap Toh Shayad Ji Lenge Hamare Bin,
Magar Hum Toh Aapk Bina Mar Hi Jaayenge.

Hum To Hain Musafir,
Na Ghar Na Thikana,
Na Manzil Na Aashiyana,
Na Koi Apna Na Begana,
Thaam Ke Tanhaion Ka Haath,
Kar Ke Akelepan Se Baat,
Chalta Hun Gumnaam,
Main Shayar Badnaam.

Woh Hum Se Rooth Gaye,
Ya Aisa Dikhana Chahte Hain,
Woh Humein Bhul Gaye,
Ya Aise Bhulana Chahte Hain,
Lete Hain Khabar Na Meri Kabhi,
Or Na Kabhi Apni Khabar Batana Chahte Hain

No comments:

Post a Comment