Saturday, November 25, 2017

Dosti Shayari Hindi-Best Dosti Shayari In Hindi

Agar yaad tumko na rahe apna janamdin,
Check karte rahna yunhi apne mobile ke inbox hardin,
Main kabhi na bhuloonga apne yaar ka janamdin,
Chahe woh ho mera akhiri din,
Aapko zaroor mera yeh msg milega,
Jispe likha hoga mubarak ho aapko aapka jamdin.

Dost tu hai mera sabse nyara,
Tujhe mubarak ho tera janmdin yaara,
Mere bhi na nazar lage tujhe
Kabhi udaas na ho tere yeh chehra jo bada hai pyara.

Humne To Kaha Tha Aapse Eh Mere Dost,
Ki Aap Humse Dosti Nibha Na Paaoge,
Aap To Shayad Bhool Bhi Jaaoge Hamein,
Magar Humko Ko Aap Hamesha Yaad Aaoge.

Aise Hi Rakhna Mujhe Eh Mere Khuda,
Meri Dosti Sada Aise Hi Paak Rahe,
Hum Mar Bhi Jaaye Koi Gham Na Ho,
Marne Ke Baad Sada Doston Ko Yaad Rahe.

Eh Mere Dost Itna Khyal Rakhna,
Apne Dil Ko Aise Hi Paak Rakhna,
Kal Main Na Bhi Rahun Is Jahan Mein Agar,
Yeh Aarju Hai Aap Hamein Yaad Rakhna.

Chand Toh Aata Hai Roj Raaton Ko Magar,
Na Jaane Chandani Ko Kyun Saath Le Aata Hai,
Bahut Koshish Ki Use Bhulane Ki Magar,
Fir Bhi Jaane Kyun Woh Dost Bahut Yaad Aata Hai.

Din Ho Bhale Hi Raat Ho,
Bas Yaad Teri Hi Aati Hai,
Kaise Kahu Ke Main Theek Hu,
Yeh Hardam Mujhko Rulati Hai,
Ab Toh Yaaro Khud Se Bhi,
Mujhko Wafa Ki Umeed Nahi,
Mohabbat Aisi Shaii Hai Yaaro,
Jise Sakte Kabhi Kharid Nahi.

Ek Din Aayega Aisa Bhi Yaaro,
Mujhe Yaad Karega Sara Jahan,
Bas Bol Rahenge Mere Geeton Ke,
Mit Jayega Baaki Naamo Nishaa.

Bin Aapke Samjhta Hai Kon Yahan Mujhko,
Baad Aapke Sara Jahan Begana Sa Lagta Hai,
Kya Samjhega Tu Eh Dost Saatir Jahan Ko,
Yeh Sagar Khud Se Hi Anjana Sa Lagta Hai.

Dosti Ka Farz Yun Hi Nibhate Rahenge,
Wakt Bewakt Aapko Satate Rahenge,
Dua Karo Ke Umar Lambi Ho Hamari,
Varna Yaad Ban Ke Aapko Satate Rahenge.

Chup Rahte Hain Ke Koi Khata Na Ho Jaaye,
Humse Koi Ruswa Na Ho Jaaye,
Badi Muskil Se Koi Apna Bana Hai,
Milne Se Pahle Hi Juda Na Ho Jaaye.

Humne Puchha Yaar Se Itna,
Kaise Woh Bewafa Ho Gaye,
Bole Woh Ki Tumse Kya,
Teri Jeb Se Sikke Kho Gaye.

Yaad Aa Gayi Fir Humko,
Kuchh Bhuli Huyi Baatein Yaaro,
Royenge Jinmein Kuredkar Jakham,
Aa Gayi Fir Woh Baatein Yaaro.

Hasi Ke Raste Pe Chala Karo,
Khushiyo Ki Mahak Liya Karo,
Pyar Se Dilon Ko Chuha Karo,
Jahan Tumhe Gum Nazar Aaye,
Is Nacheez Ko Yaad Kiya Karo,
Har Kali Tujhse Khushboo Udhar Mange,
Aftab Tujhse Noor Udhar Mange,
Rab Kare Tu Dosti Aisi Nibhaye Ki Log Teri Dosti Udhar Mange.

Tu salaamat rahe ye dua hai hamari,
Dosti ke liye sochna aadat hai hmari,
Kabi musibat na aye dost tujh par,
Yahi harpal dil se duwa hai hamari.

Unn phoolon se dosti kya karoge,
Jo ek din murjha jayenge,
Karna hai dosti to hum jaise kaanton se karo,
Jo ek baar chubhe toh baar-baar yaad ayenge.

Yaadein Do Dilon Ke Faasle Ko Kaam Karti Hai,
Zindagi Aap Jaise Doston Par Naaz Karti Hain,
Mat Ho Udas Ke Aap Dur Hain Humse Kyun Ke..
Duriyan Hi Rishton Ko Aur Khas Karti Hain.

Tufaan se yu jada huya basti fir bas jaati hai,
Har patjhad ke baad bahaar aa jati hai,
Magar e dost tu kyaa jaane dosti ki kadar,
Tere zindagi subah hone se pehle hi sham ajaati hai.

Yu to hame lakhon mile the apne,
Jo milkar chale gaye,
Kuch tere jaise bhi mile,
Jo vada kar k mukar gaye,
Magar Hamari majburi hai,
Nibhyenge ye dosti umar bhar,
Kyoki Galati se tujh se dosti ke,
Chand vaade jo kar gaye!

Agar milti mujhe do din ki Baadsahat,
Ae Dost
.
.
.
To Hamari Riyast Me Tere Naam Ke Sikke Chala Karte.

Duniya me sabhi hain ajnabi,
Hum hain aap ke liye ajnabi,
Aap hain mere liye ajnabi,
Ye ajnabi hi ban jate hain zindgi,
Kyuki ajnabi se hi hoti hai mohabbat aur dosti.

Album to meri hai magar tasveer teri hai,
Aadhi khali hai aur aadhi bhari hai,
Teri tasveer khojta hun magar nahi milti,
Shayad aadhi ko jis ki talas hai,
Dost wo tasveer teri hai.

Jis ladki k chehre par aaj kal naqab hota hai,
Wo naqab ashiq k liye azab hota hai,
Mat marna naqab wali ladki pe mere dost,
Khubsurat packing me maal aksar kharab hota hai.

Aadhi raat ko sapna aa jaata hai,
Phir sona mushkil ho jaata hai,
Khuda ki kasam yaaro maine pyar nahi kiya,
Ye pyaar to apne aap hi ho jaata hai.

Dil me aap ki yaaden ne kar liya hai makaam,
Umar bhar aapki yaad rahegi paigham,
Aap ki is dosti ne kar diya hame ghulam,
Are jaathe jaathe usthaadon lelo hamari salaam.

Fir umido bhari SUBAH aayi hai,
SURAJ ko sath layi hai,
Hamari dosti ka ye asar to dekho,
Ki Hawaye bhi aapko
Good Morning
Kehne aayi hai.

Ae chand mere dost ko ek tohfa dena,
Taro ki mehfil sang roshni karna,
Chhupa lena andhere ko..
Har raat ke baad ek khubsurat savera dena.

Bahut khubsurat hote hai,
Wo pal jab koi dost saath hote hai,
Lekin usse bhi khubsurat hote hai,
Wo lamhe jab dur rahkar bhi wo humein yaad karte hai.

Dil me jage armano ko kabhi mita na dena,
Dekar hoto ko kabhi rula na dena,
Is baat ka bahana ki hum dur hai apse,
Kabhi apne is dost ko bhula na dena.

Muskurana hamesa kyuki main saath hun,
Samne na sahi ,
Par aas -paas hu,
Palko ko band karke dil se yaad krna ,
Main aur koi nahi dosti ka pyara ehsas hu.

Dekha hai humane bhi aajma kar,
De jate hai dhokha log karib aakar!
Kahati hai duniya magar dil nahi manta,
Kya aap bhi bhool jaoge hume apna Dost banakr!

Kuchh Meethe pal Hamesa Yaad Aate Hai,
Palako Pe Aanshu Chhod Jate Hai|
Kal Koi Aur Mile To Hume Na Bhoolana,
Kyoki Dosti Ke Riste Jingbhar Kaam Aate Hai!

Dost wo nahi jo aap ke kaam aaye,
dost wo hai jo apki t-shirt maang kr le jae aurr kabi wapis na de,
dost wo nahi jo apko treet de,
dost wo hai jo aap k ghar aae aur khe aj kya paka hai jo bhi hai jaldi se le aao,
dost wo nahi jo phone kar k milne aaye,
dost wo jo ghar k samne aa k msg kare.

Pathar Bana Diya Mujahy Rone Nahi Diya,
Daaman Bhi Tere Gham Ne Bighone Nahi Diya..!!
Tanhaiyan Tumhara Pata Poochhti Rahien,
Shab Bhar Tumhari Yaad Ne Sone Nahi Diya..!!
Ankhon Mein Aakar Beth Gai Annsoon Ki Lehar,
Palkon Pe Koi Khoawab Peerone Nahi Diya..!

Nazar hamari nazar tumhari,
Nazar ne dil ki nazar utari,
Nazar ne dekha nazar ko aise,
Ki nazar na lage is dosti ko hamari.

Zindgi ke pal yuhi guzar jayenge,
Zindgi mein kuch khokar kuch payenge,
Aaj yaha hai kal dur chale jayenge,
Par wada he aap ke INBOX mein zarur ayenge.

Itana bhi na rutho mere yaar ki ..
Mere dost mera bhi dil toot jaye,
Hum itne bedard dost nahi hai ki ..
Aapko dard dekar ye dost chup rah jaye.

Smart ho aap to bure hum bhi nahi,
Intelligent ho ap toh buddhu hum bhi nahi,
Dosti kar k kehte ho busy hai hum,
Yaad karna humse sikho free toh hum bhi nahi.

Hamare Paas Apki Dosti Ka Nazrana Hai,
Lekin Dil To Aapki Dosti Ka Deewana Hai,
Naye Dost Mile To Bhula Na Dena Hume,
Kyunki Yeh Dost Aapka Purana Hai.

Muskan Aapki Yaado Se Milti Hai,
Dil Ko Rahat Aapki Baato Se Milti Hai,
Band Mat Karna Ye Dosti Ka Silsila,
Dil Ki Dhadkan Aapki Dosti Se Chalti Hai.

Apni zindgi se mujhe hatane chale ho,
Ek staye hue ko stane chale ho,
Kitne naadan ho tum mere DOST,
Jo apne haton ki lakire mitane chale ho.

Mudat se dur the aap or hum,
Kismat ne jab milaya to achha laga,
Sagar se gahari apki DOSTI,
Terna to aata tha magar dubna achha.

Dil lagi DOSTO ke naam hoti hai,
Dil lagi DOSTO ki shan hoti hai,
Dur rah kar bhi DOSTO ko yaad karna,
Asli DOST ki pahchan hoti hai,

Besak kuchh pal ka intjar mila humko,
Par khuda se badh kar pyaar mila humko,
Na rahi tamanna kisi jannat ki,
Ai dost teri dosti se wo pyaar mila humko.

Beet jaate hai din yaade suhani bankar,
Reh jaati hai zindagi bus ek kahani bankar,
Par dil me dosti to hamesha rahegi,
Kabhi tadap kar to kabhi aankhon ka paani bankar.

Khushiya Itni Ho Ki Aankhon Me Ansu Jam Jaye,
Lamhe Ho Itne Hasin Ki Waqt Bhi Tham Jaye,
Dosti Nibhayenge Hum Apse Is Tarha,
Ki Saath Guzra Har Pal Zindagi Ban Jaye.

Zareee Zarree Mein Usi Ka Noor Hai,
Jhak Khud Mein Woh Na Tujhse Door Hai,
Ishq Hai Usse To Sab Se Ishq Kar,
Is Ibadat Ka Yehi Dastoor Hai,
Is Mein Us Mein Aur Us Mein Hai Wohi,
Yaar Mera Har Taraf Bharpur Hai.

Ek khawab ek khayal ek hakikat hai tu,
zindgi mein pane wali har zarurat hai tu,
jisko roz msg karne ko dil kare
are yaar vahi sweet si musibat hai tu.

Baharo ful barsao mera dost aaya hai,
hotho pe muskan gali me mahak laya hai,
barso tak thi jise pani se allergy.
wo aaj lux se nahaya hai!

Pucha mujh se chand sitaro ne,
Tujhe bhula diya tere jigri yaaro ne,
Maine muskurate huye kaha,
Bhul to nahi sakte kamine,
Bas lage honge kisi ko patane mein.

Jalte hue deepo ki tarah jagmagate rahna,
hamari dua hai sada muskrate rahna,
kitni bhi chappalen pade tumhe e mere bhai,
zindgi bhar aap ladkiya patate rahna.

Yad Na Karo Gi To Sataoun Ga,
Rotho Gi To Manaoun Ga,
Ro Gi To Hasaoun Ga,
Dost Hon Mein Tumhara Saya Nahi,
Jo Andhere Mein Sath Chor jaunga.

Khuda Ki Banai Qudrat Nahi Dekhi,
Dilon Main Chupi Daulat Nahi Dekhi,
Jo Kehta Hai Doori Se Mit Jati Hai Dosti,
Us Ne Shayad Hamari Dosti Nahi Daikhi.

Dooriyon se farak nahi padta,
Baat to dilon ke nazdikiyon se hoti hai,
Dosti aap jaise kuch khaas logon se hoti hai,
Warna mulaqat to na jaane roz kitne logon se hoti hai.

Bina Pukare Hume Apne Sath Paoge,
Karo Wada Ki Dosti Aap Be Nibaoge,
Matlab Ye Nahi Ki Roz Yaad Karna,
Bus Yaad Rakhna Uss Waqt,
Ab Khud Ko Tanha Paoge.

Nigaho Me Or Koi Dosti Ke Kabil Na Raha,
Is Kinare Ka Or Koi Sahil Na Raha
Chand Jaisa Dost Mila Hume Zameen Par,
Aasma Ka Chand Bhi Ab Deedar K Kabil Nahi Raha.

God Ne Ishq Ka Rishta Bana Diya,
Kisi Ko Dusman Kisi Ko Qatil Bana Diya,
Dub Na Jaye Koi Ishq Ke Dariya Me
Isi Liye Aap Jaise Dosto Ko Sahil Bana Diya.

Palke To Aankhe Ki Hifazat Hoti Hai,
Dhadkan To Dil Ki Amanat Hoti Hai,
Ye Dosti Ka Rishta Bhi Ajeeb Hai,
Kabhi Chahat To Kabhi Shikayat Hoti Hai.

Dost Ki Dosti Se Zindagi Sunehari Hoti Hai,
Saath Uske Tooti Har Aas Poori Hoti Hai,
Mile Dost Aisa Samjh Jaaye Dil Ki Baat,
Phir Kaha Koi Bhi Baat Zaroori Hoti Hai.

Rishton ke bandhan ko vishwas nahi kahte,
Har aansoo ko jajbat nahi kahte.
Kismat se milte hai dost jindagi me,
Isliye dosti ko kabhi ittefak nahi kahte

Dosti ki wajah nahi hoti,
Dosti saza nahi hoti,
Dosti me hoti he imaandari,
Dosti me duniadari nahi hoti,
Dost jaan se pyara hota he,
Dost se jaan pyari nahi hoti.

Ek din zindagi aise muqaam par pahuch jayegi,
Dosti to sirf yaadon me reh jayegi,
Har cup coffee,Yaad doston ki dilayegi,
Aue haste-haste aankhein fir nam ho jayegi.

Dua karte hain hum Sarko jhukaye,
Ae dost tu apni Manzil ko paye,
Agar Kabhi tere Raahon mein Andhera aaye to,
Roshni ke liye khuda hum ko Jalaye.

Jab Koi Khayal Dil Se Takrata Hai,
Dil Na Chah Ker Bhi Khamosh Ho Jata Hai,
Koi Sab Kuch Keh Ker Dosti Jatata Hai,
To Koi Kuch Na Keh K Dosti Nibhata Ha.

Hum Woh Phool Hain Jo Roz Roz Nahi Khilte,
Yeh Wo Hont Hain Jo Kabhi Nahi Silte,
Hum Se Bichro Ge To Ehsas Hoga Tumhain,
Hum Wo Dost Hain Jo Roz Roz Nahin Miltay.

Aasman se utari hai,
Taron se sajai hai,
chand ki chandni se nehlai hai,
Mere Dost…
Sambhal ke rakhna yeh dosti,
Yeh meri zindegi bhar ki kamai hai.

Aaj Khushiyon Ki Koi Badhai Dega,
Nikla Hai Chand To Dikhai Dega,
Ae Dost Dosti Ki Hai Humne Aapse,
Aapka Ek Aansu Bhi Ghira To Sunai Dega.

Wo Doston Ki Mehfil, Vo Muskratey Pal,
Dil Se Judaa Nahi Apnaa Beetaa Hua Kal,
Kabhi Zindgi Guzrti Thi Waqt Bitane Mein,
Aaj Wqt Guzarta Hai Zindgi Bitane Mein.

Hasrato ki nigaho pe shaqt pehra hai,
Na jaane kis umeed par dil thehra hai,
Teri chahaton ki kasam ae dost,
Apni dosti ka rishta to pyaar se bhi gehra hai.

बेशक कुछ वक्त का इंतजार मिला हमको,
पर ऊस बेवफाई से बढ़कर यार मिला हमको,
न रही तमन्ना किसी जन्नत की हमें ए दोस्त,
तेरी दोस्ती से वो प्यार मिला हमको ..
Beshak kuch waqt ka intezaar mila humko,
Par khuda se badhkar yaar mila humko,
Na rahi tammana kisi jannat ki,
Ae dost teri dosti se vo pyar mila humko.

Jam pe jam pine se kya faida,
Sham ko pee subah utar jayegi,
Arey do boond meri dosti ke pi le,
Zindagi sari nashe me guzar jayegi.

Ajnabi kuch milte hai aur jane kab dost ban jate hai,
Dil mein nahi baste vo to Dil ka hissa ho jate hai,
Badi haseen lagti hai duniya doston k saath yaro,
Par bada dard hota hai jab kabhi dost ajnabi ho jate hai.

Dosti ka rishta purana nahi hota,
isse bada khajana nahi hota,
dosti to pyar se bhi pavitra hai,
kyoki isme koi pagal ya dewana nahi hota.

Lab Khulte Hai Band Ho Jate Hai,
Sache Dost Milte Hai Bichad Jate Hai,
Per Jab Saath Bitaye Din Yaad Aate Hai Toh,
Hasti Aankhon Se Bhi Aansoo Nikal Aate Hai.

Ae dost zindagi bhar mujhse dosti nibhaana,
dil ki koi bhi baat humse kabhi na chupaana,
sath chalna mere tum dukh sukh mein,
bhatak jau mein jo kabhi sahi raasta dikhlaana.

Har doori mitani padhti hai,
har baat btani padhti hai,
lagta hai dosto ke pass waqt hi nahi hai,
aaj kal
khud apni yaad dilaani padhti hai.

Har zindagi pyar ki mohtaz nahi hoti…
or har safed imarat Taj nahi hoti,
Are pyar main marne walo kabhi yaari mein jikar dekho…
kyunki kalyug main koi ladki mumtaj nhi hoti.

Yaaron ki mehfil ka…
wo manzar bhi ajeeb sa tha,
jahan sab mere kareeb the…
par main kisi ke kareeb na tha.

Dooriyon ki na parwah kiya karo,
Jab dil chahe yaad kiya karo,
Dushman nahi hain dost hain hum aapke.
Mera sms na aaye to khud bhej diya karo!

Kuch Lamhe Aye Zindagi Me Kuch Lamho Ke Liye,
Aaj Fir Tarste Hain Hum Un Lamho Ke Liye,
Khuda Ne Kaha Kuch Maang Lo,
Maine Kaha Wo Lamhe Fir De Do Kuch Lamho Ke Liye.

Aapka dost jab pragati kare tab
garv se kehna wo mera DOST hai,
Aur
jab aapka dost mushkil mein ho tab
garv se kehna Main uska DOST hun.

Zindagi bhi kya ajeeb mod leti hai
Ek waqt aisa tha jab hum apne dosto se kahte the
Chalo milkar kuch plan banate hain
Aur ab
chalo milne ka koi plan banate hain

Labo se chu kar ik jaam dete jana,
Hathon se apne ik paigam dete jana,
Meri mohabbat ko thukraya jo tune,
To ise dosti ka nam dete jana.

Har insan ki alag pehechan hoti hai,
Magar hamary msg ki alag shan hoti hai,
Har kisi ko nahi kartey hum msg..
Magar jis ko kartey hain..
uss main hamari jaan hoti hai.

Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
Hum tere saath challenge aasmaan bankar.

Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi achcha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du.

Tumhari yaad dil se jaane nahi denge,
Tumhare jesa dost khone bhi nahi denge,
Roj sharafat se SMS kiya karo warna,
Ek kaan ke niche denge aur rone bhi nahi denge.

No comments:

Post a Comment