Tuesday, January 2, 2018

Sad Shayri

Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein,
Kyun dil dene ki waje hoti hein,
Kyun jazbaaton ko dabana padta hai,
Kyun iss dil ko samjana padta hai,
Kyun har dil ko ye mehsoos nahin hota,
Kyun sabko ye manzoor nahin hota,
Kyun dil se dil nahin milta,
Kyun pyaar ka phool nahin khilta,
Kyun dil ke naghme dil nahin gaata,
Dil mein kya hai ye keh nahin pata,
Kya dil dene ki yahi saza hai,
Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai.

Baat din ki nahi ab raat se dar lagta hai,
Ghar hai kaccha mera, barsaat se dar lgta hai,
Tere tohfe ne to bas khoon ke aansoo hi diye,
Zindagi ab teri saugaat se dar lagta hain!!
Pyaar ko chhod kar tum aur koi baat karo,
Ab mujhe pyar ki har baat se dar lagta hai!!

Sabhi ko sab kuchh nahi milta,
Nadi ki har lehar ko sahil nahi milta,
Yeh dil walo ki duniya hain dost,
Kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta.

बिछड़ के तुम से ज़िंदगी सज़ा लगती है,
यह साँस भी जैसे मुझ से ख़फ़ा लगती है ।
तड़प उठता हूँ दर्द के मारे,
ज़ख्मों को जब तेरे शहर की हवा लगती है ।
अगर उम्मीद-ए-वफ़ा करूँ तो किस से करूँ,
मुझ को तो मेरी ज़िंदगी भी बेवफ़ा लगती है।
Bichad Ke Tum Se Zindagi Saza Lagti Hai,
Yeh Saans Bhi Jaise Mujh Se Khafa Lagti Hai,
Tadap Uthte Hain Dard Ke Maare,
Zakhmon Ko Jab Tere Sheher Ki Hawa Lagti Hai,
Agar Umeed E Wafa Karun To Kis Se Karun,
Mujh KoToh Meri Zindagi Bhi Bewafa Lagti Hai.

Yaad toh har koi karega jaane ke baad,
Sache pyar ka pata chal jaayega waqt aane ke baad,
Kaun kitni mohabbat karta hai,
Nazar aajayega mere marr jaane ke baad.

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.

Aaj Kisi Duwa Ki Kami hai,
Tabhi To Hamari Ankho Mein Nami Hai,
Koi To Hai Jo Bhul Gaya Humein,
Par Hamare Dil Mein Unki Jagah To Wahi Hai.

Tumhari duniya mein..
Hum jaise hazaaron hai,
Hum hi pagal the..
Jo tumhe paa k itraane lage.

Ab talak hum muntzir hain jinke,
Unko hamara khayal tak na aaya,
Unke pyaar mein hamari jaan tak chali gayi,
Aur unko hamari maut ka malaal tak na aaya.

Najane kyu waqt is trah chala jata hai,
Jo waqt bura hai wo palat k samne ata hai,
Aur jis waqt ko hum chate hai,
Wo waqt ek lamha bankar beet jata hai.

Kaise Gujharti hai Meri..
Har Ek Shaam Tere Bagair,
Agar Tu Dekhle To..
Kabhi Tanhaa Na Chhodte Mujhe..!

Zaroori toh nahi jo khushi de usi se pyar ho..
Kyunki..
Sacchi Mohabbat toh aksar
Dil todne wale se hi hoti hai…!!

Chaha ke ye Aasma humara hota,
Khwaisho ka koi kinara hota,
Ye soch kar na roka us musafir ko humne,
Dur jata hi kyu agar wo hamara hota.

Agar Mujhse Mohabat Nahi To Rote Q Ho,
Tanhai Mein Mere Bare Me Sochte Q Ho,
Agar Manzil Judai Hai To Jane Do Mujhe,
Lot K Kab Aoge Puchte Q Ho.

Wo Roye To Bohat Par Mujhse Monh Morr Kar Roye,
Koi Majburi Hogi Jo Dil Torr Kr Roye,
Mere Samne Kar Diye Meri Tasveer K Tukray,
Pata Laga Mere Peeche Wo Unhe Jorr Kar Roye.

Kab huyi pyar ki barsat mujhe yaad nahi,
Khof mein doobi mulaqat mujhe yaad nahi,
Main to madhosh tha kuch itna uski chahat mein,
Usne kab chorr diya mera sath mujhe yaad nahi.

Uth-uth ke kisi ka intzaar kar ke dekhna,
Kabhi tum kisi se pyaar kar ke dekhna !!
Kaise toot jaate hain mohabbat ke rishte,
Galtiyan kabhi do-chaar kar ke dekhna !!

Yu na barbad kar mujhe,
Baaz aaja mera dil dukhane se,
Main toh insan hu
Patthar bhi tut jata hai itna azmane se.
यूँ ना बर्बाद कर मुझे,
अब तो बाज़ आ दिल दुखाने से..
मै तो सिर्फ इन्सान हूँ,
पत्थर भी टूट जाता है, इतना आजमाने से।

Nafrat kabhi na karna hum se,
Ye hum kabhi na seh payein ge,
Ek bar keh dena hum se k zaroorat nahi ab tumhari,
Hum tumhari duniya se hans k chale jayege.

Jis Din Se Juda Woh Humse Hue,
Is Dil Ne Dhadkna Chhor Dia,
Hai Chand Ka Munh Bhi Utra Utra,
Taaron Ne Chamakna Chhor Diya.

Kanch ko chahat thi pathhar pane ki,
Ek pal mein fir tut kar bikher jane ki,
Chahat bas itni thi us Diwane ki,
Apne Hazar tukdo mein uski Hazar tasvir sajane ki.

Guzar jayege aapke pass se hawa bankar,
Beh jayege ankho se aansu bankar,
Aaj to aapke pass fursat nahi,
Yaad karoge jab reh jayege dil ki yaad bankar.

Jis ke liye sab kuch luta diya humne,
Wo kehte hai unko bhula diya humne,
Gaye the hum unke aansu pochne,
Ilzam de diya ki unko rula diya humne.

Ye jaruri nahi ki meri har khawaish puri ho jaye,
Aap mere muqdar ke haqikat ho jaye,
Kayamat tak intzaar karenge apka,
Ager aap kisi aur k ho jaye.

Khuda ek bar use ye ehsas dila de,
Kitna intjar hai zara use bata de,
Har pal dehkte hai rasta usi ka,
Na intjar karna pade mujhe aisi neend sula de.

Ankhe kyon hui meri num kabhi sochna,
Kyon hua hum pe itna sitam kabhi sochna,
Pyar to hum dono ne kiya tha,
Lekin sirf mujhe he kyon mila itna gum kabhi sochna.

Zindgi ke safar ko lafzo mein piroya hai,
Apni har ghazal ko dard mein bhigoya hai,
Plz aaj wah wah na kehna,
Kyun ki aaj fir ye dil kisi ki yaad mein roya hai.

Nazren Mila Ke Kiya Dil Ko Zakhmi,
Adayen Dikha Kar Sitam Dha Rahe Ho,
Meri Wafao Ka Kya Khub Sila Diya Hain,
Tadapta Hua Chod Kar Jaa Rahe Ho.

Unki kami se dil mera udas hai,
Par hame to aaj bhi unke milne ki aas hai,
Zakham nahi hai par dard ka ehsas hai,
Aisa lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi unke pass hai.

Lamha Lamha Saansein Khatam Ho Rahi Hain,
Zindagi Maut Ke Pehloo Mein So Rahi Hai,
Us Bewafa Se Naa Poocho Meri Maut Ki Wajah,
Woh To Zamaane Ko Dikhaane Ke Liye Ro Rahi Hai.
लम्हा लम्हा सांसें ख़तम हो रही हैं,
ज़िंदगी मौत के पहलू में सो रही है,
उस बेवफा से ना पूछो मेरी मौत की वजह,
वो तो ज़माने को दिखाने के लिए रो रही है।

Ye Nahi Gam Ke Qasam Apni Bhulai Tum Ne,
Gam Te Ye Hai Ke Raqeebon Se Nibhai Tum Ne,
Koi Ranjish Thi Ager Tum Ko To Mujh Se Kehte,
Baat Apas Ki Kyun Sab Ko Batai Tum Ne.

Dil Lagi Thi Use Hum Se Mohabbat Kab Thi,
Mehfil-e-Gair Se Un Ko Fursat Kab Thi,
Hum The Mohabbat Main Lot Jane K Qabil,
Us K Wadoon Main Wo Haqiqat Kab Thi

Woh kehte hai dil pe bharosa itna nahi karte,
Hum kehte hai mohabbat mein socha nahi karte,
Woh kehte hai nazro se door par dil ke paas hoon,
Humne kaha sapno se dil ko behlaya nahi karte

Ye Keh Kar Mere Dushman,
Mujhe Hansta Chor Gaya,
K Tere Apne Hi Kafi Hai,
Tuhje Rulane K Liye.

Suna hai aaj kal wo pareshan rehta hai,
Usse kehna be-fikar main bhi nahi hu.!!
Suna hai wo raaton ko jaga karta hai
Usse kehna soti main bhi nahi hu….!!
Suna hai wo chhup chhup ke rota hai
Usse kehna hansti main bhi nahi hoon.!
Suna hai wo mujhe yaad bahut karta hai,
Usse kehna bhooli main bhi nahi hoon.!!
Suna hai usne wafa ka daawa kiya hain,
Usse kehna bewafa main bhi nahi hoon..!

Sanam Teri Nafrat Mein Wo Dam Nahi,
Jo Meri Chahat Ko Mita De,
Ye Mohabbat Hai Koi Khel Nahi,
Jo Aaj Hans Ke Khela Aur Kal Ro Ke bhula de.

Haskar jeena dastoor hai jindagi ka,
Ek yai kissa mashoor hai jindagi ka,
Beete hue pal kabhi laut kar nhai aate,
Yahi sabse bada kasoor hai jindagi ka.

Jindagi dene waale marta chhod gaye,
Sath dene waale tanhaa chhod gaye,
Jab jrurat padi hme apne hamsafar kii,
Vo sath chalne waale bhi apna rasta mod gaye.

Suna Hai Aaj
Uski Aankho Me Aansu Aa Gaye !!
Wo Bachcho Ko Sikha Rahi Thi Ki
Mohabbat ese Likhte Hain !!
सुना है आज
उस की आँखों मे आसु आ गये.!!
वो बच्चो को सिखा रही थी की
मोहब्बत ऐसे लिखते है..!!

Aaj bhigi hai palke kisi ki yaad me,
aakash bhi simat gaya hai apne aap me,
oas ki boonde aisi giri hai jameen per,
maano chand bhi roya ho unki yaad me..

Main to apni tanhaiyo se tang aa kar
Mahobbat ki talash me nikali thi..!!
Par..
Mujhe to mahobbat bhi aise mili jo aur tanha kar gai!!

Maut Ka Kya Kasur Gar Zindagi Bewafa Nikle,
Kuch Pal Ruk Kar Fir Chal Nikle,
Unse Kya Kahe Wo To Sache Hai,
Jab Meri Taqdir Hi Mujse Khafa Nikle.

Kuch Pathro Me Phul Khil Jate Hai,
Kuch Anjane Bhi Apne Ban Jate Hai,
Kuch Lasho Ko Kafan Naseeb Nahi Hota,
To Kuch Lasho Pr Tajmahal Ban Jate Hain.

Unki Akhon Se Peete The Hum May Ke Pyale,
Suna Tha Woh Bhi He Hamko Chahne Wale,
Haseen Dastan Ki Umer Choti Hoti He Aksar,
Aaj Bethe He Veerane Main Yaddon Ko Sambhale.

Na Neend Hai Aakhon Mein,
Na Dil Mein Hai Karar,
Bas Yahi Haal Hai Apna,
Jabse Hua Hai Pyar.

Mohabbat Hai K Nafrat Hai,
Koi Itna Tou Samjhaye,
Kabhi Main Dil Se Larti Hu,
Kabhi Dil Mujh Se Larta Hai!!

ना शौक दीदार का,
ना फिक्र जुदाई की,
बड़े खुश नसीब हैँ वो लोग जो,
मोहब्बत नहीँ करतेँ!

Wafaa ke badle bewafayi naa diya karo,
Meri umeed thukra ke inkaar naa kiya karo,
Teri mohabbat me hum sab kuch kho bethe,
Jaan chali jayegi yu imtihaan naa liya karo.

Kuch aise log mile jo dil me utar gaye,
Aur kuch aise bhi mile jo dil se utar gaye,
Par muskil se thama hath anjaano ne,
Pehchaan waale toh saaf mukar gaye.

छोड दो तन्हाई मे मुझको यारो..
साथ मेरे रहकर क्या पाओगे..
अगर हो गई आपको भी मोहब्बत कभी..
मेरी तरह तुम भी पछताओगे..

Saja sajaya mera gahr kabhi kabhi khandar sa najar aata hai,
Farishto ki jubaan me bhi kabhi jaher sa najar aata hai,
Tut jate hain sapne aksar palkon se hakikat ke safar mein,
Jeevan ka ye daur ab toh mujhey ek kehar sa najar aata hai.

Ess kadar aapko joh itna hasa raha hoon main,
Naa samajna koyi rishta bana raha hoon main,
Swaarth hain mera aur swaarthi hoon main,
Arthi k piche chale walo ki tadad bda rha hu main.

Aag roshni deti hain,
Aur Jalna jameen ko padta,
Mohabbat nigahe karti hai,
Aur tadpna dil ko padta hai.

Na tang karo hume, hum sataye huye hai,
Mohabbat ka gum dil pe uthaye huye hai,
Khilona samajh kar yu na khelo humse,
Hum bhi usi khuda ke banaye huye hai.

Aghosh mein lelo mujhe tanha hoon main,
Basa lo dil ki dhadkan me tanha hun main,
Jo tum nahi zindagi mein toh fir kuch nahi,
Sama jao mujhi mein ke tanha hoon main.

Zindagi Ki Raahon Par Kabhi Yu Bhi Hota Hai,
Insaan Khud Ro Padta Hai Akele Mein,
Kisi Ko Hausla Dene Ke Baad..!!

Tere gham me tadap kar mar jayenge,
Mar gaye to tera naam le jayenge,
Rishwat de ke tujhe bhi upar bulayenge,
Tum upar aaoge to saath baith ke kurkure khayenge.

Chaha ke ye Aasman Hamara hota,
Khwaiso Ka Bhi Koi Kinara Hota,
ye Sonchkar Nahi Roka Us Musafir Ko,
Wo Jata Hi Kyoun Door Agar Wo Hamara Hota..

Tere liye khudko majboor kar liya,
Zakhmo ko apne nasoor kar liya,
Mere dil mein kya tha ye jaane bina,
Tune khudko humse kitna door kar liya.

Mat karo tum vo wada jise tum nibha na sako,
Mat chaho tum use jise tum pa na sako,
Pyar har kisi ka kaha pura hota hai,
Pyar ka pehla akshar hi adhura hota hai.

Tumko Mohabbat Ki Sachchai Maar Dalegi,
Unko To Mohabbat Ki Gehraai Maar Dalegi,
Kar Ke Mohabbat Koi Nahi Bachega Yaron,
Unki Judaai Main Hame Sharab Maar Dalegi.

Raat Gumsum Hai Magar Chan Khamosh Nahi,
Kaise Keh Du Aaj Fir Hosh Nahi,
Aisa Duba Teri Aakho Ki Gehrai Main,
Haath Mein Jam Hai Magar Pine Ka Hosh Nahi.

Jaane kya mujhse zamana chahta hai,
Mera dil todkar mujhe hi hansana chahta hai,
Jaane kya baat jhalakti hai mere chahre se,
Har shaks mujhe aajmana chahta hai.

Chale jayenge..
Ek din tujhe tere haal par chodkar kadar,
Kya hoti hai pyar ye,
Tujhe wakt hi sikha dega.

Main ne us se bas itna hi puchha tha ki,
Ek pal mein kisi ki jaan kaise nikal jati hai,
Us ne Chalte Chalte apna haath,
Mere haath se chhura liya.

Kitaabon mein kehte hai phool todna mana hai,
Baagon mein kehte hai phool todna mana hai,
Phoolon se keemti cheez hai dil,
Koi nahi kehta dil todna mana hai.

Wo Sagar Nahi Aansu The Mere,
Jis Par Wo Kashti Chalate Rahe,
Manzil Mile Unhe Yeh Aarzu Thi Meri,
Is Liye Hum Aansu Bahate Rahe.

Aansu hai ankho mein par beh nahi sakte,
Duniawalo se darte hain islie kuch keh nahi sakte,
Par ye to aap bhi samajhte honge ki,
Hum aapke bina reh nahi sakte.

Usne Aakhri mulaqat karke meri zindagi ki raat kardi..
Abhi theek se usko jaana bhi nahi tha ki usne jaane ki baat kardi..
Jise naaz tha gurbat pe meri ..
Usne shaan paiso ki dikha kar zahir meri aukaat kardi ..
Jiske lehje me sirf hum tum hua karte the ..
Aaj usne sharminda mujhe punch kar meri Zaat kardi ..
Jiski chahat me maine zamana chhoda ..
Aaj usne mujhe chhod kar wahi siyasat mere sath kardi.

Ehsaan tera main maanu,
Tanha mujhe jo kiya hai,
Jo pyar tera hai khoya,
Lagta hai khud se mila main.

Dil ka dard dil me rakha,
Koi na mila jis pe duniya luta dete,
Sab ne diya dhoka humien,
Kis kis ko hum saza sunate.

Khafa hone se pehle khata bata dena,
Rulaane se pehle hansna sikha dena,
Agar jana ho kabhi hum se door aap ko,
Toh pehle bina saans liye jeena sikha dena.
खफा होने से पहले खता बता देना,
रुलाने से पहले हँसना सिखा देना,
अगर जाना हो कभी हम से दूर आप को,
तो पहले बिना सांस लिए जीना सिखा देना।

Tujh ko paa kar bhi kabhi to khona tha,
Ye hadsa mere saath kabhi to hona hi tha,
Wo tod kar aksar dil mera mujhe jodta raha,
Jaise main us ke haath ka koi khilona tha.

दिल थाम कर जाते हैं हम राहे-वफा से
खौफ लगता है हमें तेरी आंखों की खता से
जितना भी मुनासिब था हमने सहा हुजूर
अब दर्द भी लुट जाए तुम्हारी दुआ से
हम तो बुरे नहीं हैं तो अच्छे ही कहां हैं
दुश्मन से जा मिले हैं मुहब्बत के गुमां से
वो दफ्न ही कर देते आगोश में हमें लेकर
ये मौत भी बेहतर है जुदाई की सजा से

पढ़ने वालों की कमी हो गयी है आज इस ज़माने में,
नहीं तो गिरता हुआ एक-एक आँसू पूरी किताब है!!

Wade wafa kar k kyu mukar jate hai log,
Kisi ke dil ko kyu tadpaate hai log,
Agar dil lagakar nibha nahi sakte to fir,
Kyu dil ko dil se itna lagaate hain log.

सो जा ऐ दिल कि अब धुन्ध बहुत है तेरे शहर में,
अपने दिखते नहीं और जो दिखते है वो अपने नहीं…।

Jisne kabhi chahton ka paigam likha tha,
Jisne apna sab kuch mere naam likha tha,
Suna hai aaj use mere zikar se bhi nafrat hai,
Jisne kabhi apne dil par mera naam likha tha.

Lafz ki shakal mein Ehsaas likha jata hai,
Yahan Pani ko bhi Pyaas likha jata hai,
Mere jazbaat se waqif hai meri Kalam,
Main Pyar likhun to Us bewafa ka Naam likha jata hai

जिसने भी की मुहब्बत, रोया जरूर होगा।
वो याद में किसी के खोया जरूर होगा।
दिवार के सहारे, घुटनों में सिर छिपाकर ,
वो ख्याल में किसी के खोया जरुर होगा।
आँखों में आंसुओ के, आने के बाद उसने,
धीरे से उसको उसने, पोंछा जरुर होगा।
जिसने भी की मुहब्बत, रोया जरूर होगा।

Taqdeer ne jaisa chaha vaise dhal gye hum,
Bahut sambhal k chale fir bhi fisal gye hum,
Kisi ne viswas toda toh kabhi kisi ne dil,
Aur logon ko lagta hain ki badal gaye hum.

Main kyu pukaru use..
Ki lout aao,
Kya use khaber nahi..
Ki kuchh nahi mere pass uske siwaye.

Hum na pa sake tujhe..
Muddato se chahne ke baad,
Aur kisi ne apna bana liya tujhe..
Chand rasmein nibhane k baad.

Mere pehlu mein bhi ek shama jala karti hai
Jiski lou se teri tasveer bana karti hai,
Samne tere zuban band hi rehti hai magar,
Dil ki jo baat hai wo aankh bayan karti hai,
Chup kyu ho humse koi baat karo ae-dilwar,
Aise khamoshi se to takleef badaa karti hai,
Shamma jalti hai to zamane ko pata chalta hai,
Dil k jalne ki khabar aakhir kisko hua karti hai.

Kahte hain ke,
Pyaar or zahar mein koi fark nahi hota,
Zahar pine ke baad log marr jate hain,
Or
Pyar karne ke baad log jee nahi pate hai.

Hum Bhool Jaye Use Aisi Dil Ki Hasrat Kaha,
Wo Yaad Kare Hume Aisi Use Fursat Kaha,
Jinke Charo Taraf Ho Apno Ka Sath,
Use Hamari Jarurat Kaha.
हम भूल जाये ऐसी दिल की हसरत कहाँ,
वो याद करे हमे इतनी उसे फुर्सत कहाँ,
जिनके चारो तरफ हो अपनों का साथ,
उन्हें हमारी जरुरत कहाँ.

Rasta aisa bhi Dushwar na tha,
Bus Tum ko Hamari Chahat Pe Aitbar na tha,
Tum hi Chal na sake Hamare sath Warna,
Hamein to Jaan dene se bhi Inkar na tha.
रास्ता ऐसा भी दुशवार न था,
बस उसको हमारी चाहत पे ऐतबार न था,
वो चल न सकी हमारे साथ वरना,
हमे तो जान देने से भी इनकार न था.

Mat intezaar karwao humein itna,
Ke waqt ke faasle pe afsos ho jaye,
Kya pata kal lout ke ao tum,
Aur hum sada ke liye khaamosh ho jaye.
मत इंतज़ार कराओ हमे इतना,
कि वक़्त के फैसले पर अफ़सोस हो जाये,
क्या पता कल तुम लौटकर आओ,
और हम खामोश हो जाएँ.

Dil se khelna humein aata nahi,
Isiliye ishq ki baji hum haar gaye,
Sayad meri jindagi se unhe Baht pyaar tha,
Isiliye jate jate humein jinda maar gaye.
दिल से खेलना हमे आता नहीं,
इसलिये इश्क की बाजी हम हार गए,
शायद मेरी जिन्दगी से बहुत प्यार था उन्हें,
इसलिये मुझे जिंदा ही मार गए.

Log mohabbat ko khuda ka naam dete hai,
Koi karta hai ilzaam dete hai,
Kehte hai pathr dil roya nahi karte hai,
Aur pathr k rone ko jharne ka naam dete hai.
लोग मोहब्बत को खुदा का नाम देते है,
कोई करता है तो इल्जाम देते है।
कहते है पत्थर दिल रोया नही करते,
और पत्थर के रोने को झरने का नाम देते है।

Aaj unhe fursat nahi humse baat karne ki,
Ye zindagi gujar gayi unki fariyaad kar k,
Wo aaye humari mout pe,to keh dena,
Abhi soye hai aapko yaad kar k.
आज उन्हे फुर्सत नही हमसे बात करने की,
ये जिन्दगी गुजर गई उनकी फरियाद करके,
वो आए हमारी मौत पे,
तो कह देना अभी सोया है आपको याद करके.

Sath mein guzari har wo, shaam bhul gaye,
Mohabbat wali baatein, tammam bhul gaye,
Kainat mein kayam, bahut kam hi rehte hai aapne wade per,
Pher bhi gila yahi hai ki tum mera naam bhul gaye.
साथ में गुजारी हर वो, शाम भूल गए,
मोहब्बत वाली बातें, तमाम भूल गए,
कायनात में कायम,बहुत कम ही रहते हैं अपने वादे पे,
फिर भी, गिला यही है कि तुम मेरा, नाम भूल गए.

Kaha kho gaye hai aap,
Ya so gaye hai aap,
Bewafa to lagte nahi the pehle,
Kya ab ho gaye hai aap !!
कहाँ खो गए हैं आप ,
या सो गए हैं आप,
बेवफा तो लगते नहीं थे पहले,
क्या ? अब हो गए हैं आप.

Har ilzaam ka haqdaar wo hame bana jate hai,
Har khata ki saza wo hame suna jate hai,
Hum har bar khamosh rahjate hai,
Kyonki wo apne hone ka haq jata jate hai.
हर इल्जाम का हकदार वो हमे बना जाते है,
हर खता कि सजा वो हमे सुना जाते है,
हम हरबार खामोश रह जाते है,
क्योकी वो अपना होने का हक जता जाते है.

Payi thi her cheez jo chahi maine zindagi mein,
Bas teri ulfat ke aage mein ho gaya barbad,
Kab tak rah dekhta mein bhi tere aane ki,
Arso se kar raha hu tera intezar.
पाई थी हर चीज़ जो चाही मैंने ज़िन्दगी में,
बस तेरी उल्फत के आगे मैं हो गया बर्बाद,
कब तक राह देखता मैं भी तेरे आने की,
अरसो से कर रहा हूँ मैं तेरा इंतज़ार.

Bahut samajhaya khud ko magar samajha nahi paye,
Bahut manaya khud ko magar mana nahi paye,
Jana wo kya jajaba tha wo aahsaas tha,
Khubh bhulana chaha use humne magar bhula nahi paye.
बहुत समझाया ख़ुद को मगर समझा नही पाये,
बहुत मनाया ख़ुद को मगर मना नही पाये,
जाने वो क्या जज्बा था वो एहसास था,
खूब भुलाना चाहा उसे हमने मगर भुला नही पाये.

Meri Wafa Ke Kabil Nahin Ho Tum,
Pyar Mile Aise Insaan Nahin Ho Tum,
Dil Kyon Tum Par Aitabaar Kare,
Pyar Mein Dhoka De Aise Bewafa Ho.
मेरी वफा के क़ाबिल नही हो तुम,
प्यार मिले ऐसे इन्सान नही हो तुम,
दिल क्या तुम पर ऐतबार करेगा,
प्यार मे धोखा दिया ऐसे बेवफा हो तुम.

लबों पे नाम है जिनका
उन्हें कुछ भी खबर नहीं
गजल में दर्द है जिनका
उन्हें कुछ भी खबर नही!!

Jis Chehre Ko Dekh Kar Haste The Hum,
Aaj Usine ‘Rula Diya’ Khud Ne To Phone Kiya Nahi,
Humne Kiya To Caller Tune… ‘Tuje Bhula Diya’

Jisne bhi ki mohabbat wo roya jarur hoga,
Wo yaad me kisi ki khoya jarur hoga..
Deewar me sahare, ghutne me sir dabakar..
Wo khayalon me kisi ke khoya jarur hoga..
Aankhon me aanshu aane ke baad,
usne
Dheere se unko, usne poncha jarur hoga..
Jisne bhi ki mohabbat, Wo roya jarur hoga..!!

Taqdeer ne jese chaha vaise dhal gye hum,
Bahut sambhal k chale fir bhi fisal gye hum,
Kisi ne viswas toda toh kabhi kisi ne dil,
Aur logon ko lagta hain ki badal gaye hum.

Hum na pa sake tujhe..
Muddato se chahne ke baad,
Aur kisi ne apna bana liya tujhe..
Chand rasmein nibhane k baad.

Dukh Ne Sukh Ki Saans Li hai,
Kaash Koi Phir Yaad Na Aaye.

Phir Na Karna Meri Gustakh Nigahaon Ko Gila,
Daikhye Aap Ne Phir Pyar Se Daikha Hai Mujhe..

Hijar Ki Raaton Main, Sisak Sisak K Ro Leti Hoon,
Tanhayi K Dinon Main Uss Ki Ek Jhalak Dekhne Ko Taras Jaati Hoon.

Chalte Chalte Raahon Main Uss Ka Rasta Takti Hoon,
Ek Din Insha’Allah Humara Hoga Millan,
Iss Umeed K Sahare Dil Behla Leti Hoon.

Mere naseeb ka khel niraala ho gaya,
Ghar mera jalaa aur kahin aur ujala ho gaya.

Nikle jo janaza mera do phool gira dena,
Milne ki tamana ho toh kafan hata dene.

Wo Toot Chuka Tha Mohabbat Main,
Mgar Us Ko Mohabbat Se Koi Shikayat Nahi Thi.

Mujhe Neend Ki Ijaazat Bhi Unki Yaadon Se Leni Parti Hai,
Jo Khud Aaram Se Soye Hain Mujhe Karwaton Mein Chhor Kar.

Ungliya Aaj Bhi Ise Soch Mein Gum Hain,
Kya Usne Naye Hath Ko Thama Hoga.

Tu Bhi Auro Ki Trah Mujh Se Kinara Kar Le,
Sari Dunia Se Bura Hun Tere Kis Kaam Ka Hun.

Wo To Baarish Ki Boondai Dekh Kar..
Khush Hota Hai,
Us Ko Kya Maloom K..
Har Girne Wala Qatra
Paani Nahi Hota.

Kafi Arsa Beet Gaya Jane Ab Woh Kaisa Hoga,
Waqt Ki Sari Kerwi Batain Chup Chap Sehta Hoga,
Ab Bhi Bhegge Barish Mein Woh Ban K Chatri Chalta Hoga,
Mujhse Bichre Arsa Beeta Ab Wo Kis Se Larta Hoga,
Acha Tha Jo Sath Hi Rhete Baad Mein Os Ne Socha Hoga,
Apne Dil Ki Sari Baatain Khud Se Khud Hi Karta Hoga.

Apni yaadein apni baate lekar jana bhul gaye,
Jane wale jaldi mai milkar jana bhul gaye,
Mur-mur kar dekha tha jaate raste mai usne,
Jese use kuch kehna tha jo wo kehna bhul gaye,
Waqt-e-rukhsat poch raha tha mere aansu apne aanchal se,
Usko gham tha itna k wo khud rona bhul gaye!!

Jiss dil pe na aayi chot kabhi woh dard kisi ka kya jane,
Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane,
Matt poochoo kya guzarti hai juda jab yaar hote hain,
Aansoo teer ban ke jigar ke paar hote hain.

Hasne Ki Justju Mein Dabaya Jo Dard Ko,
Aansoo Hamari Aankh Mein Pathar Ke Ho Gaye!!

Aye Khuda log banaye the pathar ke agar,
Mere ehsas ko sheeshesa sa na banaya hota..

Aansuu bhi meri aankh ke ab khusshk ho gaye,
Tu ne mere khuloos ki keemat bhi cheen li..

Likhna to tha ke khush hoon tere bager bhi,
Aansuu magar kalam se pehle hi girr gaye.

Meri aankhon main Ansu aaye na hote,
Wo humein dekh kar muskuraye na hote.

Saleeqa Ho Agar Bheegi Palkoon Ko Parhne Ka,
To Behte Hue Ansoon Aksar Baat Kerte Hain.

Aankhon Mein Namii Si Hai, Chup Chup Se Woh Baithe Hai,
Nazuk Si Nigaahon Mein Nazuk Saa Fasanaa Hai.

Raat Bhar Rooti Rahi Shama Bhi,
Meri Be’naam Arzoo Ki Tarah.

Bedard Zamane Ka Bahana Sa Bana Kar,
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Me Aksar.

Hawa se lapati hoi siskion se lagta hai,
Meri kahani kisi aur ne bhi dhohrai.

Kash ye duniya haseen hoti,
Khud k chahne se her dua kabool hoti,
Kahne k liye to sabhi apne hai,
Par kash koi aisa hota..
Jisko mere dard se bhi takleef hoti.

Dard Hota Nahin Duniya Ko Dikhane K Liye,
Har Koi Rota Nahin Ansu Bahane Kliye,
Rutne Ka Maza To Tab Aata Hai,
Jab Koi Apna Ho Manane K Liye.

No comments:

Post a Comment