Wednesday, November 15, 2017

Best Love Shayari In Hindi

Kisi Aashiq Ne Kya Khub Kaha Hai,
Khamoshi Ko Ikhtiyaar Kar Lena,
Apne Dil Ko Bekarar Kar Lena,
Zindagi Ka Asli Dard Lena Ho To ..
Kisi Se Bepanah Pyar Kar Lena.

Sitam Ko Hamne Berukhi Samjha,
Pyar Ko Hamne Bandgi Samjha,
Tum Chahe Mujhe Jo Samjho,
Hamne To Tumeh Apni Zindagi Samjha.

Hum To Muhabbat Ke ..
Naam Se Bhi Anjaan The,
Ik Shakhs Ki Chahat Ne ..
Hume Pagal Bana Diya.

Uske bina duniya suni si lagti hai ..
Bin uske Zindgi adhuri si lagti hai ..
Pata Nahi kyu chahte hain Hum usko itna ..
Ki uske Bin jeena bhi majburi si lagti hai….

Tum meri yaad mein sulgo toh bura lagta hai,
Tum mere deedar ko tarso toh bura lagta hai,
Ek tamnna hai faqat mujh pe meherban raho,
Tum kisi aur ko dekho toh bura lagta hai,
Meri rooh tarasti hai tumhari khushbo ko,
Tum kahin aur jo mehko toh bura lagta hai….

Tere Ishq ne Bakhshi Hai Ye Soghaat Musalsal,
Tera zikar Hamesha Teri Baat Musalsal,
Ek Muddat Hui Tere Baam O dar se Nikle,
Rehti Hai phir B Tujh se Mulaqat Musalsal,
DiL Lagi, DiL ki Lagi Ban jati Hai,
Jab Tasawwur Main Guzarti Hai Raat Musalsal.

ish puri ho jaye,
Aap mere muqdar ke haqikat ho jaye,
Kayamat tak intzaar karenge apka,
Ager aap kisi our ke ho jaye.

Izhaar mohabbt ka kuch aise huya,
Kya kahe pyar kaise huya,
Unki ek jhalak pe nisar huye hum,
Sadgi mein marr-mitte aur ankho se ikarar huya.

Ruthey jo jindgi to manna lenge hum,
Mile jo gum vo sahe lenge hum,
Bas aap rahena saath humare to ..
Niklte huye anshu mein bhi muskura lenge hum.

Raat ka andhera kuch kehna chahta hai ..
Yeh chand chandni ka sath rehna chahta hai ..
Hum to tanha hi khush the ..
Mager pta nhi kyu yeh dil ab ..
Kisi ke sath rehna chahta hai ..

Aankho me teri hain mera ha chehra,
Chaahe too ye maane ya na maane,
Teri mohabbat pe hai mera pehra,
Chaahe too ye maane ya na maane,
Tere liye main jate huye lamho ko mod lu,
Tere dhadkano ko chhu lu teraa jism odh lu.

Sukun milta hai jab unse baat hoti hai,
Hazar raato mein wo ek raat hoti hai,
Nigah utha ke jab wo dekhti hai meri traf,
Wo ek nigah meri puri kaynaat hoti hai.

Jab bhi dekha hai us chand ko,
Usme shirf tumhi nazar aate ho hume,
Kardo meri zindegi ko roshan aapni chandni se,
Ab to tere kirno me bhigne ki tamanna hai hume.

Uske pyar mein do pal ki zindgi bahut hai,
Ek pal ki hasi aur ek pal ki kushi bahut hai,
Ye dunia mujhe jane ya na jane,
Uski ankhe muje pehchan le yahi mere liye bahut hai.

Kab Tak Hosh Sambhale Koi,
Hosh Ude To ude Jaane Do,
Dil Kab Seedhi Raah Chala Hai,
Raah Mude Toh Mud Jaane Do,
Tere Khayal Mein Doob Ke Aksar ..
Achhi Lagi Tanhaai,
Saans Mein Teri Saans Mili Toh,
Mujhe Saans Aayi Mujhe Saans Aayi.

Sun li jo khuda ne woh dua tum to nahi ho,
Darwaazey pe dastak ki sadaa tum to nahi ho,
Simtti huyi sharmaayi huyi raat ki raani,
Soyi huyi kaliyon ki hayaa tum to nahi ho,
Mehsoos kiya tum ko to geeli hui palkein,
Bheegey huye mausam ki adaa tum to nahi ho,

Pyar pyar nahi khuda hota hai,
Mehsus tab hota hai jab wo juda hota hai,
Bina pyar k rehna ek saja hota hai,
Pyar agar sache dil se kiya ho to usse pana aashan hota hai.

Ek muskan tu muhje ek baar de de,
Khwab mein hi sahi ek deedar de de,
Bas ek baar kar le tu aane ka wada,
Phir Umar Bhar ka chahe intezar de de.

Hasin palon ko fir se abaad kar rahe the,
Khuda se aapki hi baat kar rahe the,
Bada sakun mila jab khuda ne bataya k…
Aap bhi hume hi yaad kar rahe the.

Tera sath hai to mujhe kya kami hai,
Teri her muskaan se mili mujhe kushi hai,
Muskuraate rahna ise trha humesha,
Kyo ki teri is muskaan me meri jaan basi hai.

Tere Her Dukh Ko Apna Bana Lu,
Tere Har Ghum Ko Dil Se Laga Lu,
Mujhe Karni Aati Nahi Chori Warna,
Mai tere Aankho Se Har Aansu Chura Lu.

Hai tumari wafaon pe mujhko yaqeen,
Phir bhi dil chata hai mere dil nasheen,
Yunhi meri tasalli ki khatir zara,
Mujhko apna banane ka wada karo.

Akash ke taro me khoya hai jaha sara,
lagata hai pyara ek-ek tara,
un taro me khoya hai ek sitara,
jo is waqt pad raha hai SMS hamara.

Tera Chehra Jab Samne Aaya,
Mera Dil Dekh Tumko Muskuraya,
Shukr Karta Hu Ma Us Khuda Ka,
Jisne Mujhe Tujhse Milaya.

Mere paas mere Habeeb Aa,
Zara aur dil k qareeb aa,
Tujhe dharkanon main basaon main,
K bicharne ka kabi darr na ho..

Kitni Zaalim Hoti Hai,
Ye Pal Do Pal Ki Pehchan..
Na Chate Huye Bhi,
Dil Ko Kisi Ka Intezaar Sa Rehta Hai…

Riwaaj To Yahi Hai Duniya Ka ..
Mil Jana, Bichhar Jana..
Tum Se Ye Kaisa Rishta Hai ..
Na Milte Ho Na Bicharte ho..!!

Muskurao Tum To Khushbu Bikhar Jaye,
Baate Karo To Dil Machal Jaye,
Itni Dilkash Hai Teri Ada,
Ki Insaan To Kya,
Khuda Bhi Aap Per Fida Ho Jaaye.

Kaho To Phool Ban Jau,
Tumhari Zindagi Ka Ek Asool Ban Jau,
Suna Hai Rait Per Chal K Tum Mehak Jate Ho,
Kaho To Ab Ki Baar Zameen Ki Dhool Ban Jau,
Bohat Nayab Hote Hain Jinhain Tum Apna Kehte Ho,
Ijazat Do K Main Bhi Iss Qdar Anmool Ban Jau…

Main Mar Jaun To Mujhe Jala Dena,
Usse Pahle Mera Dil Ko Nikal Lena,
Mujhe Parwah Nahi Is Dil Ki Jal Jane Ki,
Mujhe Parwah Hai Is Dil Mein Rahne Wali Ki.

Sochenge jab kbhi chahne wali ki tarah,
Yaad ayenge hum tute pegamo ki tarh,
Jab bhi tanha andheron me dre jaoyoge tum,
Meri yaad fel jayegi ujalon ki tarha.

Tumhe dekha to dil mein ek umang jagi,
Dil mein yehi kashish…
Tum mile kyu na pehle kahin.

Mohabbt mein zazbat ubhar ate hai,
Dabe hue raz khul jate hai,
Jo halat baya na kar skte hai apno ke sath,
Wo ehasas kisi khass ke samne baras jate hai.

Bas gaye ho dil me is kadar aap hamare,
Ki kisi aur shakash ka khayal tak nahi ata,
Gujar jati ratein ankho hi ankho me,
Dil ko ek lamha bhi chain nahi ata.

Na Hogi Mohabbat Mujhe Kisi Se Tere Siwa,
Na Rahi Ab Zaroorat Kisi Ki Tere Siwa,
Dhondh Rahi Thi Ankhain Jisko Sadiyoon Se,
Duniya Mein Woh Chehra Kisi Ka Nahi Tere Siwa.

Raat Karwatein Badal Kar Guzar Jaati Hai,
Tere Bahoon Mein Sone Ko Jee Chahta Hai,
Na Jaane Yeh Ishq Ki Kaun Si Manzil Hai,
Har Waqt Tujh Par Jaan Nichawar Karne Ko Jee Chahta Hai.

Pariyon se sunder hai mehbooba meri,
Paakar use khud par naaz karta hu,
Har janam mein bas usi ka banna hai,
Ye elaan sareaam karta hu.

Besak kuchh pal ka intjar mila humko,
Par khuda se badh kar pyaar mila humko,
Na rahi tamanna kisi jannat ki,
Ai dost teri dosti se wo pyaar mila humko.

Pyar kiya to unki mohabbat nazar aayi,
Dard huya to palke unki bhar aayi,
Do dilon ki dharkan me ek baat nazar aayi,
Dil to unka dharka par awaz is dil se aayi.

Yaadien aksar hoti hain satane ke liye,
Koi rooth jaata hai phir maan jaane keliye,
Rishte nibhana koi muskil to nahi,
Bas dilon me pyaar chahiye use nibhane ke liye.

Meri ankhen aaj bhi uska intjaar karti hai,
Meri ek ek dharkan aaj bhi usi ek ke liye dharakti hai,
Wo zamane ko dikhati hai ki use mujse pyar nahi,
Lekin main janta hu ki aaj bhi wo mujse he inthan mohabbat karti hai.

Teri Ankhon Me Ansoo The Meri Khatir,
Teri Ankhon Me Ansoo The Meri Khatir,
Wahi Ek Lamha Muje Zindagi Se Pyara Laga.

Chand se acchi chandni,
Chandni se acchi raat,
Raat se acchi zindgi,
Zindgi se acchi aap ..

नज़रे मिले तो प्यार हो जाता है,
पलके उठे तो इज़हार हो जाता है,
ना जाने क्या कशिश है चाहत मैं के कोई..
अंजान भी हमारी ज़िंदगी का हक़दार हो जाता है।

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai,
Palke Uthe To Izhaar Ho Jata Hai,
Na Jane Kya Kasish Hai Chahat Main,
Ke Koi Anjaan Bhi Hamari
Zindagi Ka Haqdaar Ho Jata Hai.

Yu to Teri har khawahisho ko ..
pura krne ko dil krta hai magar ..
dar laghta hai ki kahi ..
tu mujeh chorne ki khawahish na kar baithe

Tamnna ishq to hum bhi rakhte hai,
Hum bhi kisi ke dil me dhadkte hai,
Milne chahte to bahut hai aapse,
Par milne ke bad judai se darte hai.

Kabhi Usko Bhi Meri Yaad Sataati Hogi,
Apni Aankhon Mein Mere Khawab Woh Bhi Sajaati Hogi,
Woh Jo Har Waqt Khayaalon Mein Basi Rehti Hai,
Kabhi To Woh Meri Bhi Yadon Mein Kho Jaati Hogi.

Iss husan ka didar hum bar bar kerta hai,
her pal hum apka iktiyar kerte hai,
waqt mila to hum pe atebar ker lena,
verna apka intezaar to hum har bar kerte hai.

Tum hasti ho mujhe hasane ke liye,
Tum roti ho mujhe rulane ke liye,
Tum ek bar rooth kar to dekho,
Mar jaoun ga tumhein manane ke liye.

Kuch sochun to tera khayal aa jaata hai,
Kuch bolun to tera naam aa jaata hai,
Kab tak chupaon dil ki baat,
Uski har ada par mujhe pyaar aa jaata hai

Meri Har Khushi Har Baat Teri Hai,
Sanson Me Chhupi Ye Hayaat Teri Hai,
Do Pal Bhi Nahi Reh Sakte Tere Bin,
Dhadkano Ki Dhadakti Har Aawaz Teri Hai

Kamaal Ki Funkaari Hain
Tum Mein Aey-Jaana…..!!
Waar Bhi Dil Par Karte Ho
Aur Rehte Bhi Dil Mein…..!!

Apne Asman Se Meri Zameen Dekh Lo,
Tum Khwab Aaj Koi Hasin Dekh Lo,
Aazmana Hai Agar Aitbar Ko Mere,
To Ek Jhut Tum Bolo Or Mera Yaqeen Dekh Lo.

Aye Chand Usey Kehna,
Woh Jo Dur Bohat Dur Basta Hai,
Usey Koi Yaad Karta Hai,
Aur, Behisaab Karta Hai,
Usey Kehna,
Jab Woh Kisi Aur Ke Sang Hasta Hai,
To Phir Dur Bohat Dur Kisi Ka Dil Darhakta Hai,
Aur,
Jab Woh Udaas Hota Hai,
Pass Uske Na Koi Gham Shanas Hota Hai,
To Phir Dur Bohat Dur Kisi Ki Aankhon Se Lahoo Barasta Hai.

Zaruri nahi ki pyar ki manzil mil jaye,
jise hum chahte hai wo hume mil jaye,
na mile to na kaho use bewafa,
dua karo koi humse bhi pyara use mil jaye.

Aap Hume Bhool Jao Hume Koi Gum Nahi,
Aap Hume Bhool Jao Hume Koi Gum Nahi,
Jis Din Humne Aapko Bhuladiya,
Samajh Lijiyega, is duniya me hum nahi.

Khuda Ne Jab Tujhe Banaya Hoga,
Ek Suroor Sa Uske Dil Mai Aaya Hoga,
Socha Hoga Kya Dunga Tohfe Mai Tujhe,
Tab Jake Usne Mujhe Banaya Hoga.

Bas ab ek haan ke intezaar mein raat yunhi guzar jaayegi,
ab toh bas uljhan hai saath mere neend kahan aayegi,
Subah ki kiran na jaane konsa sandesh laayegi,
rimjhim si gungunayegi ya pyaas adhuri reh jaayegi.

Garmiye hasrat ke nakam se jalte hai,
hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai,
jab aata hai tera naam mere naam ke saath,
naa jano kyon log hamare naam se jalte hai.

Jaroori Nahi K Koi Pyaar Ki Moorat Ho,
Sundar Ho Behad Khoobsurat Ho,
Sachcha Pyaar To Hai Wahi Jo,
Tab aapka Saath De Jab aapko Uski Jaroorat Ho..!!

Jo Dil Ke Aaine Me Ho…
Wo Hi Pyar K Kabil Hai,
Wrna Deewar K Kabil To
Har Tasveer Hoti Hai..!!

Dil cheez hi kya hai,
Ye to bas bahana hai pyaar jatane ka,
Warna ye hamari jaan hi kya hai,
Ye to bas bahana hai umar bhar saath nibhane ka.

Palke To Aankhe Ki Hifazat Hoti Hai,
Dhadkan To Dil Ki Amanat Hoti Hai,
Ye Dosti Ka Rishta Bhi Ajeeb Hai,
Kabhi Chahat To Kabhi Shikayat Hoti Hai.

Pyaar to karte hain par jatana nahi aata,
Dil chahta hai unhe par batana nahi aata,
Pyar karte hain unse ye unko bhi maloom hai,
par kitna karte hain bas yahi samjhana nahi aata.

Armaano ki sej par dosti ne karwat li hai,
Aapke dost ne aapko ye kasam di hai,
Juda ho ke bhi juda na hona,
Warna log kahenge,
Ek dil ne dhadkan ki jaan li hai.

Kuch nasha to aapki baat ka hai,
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
Humhe aap yuhi sharabi na kahiye,
Yeh dil par asar to aapse mulaqat ka hai.

Tammanna se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswayi se darte hain,
milne ki to bahut chahat hai magar,
milne ke baad judai se darte hain.

Soch lene se pahle mein kar arz deti hoon,
shayari me yaaron dil ke raaz khol deti hoon,
kuch apni kuch unki kahaani bahut hain,
mila mila kar kissey mein duniya ko bol deti hoon.

Mohabbat ke chaand ko apni panah mein rehne do,
Labon ko na kholo aankhon ko kuch kehne do,
Dil peh haath rakho aur kuch der rehne do,
Mujhe mehsoos karo aur apne paas hi rehne do.

Raat aati hai unki sapne lati hai,
Din aati hai unki yaad satati hai,
Isi silsile me pura din nikal jata hai,
Or mujhe aisa lagta hai ye kuch pal the jo meri khusnasibi hai….!

Apki Wafa Hamesha Mujhpar Udhar Rahegi,
Meri Zindagi Apki Muskurahat Par Nisar Rahegi,
Diya Hai Apne Itna Pyar Mujhe,
Ki Marr Kar Bhi Meri Zindgi Apki Karzdar Rahegi.

Tum Dard bhi ho mera aur dard ki dawa bhi ho,
Meri maut ka karan bhi ho tum, jeene ki vajah bhi ho,
Khuli nazro se tum door ho bahut mujhse,
band ankhon me har jagah bhi ho…!!

प्यार में कोई तो दिल तोड़ देता है,
दोस्ती में कोई तो भरोसा तोड़ देता है,
ज़िंदगी जीना तो कोई ग़ुलाब से सीखे,
जो खुद टूट कर दो दिलों को जोड़ देता है।

Pyar me koi to dil tod deta hai,
Dosti me koi to bharosa tod deta hai,
Zindagi jina to koi gulaab se sikhe,
Jo khud toot kar do dilo ko jod deta hai.

Na Karta Shikayat Zamane Se Koi,
Agar Maan Jaata Manane Se Koi,
Kisi Ko Kyun Hamesha Yaad Karta Koi,
Agar Bhul Jaata Bhulane Se Koi!

Teri Nigahon Ke Yoon Hi Kayal The Hum,
Kya Jaroorat Thi Aajmane Ki,
Yoon Hi Behosh Pade Hai Teri Rahon Main,
Kya Jaroorat Thi Alag Se Muskurane Ki.

Kash Humari Bhi Parwah Kisi Ne Ki Hoti,
To Ye Duniya Humse Ruswa Na Hoti,
Agar Aata Aap Jaisa Muskurana Humein,
To Humse Bhi Kisi Ne Mohabbat Ki Hoti.

Akela Sa Mehsus Karo Jab Tanhai Mein,
Yaad Meri Aaye Jab Judai Mein,
Mehsus Karna Tumhare Hi Paas Hoon Main,
Jab Chahe Mujhe Dekh Lena Apni Parchai Mein.

Badi Gahrai se Chaha hai Tujhe,
Badi Duao se Paya hai Tujhe,
Tujhe Bhulane ki Sochu bhi to Kaise,
Kismat ki Lakiro se Churaya hai Tujhe.

Us dil se pyar na karo jo tumhe dard de,
Par us dil ko kabhi dard na do jo tumse Pyar kare,
Kyuki tum duniya ke liye koi ek ho,
Par kisi ek ke liye sari Duniya ho.

Aapki muskan hamari kamzori hai,
Keh na pana hamari majboori hai,
Aap kyon nahi samajhte is jazbaat ko,
Kya khamoshiyon ko zuban dena Zaroori hai.

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai,
Palke Uthe To Izhaar Ho Jata Hai,
Na Jane Kya Kasish Hai Chahat Main,
Ke Koi Anjaan Bhi Hamari
Zindagi Ka Haqdaar Ho Jata Hai…

Love and Friendship..
Its a package of “feelings”,
Nobody can “Make it”,
Nobody can “Break it”,
Nobody can “Explain it”,
Only “I” and “You” can “feel it” .

Na Chorhna Mera Saath…
Zindagi Mein Kabhi,
Shahyad Mein Zinda Hun…
Tere Saath ki Wajah Se.

Maut Ki Wadaiyon Se,
Main Kabhi Khud Ko Bacha To Na Paaungi,
Par Jab Tak Chali Saanse,
Kasam Teri Ye Mohabbat Nibhaungi.

Khamosh Raastoon Mein,
Tera Saath Chahiye…
Tanha Hai Mera Haath,
Tera Haath Chahiye…

Guzre barsoo mein ehsaas hua krta tha,
EK hi shaksh tha jo khas hua karta tha.
Mein gazlien likhti thi bahut khamoshi se,
Wohi mere sheron ke alfaz hua karta tha.

Kya Pata Tha Koi Hume Bhi Saanson Ki Tarah Chahta Hoga,
Khabar Na Thi Koi Humari Bhi Raahon Mein Palken Bichhata Hoga,
Sada Maangte Rahe Dua Hum Gairon Ki Khatir,
Na Tha Socha Koi Humare Liye Bhi Haath Failaata Hoga.

Pyar ka badla kabhi chuka na sakenge,
aap hi hai mere laabon ki hasi…
aap se bichde to fir kabhi muskura na sakenge!!!

Hum jab bhi aap ki duniya se jaayenge,
itni khusiya aur apnapan de jayenge,
ki jab bhi yaad karoge is pagal ko,
hasti aankhon se bhi aansoon nikal aayenge.

ilzaam sharaab ko diya jaata hai,
magar ilzaam sharab ka nahi unka hai,
jinka chehra hume har jaam me nazar aata hai.

नशा हम करते हैं,
इलज़ाम शराब को दिया जाता है,
मगर इल्ज़ाम शराब का नहीं उनका है,
जिनका चेहरा हमें हर जाम में नज़र आता है!

nasha ham karate hain,
ilazaam sharaab ko diya jaata hai,
magar ilzaam sharaab ka nahin unaka hai,
jinaka chehara hamen har jaam mein nazar aata hai!

Aansuon ko yunhi tum ponchhte jaoge,
Yaadon me meri tum yunhi duubte jaoge,
Chhahkar bhi na hata paoge tasveer dilse,
Inn ankhon me chhupi tadap se tadap jaoge.

Khubsurat sa ek pal kissa banjata hai,
Jane kab kaun zindagi ka hissa banjata hai,
Kuch log zindagi me milte hain aise,
Jinse kabhi na tootnewala rishta banjata hai.

Yaadon ki dhundh me aapki parchaai si lagti hai,
Kaano me goonjti shahnaai si lagti hai,
Aap kareeb hai to apnapan hai,
Varna seene me saans bhi paraai si lagti hai.

Teri Nigahon Ke Yoon Hi Kayal The Hum,
Kya Jaroorat Thi Aajmane Ki,
Yoon Hi Behosh Pade Hai Teri Rahon Main,
Kya Jaroorat Thi Alag Se Muskurane Ki.

Kadmo ki duri se dilo ke fasle nahi badte,
Door hone se ehsas nahi marte,
Kuch kadmo ka fasla hi sahi hamare beech,
Lekin aisa koi pal nahi jab hum apko yaad nahi krte.

Meri khamoshi ko vo samjhta nahi,
mera khamosh rehna bhi use gawara nahi,
ikk baat bata de ae khuda,
hum uske ho gye to kya vo hamara nahi?

Jaante Hain Sab Phir Bhi Aanjaan Bante Hain,
Isi Tarha Wo Humesha Pareshan Karte Hain,
Puchte Hain Humse Ke Aapko Kya Pasand Hai,
Khud Jawaab Hokar Bhi Ye Swaal Karte Hai.

Chahoge agar aap mujhe
chahne walo ki tarah,
sawar jaunga main bhi
bikhre baalo ki tarah…!!

Hum to bheege hai tere ishq ki..
baarish main kuchh is tarah,
Jaise kisi shayar ki..
kalam sayaahi main doobi rehti hai. . !!

Ishq pane ki tamanna me kabhi kabhi,
zindagi khilona ban jati hai,
Jise dil me basana chahte hai,
Wo surat sirf yaad bankar reh jati hai.

Anjaan is gham se koi reh nahi sakta,
Koi sabar karta hai to koi seh nahi sakta,
Mohobbat to har dil ko ho hi jati hai,
Bas koi izhar karta hai to koi keh nahi sakta.

Dooriyan bahot hain par itna samajh lo,
Paas rehkar hi koi rishta khaas nahin hota,
Tum dil ke paas itne ho k….
door rehkar bhi Dooriyoon ka ehsaas nahin hota…!!

किसी के दिल में बसना कुछ बुरा तो नहीं!
किसी को दिल में बसाना कोई खता तो नहीं!
गुनाह हो यह ज़माने की नज़र में तो क्या!
ज़माने वाले कोई खुदा तो नहीं..!!

Kisi ke dil mein basna bura to nahi
Kisi ko dil mein basana khata to nahi
Hain ye zamane ki nazar me bura to kya hua
Zamane wale bhi insan hai khuda to nahi

Kyun kisi se itna pyaar ho jata hai,
Ek din jeena dushwaar ho jata hai,
Lagne lagte hain apne bhi paraye,
Aur ek ajnabi par itna aitbaar ho jata hai…!!

Mohabbat koi chiz nahi,
jise paise se hasil kiya ja sake,
Ishq koi mukaddar nahi,
jise takdeer pe choda ja sake,
Pyar toh ek vishwas hai,
bharosa hai, aitbaar hai,
Par mohabbat itni aasaan nahi ki…
kisi se bhi ki ja sake..!!

Bankar khusbu teri saanso mein bikhar jaungi,
Sukun bankar tere dil mein utar jaungi,
Mehsoos karne ki koshish to karo,
Dur reh kar bhi tere kareeb nazar aaungi.

Bichadte Hue Yaad De Jayenge,
Khud Rone Se Pehle Har Khushi De Jayenge,
Tumhe Gila Hai Hum Baat Nahi Karte,
Vada Raha Sans Rukne Se Pehle,
Har Baat Keh Jaayenge.

Pehla pegaam aapke naam likh raha hun,
Apne dil ke arman likh raha hun,
Zara pyar se kholana mere is pyar bhare pegam ko,
Likh pehle kuch aur raha tha ab kuch aur likh raha hun.

Naam ki kya baat kartey ho,
Log chehrey tak bhul jate hain,
Tum Samundar ki baat karte ho,
Dubne wale to Aankho mein bhi doob jate hain.

Jab Pyar ke Ehsaas ko Samaj Jaoge,
Har sanso mein mera hi Naam Paoge,
Mera pyar us waqt dega Awaaz,
Jab tum dunia ki Bheed mein khud ko Akela Paoge…

Teri mohabbat ke pyase the,
Isliye haath faila diya humne,
Warna hum to khud ki,
zindagi ke liye bhi dua nahi karte….

Labo se chu kar ik jaam dete jana,
Hathon se apne ik paigam dete jana,
Meri mohabbat ko thukraya jo tune,
To ise dosti ka nam dete jana.

Ek roj jab wo mujhse miley to kehne lage ki,
Tum yu udaas na raha karo mujhe achha nahi lagta,
Yaaro, Main to us se itna bhi na keh saka,
Ye udaasi to kab ki chali gayi hoti…
Jo mujhe tera saath mil gaya hota…

Kasam khuda ki hamein tum se pyar aaj bhi hai,
Wo pyar ki taraf bekarar aaj bhi hai,
Meri wafa ka aitbar tumhe ho ya na ho,
Teri wafa ka aitbar hamein aaj bhi hai

Koi sham aati hai tumhari yaad lekar,
Koi sham jati hai tumari yaad dekar,
Mujhe tho us sham ka intezar hai,
jo aaye tume saath lekar.

Dil ki nazuk dhadkano ko..
mere sanam tumne dhadakna sikha diya,
jab se mila hai tera pyaar dil ko,
gum me bhi muskurana sikha diya.

tere chehre ne kuch aisa gazab dhaya hai,
ki tere Husn se aaj chand bhi sharmaya hai,
maang lete tujhe aaj uss khuda se,
par woh bhi aaj tera gulam nazar aaya hai!

Wo din din nahi, wo raat raat nahi,
wo pal pal nahi, jis pal teri yaad nahi,
teri yaadon se maut hame alag kar sake,
maut ki bhi ye aukat nahi.

Tanha khud ko kabhi mat hone dena,
apno ko kabhi rone mat dena,
aap bahut khaas hain hamare liye..
Is khayaal ko apne se kabhi juda hone mat dena!

Aankhon me rehne wale ko yaad nahi karte,
Dil me rehne wale ki baat nahi karte,
Hamari to RUUH me bas gaye ho aap,
Tabhi to milne ki FARIYAD nahi karte!

मेरी हर खता पर नाराज़ न होना,
अपनी प्यारी सी मुस्कान कभी न खोना,
सुकून मिलता है देखकर आपकी मुस्कराहट को,
मुझे मौत भी आये तो भी मत रोना!

Hamari har khata pe naraz na hona,
apni pyari si muskurahat ko kabhi na khona,
Sukun milata hain dekh kar aapaki muskurahat,
hume maut bhi aaye to bhi mat rona.

Aankhon me rehne wale ko yaad nahi karte,
Dil me rehne wale ki baat nahi karte,
Hamari to RUUH me bas gaye ho aap,
Tabhi to milne ki FARIYAD nahi karte!

Aankhon ki gehraayi ko samajh nahi paate,
Hoth hai magar kuch hum keh nahi paate,
Apni Dil ki baat kis tarah kahe tumse,
Tum wahi ho jinke bina hum reh nahi paate.

Mehakti baharo me tumhe Phuulon ki tarah dekha hai,
Baraste Sawan me tumhe Buundo ki tarah dekha hai,
saja rakhe hai jo khwab apni zindagi ki raho me,
un raho me tumhe apni dulhan ki tarah dekha hai.

Ishq wale ankho ki baat samajh lete hai,
Sapno me mil jaye to mulakat samajh lete hai,
rota to aasma bhi hai Pyaar ke liye,
par log use barsat samajh lete hai.

रात होगी तो चाँद दुहाई देगा,
ख्वाबों में आपको वह चेहरा दिखाई देगा,
ये मोहब्बत है, ज़रा सोचकर करना,
एक आंसू भी गिरा तो सुनाई देगा!

Raat hogi to chand duhai dega,
Khawabon mein aapko woh chehra dikhai dega,
Ye mohabbat hai zara sochke karna,
Ek aansoo bhi gira to sunai dega.

Sabne kaha ishq dard hai,
Humne kaha ye dard Kabul hai,
Sabne kaha is dard ke saath ji nahi paoge,
Humne kaha is dard ke saath marna Kabul hai.

Tarasti nazaron ki pyas ho tum,
Tadapte dil ki aas ho tum,
Bujti zindagi ki sas ho tum,
Phir kaise na kahu?.. kuch khas ho tum.

Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan,
Na Karta Kisi Ko Yun Ye Pareshaan,
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Me,
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Sake Bayaan.

Tapish Suraj Ki Hoti Hai,
Jalna Zameen Ko Parta Hai,
Qusur Aankhon Ka Hota Hai,
Tarapna Dil Ko Parta Hai.

Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.

Khudaa jab husn deta hai..
nazaakat aa hi jati hai,
Kadam chun chun kar rakhti ho..
Phir bhi kamar balkha hi jaati hai

Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.

Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu.

Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
Hum tere saath challenge aasmaan bankar.

Kuch nasha to aapki baat ka hai,
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
Hame aap yuhi sharabi na kahiye,
Yeh dil par asar to aapse mulaqat ka hai.

Tumhari lovely aankho ne,
Hame aise attract kiya,
Ke sabko neglect karke,
Tumhe hi select kiya.

Chaho to dil se hamko mitta dena,
Chaho to humko bhula dena,
Par Yeh wada karo ki aaye jo kabhi yaad hamari..
To rona nahi Bus muskura dena.

Zindagi ek phool hai aur..
mohabbat us ka shehed
Pyar Ek Dariya hai,
Aur Mehboob uski sarhad.

Badi muddat se chaha hai tujhe,
bade Duaon se paya hai tujhe,
tujhe bhulane ki socho bhi to kaise,
Kismat ki Lakiron se churaya hai tujhe!

Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki,
Hum to behosh youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki.

Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya,
Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya,
Hum Hosh me aane hi waale the,
ki aapne fir se muskura diya.

Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi achcha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du.

2 comments: